13-08-2024, 12:54 PM
Lakhan singh waha maujood saariyo ko hath me lekar mehsoos karne lage. Waha kaachivuram, banarsi, jodhpuri, bengali tarah tarah ki saree. Man hi man wo vineeta jee ko in sariyo me imagine kar rahe the ki in sariyo me kitni sundar lagegi. Wo vineeta jee ke liye ye saree lena chah rahe the unka dil keh raha tha ki yahi sahi vastu hai Satee. Achanak unki nazar ek saree par padi jisme chhote chhote kaanch ke gol tukde lage the jisme lakhan jee ko apna pratibimb dikhai de raha tha. Aur us sheeshe par nazar padte hi unke zehen me subahb wale patra ki wo line click kari ki Devi Aphrodite ko sringaar ka bahut shauk tha aur unka kaafi samay khud ko aaine me nihaarte hue beetta tha. Aur Lakhan singh un saariyo ko wahi chhod kar us dukaan ko dhoondne lage jaha unhe wo vastu milne wali thi jo Devi Aphordite ko sabse adhik priya thi. Aur jald hi Lakhan singh us dukaan thi aur wo dukaan thi Darpan ki Dukaan.
Lakhan singh ne waha se ek sundar sa darpan liya aur us darpan ke sath us mahila ne unhe ek aur naksha diya. Nakshe me 12 km door ki ek jagah dikhai gai thi.
Lakhan singh ne us mahila ko dhanyawaad kara aur ek baar phir apne ghode par sawaar hokar us nakshe me batai jagah ke liye nikal pade. Suryaast hone me ab bhi lagbhag 1:30 ghante ka samay baaki tha aur Lakhan singh ka ghoda tez gati se apni manzil ki taraf dauda ja raha tha. Lakhan singh 10 km ka safar pura kar chuke the par iske aage unhe ruk jana pada kyuki aage ek mahila unka raasta roke khadi thi. Us jagah par aas paas ke vatavaran me unhe behad bheeni bheeni madak kamuk sugandh aa rahi jiske saamne us itr ki sugandh bhi fail thi. Lakhan singh ne us mahila se raasta rokne ka karan poocha.
Lakhan: Devi jee aap mera marg kyu roke hue hai mujhe kahi pahuchna hai jald se jald.
Mahila: Mai janti hu aur meri yaha uapsthiti is baat ka pramaan hai ki aap sahi raste par hai par apka raasta mujhse hokar hi aage jata hai.
Lakhan: Matlab mai kuch samjha nahi.
Mahila: Apko ye bheeni bheeni sugandh mehsoos ho rahi hai.
Lakhan: Ha ho to rahi hai bahut hi achhi sugandh hai.
Mahila: Ye menhdi ke paudho ki sugandh hai. Apko subah jo patra mila tha usme bhi menhdi ka zikra tha yaad hai na apko.
Lakhan singh( yaad karte hue): Ha yaad aya us patra me bataya gaya tha ki Devi Aphrodite ke shareer se Menhdi ki badi hi madak sugandh aati thi jise soonghne wala deewana ho jata tha.
Mahila: Matlab apne wo patra bade dhyan se pada tha bilkuk sahi kaha aapne. Ab is menhdi ki bhi aaj ki puja me mehetvapoorna jagah hai, yaha se thodi hi door menhdi ke paudho ka baag hai. Apko waha jana hai aur waha se menhdi ki pattiya tod kar.unhe pees kar uska lep is patra me bharkar mere paas wapas lana hai. (Mahila ne ek jug numa patra Lakhan ki taraf bada diya jo lagbhag 1 liter ka hoga). Patto ko peesne ke liye silbatta aur pathar wahi rakha hai.
Lakhan singh ne socha tha wo suryast se pehle hi jald apni manzil tak pahuch jaega par is nae karya ne uski samasya ko bada diya use jald se jald ye karya karna hoga.
Mahila: Kis soch vichaar me doob gae aap menhdi to apko laani hi hogi kyuki apki laai gai is menhdi se hi apki patni ka sringaar hoga unke haath pairo me apki laai hui mernhdi hi lagai jaegi.
Jab Lakhan singh ko ye pata chala ki uski laai hui menhdi se hi Vineeta jee ka sringaar hoga ab to unhe har halat me Vineeta jee ke liye achhi se achhi menhdi laani hi thi wo bhi niyat samay ke andar. Lakhan singh ne turant wo jug us mahila ke hath se le liya aur us sugandh ki disha me chal pada. Kuch hi pal baad wo us menhdi ke baag me pahuch chuke the.
Pura vatavaran menhdi ki sugandh se mehek raha tha. Wahi paas me rakha silbatta aur pathar bhi lakhan singh ko dikh gaya. Lakhan singh ne samay vyarth na karte hue menhdi ke paudho ki kuch badi badi daaliya tod li aur unke patte chhantkar unhe silbatte par rakhkar peesna shuru kar diya. Lakhan singh ko ghar par silbatte par chatni peesne ka experience tha isliye ye kaam unke liye naya nahi tha. Bus samasya thi samay jo bina ruke lagataar aage badta ja raha tha aur yaha Lakhan singh silbatte par menhdi pees rahe the.
Lakhan singh ke hath tez tez chal rahe the wo patte tod tod kar silbatte par lakar use pees pees kar uska lep us jug me bharte ja rahe the.Aadhe ghanta ho chuka tha par abhi bhi wo jug pura nahi bhara tha par phir bhi wo thoda relax the kyuki yaha se kewal 2 km ka safar shesh tha jo ghode par baithkar wo aram se 10 min me pura kar lenge aur suryast se pehle apni manzil tak pahuch jaenge. 15 min aur peesna bahane ke baad Lakhan singh ne wo pura jug menhdi ke lep se bhar diya. Kaam samapt kar wo tezi se wo jug lekar us jagah par wapas laute jaha wo mahila khadi unka intezaaar kar rahi thi par ab wo Lakhan singh ke ghode par baithi thi. Lakhan singh wo jug numa paatra lakar us mahila ke hath me de diya.
Mahila: Waah aap le aae par kaafi jada samay lag gaya aapko. Khair mai usi bhawan par jaa rahi aap bhi suryast se pehle waha pahuch jaiyega mai apko wahi milungi. Aur ha apka ghoda le ja rahi ab 2 km ka safar paidal thodi na jaungi. Sheeghrata kariye suryast hone me ab sirf adha ghanta hi shesh hai.
Itna kehkar wo mahila ghoda lekar chali gai aur Lakhan singh bechara sa muh lekar wahi khade reh gae.Ab bechare Lakhan singh kya keh aur kar sakte the. Wo to is umeed me the ki ghode par baithkar jald hi ye safar pura kar lenge par ghoda to wo mahila le gai aur ab bache hue 2 km unhe paidal hi pure karne the. Lakhan singh ne nakshe ko gaur se dekha aur tez gati se paidal hi apni manzil ki disha me daud pade.
Surya dheeme dheeme ast hone ki taraf badta ja raha tha aur Lakhan singh apni puri takat se apni manzil ki taraf daude ja rahe the. Surya aur Lakhan singh me ek alag hi race si chal rahi thi dekhna tha ye race kaun jeetta hai.
A Wedding Ceremony in Village
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179