09-10-2024, 03:04 PM
Aghora ki aankhe gusse se kuch or zayada lal ho gayi ... Usne apne gusse ko qaabu me karte hue shaitaano se kaha..
Ye koi mamooli adamzaad nahi hai jisne humre baccho ko qatal kiya hai...!!
Kyuke in mamooli logo ke bazuoo me wo taqat nahi jo humara ya humare baccho ka baal bhi bika kar sake ..!! Ye zaroor koi or hai..!.
Or mai jald hi iska pata laga lunga ye mera wada hai aap sab logo se..!!
Iske baad sara gaar
""shaitaani shahensha aaghora zindabaad""!!
Ke naaro se gunj utha or wo tamam chote bade shaitaan waha se rukhsat ho gaye..!!
NANOTA..!!
TATARIYA..!!
SHALAKA...!!
Unke jaate hi aghora Zor se awaaze dene laga..
Takhat ke pichle janib se teen naujawan ladkia nikal aayi jinki khubsurti or dilkashi dekhte hi banti thi...
Nanota or tatariya aghora ke baaye taraf khadi ho gayi jabke shalaka daaye taraf..
Aghora ne saamne maujood safed dhuwe ke taraf ishara kiya jisme rehan ki tasveer nazar aa rahi thi ... Tum logo me se koi is ladke ka naam janta hai..?
Usne un teeno ki taraf dekh kar ye sawal kiya.. Nanota or tatariya ne apni gardan na me hiladi ..
Or beti shalaka ..!! Kya tum ise janti ho..?
Aghora ne apni sabse choti or ladli beti se pucha..
Shalaka ne bohat darte hue sehme se lehje me kaha... In ka naam rehan hai baba..!
Or mai inhe bohat arse se janti hun..!! Bohat hi seedhe or ache insaan hai ye..!!
Maine tumse sirf iska naam pucha tha shalaka ..! Maine ye nahi pucha ke ye acha hai ya bura..?
Or ek bat yad rakho humari jamat shaitaan se talluk rakhti hai isi liye adam zaad humare liye humesha hi khtra or musibat hote hai isi liye unka humare liye acha hona kisi mayno me sahi jumla nahi ho sakta samjhi tum...!!?
Aghora ne sakht lehje me shalaka ko daanta..
Jise tum seedha or acha keh rahi ho kal rat is seedhe ladke ne humare 4 aadmio ko maut ke ghaar utaar diya..
Humare dusre shaitaan bhai is bat ka badla isse zaroor lenge isi liye behtar hoga ke tum iss ladke se door raho mai apni betio ke zaati mamlo me dakhal dena pasand nahi karta par mai ye bhi pasand nahi karunga ke tum milna julna ek adamzaad se ho..
Par baba wo insaan hote hue bhi un se bohat alag hai aap ko pata hai wo kuch hi palo me yaha se waha pohanch jata hai.. Wo bade bade pedo ko apne ek mukke se gira deta ...wo bepanah taqato ka malik hai..or...or....
Bas.. !
Aghora
Gusse se apna haath utha kar bola..
Mai is ladke ko iske bachpan se janta hun hala ke mai iske naam se waakif nahi tha..!!
Mai janta hun iske sar par kuch roohani taqato ka saaya hai jo har waqt iski hifazat ke liye iske aas paas maujood rehti hai ...!! Par ek bat janlo shalaka..!!
Wo roohani taqate itni zayada taqatwar bhi nahi hai ke aaghora ke qehar-o-gazab se ise bacha sake..... !!
Usne ek ladki ko humare hatho se china hai agar wo tumhe mile to usse keh dena ke chup chap us ladki ko lakar humare hawale karde or humare qadmo me gir kar hum se maafi ki bheek mange to shayad hum use maaf karde warna humare saare log milkar aaj nahi to kal use dhoondh hi nikalenge or agar humne use dhoondha to phir uske bachne ki koi gunjaish baaqi nahi reh jayegi..!!
Kya tum janti ho ke wo kaha or kis taraf rehta hai..?
Nn...nnh...nahi..baba...bas...aksar aise hi ghumte phirte mulaqat ho jaya karti hai.. Usne kabhi nahi bataya ke wo humare jungle ke kis ilaaqe me rehta hai..................... !!?
Shalaka ne darte darte kaha..
Sach keh rahi ho..??
Aghora uski aankho me dekhta hua bola..
Han...baba.....bilkul sach...
Agar mujhe pata..hota ...to..mai...aapko..zaroor bata deti...
Hmmmmm..
Thik hai tum log ja sakti ho...
Aghora ne hath utha kar kaha or shalaka..nanota or tatariya samet waha se apne gaar wale kamre me chali aayi..
Uske piche piche nanota or tatariya bhi andar aayi..
Or unhone shalaka ke mazak udaane ke se andaaz me usse kaha..
Oho..!!
To humari choti behan ek kambhakt adamzaad ke ishq me giraftar hai..!! Nanota ne shalaka ko chidate hue kaha..
Aap is chakkar me na hi pade to Behtar hoga nanota..!! Shalaka ne turant kaha..
Bewakoof mat bano shalaka tum humari behan ho..!! or wo insan hai or hum chudaile hai..
Hum unka khooon piya karte hai unse mohabbat karna humara kaam nahi..! Nanota ne shalaka ko samjhate hue kaha..
Ye mera zaati mamla hai nanota or aap ko isme dakhal dena ka koi haq nahi hai aap ye jaan le...!:pee: Shalaka ne chid kar kaha...
Or agar mai us insaan ko khatam kar du ya use maut ke ghaat utaar dun tab tum kya kahogi shalaka..? Nanota ne bhi tez lehje me jawab diya..
Aap or rehan ko khatam karegi..?
Bhul jayiye sabse pehle main khud hi ye koshish ki thi or mai nakaam rahi..
Agar aap use haatb bhi laga paayi to mai zindagi bhar aap ke naam ghulaami likh dun ye mera wada hai aap se..!! Shalaka ne hans kar kaha..
Thik hai ye to waqt hi batayega shalaka ke kaun kiske hatho mara jata hai.. Nanota ne chid kaha ..
Mujhe us waqt ka intezar rahega nanota..!!
Shalaka ne nanota se kaha or wo us kamre se bahar nikal gayi...
Barish gaaliban band ho chuki thi or aasman me badal kuch is tarha chat chuke the jaise doodh me malayi chat jati hai.. Par is barish ki wajha se jungle ka ye mahaul or bhi zyada kushnuma sa lag raha tha..
Mukhtalif qism ke parindo ki awaze sare jungle me mano ek sureela sa naghma pesh kar rahi thi.. Or koyal ki surili or dilkash awaaz mano kano me shirni or mithas ghole de rahi thi..
Ruhi ko ye mauhaol bada rooman bhara lag raha tha..
Use lag raha tha ke kaash us ka bhi koi humsafar humnawa is waqt uske sath or dil me rooman (romance) paida kar dene wale is haseen mausam me uska sath deta..
Wo uske pehlu me apna wajood ko jazb (dooba) kar deti or us ki aaghosh me sama jaati.. Wo apne haatho se uski zulfe sawarta...or...or..
Kal raat ke bartan abhi tak pade hai jao jakar unhe dholo..
Achanak uske piche se rehan ki awaaz aayi or wo apne sapno ki us haseen dunia se bahar aa gayi..
Rehan ki awaaz is waqt use bilkul zehar lag rahi thi.. Kaha wo apne humsafar ke bare me soch rahi thi.. Or kaha ye patthar dil insaan ..
Na hi seene me dil rakhta hai or naa hi koi jazbaat..
Warna itne dino tak kisi jawaan ladki ke sath akele bina koi talluk ( relation ) banaye bhala koi kaise reh sakta hai.. Wo aksar rehan ka chera dekhti uske chere par na hi koi asar hota or na hi kisi tarha ka koi expression nazar aata tha..
Wo aksar sochti ke shayad dil ke sath rehan ka chera bhi patthar ka hi hai isi liye us par koi asar ya expression nazar nahi aata..
Bas humesha hi udaas mayoos sa nazar aata tha. Gehri kaali aanhko me na jaane kya tha..?
Dard..gussa..nafrat..na jaane kya..?
Wo is ghane jungle me akela kyu rehta hai..?
Kya uske saare jazbat ..dil ke armaan mar chuke hai..?
Warna wo kam se kam ek baar to meri taraf nigaahe utha kar zaroor dekhta.. Ruhi jhopdi ke bahar paani ki naan ke paas bhaith gayi or bartan dhone lagi..
Saamne hi rehan apne hatho me kulhaadi liye lakdi ke ek bade se khod ko kaat raha tha.. Ruhi ki nigaahe kabhi kabhi uske upar pad jaati or wo use sar se paon tak dekh kar reh jaati.. Naa jaane kaisa insaan hai..?
Meri taraf dekhta tak nahi..
Jisme ke mai bhi husn me kuch kam haseen to nahi hun..
Waha shaher me to is ke jaise saikdo ladke mara karte hai mujhpar.. Pata nahi ye kaun si mitti ka bana hai..?
Ruhi apne aap me badbadane lagi..
Or darasal haqiqat thi bhi yahi..
Husn ke mamle me ruhi kisi se kam na thi..
Sheheri mauhaul me pali badi thi or jaha par girlfriend boyfriends aam se baat thi.. Or apni college life me wo aise kai cases handle bhi kar chuki thi..
Boys ko apne isharo par kaise nachaya jaata hai ye use bade ache tarike se aata tha.. Par rehan ek akela aisa case tha jo ab tak usko samajh nahi aaya tha ..
Aakhir usne himmat karkw rehan se puch hi liya..
Aap is ghane jungle me akele rehte hai aap ko darr nahi lagta..?
Rehan ka kulhadi wala hath achanak ruk gaya..
Usne ek pal ke liye ruhi ki aankho me dekha or dobara lakdi katne laga... Wo kulhadi se lakdi par ek zabardast war karta hua bola..
Darr..?
Yaha kis bat ka darr..?
Agar aap ko yaha akele kuch ho gaya to..?
Yaha aap ki jaan ko un wehshiyo se khatra hoga na jinhone mujhpar hamla kiya tha..
Acha to tum ye kehna chati ho ke kahi wo mujhpar hamla karke mujhe jaan se na maar de..,haina..?
Haan mai yahi kehna chati hun.. Aap ko un se darr nahi lagta kya..
Kya karenge wo mera..?
Zyada se zyada maar hi daalenge na.?
Or Maut ka darr to unhe hota hai jinhe zindagi ki chahat hoti hai..
Jab zindagi haseen hoti hai to usse pyar ho jata hai or maut se darr lagne lagta hai.. Par jis insaan ko zindagi se pyaar nahi hota wo bhala maut se kyu darega..?
Bhala aisa kyu..?
Aap ko apni zindagi se pyaar nahi hai kya..? Ache khase zinda hai aap to..?
Rehan ke honto par ek muskurahat si aagayi..par muskurahat ke is andaaz ko ruhi samajh nahi payi.. Mai..
Mai to kab ka mar chuka hun ruhi.. Rooh nahi basti mere is jism me..
Kyuki mazhab khudkushi ki ijazat nahi deta isi liye apne kaandho par us bojh ko liye phirta hun jise log zindagi kehte hai..
Rehan ke ye lafz sunkar
Ruhi ko aisa mehsoos hua ke saarw jahan ka dard in lafzo me sama gaya ho jo rehan ki zabaan se nikle the ... Or use rehan ki us muskurahat ka matlab bhi pata chala..
Jo asal me muskurahat nahi balki ek dard bhari aah thi..ek fariyad jo na kehte hue bhi us tak pohanch gayi..
Khudaara aisa na kahiye rehan.. Ruhi tadap kar boli..
Zindagi khuda ka diya hua ek nayaab tohfa hai jiski aap naqadri kar rahe hai..
Shayad aap ko kabhi kisi se mohabbat nahi hui warna aap jante ke mohabbat me duniya kitni khubsurat or haseen ho jaati hai or insaan khud ba khud apni zindagi se pyaar karne lagta hai..
Mohabbat..?
Rehan ke honto par ek zehrili muskurahat aa gayi..
Mohabbat dard ka dusra naam hai ..
Mohabbat aaj ki dunia me kilo ke bhao se bikti hai.. Mohabbat dil se nahi daulat se ki jaati hai..
Mohabbat sirf or sirf apni hawas bhujaane ka ek behtareen tareeka hai.. Mohabbat aaj ke daur me daulat maangti hai sirf or sirf daulat..
Jis insaan ki jeb jitni zyada garm hoti hai wo utni hi zyada mohabbat or ehmiyat ka haqdaar hota hai..
Jao ruhi ye mohabbat jaise dhoke or fareb ka naam unke saamne lena jo aaj bhi is jaisi wahiyat chizo me yakeen rakhte ho.. Mohabbat me siwaaye dard ke or kuch nahi milta..
Kuch nahi deti ye mohabbat ..
Kuch bhi nahi..
Siwaaye..dukh..takleef...dard..ke..kuch or sila nahi milta mohabbat se.. Kuch nahi milta..kuch bhi nahi milta..ruhi.kuch nahi..
Ye kehte kehte rehan ki awaaz bharrnae lagi shayad wo kuch zyada hi jazbati ho gaya tha.. Or wo apni kulhadi wahi chod kar aage bad gaya .
Suniye ..rukiye meri baat to sun lijiye..
Ruhi use awaaz deti rahi par rehan nahi ruka..
Ruhi ko is baat ka ehsaas zaroor ho gaya tha ke usne anjaane shayad usne rehan ki dukhti rag par haath rakh diya Koi na koi aisi wajha zaroor hai jisne rehan ke dil me mohabbat ke liye itna zehar bhar diya hai..
Par aisi kya wajha ho sakti hai..?
Achanak jaise ruhi ke zehan me ek bijli si kundi.. To kya rehan bhi kisi se mohabbat karte the..?
Or wo mohabbat itni gehri or itni shadeed thi ke usme nakaam hone par rehan ne apne aap ko tabaah kar daala or yu jungalo ki khaak chanta phirr raha hai..?
Ye or is jaise kai sawaal ruhi ke zehan me aane lage par in ke jawab sirf or sirf rehan hi de sakta tha..
Naa jane kyu ruhi ka dil rehan ke liye bohat dukhne laga tha..
Ye insaan kitna gehra hai..
Or iske na jaane aise kitne raz hai jo mai abhi tak jaan nahi payi....
Ruhi yahi sab sochte sochte apne kaam me masroof ho gayi...
Rehan apni jhopdi se kafi door nikal aaya tha..
.Wo pas hi ke ek chote se pahad numa teele par chada usi teele par ek ghana peepal ka darakhat bhi tha ..
Ye jagah baaki jhagaho se zara oonchayi par thi isi liye yaha se saare jungle ka takreeban har hissa nazar aata tha.. Rehan us peepal ke darakht (ped) ki jado ke kareeb ped se tik kar bhaith gaya...
Nazro ke saamne ghana sa jungle tha..
Or uski nighahe door jungalo ke aakhiri sire par maujood oonche oonche pahado par reng rahi thi....
Wo bohat udas tha..