31-03-2024, 09:00 PM
Chapter 38
Pir hum dono niche Gaye jaha mera hi intejar ho raha tha aur hall me pahuchte hi...
Najiya, kab se wait kar rahi hu tum niche aab aa rahe ho parathe bhi thande ho gaye ruko my garam kar deti hu pir kha Lena samjh gaye na,
Main, Are bhabhi rahne do mujhe Jayda bhukh nahi hai bus ek ya do parathe hi khaunga
Ekra baji, kyu abhi thodi der pahle to bol rahe the ki bahut bhukh lagi hai jaldi nasta banao aur ab bol rahe ho bhukh hi nahi hai kahi uper Jake kuch kha to nahi liye aur hasne lagi,
Main, maan me socha "Mujhe to sak tha kahi ekra baji hi to mere room ke bahar khidki pe to nahi thi" pir bhabhi ne nasta le ai aur my baith k nasta karne laga aur nasta karne ke baad my bahar chala gaya car me aur bhaiya tant walo se kuch baat kar rahe the aur mujhe dekhte hi Sameer tum ja rahe ho to kuch paise rakh lo bus wale ko bayana jo Dena hai,
My ghar ke ander gaya aur najiya se paise liye aur leke car ko transport Nagar ke or badha diya aur waha pahuch ke bus wale ke office me Jake pahucha to waha sardar uncle bhi baithe the, Sardar, oye puttar tu yaha aaj kaise,
Main, wo uncle sarif aur Aamir ki barat Jane ke liye yaha se bhaiya ne bus book ki hai 35 sitter usi ka bayana dene aya hu aur my paise nikal ke waha baithe ek admi ko diya aur use barat Jane ki time aur aur date ko register me likhwa ke bahar aya aur sath me sardar uncle bhi,
Sardar uncle, Beta chal mere sath mere office me tere naam car k paper ho chuke hai use apni car me rakh le nahi to kisi din car bina papar ke pakada sakti hai, thik hai uncle, Pir hum dono sardar uncle ke office aya aur apne car ki papar liya pir waha se chal diya car wale ke office jo dulhe ke liye book Kiya tha bhaiya ne, waha ja ke dekha to office me ek Sundar si ladki baithi hui thi reception me aur mujhe dekhte hi, may I help you sir,
Madam mere bhai ne shaadi ke liye car apke yaha se book karwai hai usi ke silsile me baat karni hai,
Reception gir, shaadi ki date batay, my 27 dec, ok sir yaha do car book hai aap be fikar jay yaha time bhi likha hua hai usi time pe apke Ghar ke paas Jake khadi ho jaygi, my uski taraf dekh ke ab meri tension dur ho gai madam ab chain ki sas lunga pir my chalta hu,
Reception girl, rukiye sir chay pi ke jaiye my mangwati hu, Thodi der ke baad chay aa gaye aur wahi ke chair pe baith ke pine laga aur reception girl mujhe ghure ja rahi thi sayad pahchane ki kosis kar rahi thi,
Pir thodi der baad mujhe pahchan gai aur tapak se boli Sameer tum hona my ha me sir hilaya,
Reception girl, tumne mujhe nahi pahuchana my tumhare class mate hu aaj itne salo ke baad tum to pahchan me hi nahi aa rahe ho pahle to kitne duble patle hua karte the lekin ab dekh lo tum to bodybuilder hi ban gaye ho, My abhi bhi nahi pahchana tumhe pahle my kisi ladki se baat bhi nahi kar pata tha is liye aaj tak meri class me kitni ladki thi kitni nahi wo mujhe nahi pata,
Ha Sameer tum sach kah rahe ho pir bhi mera naam hai jaspreet kaur aur ye mere papa ka hi tour and travel ka office hai aur my hi ise dekhti hu mere bhai to hai nahi hum 3 bahne hi hai ghar me aur papa ka bimari s tabiyat kharab rahti hai,
Main, Sorry jassi mujhe nahi pata tha ab to humesha hi mulakat hoti rahegi waise abhi rah kaha rahe ho tum log,
Jaspreet, Lagbhag yaha se 10 km dur hi Mera Ghar hai kabhi ao mere Ghar ab to Jan pahchan ho gai hai,
my use bich me rokte hue bola Ruko my ata hu my jaldi se apne car me gaya aur usme se ek shaadi ki card ko nikal ke laya aur usme Jaspreet Kaur with family likh ke office ke ander aya aur use pakadte hue dekho 27 ko mere bhatija ki shaadi hai aur 30 Dec ko meri bhatiji ki shaadi hai aur tumhe 30 Dec ko ana hoga usdin shaadi ke sath mere dono bhatijo ka walima (reception) bhi hai samjh gai na aur tumhari shaadi ho gai ki nahi,