Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#7
unhone phir kaha.. par kya beta..??
bolo kya bolna chate ho..??

rehan na kaha..
aap ne abhi tak nahi bataya ke aap kaun ho..?? unhone kaha..
maine bata to diya ke mai hamesha tumhare sath hi raha karti thi..


rehan jaldi se bola..

agar aisa hai to aap mujhe aaj se pehle kabhi nazar kyu nahi aayi..??
jab ke aap to keh rahi hai ke aap din bhar mere sath raha karti thi.. unhone muskurakar kaha..
beta ..
tumne kabhi mujhe awaz hi nahi di...

na hi kabhi mujhe dekhne ki koshish ki..
isi liye mai tumhe kabhi nazar nahi aayi warna tumhare itne kareeb rehkar mai tumhe nazar kyu nahi aati..??


tumne aaj sacche dil se mujhe pukara to mai tumhari sadao ka tumhari awaz ka jawab dene or tumhare pukarne par chali aayi...

ye bate ab rehan ke sar ke upar se jane lagi thi wo kuch samjh nahi paa raha tha...

use bas boaht zoro ki bhuk lag rahi thi..

rehan ka dhayan phir se khane ki thal ki taraf jane laga.. usne phir se us aurat se kaha..
y...yy.ye..
ky ..Kya..??
kya ye khana aap sach me mere liye layi hai ..??





haan beta sab tumhare liye hi hai ye lo..??
or unhone wo thal rehan ke taraf aage bada di..

thal itni badi thi ke rehan ko use pakadne ke liye apne dono hatho
ko aage badana pada or uske dono hath thal ke balance adjust karne me lag gaye..

ab dono hath to thal pakadne me lag gaye ab wo thal ko zameen par bhi nahi rakh sakta tha kyunke niche kuch keede makude ghum rahe the..

ab wo khana kaise khaye wo yahi soch raha tha..? rehan ki halat to dekhne laik thi..

ek hath se thal pakadta to wo apne wazan ki wajha se unbalance ho kar gir jati..



bechara..
sakht bhuk lagi hai.. kahan samne hai..
par bechara khaye to kaise..??

uski masoom se chere par pareshani ka ye alam dekh kar uske samne bhathi wo aurat apne mooh par hath rakh kar hasne lagi..
use rehan ke is masoom or bholepan par bada pyar aa raha tha.. or uski khana na kha pane ki is wajha or is halat ko dekh kar
wo bigair hase na reh saki..

aakhir rehan se raha na gaya..

usne rooni si soorat bana kar kaha..

mai yaha bhuk se mara jaa raha hun .. or aap ko hasi aa rahi hai..??

aap ne itni badi thal mujhe pakda di ke mere dono hath inke neeche hi phas gaye ab mai khana kaise khaunga..??
or rehan ka chera rona sa ban gaya..
us aurat ne haste hue aage bad kar kaha.. acha..
acaha.. baba..
tum thal aise hi pakde raho mai tumhe kahana khilati hun..

or unhone thal me se kuch niwale banaye or apne hatho se rehan ko khilane lagi..

rehan unke hatho se kahne laga..

khate khate achanak rehan ko apni maa ki yad agayi..

rehan ne us aurat ki aankho me dekha un aankho me rehan ko
wahi pyar aur mamta nazar aayi jo rehan ko apni maa ki aankho me nazar aati jab wo use apne hatho se khana khilati ..

or khane kahte khate achank rehan ki aankho se aansoo nikal aaye,, uske hont khamoosh the or na hi koi awaz nikali thi usne..

bas eka ek aankho se aansoo ane lage..
shayad is bat ka khayl khud rehan ko bhi nahi tha ke us ki aankho se aansoo beh rahe hai..
kyuke wo usi tarha khana kahye jaa raha tha..


jab us aurat ne dekha ke rehan ro raha hai to uske hath bhi acnahak hi ruk gaye or usne turant hi rehan se poocha..

kya hua beta ro kyu rahe ho..??

khana pasand nahi aaya kya tumhe..??


rehan ke rote hue chere par ek muskurahat si aagayi.. usne kaha..
nahi aisi bat nahi hai..


itna laziz khana to maine apnni zindagi me kabhi nahi khaya.. bas aap ko dekh kar mujhe meri maa ki yad agayi..
wo bhi mujhe isi tarha pyar or dular se khilaya karti thi.. us aurat ne phir se kaha..
mujhe un ke bare me pata hai beta..

par vidhi ke vidhan ko koi pariwartit nahi kar sakta..
har insan jo is duniya me aya hai use to ek na ek din jana hi padta hai.. or yahi hai vidhi ka vidhan...
rehan ne kaha.. aap ne sahi kaha..
par ye kya aap ne abhi tak apna nam nahi bataya ..??
or mai bhi kitna buddhu hun maine aap se aap ka naam bhi nahi poocha..?? unhone muskurakar kaha..
mere bohat se naam hai beta tumhe kaun sa batau..??

unhone kuch soch kar kaha thik hai to

mai devi hun beta..

or yahi mera nam bhi hai... rehan ne kaha..
bohat acha nam hai aapka..

aur mera naam rehan hai..

aap mujhe rehan hi bula sakti hai..


par aap mujhse badi hai mai aapko aap ke naam se kaise bula sakta hun..??

ammi ne kaha tha apne se bade logo ko izzat se bulaya jata hai.. mai aap ko kaise pukaroo kya naam doon aapko..??

unhone phir kaha..
tumhe jo naam pasand ho beta tum mujhe us naam se pukaro.. rehan sochne laga achnak uske zehan me koi nam aaya ..
usne foran kaha..

ek nam hai mere zehan me par mai use kaise bolu..?? devi ji muskurakar kehne lagi
kyu us naam me kya pareshani hai ..?>? rehan bola..
kahi aapko wo naam bura na lag jaye..??


tum pehle bolo to phir mai faisla karungi ke wo naam acha hai ya bura,,

reha hichkichate or darte hue bola.. kk..kk.ky.k.kya..
kya mai aapko..??
kya mai aap ko..mm...m.mm.maa.. bula sakta hun..??


wo rehan ko ektak dekhne lagi..

or achanak hi aage bad kar rehan ko apne gale se laga liya..

rehan ne bhi khane ki thali ko neeche rakh diya or apni is nayi AJNABI or anokhi maa ke gale lag kar rone laga hai..

divya ki aankho se bhi aansoo nikal aaye ..

wo bhi rone lagi or usne rehan se kaha..

bilkul..
bilkul bola sakte ho beta..
tum mujhe maa bilkul bol sakte ho..
tumhare jaisa beta kaunsi maa nahi chati hogi..??
aaj se tum mere bete ho rehan or aaj se mai hi tumhari maa hun beta.. ek bar phir se mujhe maa bula kar dekh..
rehan ne phir se kaha ..
haan maa aaj se aap hi meri maa ho..


oh ...mere bacche...
haan aaj se mai hi teri maa hun beta.. or wo bhi rehan se lipat kar rone lagi...


rehan bhi na jane kyu unke gale lag kar phoot phoot kar rone laga.. or rote rote apni maa se kehne laga..

aap mujhe chod kar to nahi jayengi naa.?? boliye ..
mujhe akela mat chodiyega..
is duniya me mera koi nahi hai maa... mujhe kabhi akela mat chodiyega..


maa bhi rehan ko apne seene se lagaye rote rote kehne lagi..

nahi mere bacche mai tumhe kabhi akela nahi chodungi.. chahe kuch bhi ho jaye...

rehan apni is nayi or anokhi maa ke gale lag kar bohat rone laga..

har insaan ko apna dil ka dard or apna gham batne ke liye kisi sahare ya ek aise kandhe ki zaroorat hoti hai jispar wo pana sar rakh kar
ro sake..

or shayad aaj kudrat ne rehan ko wo sahara ataa kar diya tha jiske bina shayad rehan zyada din is duniya me jee nahi pata..


aaj is anokhi or neerali mulaqat ka gawah ye ghana jungle tha jaha
ek pyar ke bhuke bhcche ne apni maa ki pyar bhari aaghosh paa li thi... par rehan ki ye nayi maa.??
aakhir kaun thi ..?? kahase aayi thi..??

uski haqeeqat kya thi..??

ye kuch aise sawal the jiske jawab shayad kisi ke paas na ho..

or khudh rehan in chizo ke bare me kuch soch nahi pa raha tha use to bas maa mil gayi thi or wo isi me khush tha..

par aage rehan ki zindagi me or bhi bohat se utaar chahdao aane wale the jiske bare me shayad wo kuch nahi janta tha...
rehan ki maa ne rehan ko bohat pyar or dular diya...


khana khatam karne ke bad rehan ne maa se poocha..


maa..
ab is chandi ki thal ka kya karogi..??



maa ne muskurakar rehan se kaha..


tumhe pasand ahi kya ye thall.??



rehan ne kaha..

pasand kyu nahi hogi..??
chandi ki nazar aati hai or uthane me bhari bhi lagti hai.. kitne ki khareedi aap ne ise..??



maa muskurakar kaha....


beta in sab bato ke bare me kyu sochte ho..??


tumhe pasand hai to rakhlo..



nahi maa te aap ki hai mai kaise rakh sakta hun..??


maa ne phir se kaha..


are beta ...
jo mera hai ya jo bhi chize mere pass hai wo sab tere liye hi to hai..


rakh le ye thall apne pas..


or is thal ki khasiyat ye hai ke jab bhi tera kuch khane ka man karega to apni iccha is thal ko bata dena..

or is par ek kala kapda dhank dena or tere man me jo bhi khane ki iccha ho uske bare me kehna..


or phir us kapde ko thaal par se utha lena..
ye thal foran tere samne teri iccha ke mutabik khana le aayegi..



rehan kisi chote se bacche ki tarha khush hokar bola.. sach me maa..??
kya aisa ho sakta hai..??



maa muskurakar boli..


kyu nahi ho sakta beta..??
achal chalo mai is par abhi ek kala kapda dhank deti hun
uske bad tumhe jo bhi khana hai uske bare me apne dil me sochna phir dekhte hai kya hota hai..??



or maa ne us thaal par ek kapda dhank diya..

or rehan ne apni aankhe band karke boondi ke ladduo ke bare me socha..


or jaldi se apni aankhe kholi.. or maa se kaha..


maa maine soch liya ab aap thal par se kapda hatao..


maa ne muskurate hue thal par se kapda hataya..

or rehan ne apni aankho se dekha ke puri ki puri thal behtareen kism ke boondi se banaye gaye ladduo se bhari hui thi..



maa ne haste hue rehan se kaha..


kya beta..??

teri khawahish bhi teri soch ki tarha or teri umar ki tarha choti si hi hai..
manga bhi to kya ..?? bas boondi ke laddu..??

or wo rehan ki iccha par hasne lagi...





rehan ne bura sa moo banaya or chidte hue kaha..


to ab mai kya karu..??
aap ne hi to kaha tha ke kuch socho..??

ab mere dil me jo bhi aya wo maine maang liya.. or uspar aap has rahi hai..??

unhone haste hue kaha..


are hasu nahi to aur kya karu..??

tumhare haath me itni badi chiz pakdadi maine phir bhi tum ne usse manga bhi to kya..??

mamuli laddu..? rehan ne kaha..

maine to ye bhi kabhi nahi khaye maa..

bas roz mandi me halwai ke pas iski surat hi dekhi hai.. or naam suna hai ke ise laddu kehte hai to bas..
maine wahi maang liye..


maa ek dum se sanjeeda hote hue boli..

mujhe maaf kar do beta mai samajh nahi payi ke tumhare liye ye mamoooli chize bhi bohat ehmiyat rakhti hai..


koi bat nahi maa aap ke kehne me bhi koi burai ka pehlu nahi tha..


maa ne phir kaha..

acha ab tum samajh gaye na ke is thali ka istemal kaise karena hai..? rehan ne haan me sar hilaya..
haan to sunlo ab tumhe kaam karne ki koi zaroorat nahi hai..
mujhe acha nahi lagta ke tum do waqt ki roti ke liye itni mehnat karo samjhe..??

rehan jaldi se bola.. maa.
aap bura mat mainyega par mujhe aap se ek baat kehni hai..


haan beta kahona kya kehna chate ho..??


mujhe ye thal nahi chaiye maa..

maa ne hairat se rehan ki taraf dekha or usse poocha.. kyu beta ..??
aisa kyu..??
kyu nahi chaiye ye thaal tumhe..??

are ye mai tumhare liye hi to laayi hun..??


rehan ne jaldi se kaha..

mai samajhta hun maa ke ye aap mere liye laayi hai.. or aap meri bhalayi chati hai..

par maa ise lene ke baad mai is thaal ka aadi ho jauonga or mehant mazdoori karna chod dunga..

or maa mujhe rizk-e-halal ki adat hai..
jo mujhe apne balboote par kamana hai..


mehnat karne ke baad jo bhuk lagti hai usme apna hi ek alag maza hai..

or us mehnat se kamaye gaye paiso me bhi ek mithas hai maa..


din bhar ke saare kaam karne ke baad raat ko jo pyari or araam dayak nind aati hai kya aap us pyari or meethi nind se apne rehan ko vanchit karna chati hai maa..??

maa ne foran aage bad kar rehan ko apne seene se lagate hue kaha.. nahi mere bacche mai tujh se tera kuch bhi nahi chinna chati..
mai to tujhe kuch dene aayi thi..

tu to khudh zamane ka thukraya hua hai mai tujhe kisi chiz se kaise vanchit kar sakti hun mere bete..??

rehan ne bhi mauke ko samajhte hue kaha..

phir aap mujhpar zor mat daliye ke mujhe ye thall leni pade..


maa ne muskurakar kaha..

thik hai beta jaisi teri iccha tu jeeta mai hari..

or maa ne wo thal utha kar wapis apne jhole me daal li..


or rehan se kaha..

par tujhe bhi meri ek baat manni hogi ...


rehan jaldi se khada hokar bola.. aap aadesh dijiye maa..
majaal hai mai apne wachan se mukar jaoun..?? maa ne haste hue kaha..

itni bhi koi badi baat nahi hai mere bahadur bete..


tujhe bas mujhse ye wada karna hoga ke jab bhi tujhe kisi bhi kism ki zaroorat hogi tu seedha mere pass aayega..

kisi ke paas jane ki koi zaroorat nahi hai tujhe samjha..


kuch bhi tu mujh se kuch bhi maang sakta hai ..



rehan ne muskurakar kaha.. thik hai maa aap jaisa kaho..

maa ne phir rehan ke sar par haath phera or usse kaha.. chal ab mujhe bhi jana hai..

rehan jaldi se bola ..


kaha jana hai maa aapko..??


maa bhi mukrane lagi..

beta mujhe bhi teri tarha bohat se kaam dekhne padte hai.. par tu fikar kyu karta hai..
jab bhi tujhe meri zaroorat hogi bas mujhe dil se ek baar awaz dekar dekhna.. mai hazar kaam chod kar teri ek awaz par daudi chali aaoungi..

ab mujhe jana hoga beta jaoun..?? maa ne muskurakar rehan se kaha..

rehan ne ek dum mari hui awaz me kaha..

thik hai ma ajaiye par aap kal phir aayiengi na mujhse milne..??


haan beta zaroor aauongi ye bhi koi kehne wali baat hai kya..??


thik hai aap ab aap jaa sakti hai..


maa ne aaaage bad kar rehan ko ek baar phir apne seene se lagaya or uske galo or peshani ko chum kar jungle me andar ki taraf badne lagi...


rehan ne dekha ke wo or ghane jungle ki taraf jaa rahi to usne maa ko awaz di..


aap us taraf kaha jaa rahi hai ..?? gaon ka rasta dusri taraf se hai..
us taraf to aur ghana jungle padta hai ..

maine suna hai waha jungli janwar bhi raha karte hai..


maa ne muskurakar kaha..


beta ...

mera basera isi jungle ke us ghane ilake me hai ..

tum meri fikar mat karo mai kai sadiyon se yahi rehti aa rahi hun.. mujhe kuch nahi hoga ..
tum apna khayal rakhna mere bacche..

or itna kehte hue wo jungle ki taraf jane lagi or dekhte hi dekhte wo rehan ki nazro se aujhal ho gayi..



aaj rehan khush bhi tha or use hairat bhi thi ke ye sab uske sath kya ho raha hai,,??


par ye jo bhi tha use to aaj use koi aisa mil gaya tha jise wo is duniya me apna keh sakta tha...



wo wapas apni choti si jhopdi me aya or aaj wo ek chain ki nind so gaya... dusre din rehan so kar utha or pas ke hi aale se neem ki ek choti si lakdi nikali or usse kisi brush ki tarha apne daant ghista hua jhopdi ke bahar aya..


saamne hi use hariya kaka apni bail banddi par bohat sa saman lade mandi

ki taraf jate hue dikhayi diye..





rehan ne awaz de kar un se poocha...





hariya kaka ..

kaha jaa rahe ho ye saman lekar..??
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:00 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)