09-08-2024, 04:52 PM
Lakhan singh us safed kabootar ka kaafi door tak peecha karte karte ek mele tak le aya jaha kai dukane lagi thi jaha aurto ke saaj sringaar ki alag alag dukaane lagi thi. Par un dukaano ki khaas baat ye thi ki har dukaan alag alag samaan ki thi par us dukaan par kewal ek tarah ka samaan hi mil raha tha. Jaise kajal ki dukaan par sirf aur sirf kajaal hi tha, lipstick ki dukaan par tarah tarah ke rango ki lipstick hi thi, nail polish ki dukaan par kewal nail polish mil rahi thi inke alawa bindi,saree,sindoor, powder, inner wear(bra), inner wear(panty),chppal, eye shadow, darpan, sungadhit itr, tarah tarah ke hair oil, face pack, creams, gaalo ki laali,yaha tak ki sabun ki bhi dukaane the. Lakhan singh ko samajh nahi aa raha tha ki yaha is mele me unhe karna kya hai.
Wo ye sab soch hi rahe the ki tabhi chhota sa ladka bhagta hua aya aur lakhan jee ko ek patra thama kar wapas bhaag gaya. Lakhan jee ne use peeche se awaaz di par wo pal me unki aankho se ojhil ho gaya. Lakhan jee ne wo patra khola jisme aghori ka ek aur sandesh likha tha.
" Lakhan jee agar ye patra apko mil chuka hai matlab aap us kabootar ka peecha karte karte is mele tak pahuch gae hai jaha kewal aurto ke saaj srigaar ki hi dukaane lagi hai wo bhi alag alag vastuo ki. Har dukaan me samaan bechne ke liye ek ek mahila khadi hai, aur har mahila ke paas ek naksha hai par un sab naksho me se kewal ek naksha sahi hai baki sab galat aur us sahi nakshe me us bhawan ka pata hai jaha aaj ki Venus puja ke aage ke charan pure hone hai. Vineeta jee bhi apko wahi milengi. Is mele se ek baar me kewal ek cheez hi le sakte hai aur jis bhi dukaan se aap koi vastu lenge us dukaan ki mahila apko ek naksha degi aur nakshe ke sahare apko aage ka safar pura karna hai. Ab agar apko sahi naksha mila to aap apni manzil tak pahuch jaenge aur agar aap galat dukaan par gae to aap ek galat jagah pahuch jaenge aur apko dubara wapas akar phir se is prakriya ko doharana hai jab tak ki apko sahi naksha na mil jae. Aur dhyan rahe is prakriya ko pura karne ke liye apke paas kewal suryast tak ka samay hai. Agar suryast tak aap us bhawan tak nahi pahuche to ye saari dukaane hat jaengi aur apki aaj ki puja bhang ho jaegi. Par ab ye soch rahe honge ki wo sahi naksha in sab dukaano me se kis dukaan ki mahila ke paas hai to sahi uttar usi patra me tha jo apko shuruaat me diya gaya tha aur kaha gaya tha ki ise behad dhyaan se padiye. Ab usi patra ko dhyaan kariye aur sochiye stree ke sringaar ki wo kaun si vastu hai jo Devi Aphrodite ko sabse adhik priya hai. Asha hai aap sahi chunaav kare aur saralta se apni manzil tak pahuch jae. Shubhkaamnae. "
A Wedding Ceremony in Village
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179
https://xossipy.com/showthread.php?tid=1...9#pid41179