Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#19
Roohi is waqt rehan ko badi hi meethi nazro se dekh rahi thi.. Rehan is waqt rat ka khana pakane ke liye lakdiyan kat raha tha..
Wo jab jab lakdi ke khod ko katne ke liye apni wazandaar kulhadi uthata or ek zordaar waar karta uske fauladi bazauo ki machliyan (muscels)
a machalne lagti...
Rehan ka chera paseene se sharabor tha or peshani se behta hua uski seene par behne lagta jiski wajha se wo kuch or zyada uth kar dikhne laga...
Roohi ne jab dekha ke rehan uski taraf mutawajjha nahi ho raha to usne rehan se baat karni shuru ki.. Aap to ye lakdiyan aise kat rahe hai jaise aap is kaam me bohat zyada expert hai ..
Haan thoda bohat to hun..
Rehan bina roohi ki taraf dekhe kehne laga.. Phir bhi aap ye kaam kab se kar rahe hai...................... ?
Bohat chota tha tab se ..!
Is bare me kuch zyada yad nahi aata mujhe ke kab se ye kam kar raha hun..
Acha..!
To aap ne padayi likhayi nahi ki kya..?
Jo aap bachpan se kam karne lag gaye the..? Wo bhi itna mehnat ka kam ..?
Yani ke ye lakdiyan katna itni si umar me aap ke abbu ammi aap ko mana nahi karte the kya..?
Rehan lakdi par ek zordar war karta hua bola.. Kaise karte..?
Apne Abbu ko to maine dekha bhi nahi ..!
Ammi jaan batati thi ke
Mai bohat chota tha tab wo chal base the..
Jab mai thoda bada hua or chalne ya bolne ke qabil hua to bas ammi jaan ka hi sahara raha mujhe..
Wo humare gaon ke gharo me bartan manjha karti thi or jo thode bohat paise mil jaya karte the usi me hum maa bete ka guzar basar ho jaya karta tha...
Roohi ne kaha..
Tab phir aap lakadhaare kaise ban gaye..?
Rehan lakdiyon ko todta hua bola..
Thode din bad ammi jaan ko lakwa maar gaya jiski wajha se unke dono pair sunn ho gaye.. Mai us waqt sirf........................... Saal ka tha ..
Mai ammi jaan ko sahara dekar uthata bithata tha.. Or ek jagah se dusri jagah le jaya karta tha..
Rehan ki dastan sunkar Roohi ka dil bharne laga
Usne bade hi sard lehje me kaha..
Uske baad aap ne kya kiya..?
Zaahir se bat hai ke ab sab kuch aap ko hi sambhalna pada hoga..?
Rehan lakdi katte katte ruk gaya or ek nazar roohi ko dekh kar muskurane laga.. Or apne chere par aaye hue paseene ko apni aasteen se ponchta hua bola ...
Phir.. ?
Maine apni zindagi ke us daur me kaam karna shuru kiya jab mujhe lafz"Kaam" bolna bhi nahi aata tha.. Mai totla tha us waqt totli baate kiya karta tha..
ammi jaan ne ek kabadi wale se kulhadi ka ek chota sa phal khareed ka mujhe diyaa tha.. Yahi mera khilauna tha jo mujhe tohfe me ataa kiya gaya tha..
Kyuke jungle me lakdiyan bohtaat se mayassa thi or muft me mila karti thi isi liye jitni mujhse ho paati mai utha kar le aata or use mandi me bech aata..
Usse jo paise milte un paiso se khane ke liye thoda bohata atta ..chawal or daal khareed liya karta..
Par tum hi socho roohi... ?
Itni si lakdiyon ke badle me aakhir mujhe kitne paise milte..?

Mujhe itne paise milte the jis me sirf ek insaan ke liye khana ka samaan liya ja sakta tha.. Itna kehkar rehan khamoosh ho gaya or wapas apne kaam me lag gaya...
Phir...?
Phir aap kya karte the..? Bataiyena..?
Kya karte the phir aap..?
Roohi betaab ho uthi or is bechaine
Me usne aage janne ke liye bohat hi utawla kar diya...

Phir ..!
Phir mai kya karta roohi..
Rehan lakdiyan katte hue kehne laga..
Mai Ammi jaan se bohat muhabbat karta tha..
Or agar mai unhe ye batata ke ammi aaj sirf ek insaan ke liye hi kahana hai to wo mujhe khila deti or khud bhuki so jati isiliye..
Mai wo khaane ka samaan ammi jaan ke paas le jata or jab wo kahana bana leti or mujhse khane ko kehti to mai unse jhut kehta ke" ammi jaan mai to mandi se hi kha kar aaya hun isi liye sirf aap ke liye hi khane ke samaan laya hun aap kha kar so jayiye"...
Bechari maa.. smajhti ke mai sach bol raha hun or meri jhuti bato me aa jati or khana kha leti..
Jab ammi jaan khana kha leti tab mai unhe sahara dekar unke bistar par sula diya karta ..or jab ye yaqeen ho jata ke wo gehri neend me hai tab mai utha kar ghade se dher sara paani pee leta jiski wajha se bhook ki shiddat se kuch raahat mil jati par bhul ki wajha se pet me dard hota tha to ammi jaan ke duppatte ko kas ke pet se band liya karta tha or unke pairo ke pas hi let jaya karta tha..
,.' ko rehmat hoti or kisi tarha mujhe nind aajati..
Roohi weeran weeran aankho se rehan ko dekhne lagi..
Aaj uske saamne rehan ka saara ka saara bachpan ghum gaya..
Muqaddar ki itni zyadati itni majboori itni gareebi ke ek waqt ka khana bhi naseeb nahi hota..
Or ye kahani sunate waqt rehan ki aankho me na hi koi gham tha na hi chere par koi shikan or aakhir me wo muskura bhi raha tha jaise uska bachapan kisi shaahi andaaz me rooyi ke gaddo par gulaati khate hue guzra ho..
Aap. !
Aap ne apni zindgi me muqaddar ki itni zyadati bardasht ki uske bawajood aap muskura rahe hai..? Aap ka dil rota nahi..?
Takleef nahi hoti kya aap ko..?
Rehan muskurakar bola..
Aaj mai zindagi ke us muqaam par khada hun roohi jahan na insaan ko kisi khushi ka ehsaas hota hai or na hi kisi gham se koi takleef..
Insaan ki zindagi me ek waqr aisa aata hai jab wo har khushi ya gham se be-hiss ho jata hai.. Or kya kahu..
Ye mera muqaddar hi tehra..
Katib-e-taqdeer ne jo mere muqaddar me likh diya hai wo to mujh bhugatna hai.
Phir mai kisi achi bat khush hokar kya karu jab mujhe pata hai ke aage jakar ye khushi kisi na kisi gham me badalne wali hai..
Roohi apne sar pakad kar boli.. ,.' miya..
Aap ki baate to aadhe se zyada sar ke upar se jaati hai .. Kabhi lagta hai ke aap bohat bade bewakoof hai..
Or kabhi aap itni badi badi baate aise mamooli andaaz me keh jaate hai jaise ke wo koi baat hi na ho.. Aap ko smajahna bada hi complicated hai..
Rehan muskurakar bola..
Mujhe smajahne se behtar ye hai ke tum apne bare me socho or yaha se bahar nikalne ki koi tarkeeb nikalo.. Tum to yaha aise bas gayi ho jaise yaha is jungle me puri zindagi bitane ka irada ho tumhara..
Roohi chid kar boli.. Kyu..?
Mujhe yaha se bahgana chate ha aap..? Rehan jaldi se bola..
Are nahi..nahi...!
Aisa to koi iraada nahi hai..raho araam se yaha mai to bas yuhi keh raha tha.. Mere dil me aisi koi bat nahi thi..
Roohi muskurakar boli..
To phir kaisi baat thi aap ke dil me.. Zara hume bhi to batayie..
Rehan roohi ke is achanak se rawaiyye par gadbada sa gaya.. Kkkk.kk..ku.kuch nahi..kuch nahi.
Ab mujhe mera kaam karne do..
Roohi jaldi se chid kar boli..
Bachpan se kaam hi to karte hue aaye hai aap... Kabhi thoda araam bhi kar liya kijiye..
Rehan ne lakdi katte hue kaha..
Are hum jaiso ki qismat me araam kaha Roohi tabassum ji.. Hum tehre mazdoor aadmi..
Jab tak mehnat nahi karte ..
Halak se niwala niche nahi utarta..
Tanz ( mazak karna-hasi udana) kafi acha kar lete hai aap.. Roohi ne muskurakar kaha..
Jis insaan par zindagi har roz tanz kiya karti ho use kam se kam thoda bohat tanz karna to aana hi chahiye.. Rehan ne sard lehje me kaha..
Ofhoo...!
Aap to bas har waqt wahi bate le kar bhaith jate hai..! Kya aap ko kabhi kisi ne chaha hai..?
Pata nahi...
ammi jaan ki aankho me apne liye mohabbat dekhi thi..
Uske baad kuch log or mile jinhone do pal mohbbat ki baate ki par wo baate mujhe yaad nahi..
Roohi kuch sochti hui boli...
Aap ka apna is duniya me koi nahi hai kya..?
Rehan ne kuch der bad kaha.. Aisa bhi nahi hai ..
Ek maa hai meri..
Jo bachpan se mere saath hai..
Kya kaha..?
Roohi ne hairat se kaha..
Aap ne to kaha tha ke aap ke ammi guzar chuke hai phir aap ki dusri maa kaha se ho sakti hai ..? Kahi aap ke abbu ne...!
Rehan muskurakar kar bich me hi bola.. Zyada hairaan hone ki zaroorat nahi hai..
Manta hun humare mazhab me hume 4 shadiyan karne ki ijazat hai par mere abbu jaan ne sirf ek hi shaadi ki thi wo bhi meri ammi jaan se or mai un ki akeli aulaad hun..
Roohi jhinjhala kar boli..
Phir aap ne ye kyu kaha ke aap ki ek maa aur hai...?..
Haan maine kaha hai ke meri ek maa or hai.. Wo mujhe bachpan me mili thi..
Kafi madad ki thi meri.. Bada sahara tha unse..
Maine un se unka naam bhi pucha tha.. Unhone kaha tha unka naam devi hai..
Sachmuch meri adhuri si zindagi me wo devi hi bankar aayi thi.. Mujhe sambhalne ..
Unka or mera kya rishta hai ye mai aaj tak nahi jaan paya.. Par wo mujhe apna beta manti hai..
Or mai bhi unhe apni maa manta hun.. Isi liye wo meri dusri maa hai..
Unhone mujhe wachan diya hai ke jab bhi mai unka awaahan karunga .. Wo mere liye aayengi...
Roohi ne hairat se kaha..
Aap ne aisa kya kiya tha jo aisi taqate aap par itni meharbaan ho gayi...?
Or kya aap ne kabhi unka awaahan karke unhe bulaya hai apni madad ke liye..?
Rehan kati hui lakdiyon ko sametne laga or unka ek ghatta banata hua bola.. Mujhe phir kabhi unki zaroorat hi nahi padi..
Maine kabhi unhe bulaane ki koshish bhi nahi ki kyuke unke apne bhi bohat se kaam hote honge.. Har waqt wo kisi ke bulane par pohanch jaye aisa bhi to mumkin nahi na..?
Or mai aaj tak ye nahi jaan paaya ke mujhme aisi kaun si baat hai jo baar baar mera takrao ya mera milan aisi taqato se ho jata hai jinse milne ya jinhe haasil karne ke liye log apni saari zindagi laga dete hai..
Hmmm..
To yeh baat hai..
Isi liye mai bhi aap ke khaate me likhi gayi hun haina..? Roohi apna garv se boli..
Kyu...?
Rehan hasta hua bola..
Tum me aisi kya baat hai jo tumhe paane ke liye koi apne saari zindagi laga de..?
Kyu nahi..?
Roohi apna seena chauda karti hui boli.. Aakhir mai apni tarha ki iklauti hun..
Or har kisi ke muqaddar kaha ke mujh se kareeb hoke baat bhi kar sake... Par aap ka muqaddar wakai buland hai jo mai aap ke sath hun..
Rehan apni hasi rokta hua bola.. Beshak..beshak..
Aap jaisi haseen or khubsurat insaani chudail har kisi ke muqaddar me kaha..?
Kya kaha..?
Rehan ki aisi bat sunkar..
Roohi gusse se laal peeli ho gayi..
Aap khud ko samajhte kya hai..? Chudail dikhti hun mai aap ko..?..
Itna kehkar roohi ne gusse me aakar paas hi pade lakdi ke kunde ko ( jo ke kareeb 40-50 kg se kisi tarha bhi kam na hoga ) ek thokar maari wo lakdi ka bada sa kunda roohi ki ek thokar marte hi hawa me kisi halke se ball ki tarha uchal kar bohat door ja gira..
Bilkul aisa laga ke kisi football player ne kisi halke se fotball ko half pitch se kick mari ho.. Roohi ki aankhe maare gusse ke laal ho gayi..
Sar ke bal bhi achanak khul kar hawa me lehraane lage.. Goya ke roohi ka pura ka pura roop hi badal gaya..
Ab wo badalo me kadakne waali kisi bijli se kisi tarha kam nahi lag rahi thi..
Rehan jaise mazboot dil ka aadmi bhi roohi jaisi mamooli ladki ki ye gair mamooli taqat Or is Raudra roop ko dekh kar dang reh gaya..
Ab boliye kya ab bhi mai aap ko chudail nazar aati hun..?
Rehan hadbada kar bola..
Nahi..nahi..roohi mera wo matlab tha.. Tum to kham-o-kha naraaz ho rahi ho...
Pehle tum meharbaani karke apne aap ko or apne gusse ko shaant karo warna aise mahaul me hum baat nahi kar payenge..
Roohi gusse se chinchinayi.. Nahi hona mujhe shaant...
Pehle aap batayiye ke kya ab bhi mai aap ko chudail nazar aa rahi hun..? Aap mujhe samajhte kya hai rehan..
Qustuntuniya ki beti hun mai..
Apni nigaho ki bijliyan jis par gira dun wo wahi jal kar raakh ho jaye .. Namuna dekhna chahenge aap..?
Itna kehkar roohi ne rehan ke us lakdi ke ghatte ko ghur kar dekha jo usne abhi abhi bandha tha...
Rehan kyuke us lakdi ke ghatte ke kafi kareeb tha kyuke abhi wo unhe band hi raha tha isi liye usne ek badi hi shiddat se garmi ka ehsaas hua .
Or achanak lakdi ka wo ghatta dhu-dhu kar jalne laga...
Rehan ke hath us lakdi ke ghatte me the kyuke abhi wo use bandh hi raha tha..
Usne jaldi se un lakdiyon se apne hath khinche par uske hath rassi me ulajh se gaye or aag ki ek lapat ne uske hatho ko lapet liya..
Rehan ne jab apne hath jalti hui un lakdiyon se Bahar nikale tab un me aag lag gayi thi rehan jaldi se apne jalte hue hatho ko paas hi rakhi paani ki naan me doobo diye...
Roohi ne jab dekha ke uske gusse ki aag ne rehan ke hatho jala diya hai.. Tab use hosh aaya..
Rehaan..!
Wo daudti hui uske kareeb pohanchi.. Rehan ne apne hath paani se bahar nikale.. Panjo ki chamdi ki upari parat jal chuki thi..
Mujhe batayie..!
roohi jaise hi rehan ke haatho ko dekhne ke liye niche jhuke rehan ne waise hi apne hath piche khinche or roohi ke balo ko kas kar pakad liye..
Rehan ne foran hi roohi ke baalo ko ek patle se dhage se band diya.. Or use dhakel kar zameen par bhitha diya...
Roohi ab kuch shaant nazar aa rahi thi.. Kyuke rehan ne uske bal band diye tha ..
Warna uska qaboo me aana takreeban namumkin hi tha..
Rehan apne jale hue hato ko dekhne laga.. Roohi ne ab zara hosh se kaam liya..
Mujhe maaf kar dijiye rehan..
Gusse me mai apna aapa kho deti hun..
Gusse me mujhe kuch samjajh nahi aata ke mai kya kar rahi hun..
Rehan ne sard lehje me kaha..
Koi bat nahi roohi mai samajh sakta hun..
Roohi aage badi or rehan ke hatho ko apne haatho me lekar boli.. Aap kuch nahi samajh sakte rehan..
Maine aap hath jala daale..
Aap ko mujhpar gussa nahi aa raha kya..?
Aap bhi mujhe koi saza dijiye warna mujhe chain nahi aayega mai apne aap ko kosti rahungi...
Rehan ne muskurakar kaha..
Kisi ki Galtiyan Maaf kar dene se insaan badappan ke us mukaam ko pohanch jata hai jaha har koi uska ehteraam karne lagte hai..
Maine bhi tumhe maaf kar diya hai roohi..
Tum ne jan bhuj kar kuch nahi kiya isi liye maafi ki haqdaar ho..
Par mai aap jitni azeem ( mahaan ) nahi hun..
Aap mere liye koi saza tajweez kijiye warna mai khud apne aap ko saza dungi or wo aap nlki saza se zayada sakht hogi mere liye..
Rehan ne sochte hue kaha.. Agar aisi hi baat hai to suno..
Mere hatho par marham laga do.. Yahi tumhari saza hai...
Roohi ki aankho me aansu agaye..
Aap ...aap...aap kabhi nahi sudhar sakte rehan...
Duniya ko itne ache logo ki zaroorat nahi hai jaise aap hai.. Aap anokhe hai rehan...
Is me koi do raaye nahi ke khuda ne aap ke seene me aisa khushnuma dil diya hai jiski misaal dhundne se nahi milti...
Rehan muskurakar bola..
Bas..bas...zyada maska marne ki zaroorat nahi hai .. Saza di hai use pura karo...
Phir roohi rehan ko andar le gayi or uske zakhmo par marham lagane lagi..
Marham lagate waqt rehan ke mooh se to nahi balki roohi ke mooh se zyada awaaze nikal ... Ssssiiii..,.' miya..aap ke hath to upar se pure jal gaye hai..
Jalan ho rahi hai kya..?
Agar jalega to bataiga aaan..?
Rehan bezaar hokar bola.. Bad karo yaar...
Ab mai itna bhi kamzor nahi hun ke zara se jalne katne par aurto ki yarha ..aah..ooo..or oyi maa..karta raha rahu.. Nahi ho rahi jalan ab marham laga bhi chuko kisi surat me..
Roohi chid kar boli..
Haan to laga rahi hun na..
Isme chidchid karne ki kya zaroorat hai..?
Agar aap mujhe gussa nahi dilate to aisa kabhi nahi hota samjhe aap..?
Par tum gusse me itna kyu badal jaati ho..?
Tumhari sari ki sari shaksiyat hi badal kar reh jati hai..
Roohi bura sa moo bana kar boli..
Wo mera aisa roop hai jisse mai sab se zyada nafrat karti hun..
Or us roop me mere hatho bohat si tabahi ho jati hai jiska mujhe baad me bohat afsos hota hai..
Hmmm...
Yani ke agar gusse aaye to tum lakdi ke us kunde ki jagah mujhe bhi thokaro me uda sakti ho...? Rehan muskurakar bola...
Aisi bat nahi hai... Roohi itlaayi..
Mai ye janti hun ke taqat ke mamle me mai aap ke pairo ki dhul bhi nahi hun...
Lekin ye bat bhi hai ke mai kabhi bhi kisi bhi halat par aap par hath nahi utha sakti...
Or aisa kyu hai..? Rehan ne pucha..
Kyuke mai dil se aap ki izzat karti hun.. Roohi ne kaha..
Aahh....
Rehan ke honto se ek dard bhari aah nikal gayi..
Kya hua..kya hua..?
Hatho meTakleef ho rahi hai kya..?
Rehan ne kaha..
Takleef to ho rahi hai par hatho me nahi pith( back) me...
Kyu..?
Kya hua aap ki pith ko..
Shayad lakdiyan katte waqt koi rag khincha si gayi hai isi liye dukh raha hai..
Roohi kuch sochti hui boli..

Acha aap ek kaam kijiye pet ke bal let jayiye mai aap ki pith par khadi ho jati hun or pairo ke wazan se aap ki pitb daba deti hun..
Kya..?
Kya kuch bhi bol rahi ho roohi..?
Rrr.rr.rehne do mujhe nahi dabwani tumse apni pith weeth..
Roohi sharma kar boli.. Aap galat samjh rahe hai..
Bachpan me mai apne abbu ki gardan or pith aise hi to dabaya karti thi jab wo sham ko thak haar ke ghar aate the tab mai rat me unki pith dabaya karti thi..
Iske badle wo mujhe roz 5 rupey dete the..
Tab tum bacchi rahi hogi roohi.. Ab tum jawaan ho chuki ho..
Tab me or ab me bohat fark hai..
Koi fark nahi aap apni kameez utar kar leto mai abhi aap ki pith kar dard thik kar deti hun.. Zidd ki pakki roohi ne na na kehte hue rehan ki kameez utarwa hi di..
Bechara sando baniyan par roohi ke saamne sharma sa gaya..
Bohat behuda ho tum roohi.. Rehan bechara sharmata hua bola..
Isme koi behudapan nahi hai samjhe aap..? Chaliye ab aap pet ke bal let jayiye ..
Rehan bechara marta kya na karta.. Let gaya bhaiya pet ke bal khatiya par..
Or jab roohi uski peeth ( back ) par chadi to puchiye mat..
Ya ,.' reham kar mujh gareeb par.. Rehan ke muh se beikhteyar nikal pada...
Kya hua ..?
Dard kam hua kya..
Roohi gardan se kamar tak pairo se dabati hui boli...
Rehan jaldi se bola.. Nahi or bad gaya hai..
Bohat bhaari ho tum tumhara wazan kitna hai roohi..?
Roohi sharmaati hui boli..
Mera wazan..? Phoolo jitna..
Mai to phool ki tarha halki hun..
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:04 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)