Thread Rating:
  • 14 Vote(s) - 2.5 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed
#5
rehan ko ye kya ho gaya hai ..??? wo pehle to kabhi aisa nahi tha..

neha ke zehan par rehan kisi pur israar saaye ki tarha havi hota jaa raha tha..


or wo rehan ki is nayi shaksiyat ke bare me sochti rahi....
din yuhi guzarte chale gaye or rehan ab apne aap ko sambhalne laga tha kam wahi pehle jaisa chal raha tha rozana lakidiya kato or bazar me lejakar becho ..

rehan apne hi hatho se jale bhune chawal or aadi tedi rotiya banata or khuda ka shukar mana kar kha liya karta tha..

na hi uske dil me khuch zyada pane ki lalach thi na hi aage badne ki hawas apni isi halat par wo bohat khush tha par apni maa se bichadne ka ghum use andar hi andar khaye jaa raha tha..

kabhi kabhar apne chachi ke ghar jane ki koshish karta par beizzat or zaleel kar ke waha se bhi nikala jata uski chachi use bohat na pasand karti jiski wajha aaj tak khud rehan nahi jaan paya tha..


par kuch din us par aise aaye ke wo kuch samajh hi nahi paya or apne chacha ke ghar ki taraf badne laga..

hua yu ke gao me dange fasaad shuru ho gaye the jiski wajha se mandi 3-4lagatar band thi rehan bechara kuch kar hi nahi paa raha tha us bechare ki rozi roti to usi mandi se hone
wali kamayi par chala karti thi uske pass ka sara rashan khatam ho gaya ab na hi rashan lane ke liye paise bache the or naa hi paise aane ka koi zariya nazar aa raha tha ..

bechare bacche se jab tak bardasth hua usne apni bhook ko paani ke kadwe ghoont pee pee kar bardast kiya par aaj 3 din se upar ho gaye par uske pet me anaaj ka ek dana tak naa gaya..

majboori or kamzori ki is halat me use apne chacha ka ghar yaad agaya kamzor kadmo se rengte rengte wo kisi tarha apne chacha ke ghar tak pohancha..

use andar se khane ki bohat hi badiya khuboo aa rahi thi andar jakar dekha to samne ke hi kamre me neha..

uski choti behan or bhai bhaithe khana kha rahe the..


neha ne jaise hi rehan ko aate dekha wo khushi se muskurane lagi.. or usne kaha..

andar aayiye na.. bahar kyu khade hai..
akar humare saath khane me shareek ho jaiye..

rehan muskurakar aage bada aaisha ne rehan ko apne bagal me hi chatai par bhitha diya or apni plate aage bada kar use khane ka ishara kiya..

rehan ne neha se poocha..

par tum kis plate me khaogi..?? neha ne muskurakar jawab diya..
aap ki plate se kyu kya nahi kha sakti ..??


nahi neha aisi baat nahi hai..


to phir shuru kijiye ab kis ka intezar hai..


thik hai neha khata hun..


or rehan ne plate me se ek niwala utha kar jaise hi apne honto tak laya waise hi ek zordar thappad uske chere par pada ...

rehan ke hath me rakha hua niwala niche gir gaya or kamzori ki wajha se wo bhi ek taraf ludak gaya..

samne hi uski jallad chachi khadi hui thi..


cahchi rehan ko kha jane wali nazro se deekhti hui boli..

namoorad kahi ke ..teri himmat kaise hui mere ghar me kadam rakhne ki tujhe maine bola tha na ke mere ghar ke aas paas bhi nazar mat aana ... phir tu yaha kyu aaya hai..


chote se rehan ki aankho se aansu nikla aaye.. usne badi hi masoomiyat se kaha..

chachi jaan ..
fasaad or jhagdo ki wajha se pichle ek hafte se mandi band hai mere paas jitna bhi khana tha sab khatam ho chuka tha pichle 3 dino se maine kuch nahi khaya aaj jab bhook bardast se bahar ho gayi tab majboori
ki wajha se mujhe aap ke ghar aana pada aap mujhe thoda sa khana khilwa do jaise hi mandi phir se shuru ho jayegi mai aap ke rashan ke sare paise wapas lauta doomga kasam se..


chachi phir dhadti hui boli..


mai kuch nahi janti,,
tu 3 din ka bhuka ho ya 3 mahino ka mujhe tujh se koi lena dena nahi hai.. neha ne aage bad kar kaha..
ruk jaiye ammi jaan wo keh rahe hai na ke aap ko paise de denge
or waise bhi mai unhe apne hisse ka khana khila rahi hun phir aap ko kya takleef hai..??

cahchi ne neha ko ek taraf dhakka dete hue kaha...

tu chup kar neha mere bich me mat bol warna abhi bands ki lakdi se
teri khal udhed kar rakh dungi samjhi chup chap jakar apna khana khatam kar.. or rehan ke taraf dekh kar boli ..
or tu..

paida hote se apne baap ko kha gaya...

uske kuch din baad apni maa ko kha gaya manhoos kahi ke.. ab yaha kya hume khayega manhoos ..??
door hoja meri nazro se or aainda phir kabhi mere ghar me aane ki jurrat mat karna warna mujh se bura koi na hoga,,

rehan phir bhi wahi khada raha..

or neha ke chote bhai behan ko kahte hue dekhta raha..


chachi ne foran rehan ka hath pakda or use ghar ke darwaze se bahar dhakel kar darwaza band kar diya...


rehan ki aankho se achanak aansoo nikal aaye...

ek hasrat bhari nighaho se usne apni chachi ke ghar ko dekha...

takate to uske pas itni thi jiske dum par wo abhi ke abhi is ghar ko gira kar mitti me mila sakta tha... ya apni us chachi ko ek acha sa sabak sikha sakta tha ..
par har surat me takleef neha ko hi hoti or rehan apne aap ko takleef me dekh sakta tha par neha ko...??

kabhi nahi wo neha ko bohat zyada pasand karta tha isi liye wo bina kuch kahe aankho me aansu liye waha se aage bad gaya..



aaj use badi hi shiddat se apni maa ki yaad aa rahi thi purane zakhmo ko kured kar aaj phir uski chachi ne uske zakhmo ko hara kar diya tha...


uske dil se aaj sirf dard bhari aahe or sadaye hi nikal rahi thi ...

dil jab rota hai to uske sath sath ye aasman o zameen bhi roti hai ...

aaj rehan thake or bhojal kadmo se apni jhopdi ki taraf bad raha tha usi dauran use ke dil ke rote rote ye sara ka sara aasman bhi ro pada..

or achanak jhama jham barish hone lagi..

raste par maujood sare ke sare log barish se bacne ke liye idhar udhar bhagne lage par rehan raste ke bicho bich is barish se bekhabar chala jaa raha tha..

jab wo ek ghar ke samne se guzra to ek angan ki chat ke neeche khadi hui aurat ne use awaz lagayi.. beta ...
barish me kyu bhig rahe ho idhar aajao warna bimaar pad jaoge...


rehan ne muskurakar us bhali aurat ko jawab diya.. mujhe barish me bhigna bohat acha lagta hai khala...
aurat ne muskura kar poocha..r kyu beta..??
tumhe barish me bhigna kyu acha lagta hai...


rehan ne phir jawab diya ...


kyuke koi bhi ye nahi jaan pata ke mai ro raha hun or meri aankho se girne wala paani asal me barish ki boonde nahi mere aansu hai...

rehan itna keh kar aage bad gaya..


wo aurat us ajeeb ladke ko badi hi hairat se jate hue dekh rahi thi...
usne socha itni si umar or bato me sare jahan ka dard chupaye ye bacha aakhir kaha jaa raha hai...?? or us aurat ke dekhte hi dekhte rehan barish ki is aandhi me kahi gum ho gaya...
rehan akela is barish me bhigta hua chala jaa raha
tha use pata hi nahi tha ke use jana kaha hai..??

bas uske kadam yuhi chale jaa rahe the or wo bhi bina soche samjhe kadam badaye jaa raha tha..

wo soch raha tha..

kya aurte aisi hi hoti hai..?? jaisi uski chachi thi..??

agar aisa hai to aaj se mujhe lafz aurat or aurat zaat se nafrat hai... usne apne hi dil me socha ..

par ruk ja rehan..

uske dil ne use awaz dee..

or usi ke dil ne use jawab diya..

rehan...teri maa bhi to ek aurat hi thi na..??

kya itni jaldi uski mohabbat uski shafaqqat or uski mamta ko bhul gaya tu..???

or tere dil me basne wali neha...??

wo bhi to ek aurat zaat hi hai phir kyu na tu usse bhi nafart karne lag jaa tujhe kisne roka hai..??
achanak hi aurat ke teen alag alag roop uski nigaho ke samne agaye.. ek roop uski maa ka tha jise wo apni zindagi se bhi zyada chata
tha apni maa ke ek ishare par wo apni jan de sakta tha ya kisi ki jaan
le sakta tha..
dusra roop tha neha ka.. neha ...
soch kar hi dil o dimaag ko ek sukoon or rahat ka ehsaas hua karta tha.. neha rehan ki zindagi me shamil ek aisi ladki jise wo apni dil ki gehraiyo se pasand karta tha chata tha ..

neha me wo sari khubiyan thi jo ek sharik-e-hayat me honi chayie...

is zindagi ko khushgawar or ghar ko jannat bana dene wali aurat ka ek roop thi neha ek behtareen humsafar..



or ek aurat ka teesra,, aakhri,,or sabse bhayanak roop tha uski sagi chachi..

sang dil ..bereham or jeete ji is duniya me hi dozak ka manzar dikha dene wali uski chachi..
naam se hi nafrat ho rahi thi uske...

chachi ka kaha har lafz abhi tak rehan ke kano me gunj raha tha..


manhoos..paida hote se hi apne baap ko kha gaya.. uske kuch dino baad apni maa ko kha gaya..




to kya mai sach me itna manhoos hun..?? usne ek sawal apne aap me dhauraya..
kya meri wajha se mere abbu or ammi is duniya me nahi rahe..??


haan ,,,
yahi sach hai mai hi is tabahai ki wajha hun meri manhoosiyat ne hi mere maa baap ko mujh se juda kar diya..

or rehan in sari bato ka dosh apne aap ko dene laga.. chalte chalte achanak us ke kadam ruk gaye..

saamne hi qabaristan ka bada sa gate nazar aaya..


uske kadam use kabaristaan ki taraf le aaye the..


acahanak hi maa ki yaad ne dil me dard ki ek lehar utha dee.. ammi ki yaad se dil me lallak si uthi..
wo aage bada or apne hatho se gate ko khol kar andar daakhil hua..

kabro ki bich se hota hua kuch aage bada
to use saamne hi apni maa ki qabar nazar aayi..



qabar par dale gaye phool ab murjha chuke the.. khuc pattiyan or naye pode qabar par uge hue the..


barish lagatar hone ki wajha se zameen kafi bhigi or gili thi rehan ke paao bar bar kichad me phas jate phir bhi wo kisi tarha apni maa ki qabar tak pohanch gaya..


qabar ke sirhane bhaitha or achank se hi uske honto se ek sada nikli.. maa........
dil ko chir dene wali rooh ko jhajhod kar rakh dene wali awaz thi rehan ki...

apni maa ko pukarne ke baad hi thodi der tak wo khamoosh raha shayad use umeed thi ke uski maa abhi aakar use apne aancahl ki chaao me le legi or use is barish me bhigne se bacha legi..

par..

par aisa kuch nahi hua..


wo hasrat bhari nighaho se apne maa ki kabar ko dekhne laga.. or acahank hi uski aankho se aansuo ki barish hone lagi..
wo zaar-o-qatar rone laga..
or rote rote kene laga.. ammi...
kya mai hi teri maut ki wajha hun..??
kya meri hi wajha se tu ab mere pass na rahi..???

wapas ajaa ammi..
khuda ke liye wapas aaja..

mai ab kabhi koi shararat nahi karunga.. tujhe kabhi nahi sataunga..

kya meri shararato ka tune itna bura maan liya jo tu mujhse rooth kar chali gayi..??

kya mai itna bura hun maa..??

tune mujhe is zaalim duniya ki bhid me tanha kyu chod diya maa..??



lafz uske honto se pisalte cahle jaa rahe the wo khud nahi jaan paa raha tha ke aakhir wo keh kya raha hai..??



bas dil tootne ki awaz thi or uske honto se nikalne wale alafaz the waha par..



jazbaat ki shiddat ne use is kadar andha kar diya ke wo pagal sa ho gaya ..

or achanak use aisa laga jaise ke uski maa ne use pukara ho.. rehan..

mat ro mere bacche mei to yahi hun tere paas phir tu kyu is tarha apne

aap ko mere gham me barbaad kiye jaa raha hai mere bacche..??



rehan ..

ke chere par ek muskurahat si agayi..





use aisa laga ke uske maa ne use qabar ke andar se awaz dee ho or wo qabar par jhuka or use khodne laga..

ke shayad andar maa zinda ho.. abhi zara sa hi khoda hoga ke..

acahank hi kisi ne use peeche se pakar kar khincha or ek zordaar

thappad uske chere par maara.. rehan foran hi ek janib gir gaya..

ye qabarstaan ki dekh rekh karne wale hazrat the.. unhone aage bad kar rehan ko uthaya..

or ek shaffaqat bhara haath rehan ke sar par phera.. or usse poocha..

rehan beta..



ye tu kya kar raha tha..??
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Roohani Takato ka malik- REHAN ( EK ANOKHA ) Completed - by hirarandi - 09-10-2024, 03:00 PM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)