09-10-2024, 03:05 PM
Rehan sharmaate hue bola.. Kya maa aap bhi..!!?
Ho gaya na maa.. ab itna bhi mat chedo mujhe..
Warna sharm ke maare ..abhi zameen phate or mai usme sama jaun..!!
Acha acha thik hai baba..!! Ab nahi bolungi...
Ye batao ab tum kaisa mehsoos kar rahe.. Kisi kism ki kamzori ya kuch or..?
Nahi maa..
Mai to apne aap ko bilkul taro taza mehsoos lar raha hun... Jaise abhi bohat lambi nind lekar utha hun...
Tum pichle sath dino se so rahe ho beta kya tum ye baat jante ho ..?
Kya..?
Mai pichle sath dino se so raha hun..!!?
Haan or in saath dino me maine tumhare zakhmo ke ilaaj kiye hai take tum thik ho sako.. Us din agar mai waqt par nahi aati to tum shayad bach nahi paate beta..!!
Par maa..?
Mai salazaar ke saamne itna kamzor kyu pad gaya tha..?? Mai kisi mamooli tinke ki tarha beh gaya uske samne .. Aisa kyu hua..?
Maa ne rehan se kaha..
Jab usne tumhe apne bawandar me jakda tab usne apni taqato se tumhari taqato ko baand diya tha.. Ise " Bandish" kaha jaata hai..
Jiske zariye hum apni pratinidhi ki shaktiyo par pratiband laga sakte hai or use asaani se hara sakte hai..!
To ab mai kya karu maa..?
Mai roohi ko un darindo ke chagul se rehayi dilana chata hu par agar dobara mera saamna salazaar se hua to mai dobara uske saamne kamzor nhi padna chata..
Maa ne apni jholi se chaandi ka ek kada ( bangle- chudi )nikaal kar rehan ko dete hue kaha.. Ye lo beta..
Ye kada mera aashirwaad hai tumhare liye.. Is tarha ke kewal do hi kade is prithvi par hai..
Ek safed yani ke achi shaktiyo ka prateek hai ..
Or dusra kaali yaani ke buri shaktiyo ka prateek hai..
Maine jo tumhe diya hai ye safed shaktiyo se susajjit kada hai beta ..
Jab bhi tumhe aisa mehsoos hoke ke ab tum kamzor pad rahe ho us waqt tum ise apne seedhe haath me daal lena... Ishwar ki saari shaktiyan tumhari sahaayeta karegi..
Par..!!
Aaghora ke kaali shaktiyo ke aage ye kuch kamzor pad sakta hai kyuke is ka dusra hissa yani ke wo kaala kada ushi ke paas hai.. Or uske ilaake me wo is kangan par bhari padta hai...
Or agar kisi ke paas wo dono kade aajaye to kya hoga maa..!!??
Agar aisa hua to mat pucho ke kya hoga beta..!!??
Bhagwaan na kare ke kabhi kisi ke haath ek sath ye dono kade lag jaaye warna umeed isi baat ki hogi ke wo inka galat hi istemaal karega kyuke wo kala kada us insaan ko apni or yaani ke buraio ki taraf khinch leta hai...
Is kade ko mera aashirwaad samajh kar apne paas rakhna beta..!!
Maa ne bohat koshish ki ke wo bhi rehan ke sath chale par rehan ne use ye kehkar mana kar diya ke ye uski jung hai or wo ise akela hi ladega...
Uske baad rehan ne maa se ijazat li or apni muhim par nikal pada..!!
Roohi ne mehsoos kiya ke achanak hi ghufa ke muhaane par amujood bada sa phatthar apni jagah se dheere dheere kishak raha hai..
Wo pichle sath dino se yaha is ghufa me qaid thi ... Usse kisi ne ab tak koi bat nahi ki thi ...
Bas waqt par khana de diya jata or phir se us gufa ke darwaze ko band kar diya jata..
Aaj is waqt kaun aaya hoga..? Usne apne dil me socha..
Ye waqt to khane ka bhi nahi ho sakta..? Phir yun bewaqt kaun.................. !!
Abhi wo ye soch hi rahi thi ke achanak use saamne se koi saaya apni taraf aata hua nazar aaya..
Kk..kaun hai..?
Kaun..hai waha..? Roohi ne awaaz lagayi...
Us saaye ke haatho me koi chiz thi jise usne roshan kiya tab pata chala ke uske haatho me ek momi shama thi...
Koi ladki thi shayad...
Roohi ne sahama ki roshni me use dekha .. Koi usi ki hum umar ladki thi wo..
Umar zyada se zyada 20-22 saal hogi uski...
Kaafi haseen thi...
Sunhaire akhroti rang ke bal jo uski kamar se bhi niche latak rahe the...
Roshan ..safed ..bedaag chera..khadi naak..or uske chere par sab se zyada pur-kashish thi uski hare rang ki badi badi or nasheeli aankhe..
Roohi us ladki ki aankho ko hi dekhti reh gayi..
Or uski aankho ke rang ke muttallik sochne lagi ...
Kabhi us ladki ki aankhe neeli nazar aati or kabhi hari.. !!
Tum roohi ho na..??
Achanak us ladki ne aage bad kar sawal kiya..
Haan..mai hun.. Roohi ne jawab diya..
Par tum mera naam kaise janti ho.?
Mai tumhare baare me or bhi bohat kuch janti hun roohi..!! Bheto mujhe tum se kuch baate karni hai..
Or wo dono paas hi padi patthar ki ek badi se seel par bhaith gaye...
Mera naam shalaka hai roohi... Or mai mai ki shezaadi hun...!!
I..ii.in darindo ki shezadi ho..? Roohi ne darte hue pucha..!!
Shalaka muskurati hui boli.. Haan in darindo ki..
Par fikar mat karo mai yaha tumhe koi nuksaan pohchaane nahi aayi...!! Bas ye janna chati hun ke tum rehan ke saath kab se ho..??
Rehan ka naam sunte hi roohi ke tevar badal gaye .. Uske chere par gusse ke asaar saaf dekhe jaa sakte the... Usne sakht lehje me kaha..
Dekho shalaka ..!!
Tum jo koi bhi ho..? Mujhe usse koi sarokaar nahi..
Tum logo ko meri zaroorat thi mai tumhari qaidi banne ko tayiyar ho gayi... Uske badle mujhse wada kiya gaya tha ke unhe sahi salamat chod diya jaayega.. Isi liye yaha mai unka tazkera karna bhi munasib nahi samajhti..!!
Shalaka ke honto par ek halki si muskurahat raks karne lagi.. Usne roohi ko mayinikhez nazro se dekhte hue kaha..
Suno..!!
Mai tumhare shohar ( pati ) ke baare me nahi balke rehan ke baare me puchna chati hun.. Wo os waqt kaha hai or tum us tak kaise pohanchi...?
Roohi rehan ke is tarha ke tazkere se zara jheenp si gayi.. Or usne apna chera dusri taraf kar liya..
Phir zara der bad boli..
Mai bhi...apne...!!apne..shoihar ke baare me nahi balke unhi ke baare me baat kar rahi hun jinka naam tum baar baar apni gandi zabaan se le rahi ho..!!
Oh acha..!! To baat yaha tak pohanch gayi..!!?
Shalaka ne roohi ki taraf dekhte hue kaha..
Kya tum sachmuch rehan se muhabbat karne lagi ho..? Yaa bas yuhi...!!
Roohi tad se boli... Dekho ladki...!!
Apni zabaan zara sambhal kar baat karo samjhi...? Shezaadi hogi apne ghar me....
Mai ne apne aap ko tum logo ke hawaale kisi majboori me kiya hai.. Meri us majboori ko meri kamzori samajhne ki bhool mat karna..!!
Shalaka muskurakar boli..
Tevar to bilkul meri hi tarha hai tumhare..!! Or ho bhi kyu na..
Aakhir tum khoon to humara hi hona..?
Kk..kya matlab..?
Kya matlab hai tumhara..??
Roohi ne hairat bhare lehje me shalaka se sawaal kiya..
Shalaka ne use jawab diya.. Kya tum jaanti ho..?
Rishte me tum meri behan lagti ho...
Ww.wo kaise.. ?
Roohi ne sawal kiya..
Kyuke tumhari maa qustutuniya mere baba aaghora ki sagi behan thi.. Usne apne qabeele ke khilaaf jakar tumhare baap se shaadi ki thi..
Isi liye us lehaaz se tum meri bua ki betu yaani ke meri behan hui na..!!
Roohi kisi soch me pad gayi..
Kya hua kya soch rahi ho..? Shalaka ne roohi se sawal kiya..!!
Par ammi jaan ne mujhe kabhi is bare me nahi bataya ke unka koi bhai bhi hai..?
Wo tumhe kya kya batati roohi..
Kyuke batane wali koi chiz unke paas thi hi nahi..
Unhone hamesha duniya se or tumse apni asliyat chupaaye rakhi..
Ab jab tum ye jaan chuki ho ke mai tumhari behan hu ..to ab to mujhe ye bata sakti hona ke kya tum rehan se mohabbat karti ho...!!?
Roohi shalaka ke is sawal par sharma si gayi... Hat behaya..besharm kahi ki..!
Aise sawaal koi karta hai kya apni behan se..!!..
Shalaka ke chere par achanak hi udaasi si cha gayi... To kya sach much rehan ne tumse..
Roohi bich me boli..
Are un me itni himmat kaha ke mujhse pyaar ka izhaar tak kar sake.. Mere saamne aate hi to unki ghigghi band jaati hai..
Acha mauka dekh kar mujhe hi kisi din baat karni hogi warna wo kisi kaath ke ullu se kam thodi hi hai..!!
To sachmuch ishq wala masla hai.. Shalaka ne kaha..
Acha agar wo bhi tum se pyar karte ho to tum unke liye kya kya kar sakti ho..?
Roohi ne faislakun lehje me kaha..
Apni Jaan de sakti hun..ya kisi ki jaan le bhi sakti hun..
Isse zyada kisi insaan ke hath me or kuch kaha hota hai shalaka..??
Thik kaha tumne..!! Shalaka ne jawab diya..
Agar tum meri behan ho or tumhare baba bhi mujhse rishta rakhte hai to phir mere saath aisa sulook kyu kiya jaa raha hai shalaka..?
Roohi ne sahalka se sawaal kiya..
Kya apno ke saath aisa wehwaar kiya jata hai kya..?
Shalaka ne kaha..
Mai is mamle me zyada kuch nahi janti roohi..!!
Mai yaha se tumhe azaad karwa deti par baba ne is ghufa ke bahar bada hi sakht pehra rakha hua hai.. Or sabse badi deewar hai wo salazaar..
Kamina kutta kahi ka..
Wo saand ke jaisa rasta roke khada rehta hai hamesha..
Abhi bhi badi mushkil se mujhe tum se milne ki ijazat di hai usne..!!
Roohi kuch soch kar boli..
Par mera yaha aane ka koi masraf ( reason ) samajh nahi aa raha mujhe..
Shalaka ne kaha..
Wo bhi mai jald hi pata laga lungi..
Or tumhe yaha se rehaayi dilwaane ki poori poori koshish karungi..!!
Roohi muskurakar boli.. Shukriya shalaka..
Agar meri koi choti behan hoti to wo bilkul tumhari tarha hoti..
Shukriya roohi..
Shalaka ne sard lehje me kaha.. Or apne dil me sochne lagi..
Kaash ke tum meri raqeeb na hoti roohi..
Tum kya jaano tum jisse muhabbat karti ho use mai bhi apne dil ki gehrayio se chati hun..
Par agar wo tumhe chata hai to mai uski chahat par apni chahat ko bejhijhak qurbaan kar dungi.. Ye mera waada hai tumse..
Phir shalaka utti hui boli.. Acha roohi to mai chalti hun..
Roohi jaldi se uthi or shalaka ki peshaani ( forehead ) ko choom liya..!! Aati rehna shalaka tumse baat karke bohat acha laga mujhe...
Waise khubsoorti ke mamle me tum bhi kuch kam nahi ho..
Agar tum mere saath kabhi shehar chalti or zara se mordern kapde pehan kar niklogi tab dekhna.. Saare ladke tumhare peeche pad jaayege..
Shalaka ne pheeki si muskurahat di.. Or aage bad gayi..
Apne dil me ye kehte hue..
Par un saare ladko me koi bhi rehan nahi jaisa nahi hoga roohi..
Rehan jaisa alag or anokha insaan is duniya me dusra koi nahi ho sakta..
Or tum khush naseeb ho ke khuda ne wo inaam jo har aurat ki khawahish hua karta hai.. Waisa besh qeemti tohfa khuda ne tumhe ata kiya hai..!!
Tumhari qismat par rashk aata hai roohi..!!
Tum meri behan bhi ho or meri raqeeb ( compitior ) bhi...!!
Or shalaka gufa se bahar nikal gayi.. Idhar..
Rehan apni muhim par nikal chuka tha..
Wo dandanate hue aaghora ke shaitaani jungle me ghus pada..
Ibteda me kuch mamooli qism ke weshiyon se uska saamna hua jise usne apni talwaar ki dhaar se khatam kar diya..
Un me se ek wehshi ko rehan ne zinda pakad liya jisne rehan ko ye ittela ( khabar ) di ke aaj rat jab pura chaand niklega or saatho aasmaani taare apne sahi muqaam par aayenge thik usi waqt shaitaan aaghora roohi ki bali de kar amritive ko prapt kar lega or sada ke liye amar ho jayega.
Uski shaitaani taqate itni bad jaayegi ke uske muqable me is rooy-e-zameen par koi na hoga..
Rehan ua wehshi ki aankho me dekh kar bola..
Shaitaan ki taaqate chahe kitni bhi bad jaaye..!!
Khudaayi taqato ke saamne me uski aukaat kisi cheeti se zyada nahi hoti..!!
Itna kehkar rehan ne us us wehshi ke ek zordar thokar maari jiski wajah se wo zamneen se ragad khata hua ek ped se jaa takraya..
Rehan waha se aage bad gaya..
Rehan ki nazre aasmaan ki taraf uthi suraj doob raha tha .. Waqt ret ki tarha haath se pisalta chala jaa raha tha..
Kisi bhi waqt roohi ki jaan jaa sakti thi.. Kya karu kaha jaaou.?
Is waqt rehan kuch bhi sochne samajhne se qasir tha..
....x....x....x....x...x......x...x.....x.....x.....x....x.....x....x....x....x....x....
Ye galat hai baba wo hum se kuch rishta rakhti hai ...
Aaap ki betiyo jaisi hai wo. !!
Kya aap apne matlab ke liye us masoom ka khoon bahaoge..?? Shalaka apne baap ko samjhane lagi...
Aaghora gusse se bola..
Apni had me reh kar baat karo shalaka ...
Sahi or galat ki pehchaan karna mujhe tum se sikhne ki zaroorat nahi.. Or ye mat bhulo ke ham wehshi darindo ki qaum hai..
Insaani khoon bahana humara pesha hai or humari zaroorat bhi.. Iske bina humara zinda rehna na mumkin hai..
Par baba wo humari behan..!!!
Bas..!!
Aaghora ki zoradarr awaz se sari ki sari gufa jhanjhana uthi..
Mai iske aage ek lafz bhi nahi sunna chata..!!
Salazaar se jaake kaho ladki ko kale parbat ke paas le aaye.. Waqt zyada nahi bacha....................... !!
Hume ladki ki bali dene se pehle bohat si rasme bhi poori karni hai..!!
Shalaka yuhi man maar ke waha se chali gayi..
Roohi ko bcahane ki ye uski aakhri koshish bhi nakaam sabit hui..
...x...x.....x....x.....x....x...x....x.... ....x....x....x...x..
Achanak hi rehan ke zehan me ek bat aayi...
Dusre hi lamhe rehan ek bade se ped par badi hi phurti se chadne laga..
Rehan itni maharat or tezi se is ped par chad raha tha ke agar koi dur se use yun dekhta to bethasha use ye gumaan hota ke ped par koi bandar chad raha hai...
Kuch hi palo me rehan is ped ki sabse uchi shaak par kahada tha..
Usne charo taraf nazre daudaayi ...
Raat ho chuki thi charo taraf gehra kala andhera apne pair pasare bhaitha tha.. Is andhere me kuch dekh pana bada hi mushkil kam tha..
Par wo bhi rehan hi tha..
Mushkile to uske buland hosle or mazboor quwat-e-iraadi ke samne apne ghutne teka karti thi...!!
Charo taraf uski nazre kisi shikar talashte hue baaz ki tarha gardish kar rahi thi... Achanak wo chunka...
Door ek pahadi ke daaman me use aag ki roahni nazar aayi.
Use andaza lagate der nahi lagi ke nazar aane wali ye roshni mashalo ki ya to bohat bade kisi alaao ki ho sakti hai.. To goya waha koi taqreeb manayi jaa rahi hai..??
Rehan ne apne ap se sawal kiya..!!
Te to waha pohanch kar hi pata chalega..
Or dusre hi pal rehan ne usi jaanib chalan lagayi jis tarf usne mashalo ki wo roshni dekhi thi..
Rehan ki daudne ki raftar aam imsaano ke maqable kai guna zyada tez thi.. Joki uski anokhi taqato me se ek thi..
Wo kuch hi minito me us jagah ke nazdeek pohanch gaya jaha usne wo roshni dekhi thi.. Rehan aandhi toofan ki tarha daud raha tha ke
Achanak hi uske seene par kisi ne ek zabaedast waar kiya..
Rehan apni hi raftaar ki wajha se moo ke bal zameen par gir pada...!! Maan gaya.
Maan gaya…teri himmat or hosle ko rehan..
Aaj ye salazaar teri himmat or hosle ki daad deta hai..
Teri itni buri halat ki thi maine ..
Phir bhi tu aaj mere saamne zinda khada hai Kis mitti ka bana hai tu..?
Salazaar ek zehrili muskurahat ke saath bola..
par mujhse takraane se pehle mere bare me jaan lete to zyada behtar hota rehan..
Rehan zameen se khade hokar salazaar ke saamne kahada hua..
Meri himmat or hosle ko tune abhi poori tarha se nahi jana hai salazaar..
Mere iraade itne mazboot hai ke tere jaise chote mote shaitaan un iraado ko kabhi jhuka nahi sakta.. Naa hi tu mere hoslo ko past kar sakta hai.
Chalo thik hai..
Salazaar muskurate hue bola…..
us din ki kasar aaj puri kiye dete hai.. wada karta hun tumse ..
badi hi dard naak maut dunga tumhe..
itni dardnaak ke aayinda aane wali sadiyon me koi bhi dusra insaan ya adam zaad mere aaqa aaghora ke saamne sar uthane ki koshish na kare..
itna kehte hi salazaar rehan par jhapat pada..
rehan bhi is hamle se gaafil nahi tha usne turant hi paintra badal kar use apne haatho par rok liya…
dono kisi jangli bhense ki tarha ek dusre se bhid gaye the..
salazaar ne apni shaitaani sahktiyo se rehan ki taqat ko aaj phir se baandne ki koshish ki par aaj naa jaane kyu..? wo uski taqato ko baand nahi paya..
usne mehsoos kiya ke kisi tarha ki bandish ( suraksha kavach ) use apne hisaar me liye hue hai.. jiski wajha se slazaar ki kaali taqate use apne wash me nahi kar paa rahi..
iske ilaawa rehan aaj pehle se kahi zyada josh or taqat ke saath lad raha tha..
or jald hi rehan ne salazaar par ek zabardast waar kiya or use apne uski garden or kamar pakad kar use sar se ooncha utha liya..
salazaar hairat or maare darr ke cheekne laga.. mujhe niche utaar….!!!!
Mujhe niche utaar de rehan!!!!!
Ye …!!ye..teri taqat nahi ho sakti…!!!
Yakeenan aaj tujhe kisi nor hi Shakti ka sanrakshan mila hai .. Tabhi mai tujhe zer nahikar paa raha hun…
Rehan ne use hawa me uthaye hue hi kaha..
Mere aade aane se pehle tujhe bhi mere bare jaan lena chaiye tha slazaar..!! Mai kaun hun??
Mere sar par kin sakhtio ka mamt se bhare hue haath hai..??
Itna kehte hi rehan ne Salazar ko uthate hue zameen par patak diya.. Zameen par girte hi
Salazaar ko yun mehsoos hua jaise kea b wo kabhi dobara zameen se uth hi nahi paayega uske reedh ki haddi mano sunn si pad chui thi,,
Rehan ne foran paas hi padi hui ek chattan napne hatho me uthai or use salazaar ke seene par rakh diya..
Or rehan ne apne honto hi honto me koi wird kiya or pad kar us chattan par phoonk diya,,,
Chattan ka wazan achanak hi dhire dhire badne laga or wo apne hi wazan se salazaar ko lekar dhiree dhiree zameen me dhasne lagi..
Salazaar ne jab ye dekha ke wo zameen me dhans raha hai to wo zoro se cheekhne laga,,,
Nahi…nahi….!!!!
Ye …ye ..tu kya kar raha hai…rehan..?? Ttt..ttt..tu mere saath aisa nahi kar sakta…
Tu mujhe wapas zameen me nahi gaad sakta..
Rehan ne muskuraate hue kaha..
Mai aisa kar sakta hu salazaar .. Or maine aisa hi kiya hai..
Maine jo pad kar is chattan par phoonka hai woe k aisi dua hai jis ki wajha se is chattan ka wazan hamesha badta rahega or is wazan ki neeche tu humesha pista or dabta rahega..
Ye chattan tere seene se koi nahi hata sakta.. Tera wo khabees aaqa aaghora bhi nahi…
Meri muhabbat par haath daal kar tune bohat ghalat kiya salzaar.. Bohat galat kiya tune..
Tere aaqa ne tujhe bohat bure insaan se bhida diya ..
Ab pada reh zindagi bhar isi chattan ke neeche..
Ruk ja rehan..
Salazaar cheekhne laga… Mujhe bacha le rehan,,!!
Mai ta-umar teri ghulaami me rahunga bas mujhe yaha se nikaal de…!!1 Bas mujhe maaf karde..
Rehan ne kaha..
Maafi insaano ko di jaati hai .. Tujh jaise khabeeso ko nahi..
Or rehan itna kehte hue aage bad gaya..
Salazaar cheekhta chillata raha or us chattan samet zameen me sama gaya..
Rehan waha se aage bada or jald hi us jalti hui aag ke alaawe ke paas pohanch gaya..
Rehan ne waha dekha k ek bada sa gol maidaan hai jiske bicho beech bohat saari lakdiyan jama karke jalaai jaa rahi hai..jiski roshni charo taraf phaili hui hai..
Us aag ke bilkul saamne ki taraf ek kaafi unchaayi bohat bada takht laga hua hai jispe kale kapdo me khunkhaar si shaksiyat wiraajmaan thi…
Kale lambe baal jo uske shaano taka a rahe the.
Chauda chakla seena or gehri kaali aankhe jinme wehshat or darindagi saaf jhalak padti thi.. Jabde kaafi mazboot the or patle hont sakht jaan hone ka elaan kar rahe the..
Kul mila wo bohat hi khunkhaar or haibatnaak lag raha tha..
Rehan ko andaaza lagate derr nahi lagi ke ho nah ho yahi shaitaan jadugar aaghora hai… Rehan ne dekha
Aaghora ke takht ke zara kuch door par hi roohi khadi hai ,,
Jiske dono haath uske dono taraf maujood lakdi ke khambo se baandh diye gaye..
Or uske charo taraf wehshi darinde ek gehre bana kar ek ajeeb qism ka jungle raqs kar rahe the…
Roohi dari dari nazro se unhe dekh rahi thi..
rehan ne roohi ke chere ko dekha to use mehsoos hua ke wo bohat sehmi hui hai..
Rehan abhi tak jhadio ke peeche chipa hua tha isi liye use abhi tak koi dekh nahi paya tha.. Rehan ne charo taraf nazre daudaayi uski nazro ko shalaka ki talaash thi
Par use wo kahi bhi nazar nahi aayi..
Shayad use in khooni khelo se koi dilchaspi nahi thi or wo apni aankho ke saamne roohi ko marte hue dekh nahi sakti thi.. Or apne baap ki mukhalifat bhi khul kar nahi kar sakti thi isi liye shayad wo is jashn me shamil nahi hui thi..
Ek boodha sa aadmi jisne safed si dhoti baandhi hui thi or shakal se hi koi jankaar janta lag raha tha .. aaghora ke paas aaya or use dheere dheere kuch kehne laga laga..
oodhe ke wha se hatte hi
Aaghora takhat se utha or usne apni garajdaar awaaz me ailaan kiya,,
Bali chadaane ka waqt aa gaya hai..
Humare shaitaani musheer ka khena hai ke saatho taare apne sahi muqaam par pohanch chuke hai or ye waqt is ladki ko bali chadane ke sab se sahi waqt hai..