10-08-2024, 10:48 AM
Lakhan singh us pure mele ki har dukaan ka tehel tehel kar nirikshan karne lage. Unke dimaag me wo subah wala patra ka ek ek shabd chal raha tha ki wo kaun si vastu ho sakti hai jo Devi Aphrodite ko sabse adhik priya thi. Lakhan singh jis bhi dukaan ke saamne se guzarte waha maujood mahila unka abhivaadan karte hue apni dukaan me maujood samaan dikhate hue aise darsha rahi thi ki uski dukaan hi sahi dukaan hai aur uske paas hi sahi naksha hai.
Lakhan singh bindi ki dukaan ke saamne se guzre to waha tarah tarah ki sundar bindiya thi. Ek pal ko unke dimaag me aya ki bindi lagane se aurat ki sundarta bahut bad jaati par kya bindi sahi vastu hai.
Aage sindoor ki dukan thi unke man me khayaal aya ki sindoor se hi aurat ka suhaag hota hai bina sindoor ke aurat suhagan nahi kya sindoor ho sakta hai. Jab wo itr ki dukaan ke saamne se guzre to waha se aati tarah tarah ke itr ki sugandh ne barbas hi unka dhyan apni taraf kheech liya. Itr ka shauk to unko bhi bahut tha aur waha aise aise natural itr the jinki kabhi unhone mehek nahi soonghi thi. Wo waha maujood alag alag itr ko soongh kar uska anand lene lage. Wo bhool hi gae wo yaha ek mehetvapoorna karya se aae hai. Waha maujood mahila ne hi unhe unka vastavik karya yaad dilaya.
Mahila: Aapne bilkul sahi chunaav kara hai, aap itni saari dukaano ke saamne se guzre par kahi apka dhyaan vichlit nahi hua par is dukaan se aati itr ki madak sugandh ne apko apni taraf aane ko majboor kar diya. Ab aap khud hi sochiye isse jada mehetvapoorna vastu aur kya ho sakti hai stree ke sringaar ki jo purush ko apni taraf akarshit hone ko majboor karde.
Lakhan singh ko bhi kahi na kahi uski baate sahi lag rahi thi. Unhone ek pal ko man me chintan kara aur phir us dukaan se ek behad sugandhit itr ki sheeshi leli. Sheeshi ke sath us mahila ne ek naksha bhi Lakhan singh ke haatho me tham diya. Lakhan singh ne wo patra khola jisme ek marga dishao ke anusaar darshaya gaya aur yaha se 20 km door wo bhawan dikhaya ja raha tha. Lakhan singh bina der kiye wo itr ki sheeshi aur wo naksha lekar us safed ghode jispar baithkar wo aae the par sawar hokar us nakshe me darshae marg se hote hue tez gati se manzil ki taraf bad chale takreeban ded ghante me wo us nakshe me darshai jagah par pahuch chuke the par yaha bhawan to door door door tak koi jhopdi bhi nazar nahi aa rahi thi.
Jise ye to saaf ho gaya tha ki Lakhan singh ne galat vastu chun li thi. Unhe us mahila par bahut gussa aa raha tha par yahi to pariksha thi kahi na kahi wo khud se bhi gussa the unhone apne chunaav me thoda aur dhyan dena chahiye tha. Unhone apne sir ke upar chamakte surya ko dekha uski sthiti se spasht tha ki abhi suryast hone me lagbhag 3 ghante ka samay shesh tha yani wo ab bhi wapas jakar sahi vastu chun sakte the. Wo bina ek bhi pal ki der kiye dubara ghode par sawaar ho gae aur tez gati se wapas us mele ki taraf daud pade. Is baar ghode ki gati pehle se thodi dheemi thi wo samajh gae ki ghoda bhi lagatar chalne ke karan pyasa hai. Raaste me unhe ek talaab dikha jaha unhone khud bhi paani piya aur ghode ko bhi paani pilaya par is sabme bhi unka kuch samay vyarth ho gaya.
Lakhan singh (ghode ko sehlate hue): Dost mere paas jada samay nahi hai mujhe tumhari sahayta ki zarurat hai please dost meri madad karo.
Jaanwar bhi pyar ki bhasha achhe se samajhte hai Lakhan singh ke is pyar dulaar ko dekh us shwet ashva ne uttar me apna sir jhuka diya. Lakhan singh ne aage bad kar uske maathe ko choom liya aur dubara us par sawaar ho gae. Is baar to us ghode ki tezi dekhte hi ban rahi thi. Pani peene me samay lagne ke bawjood us ghode ne ded ghante ka safar ek ghante me poora karke Lakhan singh ko dubara us mele tak pahucha diya. Lakhan singh dubara mele me daakhil ho gae. Sabse pehle unhone wo itr ki dukaan dhoondni chahi par wo hairaan the kyuki wo dukaan ab waha se gayab thi. Shayad lakhan singh ko bhramit karne ka uska kaam pura hua isliye wo dukaan hata di gai.
Ab Lakhan singh baaki dukano ko dhyan se dekhne lage, wo jante the ki ab unke paas bus ek mauka aur hai kyuki agar is baar phir unhone galat vastu chuni to dubara itni door jakar wapas ana aur phir teesri baar koi vastu lekar suryast se pehle apni manzil tak pahuch jana sambhav nahi hoga aur shayad ye ghoda bhi itna safar nahi kar paega. Isliye is baar unhe jo bhi chunna hai bade dhyan se dimag laga aur subah ka patra yaad karke hi chunna hoga. Unhe samajh nahi aa raha tha wo kya chune sindoor, bindi, lipstick achanak wo saree ki dukan ke saamne pahuche aur saree ki dukaan ko nihaarne lage. Waha dukaan me tarah tarah akarshak saree thi.
Lakhan singh (man me) : Kya saree wo vastu ho sakti hai.
A Wedding Ceremony in Village
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179