05-03-2023, 02:32 PM
Bahurani
Yeh ek short story hogi. Kuch hi updates ayengey. Par asha karta hoon story aap sabko pasand ayegi. Apna feedback zarur dijiye aur accha lagey toh like and reps bhi de saktey hai.
Part- 1
Yeh us samay ki kahaani hai jab zamindar raaj chalta tha. Kolkata ke ek gaon ke zamindar Rudranath ka raaj tha. Gaon ke sab log Rudranath ko bahut maante hai aur darrte bhi hai. Kyunki aapne jawaani mein unhone jo atyachaar kiya hai woh aaj bhi gaon ke logon ko darraata hai.
Ab Rudranath ka umaar 70 saal ho gaya hai. Ab unka zamindaari unke barey betey Rajendranath samhalta hai. Lekin abhibhi pitaah se adesh lekar hi Rajendra sab kam karta hai. Rajendranath ki shaadi ko 5 saal ho gaye hai aur unka ek chota baccha bhi hai. Rudranath ka majla yani dusra beta apni paraai ke liye vilayaat gaye hai. Aur chota beta Animesh abhi bhi bahut chota hai.
Aaj bahut samay baad Rudranath ka dusra beta Tarun videsh se laut raha hai. Waise toh yeh zamindaar parivaar ke liye Anand ka samay hona chahiye tha.. Par abhi koi bhi us halaat mein nahi hai. Videsh se lautne se pehele Tarun ne ek chitthi apne ghar vejaa tha. Usko parkey Rudranath ke deemag pe gussa saathwe asmaan me pahuch gaya hai. Tarun ko videsh mein ek videshi ladki se pyaar ho gaya hai, aur woh us ladki ko lekar hi laut raha hai apne desh. Dono sath me zindagi guzarna chahtey hai.
Rudranath us letter ko parkey gusse se Haveli ke chad pe idhaar udhaar chal rahe hai. Baaki sab gharwale bhi wahan majud hai. Lekin Zamindar Rudranath ke agey samne jana bhi koi nahi chahta is waqt. Itna gusse mein hai woh.
Rudranath - কুলাঙ্গার ছেলে একটা!! (Kalanakit kar diya usne).....Ek bangaali zamindar ghar ka beta hokar ek videshi larki ke saath!! Chi.. Chi!! Khandaan ka naam mitti mein mila diya..... Paraai ke liye vilayat bheja tha usko taaki humara naam aur barey aur woh nalayaak wahin ke ladki ko lekar aa raha hai.... Bolta hai shaadi karega!! Itni dussahaas!! Ab ek firangi is ghar ki bahu banegi?!!
Rudranath ki patni kamla bolti hai - meri baat zara suniye
- Kuch nahi sunna hai mujhey!! (Chilla kar boley Rudranath.)
- Yeh shaadi kabhi nahi ho sakti. Jab Tumharey beta us ladki ko lekar aye toh bol dena usey... Yeh mera adesh hai...... Agar woh meri baat sunega toh hi ghar ke under ayega.... Varna is ghar ke under pair bhi na rakhkey woh kambhakt!
Kamla- meri baat suniye..... Woh aapka beta hai.... Aap toh bahut pyar karte hai ussey.... Woh agar ek videshi ladki se shaadi karna chahata hai toh usmein kya buraai hai?
Rudranath - Kamla tum jaanti ho kya bol rahi ho tum? Arey woh ek videshi ladki hai...... Chalo fir bhi maan leta aggar bangaali na hokar dusri kahin ki hoti... Lekin tumhara beta toh usse bhi agey var gaya.. Ek vilayti ladki! Kabhi nahi..... Agar aisi adhunik soch wali ladki is parivar me aa gayi toh sarey riti riwaz kaida kanoon mitti me mioa degi! Is paribaar mein uska koi jagaah nahi ho sakta... Main kabhi yeh rishta maan nahi sakta....
Kamla - par.... Hum agar unka rishta naa mane toh kahan jayengey woh? Meri baat maaniye ji..... Unka rishta maan lijiye..
Rudranath - arey tum samajh nahi rahi ho.... Woh ek videshi ladki hai.... Kaise maan lu ek videshi ko apni bahu? Humlog in videshi ko bilkul bhi pasand nahi karte aur naahi unpe biswas karte hai... Bahut chalak hote hai yeh log..... Nahi... Nahi..... Kabhi nahi... Is ghar mein uski koi jagah nahi. Aur naahi tumhare betey ki. Nalayak kahinka!
Kamla roti hui pati ke paas akaar bolti hai - eji...... Aapke pair parti hu..... Mera laadla beta itne din baad aa raha hai usko aise nikalo maat.. Woh toh aapka bhi beta hai...... Ek maa se uske betey ko maat cheeno.
Apni patni ke rota hua chehra dekhkar Rudranath ka gussa thora shaant hua. Lekin abhibhi gussa tha under. Par apni patni ke aankhon mein ansu dekhkar na chahte hue bhi woh boley - accha theek hai theek hai... Ro maat uffffff.....
Kamla - toh aap yeh rishta maan lengey?
Rudranath firse gusse se - nahi!! Maine jo bola hai uspe ataal hu...... Is ghar pe unka koi jagah nahi..... Lekin....
Kamla- lekin kya ji?
Rudranath - main tumko bhi aise rota hua nahi dekh sakta isliye bol dena tumhare us laadley ko jisse chahe shaadi karey.....
Kamla khush hokar - sach mein... Shukriyaa aapko
Rudranath - lekin ek baat jaanlo kamla... Is ghar mein us vileti mem ka koi jagaah nahi.... Yahan nahi rehe sakte woh
Kamla - toh..... Toh kaha rahrngey woh dono?
Rudranath - humarey dusrey haveli woh Araam Haveli.....jo gaon ke chotey talab ke paas hai wahan rahegi woh. Agar is baat se tum raazi ho toh dekho.. Varna main aur kuch nahi kar sakta.
Kamla waise toh pati ke is baat se raazi nahi thi par kuch nahi se thora kuch accha hai. Woh raazi ho gayi. Kamse kaam beta aur bahu se rishta toh jura rahega. Unke saath nahi toh kamse kam isi gaon me toh rahengey. Ek dusre se zarurat me mil payengey. Rishta banaa rahega. isliye Kamla maan gayi.
Rudranath - theek hai..... Rajendra.. Zara suno...
Rajendra- jee pitaaji?
Rudra - gaon ke humarey us dusri haveli ko saaf sutra karwa do... Tumhara bhai aur uski videsi bahu wahi rehengey.
Rajendra- jee pitaji.... Aaj hi karwa dunga.
Rudranath - sirf tumhare liye maine sabaan liya kamla..... main apney kamrey mein jaa raha hu.... Tumhaa woh ladlaa aye toh usey sab bol dena... Aajke baad main uska shakal bhi nahi dekhna chahta....
Rudranath chaley gaye. Rajendra bhi haveli ke naukar logon ko adesh diya je kuch aur naukar ko saath lekar us dusri haveli mein chale jaye aur uska saaf karna shuru karde.
Dopahar ko zamindar haveli ke bahaar ek gaadi akaar ruki. Us gaari se utrey ek jawan ladka aur fir us ladke ne bahut pyaar se ek ladki ko bahaar nikala. Haveli ke samne hi Kamla, uske dono bete Rajendra aur Animesh aur Rajendra ki bahu Revati intezar kar rahi thi.
Rudranath ki tarah Rajendranath bhi apne bhai ke is faisley se khush nahi tha. Woh bhi gusse mein tha Tarun ke upar. Lekin jab usne pehelibaar Tarun ke saath us ladki ko gadi se utar ke Haveli ke under ataa hua dekha toh uske hosh urr gaye.
Gusse wala shakal jaise hairan ho jata hai. Rajendranath jaise confuse ho jata hai ek baat se. Yeh jo dheere dheere sirion se upar aa rahi......Yeh kya koi Apsara hai?!!!
To be continued....