Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#6
rehan ne jazbati hote hue kaha..


baba...
maine abhi ammi ki awaz suni hai wo abhi andar hi hai. mujhe pukaar rahi thi mujhe bula rahi thi..

mujhe un se milne dijiye baba..

meharbani kijiye mujh par bas mai unse ek baar milna chata hun baba.. rehan par jaise deewangi si tari ho gayi thi..
maa ki mohabbat or chahat me wo ye bhi bhul chuka tha ke ab wo is duniya me nahi hai..


hazrat uski is zehani kefiyat ko turant bhaanp gaye.. wo samajh gaye ke abhi rehan apne aape me nahi hai..
unhone turant hi rehan ke sar par haath rakha or apne honto me kuch badbadane lage shayad kuch pad rahe the..


rehan ko aisa mehsoos hua jaisa ke uske dil se dukh or gham ke hazaro kilo ke bojh ko kisi ne halka kar diya ho or dukh or gum ki shiddat kisi tarha halki ho gayi thi..

ab rehan zara sa normal hua to baba use apne dalan (teen ka chota sa ek khula hua chbutra ) me lekar agaye..

use niche beechi hui sharanji ( mate ) par bhithaya or pani pilaya.. phir uski taraf dekh kar samjhate hue bole..
rehan..
beta jo insaan is duniya se ek baar chaala jata hai wo wapis laut kar kabhi nahi aata..

tumhari ammi bhi ab is duniya se dusri duniya me jaa chuki hai.. unka inteqaal ho chuka hai yani ke wo muntaqil ho chuki hai ek duniya se doosri duniya me jaa chuki hai bete..
ab wo laut kar nahi aayegi..

or tumhare is tarha rone or pareshan hone se unki rooh ko bohat takleef hoti hai beta tumhari aankho se nikla ek aansoo unki rooh par tezaab ki mannind jakar girta hai samjhe..

rehan ne hazrat ki taraf dekh kar kaha..

par baba maine abhi unki awaz suni thi phir wo kya tha..??


wo tumhara weham tha bete..

jazbaat ki shiddat jab had se tajawiz kar jaaye to insaan ko wahi dikhayi or sunayi deta hai jo wo dekhna ya sunna chata hai..


tum apni maa ko lekar itna zyada ranjeeda or dukhi ho gaye the ke tumhe unki awaz tak sunayi dene lagi thi...


par baba meri chachi kehti hai ke mai manhoos hu maine hi apni maa or baap ko kha liya hai unki jaan le li hai..

or mujhe bhi yahi lagta hai ke meri manhoosiyat ki wajha se wo log nahi rahe ..

baba..
kya mai sach much ek manhoos hun..?? rehan ne baba se sawal kiya...
hazrat ne rehan ki kaali or gehri aankho ko bade hi dhayan se dekha or muskura kar bole..


manhoos..??

beta tu to is duniya jahan se nirala hai..

jo chize or jo takate tere paas hai uske bal boote par tu is duniya par raaj kar sakta hai..

tu to apne aap me ek anokha hai mere bacche..

meri boodi aankhe wo dekh sakti hai jo teri chachi ye tujh se chidne wale duniya ke aam log nahi dekh sakte..

rehan ne mayoosi se kaha..

aisi duniya par mai kya raaj karunga jisme meri maa na rehti ho baba.. baba ne phir kaha..

bas teri isi ada par to tujhe aisi chize di gayi hai bete..

agar tere dil me lalach or duniya kamane ki hawas paayi jati to tujhe in takato se kabhi nawaza na jata..

hazrat ne kuch der rehan ko samjhaya..

or rehan thodi der baad apni maa ki kabar par salaam arz karke waha se aage bad gaya..

par waha se nikalte hi dukh or ghamo ke badlo ne use phir aa ghera..

achanak hi wo phir se rone laga.. or kehne laga..
nahi baba ne mujhe aise hi samjhane ke liye keh diya hai.. ammi ne mujhse baat ki thi maine unki awaz suni thi..
or use phir se apni maa ki yaad aane lagi.. or wo barish me chalte chalte rone laga..

ek to pehle hi bhook ne badhaal kiya hua tha upar se
yu betahasha rone ki wajha se nakahat or kamzori me or izafa ho gaya tha..

kisi bhi tarha rengte rente wo apni jhopdi tak pohancha.. jhopdi ke samne hi khada hokar use dekhne laga..
andar jane ki himmat nahi hui..

kyu ke andar har jaga use apni maa hi nazar aati or uski yaade use or bechain kar deti wo
waha se aage bad kar andar jungle ki taraf chala gaya..

kabar khodne ki wajha se jism or kapdo par jaga jaga kichad or mitti bhari hui thi jo ki barish ki boondo se dhire dhire beh rahi thi..

wo ek bade se bargad ke ped ke neeche akar bhaith gaya..

charo taraf sirf or sirf use apni maa ka hi tassuwur or usi ki parchayi nazar aa rahi thi..

or wo bhaithe bhaithe apne honto me koi lafz bad bada raha tha.. andaz kisi geet jaisa hi tha wo lafz kuch is tarha the..




MERA PEHLA DOST HAI TU HI MAA....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA....



MAI TERI AANKHO KA TARA HUNN....
TUJHE HO PATA KE NAA HO PATA...



TERI ROTIYAN YAAD AAYEGI...
JAB JAB MAI DEKHUNGA CHANDRAMA...



TU HI MARGDARSHAK HAI MAA SAHARA BHI TU..


BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN .. IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..



BHAGWAAN HO NAHI SAKTA HAR SAMAY YAHAN .. IS LIYE USNE BANAYA TUJH KO MAA..


andazz itna masoom or itna dard bhara tha ke apne seene me dil rakhne wali har maa ka dil is bacche ke liye tadap uthta jo iski awaz ek baar sun leti ...


par rehan to gham or apno ke diye gaye zakhmo se toot toot kar bikhar chuka tha use lag raha tha ab is duniya me use sahara dene wala koi nahi raha..

par kya ye sach tha..... ????
ro ro kar aankhe soojh si gayi thi par dil ka dard tha ka kam hone ka naam hi nahi le raha tha..


par shayad apni maa ko kho dene ka dard to sirf ek aisi aulad
hi samajh sakti thi jo is beshkeemti dulat se mehroom ho chuki ho..

halki halki barish ab bhi jari thi or rehan ka dil or uski hasrat bhari aankhe idhar udhar apni nazre dauda rahi thi ke kahi se shayad koi aisi rah nazar aajaye jaha se wo apni maa ko pane ka rasta talaash le...

par aisi koi raah use nazar nahi aati thi...

or upar se bhook ki shiddat ab bardasht ke bahar ho chali thi.. bechara baccha na jane kitne dino se bhuka tha..??
aakhir kab tak bardasht kar pata..??

or ab nakahat or kamzori ki wajha se uski aankho ke samne andhera sa chane laga tha ..

or rehan usi ped ke niche bhaithe bhaithe ungne laga .. sar bohat bhari bhari sa lag raha tha..
shayad barish me bhigne ki wajha se dimag par bhukhar ki si kaifiyat

chad rahi thi..

or wo isi hosh or behoshi ki halat me kuch badbadane laga.. alfaz the......

MAA.....
BOHAT BHUKH LAGI HAI ..

AAJ APNE REHAN KO KUCH KHILAYEGI NAHI KYA..?? DEKH MAI CHACHI KE GHAR BHI GAYA THA..
PAR UNHONE MUJHE WAHA SE BHAGA DIYA..

WO KEHTI HAI KE MAI MANHOOS HUN MAINE TUMHARI JAAN LI HAI..

or wo ekdum se rone laga or rote rote phir badbadane laga.. MAI TERI JAAN KAISE LE SAKTA HUN MAA..??
MERI JAAN TO KHUD TUJH ME BASTI HAI..

TO PHIR MAI KHUD APNE HI HATHO SE APNI JAAN KAISE LE SAKTA HUN..?? KAISE MAA ..??

MAI MANHOOS NAHI HUN MAA.. MAINE TUJHE NAHI MARA ..
KASAM LE LE MUJH SE MAINE TUJHE NAHI MARA MAA.. MAINE TUJHE NAHI MARA..
....

AB TO TU MUJH SE NARAZ NAHI HAI NA..?? DEKH MAA BOHAT BHUKH LAGI HAI RE...
KUCH BHI KHILA DE JO BHI GHAR ME HAI MAI KOI NAKHRE NAHI KARUNGA ...

TUJHE BILKUL NAHI SATAUNGA..
TU APNE HATHO SE JO BHI KHILA DEGI MAI KHA LOONGA RE .. AB TO MAAN JAA ..
KYU MUJHE SE ITNI NARAZ HAI TU..??


KYA MERI NADANIYAN OR GALTIYA ITNI BADI THI JO TU MUJH SE BAAT NAHI KAR RAHI..??


par shayad waha rehan ki ye pukaar or awaze sunne wala koi nahi tha..

or isi kefiyat me us par behosi taari hone lagi or wo wahi pada pada behosh ho gaya... ek pyarii or meethi si khusbhu ka ehsaas rehan ke zehan par jaise chane
sa laga or use behoshi se hosh ki duniya ki taraf khincne laga...


koi bohat hi narm or mulaiam sa hath uski sar ko sehla raha tha sar
ke niche bhi zameen ka ehsas nahi ho raha tha rehan ko aisa mehsoos ho raha tha jaise kisi ne badi hi aahiste or aram se uske sir ko
apni godh me rakha ho bohat hi narm or nazuk si godh me bade hi aram se pada hua tha wo..


uski aankhe dhire dhire khulne lagi pehle pehle aankho ke samne koi dhundhla sa chera nazar aaya phir usne apni aankhe mal kar gaur
se dekha to ek badi hi khubsurat see aurat rehan ki taraf bade hi pyar or dular se use dekh rahi thi or rehan apni aaghosh me liye bhaithi uska sar sehla rahi thi...


rehan ne jab unhe dekha to achanak se hadbada kar uth bhaitha... wo aurat rehan ki is hadbahat par muskura uthi..
rehan ne us aurat se sawal kiya . kaun hai aap..??
or yaha is waqt is ghane jungle me aap kya kar rahi hai..?? us aurat ne phir muskurate hue kaha..
mai kaun hoon kya hun iske bare me bad me sochna beta.. pehle ye lo khana kha lo tumhe bhuk lagi thi naa..??
itna kehte hue unhone pas hi padi hui potli se ek badi see chandi ki thal nikali unki peeth rehan ki taraf thi isi liye rehan unhe dekh nahi paya ke wo kya kar rahi hai..??

par jaise hi wo palti chandi ki us badi si thal bohat sare khane ki chize rehan ko nazar aayi..

wo phir rehan ke karib aakar bhaith gayi or unhone rehan se kaha
...


lo beta kha lo is thali me wo sara saman hai jo tumhari bhuk mitane ke liye kafi hoga..

rehan ke kuch samajh nahi aaraha tha ke wo kya kare ..?? kai sawal uske man me ek sath aagaye the..
is waqt is jangle me ye kaun agaya ..?? ye aurat kaun hai..??
ise kaise pata ke mujhe bhuk lagi hai..??

or rehan ko unse thoda darr bhi lag raha tha.. aakhir rehan ne darte darte unse pooch hi liya...

aaa...aap kaun hai batayi na..?? or aap mujhe kaise janti hai..??
aap ko kaise pata chala ke mujhe bhuk lagi hai..?? f
or ye thali me achanak itna sara khana kaha se aagaya..??

wo phir se muskurakar boli.. are..are..
itne sare sawal ek sath ..??


acha m f t f¢dai tum hare ek sawal ka jawab diye deti hun..

mai tumhe aaj se nahi us roz se jan|¿ti hun jab tum pehli bar is jungle me lakdiyan katne aaye the..

tumhe kya lagta hai beta ..??

tumne gaur nahi kiya kai bar mai khud tumhare sath rehti thi tumhe kai bar lakdiyo ka jo bana banaya ghatta mila karta
tha wo mai hi to tumhare aane se pehle tumhare liye chun kar© rakh diya karti thi..

mujhe tum par bohat pyar aata jab tum apne nanhe or masoom se hatho se itni lakdiyo ka bojh apne kandho par lad kar le
jaya karte the...

tab wo mai hi thi jo upar se tumhari la xkdiyo ko pakad liya
karti thi jiski wajha se tumhe apne kandho par un lakdiyon ke wazan ka ehsas nahi hota tha or tum un lakdiyo ko aram se lekar mandi tak pohanch jaya karte

the..



jab tak tumhara sara saman nahi bik jata tha tab tak mai tumhare sath wahi bhaithi rehti thi or uske bad jab tak tum apne ghar nahi pohanch jate the tab

tak mai tumhare sath chala karti thi or tumhe tumhare ghar tak chod kar aaya karti thi... unhone phir se muskurakar kaha..

to batao din bhar tumhare sath rehne wala bhala tumhe kaise nahi pehcahnega...??







rehan hairat bhari nighaho se unki taraf dekhta raha..



uske honto se koi awaz nahi nikal pa rahi thi ke ab wo kya bole..??



waise uska zyada dhayan to chandi ki us thal par tha jisme alag alag tarha ke khane chun diye gaye the..



rehan ne dhayn se dekha to paya ke us thali me.

halwa poori. paneer ki sabzi . chole bhatoore..or is kism ki na jane or kaun kaun si khane ki chize thi jise rehan ne na aaj se pehle kabhi dekhi thi or na uske naam tak sune the...



khane ko dekh kar rehan ke moo me pani aane laga..



wo rehan ko khane ke taraf aise dekhta hue dekh kar muskuarne lagi... unhone rehan ko muskurate hue dobara kaha..

jab itna man hai to kha kyu nahi lete..?? ye sab mai tumhare liye hi layi hun..

rehan ne apne honto par zaban pherte hue kaha... khana to chata hun ..

pp.pp.pa..par..??

itna kehkar rehan ruk gaya..
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:00 PM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)