Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Sarkaar ( Satta aur Aiyyashi ki Chabi)
#5
Tabhi mera matha thanka aur meine pucha kya kaha apne mere dada ji ka katl hua ? Par koi unko kyu marega log to unko bhagwan ki tarah pujte h meine dekha h waha ke logo ko, log unke liye jaan dene ko taiyyar rahte h to fir koi itna gussa kaise ho sakta h unse ki wo dada ji ki jaan lele.
Tab Jaikaran ji bole beta jab ap kisi eik paksh ke samarthan mein bat karte ho to dusre paksh ke logo ko to buri lagega hi na, bohot se log the jo unke faisle ke khilaf the, unke samsevi hone ke khilaf the kyunki in sab se unka nuksaan ho raha tha. Jaise eik vyapari tha jo tumhare ilake mein sharab ki factory lagana chahta tha sarkar ko paise khilakar usne noc bhi leli thi par jab ye bat dada ji ko pta chali to unhone us jameen pr dharna de diya kyunki unka maanna tha ki ye factory logo ko nashe ki taraf dhakel degi rojgaar milne ke aur bhi sadhan h par agar logo ne nashe ko chun liya to sab barbad ho jayega. Khair jab andolan ne itna bada roop le lia to sarkaar ko jhukna hi tha isliye turant noc rad kar di gyi jisse us vyapari ko bohot nuksaan hua tab usne khuleaam bola tha ki is nuksaan ki kimat apko hi chukani hogi main iska badla leke rahunga, aise bohot se udharan h jiske chalte unhone bohot se dushman bana liye the aur unmein sabse upar the tumhare dada ke tau ke bete Shambhu. Ye sunke mere kaan khade hue kyunki mujhe aaj hi pta chala ki mere dada ji ke koi bhai bhi the, meri manodasha ko samjh kr unhone bolna chalu rakha, tumhare pardada 2 bhai the dono nek insaan the tumhare dada ji ki tarah ye samajseva tumhare dada ji aur tumhare parivar ko virasat mein mili h. Tumhare parivar ki hi tarah tumhare pardada ka parivar bhi eik sath rahta tha, dono bhaiyo mein bohot pyar aur sneh tha tumhare dada ke tauji aur papa us jimmedari ko milkar sambhalte the tumhare pardada Hariram aur unke bade bhai Jagmohan, Jagmohan ji pramukh faisle lete the aur Hariram lakshman ki tarah un faislo pr amal karte the, fir tumhare dada Mahendra aur Jagmohan ji ke bete Surendra paida hue to sab khush the par jaise jaise time gujarta gaya aur Mahendra aur Surendra bade hote gaye to Surendra ko milne wale samman ka gumaan hone laga unko lagne laga ki wo to Rajkumar h wo kuch bhi kar sakte h aur aage chalkar ye satta unke hath mein hi aani h isliye unhone logo ko darana aur dhamkana shuru kar diya. Surendra ye kaam itni chalaki se karta ki Mahendra aur uske parivaar ko iska pta kabhi na chal saka pr logo ko anumaan hone laga ki Surendra ko satta ki chabi dena matlab apna bhavishya kharab karna. Jab Jagmohan ji ka dehant hua to Surendra ne unki jagah leni chahi jaisa aamtor par hota h ki pita ki virasat bete ko milti h par abhi to Hariram ji jinda the jinka samman aur tajurba Surendra se jyada tha isliye Surendra ko khoon ka ghoot pi kar sabar karna pada aur usne sharafat ka chaula odh kar samajseva mein lag gya jaise Hariram Jagmohan ji ke har faisle ko al mein laate the aise hi Surendra Hariram ji ke daye hath ki chhavi banane laga wo andolan aur samajseva mein badh chadkar hissa lene laga, log samjhne Lage ki Jagmohan ji ke bad Surendra ne jimmedari sambhal li h.
Surendra ne bade shatir tarike se karobariyo se meljol milana shuru kiya aur unke kaam karwane ke aivaj mein moti rakam leni shuru kardi jiski khabar dheere dheere Ramlal ko hone lagi to unko bohot peeda hui chacha hone ke naate unhone Surendra ko  samjhane ki bohot koshish ki par wo na maane to majburan unko is parivar se aur is area se alag hone ka faisla diya gya to Surendra ne apna asli roop dikhana shuru kiya usne vidhroh kiya, tumhare area mein kuch gao aise the jisme Surendra ne achi paith bana li thi unlogon se use sahanubhuti ke sath sath emotional sambhadh bana liye the un gaon walo ko lagne laga ki Ramlal ji ne satta ke lalach mei Surendra se wo satta cheen ne ki koshish ki h isliye un gaon walo ne sanyunkt roop se Surendra ko apne kuch gaon ka mukhiya ghoshit kar diya. Ye faisla gaon walo ki bhool sabit hui unhe pta chalne laga ki wo Surendra ke jaal mein fas gye h. Aaye din Unki kuwari ladkiya gayab hone lagi, aaye din naye naye niyam aur pratha banne lagi. Wo log guhaar leke Hariram ji ke pass aaye par Hariram ji majbur the kyunki faisla ho chuka tha aur wo us faisle mei dhakal nhi de sakte the. 
Jaise hi area ke do faad hue to rajnitik partiyo ne bhi rajneeti khelni shuru ki kuch Hariram ji ke sath the to kuch Surendra ke sath. Halaki Hariram ka dabdaba jyada tha to pratyaksh roop se unki hi chalti thi to Surendra ne tab se hi tumhare parivar ko kamjor karne ke aur khatam karne ke naye naye shadyantra chalte aaye h.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Sarkaar ( Satta aur Aiyyashi ki Chabi) - by Shadowx - 07-01-2023, 01:46 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)