Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#17
Aaj ruhi se kuch aisi bate ho gayi thi jiski wajha se uske purane zakhm phir se taza ho gaye the
maazi (past) ke khayalato ke mano dhamake se ho rahe the uske zehan me..
Uski ab tak ki zindagi uski aankho ke saamne mano ek khuli kitaab ki tarha safha dar safha use nazar aane lagi.. Is kitaab ka sab se behtareen hissa tha..
Neha.. !
Usne apne dil me kaha..
Neha..!
Ek aisi ladki jisne use muhabbat karni sikhayi..
Neha..!
Ek aisi ladki jiske liye wo sari duniya se tanha lad sakta tha..
Neha..!
Jisse wo apni sacchi muhabbat ka iqrar kar chuka tha..
Neha..!
Jo is bhari duniya me kabhi use tanha mehsoos nahi hone deti thi..
Neha..!
Jiske liye wo saans leta tha..
Neha..!
Jiske liye uska dil dhadakta tha..

Par iske badle use kya mila..
Bewafayi..dhoka or muhabbat ki is jung me ek karaari haar.. Usne socha tha ke..
Uske baad usne is duniyadari se kinaara kashi iskhteyaar karli or junglo me aakar rehna laga..
Ab wo in saare jazbato se aari ho chuka tha..
Ab naa hi use khushi ka koi ehsaas tha naa hi gham se koi takleef..
Phir kuch dino pehle hi ruhi se mulaqat hui .. Wo kissa bhi ajeeb tha..
Wo sochne laga..
aam taur par aise halaat to kisi hindi feature film me hone chahiye jis me wo kisi ladki ko bachata hai.. Par yaha mamla zara alag tha . .
Rehan sochta raha or use apne aap par hasi aane lagi..
Usne apne dil me kaha..
Aisa lagta hai ke ab mai jald hi kisi kahani ka koi kirdaar ban kar reh jaounga..
Or koi mussanif(writer) meri in takleefo ko bade hi maze le le kar apni qalam se safed safho par qalamband kar lega..
Oho...mai bhi kya bekar ke baate lekar bhaith gaya..
Ye mussaniff (writers) to hote hi hai nakaara or bewakoof..
Koi kaam ke nahi hote isi liye to table kursi par bhaith kar bas likha karte hai or iske ilaawa inhe aata bhi kya hoga.. Nikamme nakaara kahi ke ...
Wo inhi alfazo ke sath sath tamam mussaniff biradri ki shaan me kaseede padta raha..
Zara der me khayalt ka silsila bhatak kar phir neha ki taraf chala gaya..
Wo phir se unhi khayalo me doob gaya..
Neha ne aakhir mujhe kyu thukra diya..? Wo sochne laga..

ye acahanak neha ko kya ho gaya tha jo usne mujhse aisa bartao kiya..
Wo yahi sab sochta raha or is soch ki wajha se uski takleef or zyada badti gayi...
Rehan..!
Achanak uske pusht ( piche ) se ek awaaz aayi..
Is awaaz se rehan chaunka or khayalt ki duniya se wapas asal duniya me agaya.. Awaaz kuch jaani pehchaani thi..
Usne palat ksr dekha ..
Rehan ki aankhe hairat se phati ki phati reh gayi...
Ye...ye..
Ye to neha hai..
Usne jaldi se kaha.. Tt...tt.tum..?
Tum yaha kya kar rahi ho..?
Neha aage badi or bade hi dilaawez andaz me muskurati hui boli.. Yahi sawaal mai aap se bhi kar sakti hun ..?
Aap yaha tanha is ghane jungle me kya kar rahe hai rehan..?
Ab Mai yahi rehta hun..
Pas hi meri ek jhopdi bhi hai..
Par tumhara yu tanha is ghane jungle me is tarha aana .. Baat kuch samajh nahi aayi neha..?
Usne sawaliya nigaho se neha ki taraf dekhte hue sawal kiya..
Mai bas aap ko dhundti hui yaha chali aayi rehan..
Aap ki muhabbat ne mujhe itna bechain kar diya tha ke aap ke liya mai apna sab kuch chod kar in jungalo me chali aayi.. Kya aap mujhe apnayenge rehan..?
Mai aap ke bina nahi reh sakti rehan.. Neha ki aankho me aansu aagaye..
Aa.aap kuch bolte kyi nahi ab mai aagayi hun to aap mujhe apnayenge na..? Boliye ..kuch bolte kyu nahi aap..?
Boliye na..?

Neha ke aansoo dekh kar rehan ka dil paseej gaya..
Oh..neha kya tum sach keh rahi ho..?
Sach kahu to Mujhe yakeen nahi aa raha ke ye sapna hai ya haqeeqat. ?
Neha aage bad kar rehan de lipat padi..
Or rehan ne bhi use badi hi muhabbat bhare andaaz me apne seene se laga..
Oh..rehan me sach keh rahi hun..
Mai sach me aap se beintehaa muhabbat karti hun.. Or ye sab sapna nahi balki ek jeeti jaagti haqeeqat hai..
Rehan bohat khush tha aaj uski aaghosh me uski sacchi muhabbat neha thi.. Wo bade hi pyaar se uske reshmi me zulfo me apne haath phira raha tha.. Or neha uske seene se chipki usme sama jaana chati thi..
Rehan ko apni gardan par neha ke garm saanso ka ehsaas ho raha tha jo bada hi lateef or masto bhara tha..
Par achanak hi ye ehsaas shadeed takleef me badal gaya..
Rehan ko yu mehsoos hua jaise uski gardan me garm faulaad ke chote chote tukde gaad diye gaye ho or wo dhire dhire andar ki taraf or zyada dhaste chale jaa rahe ho...
Takleef ki shiddat kuch is tarha bad gayi ke usne neha ke bal pakad kar usko apne alah karne ki koshih ki par wo kisi jonk ki tarha usse chimti rahi.
Rehan ko aisi zabardast takleef ka ehasaas hone laga..
Mano koi tezaab ki boonde qatra qatra uski gardan ke un suraakho se andar dhalka raha ho..
Dard or takleef ki shiddat se wo chikh utha or usne foran hi neha ke baalo ko puri qu'wat( takat) se pakad kar piche ki taraf ek zoradar jhatka diya..

Is jhatke ke sath neha rehan se alag ho kar dur ja giri..
Par ye kya..? Ye..ye..
To neha nahi thi..
Ye to koi or hi bala thi..
Kiske honto par rehan ka khoon laga hua tha or jo bade wehshiyana andaaz me muskura rahi thi.. Muskurate waqt uske honto se anar ki taraf iske daant bhi nazar aa rahe the or khoon se tar the..
Ye khoon rehan ka tha..
Usne dhoke se rehan ki gardan par waar kiya tha..
Rehan apni gardan tatolne laga..
Uske gardan par daaye jaanib daanto se kaatne ke chaar gehre gehre nishaan the jinse abhi tak khoon ris raha tha..
Rehan ne gusse se us bala ki taraf dekha .. Or sakht lehje me sawaal kiya..
Kaun hai tu..,?
Or yaha kyu aayi thi..?
Ladki bade hi wehshiyaana anadaaz me muskuraayi thi.. Mai..?
Mai NANOTA hun nanota..
Shaitaan aaghora ki sabse badi beti..
Maine qasam khaayi thi ke mai tera khoon zaroor piyungi or tujhe jaan se maar dalungi.. Or dekh maine tera khoon pi liya or apni aadhi qasam puri karli..
Ab bas soch rahi hun ke tujhe jaan se kaise maaru..?
Rehan muskurate hue bola.. Acha to aap NANOTA hai..
Yaani rishte me aap shalaka ki baji (didi) hui..
Dekhiye nanota baaji kisi bechare insan ko yun roop badal kar chalna or uske jazbaato se khelna achi bat nahi..
Agar aap shalaka ki behan na hoti to mai aap ka wo haal karta ke aayinda aap kabhi apna roop badalne ke baare me sochti tak nahi..
Chupkar badzaad insaan ..
Tu hume apni gandi zabaan se baaji bula raha hai..
Mai apne buzurgo ka humesha se hi bada ehteraam (respect) karta hun nanota baaji.. Rehan ne chedne wale andaz me kaha..
aap ko sharm nahi aayi is tarha meri mehbooba ban kar mere gale lag gayi aap..?
Khamoosh badzaad kahi ke.
Nanota aape se bahar ho gayi..
Teri himmat kaise hui humara naam lene ki abhi batati hu.. Tera sar dhad se alag na kardiya to kehna..
Or nanota aage badi..
Rehan ke haath foran fiza me buland hue or usne apni ek ungli ko gol akaar me ghumaya.. Foran hi nanota ke charo taraf paani ka ek bohat bada bulbula ban gaya..
Or nanota usme kaid ho gayi..
Rehan ne apni ungli ko upar ki taraf harkat di to nanoto us bulbule samet hawa me buland ho gayi..
Nanota ne bohat hath pair mare par wo us bulbule se bahar nahi aa payi..
Thik hai rehan...
Tune mujh kaid to kar liya..
Par us zehar ka koi tod nahi jo thodi der pehle maine tere jism me daal diya hai.. Tu bohat jald hi us zehar ke asar se tadap tadap kar mar jayega..
Yaad rakhna meri ye bat..
Acha ..acha..yad rakhunga ..
Ab aap baraye meharbaani yaha se tashreef le jayiye..
Or rehan ne apni ungli ko ek or zordaard jhatka diya..
Or paani ka wo bulbula hawa me buland ho kar tezi se udta hua jungle ki unhi pahadio ke taraf is tarah jaane laga jaise ke koi wallybaal ho jise badi hi zor se hit kiya gaya ho...
Nonota gayab ho chuki thi..
Uske jaate hi rehan tadap kar zameen par gir pada ..
Shayad nanota ke zehar ne apna asar dikhana shuru kar diya tha..
Jism me Dard kuch is qadar bad gaya ke chalna bhi dubhar hua ja raha tha..
Rehan kaise bhi kisi tarha rengte hue apni jhopdi tak pohancha..
Roohi..!
Roohi..!
Usne kapkapate hue honto se roohi ko pukara..
Roohi shayad andar koi kaam kar rahi thi..
Rehan ki awaaz sun kar wo foran daudi chali aayi ..
Kya hua..?
Unse aate hi pucha..
Roohi ne dekha ke rehan saamne wale ped ko kisi tarha pakde khade rehne ki koshish kar raha hai.. Par us ke paon dagmaga rahe hai..
Usne dekha le rehan ka chera dard or takleef ki shiddat se laal ho chuka hai aankhe weeran weeran si nazar aa rahi thi.. Or gardan se gada gada khoon beh kar uski kameez ke upari hisse ko laal rang me dooboye de raha tha..
Roohi ne jab rehan ki ye halat dekhi to wo darr ke mare kaanp si gayi..
Rehan se ab khade nahi raha jaa raha tha usne apne ghutne tek diye or wahi bhaith gaya..
Roohi daud kar aage badi or usne rehan ko dono baazu mazbooti se pakad liye or use jhanjhodti hui boli.. Ye..ye kya ho gaya hai aap ko..?
Ye..ye aap ki gardan se itna khoon kyu beh raha hai..? Kisi janwar ne hamla to nahi kiya ap par .?
Rehan dard se kapkapati hui awaaz me bola..
Mmm..mujhme khade rehne ki takat nahi bachi hai roohi .. Mm.mujhe sahara dekar andar le chalo..
Roohi ne kisi tarha rehan ko khade kiya or apne kaandhe par uska daaya bazu rakh kar use shara dete hue narm lehje me boli..
Aap apna wazan mujhpar daal dijiye.. Mai aap ko shahar deti hun..
Or wo rehan ko sahara deti hui jhopdi ke andar le aayi or khatiya par lita diya..
Roohi ne sab se pehle rehan ke khichad se latpat joote nikale uske baad wo uski kameez ke button kholne lagi .. Kisi tarha kameez rehan ke jism se alag ki..
Or uski gardan ko gaur se dekhne lagi..
Khoon kafi miqdaar me beh chuka tha or rehan hosh or behoshi ke bich ki duniya me ghoom raha tha uski aankhe band hoti to kabhi khulne lagti..
Rehan ki aisi halat dekh kar roohi ki aankho se beikhteyaar aansoo nikal aaye.. Wo zaar-o-qatar rone lagi..
Or rote rote usne rehan se kaha..
Khudaara kuch to batayiye aap ko hua kya hai..? Mai...mai..kya karu aap ke liye..?
Ye..ye zakham to bohot gehra maloom padta hai.. ,.' miya..,!
Muft me itna khoon zaaya ho raha hai. Mai kya karoo mere khuda..
Mai kaise inki jaan bachaoo..
Kuch boliye na rehan mai kya karoo..
Roohi ne apne larazte hue honto se rote hua kaha..
Rehan ne apni aankhe kholi or kapkapati hui awaaz me bola.. Mm...Mujhe.. zehar diya gaya...hai...roohi..
Shayad..uska ...asar...ho...chuka..hai..
Zehar..mere..pure jism...me..phail..chuka..hai...ab...m...shayad...mai..nahi..bach...pp..pp paunga..mujhe..afsos...hai..ke mai..tumahre liye...kuch..na..kar...kkk..kar..saka..roohi..mujhe..maaf.kardo..
Roohi rote hue boli..
Aap..ko khuda ka wasta hai rehan aap aisi baate mat kijiye.. Aap ko kuch nahi hoga..
,.' se nek umeede rakhiye aap zinda rahenge aap ko jeena hoga.. Aap ko kuch nahi hoga..
Mai kehti aap ko kuch nahi ho sakta.. Roohi takreeban chikhti hui boli..
Dard ke is shadeed ehsas me bhi
Rehan ke honto par ek halki si muskurahat tair gayi ... Or uske baad rehan behosh ho gaya..
Roohi dewaano ki tarha kabhi rehan ka chera dekhti or kabhi gardan par maujood uska wo zakham jisse musalsal khoon ris raha tha...
Kya kiya jaaye..? Ab kya kiya jaaye..
Roohi ka zehan musalsal yahi soche ja raha tha..
Roohi ek geele kapde se rehan ka zakham saaf karne lagi..
Dheyan se dekhne par use pata chala ke zakham kisi ke daanto ke katne se bana hai.. Achanak uske zehan me ek khayal bijli ki tarha kunda..
To kya inhe bhi un wehshio ne zakhmi kiya ha jinse roohi khud bachti hui yaha tak pohanchi thi..?
Ho na ho ..?
Yahi bat ho sakti hai..
Phir ab tak to ye zehar to inki rago me daudne laga hoga..? Roohi apne dil me sochne lagi..
Inhe bachane ka ek hi rasta hai.. Par me aisa nahi kar sakti..?
Kya karu mere khuda mere kuch samajh nahi aa raha..? Wo takreeban apne bal nochte hue boli..
Maine abbu se wada kiya tha ke mai apni asliyat kabhi kisi par zahir nahi karungi..
Par aaj mere saamne wo insaan zindagi se door jaa raha hai jo mera mohsin hai jisne jaan bacahyi hai meri.. Kya mai ise apni aankho ke saamne zehar ki is takleef se tadap tadap kar mar jaane dun..?
Nahi..nahi..nahi..
Mai itni badi kutiya nahi hun jo ehsaan ka badla ehsaan se na utaar saku..
Mai inhe zaroor bachane ki koshis karungi chahe is kaam me meri jaan hi kyu na chali jaaye..
Roohi faisla le chuki thi..
Usne paas hi padi ek kaali chadar uthayi
Or use apne kando se dono taraf lapet kar khatiya par agayi jis par rehan leta tha..
Dono ghutne rehan ke pet ke daye baye rakh kar rehan ke upar chad gayi or u apne dono bazuo ko hawa me uthaya or chadar ko phailate hue rehan ke upar dhire dhire jhukne lagi..
Achanak hi roohi ki aankho ka rang kale se badal kar gehra neela ho gaya yaha tak ke aankho ki safed putlio ka rang bhi badal kar gehre neele rang me tabdeel ho gaya ..
Ab roohi ne apne dono hath rehan ke seene par rakhe phir ek hath utha kar rehan ke chere ko apni taraf kiya or use badi hi meethi nigaho dekhne lagi..
Na jane kyu rehan ke chere ko dekhete hi wo muskurane lagi..
Is pur'azmat or paakiza chere ke maalik ko roohi ka aakhri salaam..
Ho sakta hai is amal ( kriya ) ke baad meri rooh mere jism ka saath chod de ..!
Ya agar mai bach bhi jaoun to meri asliyat maloom hone par tum mujhe thukra do..! Par yakeen mano maine aisa jaan bujh kar nahi kiya ..
Maine aisa jaan bujh kar nahi kiya rehan..
Kaash..! Mai kabhi tumhare bare me kuch jaan sakti rehan..!
Zindagi me pehla esa mard mila jo kuch na ho kar bhi mera sab kuch ban bhaitha.
Itna kehte hue roohi rehan ki gardan par jhuki uski garm saanse rehan ke gardan se takra rahi thi..

Achanak roohi ke thartharate hue hont khulne lage or uske moti ki ladiyo jaise safed or khubsurat se danto me se daye baye janib ke do nokile danto ki lambayi khud ba khud badne lagi ..Roohi ne foran hi apne wo do nokile daant rehan ke us zakham me gada diye..or ulti saanse khinch kar rehan ke jism me maujood zehar khinch kar khud apne halak se neeche utarne lagi..
Kam se kam 10 mint tak wo kisi jonk ki tarha rehan ki gardan se chipki padi rahi..
Aakhir usne apne hont rehan ki gardan se alag kiye ...
Us ke hont gehre neele pad chuke the or chera bhi bejaan or murjhaya hua sa ho chuka tha.. Aankhe weeran weeran si jinme zindagi ki koi bhi ramak maujood na thi..
Maine ap..apni muhabbat ka farz ...ada...kar diya rehan.. Ab aage aap ...Jo.bhi faisla karenge mujhe..manzoor hogs
..
Roohi itna kehte hue rehan ke upar hi behos ho gayi..
Janisari ka ye andaz apne asp me boh at nirala that par shayad Hi koi use samajh PAYE..
Ye think ek muhabbat kind inteha... Rehan ki rooh use zameen-o-aasman Ke bich jhoomti hui si mehsoos hone Lagi thi use yun mehsoos hua ke uska
Rooh kisi halke or lateef se ehsaas ke amajgaah si Ban kar reh gayi hai..

Use farishto ke safed se paro ki thandi chao Mehsoos hone lagi or uska dil azmate
Rab ke geet gane laga..
Usne socha ke shayad ab jakar dukh or Takleef se bhari is zinadagi se use nijat mil Jayegi..
Yahi khayalat ke chalte use apne jism par ek halke narm-o-nazuk se bojh ka ehsaas hua..
Bojh..?
Kisi bojh ya takleef ka ehsaas to jism Par hua karta hai rooh par nahi..
Phir ye kaisa dard or kaisa ehsaas ..
Isi ke chalte achanak usne apni aankhe kholi..
Ek bhini bhini si khusbudar mehak uske nathno se Takrayi..
or ek narm or gudaz se bojh ka use pata chala ye kisi makhmali jism ki malkin ka bojh tha uske Jism par..
Or ye koi or nahi roohi thi jo bade hi aram se rehan ke jism se chimti padi hui thi..
Rehan ko is bat par hairat hui ke bhala roohi is halat me uske bistar par kya kar rahi hai..? Or phir use zara der pehle ke sare halat apni aankho ke samne nazar aane lage..
Ke kis tarha se wo zehar ki shiddat se tadapta hua yaha tak pohancha tha..
Usne apni gardan ko tatol kar dekha jaha nanota ke katne se zakham Sa ban gaya tha..
Par ab waha aisa kuch nahi tha ..
Wo jagah bilkul aisi dikhayi de rahi thi mano waha kabhi koi zakham raha hi na ho..!
To kya roohi ne..?
Ek khayal bijli ki tarha uske zehan me koonda..
Kisi bhi yakshini ke zehar ka tod sirf or sirf ek dusri yakshini hi kar sakti hai ..
Aam taur par aisa nahi hua karta kyuki iske liye us dusri yakshini ko wo zehar khud peena padta hai jisme uski jaan bhi chali jati hai ..
Or yakshiniya itni khud garz hua karti hai ke wo aisa kabhi nahi karti.. To kya roohi bhi ek..?
Nahi...!nahi... !
aisa nahi ho sakta... !
Agar aisa hota to roohi ab tak meri nigaho se bach nahi pati.
Rehan ko takato me ek khas takat ye bhi thi ke koi bhi gair mamooli takat ya shaksiyat jo fitrat se hat kar hua karti thi usk nazro me ajaya karti thi..
Phir roohi uski aankho se ab tak kaise bachi rahi..? Wo yahi sochne laga..
Roohi ..! Roohi...!
usne roohi ko awaze deni shuru ki par wo uske jism par be his-o-harkat Padi rahi..
Rehan ne foran use apne upar se hata kar dobara apni jagah lita diya..
Rehan ne roohi ko hila dula kar dekha par uske jism me koi harkat nazar nahi Aayi or gaur se dekhne par usne ye dekha ke roohi ke hont neeli pad chuke hai or
chere par bhi gehra peela pan sa nazar aane laga hai yaha tak ki hatho ki unglio ke nakhun Tak neele pad chuke the..
Rehan ko roohi ki badi fikar hone lagi kyuke ye sari alamate kisi tez qism ke zehar ke hi ho sakti thi..
Use samajhte der nahi lagi ke roohi ne wo kam kar dia hai jiske bare me wo kabhi soch bhi nahi sakta tha..

Yani ke roohi ne uske jism ka zehar apne andar jazb kar liya hai or thodi der pehle jis condition me rehan tha ab roohi khud usi sitwation ko face kar fahi hai...
Bewakoof .. .. pagal ladki ...tune aisa kyu kiya..? Wo takreeban chikte hue bola..
Mujhe bachane ke liye apni jaan daon par laga di...? Par kyu..?
Aisa kyu kiya tumne roohi..? Kyu kiya aisa..?
Wo roohansa hokar bola..
Par uske sawalo ke jawab dene ke liye roohi is waqt hosh me nahi thi..
Rehan ne dekha ke ab roohi ka jjsm zehar ke asar ke wajha se jhatke lene laga hai..
Khudara ab mai kya karu..? Roohi...!
roohi hosh me aao..!
ye kya ho raha hai tumhe..? rehan use jhajodne laga...
Rehan ka zehan badi hi tezi se kaam karne laga..
Is zehar ka tod kaise kiya jaye .
Achanak uske zehan me ek khayal aaya.. Sabir ali..!
Sabir ali..!( rehan ke bachpan ka dost ek jinn )
Foran hi ek lambe kad kathi ka tandurust aadmi rehan ke samne khada nazar aane laga..
Yes boss...!
Usne bade hi filmi andaz me rehan se pucha..!
uski shaksiyat or bat karne ka andaz ek dusre se bilkul Match nahi karte the..
Inhone ek yakshini zehar piya hai jo ke bohat hi asardar hai
Kya aisi koi surat hai ye koi tadbeer hai jisse inki jaan bachayi ja sake..? Rehan ne roohi ki taraf ishara karte hue kaha..
Sabir ali aage bada or roohi ko gaur se dekhne laga.. Ye ek yakshini to kisi bhi angle se nahi lagti boss..!
Ye kya lagti hai or kya nahi iska faisla hum bad me bhi kar sakte hai sabir ali filhal bas ye batao ke inhe zehar ke asar se bachaya kaise jaye..?
rehan kafi pareshan hoga hua bola...
Aap ko maine aaj se pehle kisi ke liye itna pareshan hote nahi dekha rehan miya...? Sabir ali ne rehan ke chere ko dekhte hue muskurakar kaha..
Yaha ek ladki ki jaan ja rahi hai or aap ko mazak sujh raha hai.. Rehan ne gussile lehje me kaha..
Acha...acha miya..naraz kyu hote ho.. Sabir ali gadbada kar bole..
Or phir unhone apne daye hath ko hawa me buland karke mutthi bandi or apne honto hi honto me kuch pad kar apni band mutthi me phunka..
Mutthi kholte hi unke hath me kaanch ke kanche ki tarha ek bhure rang ki goli nazar aane lagi.. Unhone wo goli rehan ko dete hue kaha .
Ye zehr-e-mohra hai rehan miya..
Ise ada cup pani me ghol kar mohtarma ko pilayiga insha ,.' jald hi zehar ka asar khatam ho jayega..
Or yaad rakhiye agar ye ek yakshini hai tabhi ye zehre mohra in par asar karega warna nahi.. ye insano par asar nahi karta ...
Or ek bat ye bhi maniye ke agar ye ladki aap ka zehar na chusti tab aap 5 minute se zyada zonda nahi reh pate.. is ladki ne aap par bada ehsaan kiya hai..
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:04 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)