Thread Rating:
  • 3 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Misc. Erotica Karvate Badalte Rahe Hum
#2
#1

Patra Parichay -

Pehla Couple - Supriya Rathod - 23, Nikhil Rathod - 25

Dusra Couple - Rashmi Singh - 34, Diler Singh - 38

__________________

Delhi - Saal 2018, October

"Hume yeh rishta manzoor hai! Ladki behad khoobsurat aur sushil hai! Kyon ji?"

Mrs Rathod apne pati ke aur dekhti hain, jo samosa khaane me magan the. Sofe ke dusre aur ladki ke maa baap the, jo behad khush lag rahe the aur khaas karke jo mahila thi, voh apne beti ko dekhle kehti hai...

"Kyon? Kuch kahegi nahi?"

Ladki thi Supriya, jo apni dupatte ke sabse nichle hisse ko pakad ke sharma jaati hain aur ek behad pyari si muskaan deti hain. Saamne betha Nikhil use dekhta gaya. Baal khule the aur kaafi lambe aur ghane the aur roop raang se savali thi, par twacha khili hui aur vajan bhi ekdam sathik, na behad sudol aur na hi behad patli.

"Main kya kahoo maa? Jaise aap thik samjhe!" Supriya ne ek kaatilana muskaan diya aur Nikhil ka dil jhoom utha.

"To phir rishte ki baat pakki! lo jee mithai Khao ji! Hehehe!" Supriya ke pitaji Khushi se gad gad ho uthe aur mithai aur baaki khaana peena, jhappiya vagera sab kuch hone laga. Jis andaaz se Nikhil Supriya ko dekhe jaa raha tha, yeh dekhke Nikhil ke pitaji bol uthe....

"Are baccho ko zara alag se baat vaat karne to do!"

"Jao beti, Nikhil ko apna kamra dikhao lao!" Supriya ki maa pyar se bol uthi aur dono jawaan ladka aur ladki uth khade hue apne quality space ke liye. Aakhirkar Nikhil Supriya ke kamre me pahuch jaate hain aur charo aur dekhke lagte hain. Ek ek shelf pe kitab hi kitab rakhe huye the aur voh bhi alag alag range wali. Nikhil nazdeek se dekhte hain ke kitab Psychology se leke Romantic upanyaso se bhare pade the.

"Aap kitabo ke shauk rakhte hai, lagta hai hmmmm" Nikhil prasann hua aur Supriya ek pyari si muskaan deke kehti hain..."jee, padhna aur research karna mera shauk raha hai hamesha se!"

"Kya is vajah se aapki aankhen itni gehri aur badi badi aur khoobsurat hai?" Nikhil ne kuch aise natkhat andaaz se kaha ke Supriya laaj se apne mooh idhar udhar kar leti hain aur voh bhi thodi natkhat hoke kehti hain..."flirt kar rahe hai aap?"

"Aisa hi samajh lijiye!" Nikhil ko utsah aane laga aur flirt karne me aur Supriya bhi anand uthane lag jaati hain. Apni lut ko maathe pe se piche sarkake, voh pyar se kehti hain...

"Hmmmmmm, bade tez hai aap! Vaise aap bhi kitab padhte hai?"

"Nahi kuch khaas nahi! Main filme dekhta hu bas!" Nikhil aise hi table pe rakhe ek kitab ko ulat palat ke dekhte huye kehta hain.

"Lekin filmo me itni gehrayee nahi hoti kabhi, jitni kitabo me hoti hai!" Supriya ne apni thodi si lambi nakhuno ko parakhte huye kaha.

"Hmmmm dilchasp insaan hai aap! Aisi kya khaas baat hai kitabo me?" Nikhil kitab ko vapas rakhte huye, gaur se Supriya ko apni nakhuno se khelte huye dekhta hain. Nakhun manicured to nahi the, par unke lambe aakaar haathon ko aur bhi nazakat de rahe the.

"Hmmmmmmmm jaise ki details! Aur bahut si baatein...jaise ki ..umm khaas karke jab koi romanchak upanyas ho, usme kirdaar ke varnan aur zyada hote hai!"

Supriya ruk jaati hain aur ek lambi saans leti hain, yeh dekhte huye ke Nikhil kaise khoya khoya lag raha tha. Voh bhi Nikhil ke aankhon me khone lagi. Shayad isi ko pehli nazar me pyar kehte hai!

"Hmmm um.. sorry! Main shayad aapko bore kar rahi hu!" Supriya ki awaaz me Koyal jaisi mithaas thi aur uski har ek ada pe Nikhil kayal hone laga tha ab.

"Jee bilkul nahi....aapki balcony behad dilchasp lag raha hai! Hmmm kya hum vaha...?"

"Oh! Are dhatt...main bhi pagal hoon! Apako balcony to dikhaya hi nahi. Chaliye, khuli hawa me kehte hai ke aur bhi dilchasp baatein hoti hai!"

"Hehe...bilkul! Chaliye"

Supriya aur Nikhil balcony ke sair karte karte yaha vaha ke baatein karte hain aur khaas karke aam sadharan si vishay pe jaise padhai likhai, bachpan ke kisse vagera aur kuch rounds lene ke baad, Nikhil phir ek baar apne dil ki baat bol deta hain...

"Sach me Supriya! Aapki aankhen behad gehri hai...itni chamak aur kashish hai inme!"

Supriya phir sharma jaati hain aur phir se apni ek lut pe ungliyan uljha ke kehti hain..."Aap kuch zyada hi romantic nahi hai Nikhil ji?"

"Hmmmmmm! Voh to main hoon hi! Jaise ki maine kaha...filmo ka shauk rakhta hoon aur voh bhi sirf Romantic Wale!" Nikhil ne itrate huye kaha.

"Khair, Romance ka shaukeen kaun nahi hai! Zindagi me agar koi thrill ya shauk na ho, to hume aur janwaro me kya farak reh gaya? Right?"

Supriya ke aise turant kehke ke baad achanak ek hawa ka jhonka aake uski lambe ghane baalon ko thodi udaan de deti hain aur uski dupatta bhi halke se sarak jaati hain, jisse uski kameez me kaid madhyam aakar ke stan ke upar ke lining Nikhil ko dikh jaati hain aur uska dil dhadak utha tezi se. Lekin phir, dupatte ko adjust karti hui, Supriya puchti hain...

"Maine kuch pucha aapse!"

"Oh...ummm..sorry... maine shayad gaur se suna nahi...par haan...oh yes... bilkul! Main sehmat hoon aapse. Insaan ek Creative janwaar hai! We are different afterall!"

Supriya muskurai Nikhil ke is baat pe aur uski dil se bhi yehi awaaz aayi ke voh sach me Nikhil ke saath khush rehegi. Yehi soch Nikhil ka bhi tha.

"Aur aapke baaton me ek Psychology Lover ke nishani hai!" Nikhil tez hawao ke maze lete huye kehne laga.

"Ab aap taarif kuch rok dijiye! Lagta hai taarif karna ka shaukeen hai aap!" Supriya khilkhila uthi aur kuch aur baatein karte huye dono balcony se vapas main hall me chale jaate hain. Rishte ki baat pakki ho jaati hain aur shaadi ki muhrat bhi nikal aata hain.

"Waah! Kya baat hai Samdhanji! Matlab bas 4mahine hi reh gaye hai!" Mrs Rathod khushi se phoole nahi sama paye aur sab logo ne bhi haan me haan milaye. Par Nikhil aur Supriya ke muskaan me ek alag hi dilkash baat thi! Aakhir Mia biwi ko banne wale the.

-----------------------

February 2019 - Delhi

Pure Rathod khandaan me dholak aur shehnai ke awaaz gunj uthe. Aakhir voh khaas din aa hi gaya tha.

"Hmmmmm! Nikhil to ghayal ho jayega! Aisi roop dekhke!" Ek ladki khilkhilati hui kehti hain aur abhi abhi naak me nath lagaye huye Supriya sharma jaati hain. Laal rang ke benarsi saree me voh behad khoobsurat lag rahi thi aur aakhirkar jis din ka intezar tha, voh bhi aa chuka tha. Supriya aakhir banne chali thi Nikhil ki dulhan!

"Filmy line hai! Ab bas bhi karo. Vaise yeh lip gloss mujhe pasand aayi hai, thanks!" Supriya ne halke bhure rang ka gloss lagayi thi, jo uske komal sawle rang ko aakarshit andaaz me pesh kar rahi thi. Upar se gehne vagera bhi taaze laal rang ke benarsi ko chaar chaad lagaye huye the.

"Are haaan! Supu! Zara ek baat ka khayal rakhna!" Ek aur saheli ne maathe ko sajate huye kahi. Use dekh Supriya kuch sankoch me aagayi..."kaun si baat?"
"Are Nikhil jiju ka behad badiya naukri hain! Aur pati accha khaasa ho to suna hai ke biwiyan moti ho jaati hain aaram aur aish ke maare hehe!"

Apne saheli ke aise kehne se Supriya apni behad aakarshit kangano se bhare kohni ko uthake kehti hain..."Dhatt! Ek maarungi! Aisa kuch nahi hoga! Main aur Nikhil dono saatvik hai aur upar se main apni jogging vagera chodne nahi wali hoon!"

"Subah uthne denge tujhe tab hi na jayegi tu!!" Ek aur saheli ne phir chidhaya aur Supriya bhi is baar sharma ke hans deti hain. Yeh comment kaafi bold lagi use aur na jaane kyon, ek utsah si daud gayi uske saje dhaje badan me.

Par tabhi, Mrs Rathod ki awaaz aayi...

"Are! Baraat aa chuka hai! Supriya ko jaldi lao niche!"

Niche ruka hua Nikhil ke aankhen tezi se chamak utha jaise hi usne apne nazron ko upar seediyon ke aur rakha. Chaar se paanch saheliyon ke darmiyan ahista ahista niche aa rahi thi Supriya, jo behad aakarshit lag rahi thi dulhan ke libaaz me. Uski hirni jaisi aankhen niche ki aur the aur chamakte huye honton pe ek dilchasp muskaan thi.

Aur phir kya!

Nain se nain mile.

Mantra padhe gaye.

Saath phere liye gaye.

Aur aakhir me shaadi ho hi gayi. Dono parivaro me muskaan khil uthe aur Nikhil aur Supriya ke baat hi alag thi. Unke chehro pe jo muskaan the, voh keval voh hi samajh sakte the, par ek choti si duvidha thi aur voh yeh thi ke shaadi ke shart ke anusar, Supriya ko apne hi ghar se apni post graduate khatam karni thi Psychology me aur is baat se Nikhil pehle hi sehmat tha.

Supriya ke post graduation ke dauran phone pe baatein hona ek aam baat ho gayi thi Nikhil aur Supriya me. Jahaan ek taraf Nikhil takiye ko apne pairo ke beech rakhke bechaini dikha ta tha, vaha dusre aur, Supriya balcony me ghumti hui baatein karna pasand karti thi.

Nikhil : Kamaal hai! Shaadi shuda hote huye bhi hum phone me baat kar rahe hai!

Supriya : aap bhi na! Kehte hai ke bechain aur betaab sirf janwaar hote hai! The human animal is more organized!

Nikhil : uffff! Tum aur tumhari psychological baatein! Are ab itna dharya rakha nahi jaata! 2 mahine beet gaye hai, hum aise hi phone me baatein kar rahe hai!

Supriya : hmmmm.... romantic mood me ho?

Nikhil : hamesha se!

Supriya : okay! Sach to yeh hai ke Nikhil, betaab main bhi hoon! Bas yeh baaki ke kuch mahine beet jaye!

Nikhil : hmmmmmmmm na jaane kab tumhe main apni baahon me bharke jee bharke pyar karunga!

Supriya : Baahon me bharke? Bahut hi romantic ho tum! Mujhe baahon me le paoge?

Nikhil : kyon? Itni bhi gardai thodi na ho tum! Aaram se utha lunga tumhe!

Supriya : hmmmmm! Haan voh to hai! Par itni bhi patli bhi nahi hoon! Aur kya pata, Post graduate hote hote thodi ummmm moti bhi ho jaoon! Hehe!

Nikhil : haha....are manage kar lunga!

Bas aise hi teen se chaar aur chaar se paanch mahine beet gaye aur Nikhil aur Supriya ke beech baate hote gaye aur dekhte hi dekhte Post Graduation ko bas ek mahina reh gaya tha!

October 2019 :

Supriya ki drishtikon :

Aaj bas ek mahina reh gayi thi meri post graduation me! Aur phir main Nikhil ke ghar uski patni ke hasiyat se rahungi! Na jaane kyon dil me itni umangen bhar uthi hai ke main shabdo me bayan nahi kar saakti.

Nikhil ki baatein! Uska muskaan! Uske voh natkhat romantic andaaz! Main uski deewani ho chuki thi! Aur is shaadi se main jitni khush hoon, utna voh bhi hoga!

Khair, main ab thodi padhai kar leti hoon! Aakhir mujhe ek successful psychology professor banni jo hai!

Nikhil ka drishtikon :

Ab aur raha nahi jaata! Supriya ke final exam ko bas ek mahina reh gaya hai aur bhala shaadi hone ke baad bhi intezar karna mumkin tha? Par hum dono ne kaise bhi karke kar liya!

Bas ab dekhna yeh hai ke Supriya mere ghar me kitni aur khushaali laati hai!

Aakhir! I love her!

------------

To be continued...



Community platform by XenForo® © //// 2018
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Rajdeep Pulgateshwar - 19-11-2022, 02:48 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Max Steell - 19-11-2022, 03:20 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Ghosthunter - 19-11-2022, 03:45 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Rumana - 19-11-2022, 03:58 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Threesome - 19-11-2022, 05:38 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Juggernaut - 19-11-2022, 04:30 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by abcturbine - 19-11-2022, 05:24 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Threesome - 19-11-2022, 05:38 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Raghu - 20-11-2022, 04:43 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Suhana. - 20-11-2022, 05:20 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Suhana. - 21-11-2022, 02:04 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Suhana. - 21-11-2022, 03:02 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by abcturbine - 21-11-2022, 03:06 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Raghu - 21-11-2022, 03:35 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Bimal - 21-11-2022, 05:36 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by shan123 - 21-11-2022, 07:46 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by abcturbine - 22-11-2022, 04:34 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by abcturbine - 14-12-2022, 04:53 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by Chandan - 18-12-2022, 01:04 PM
RE: Karvate Badalte Rahe Hum - by abcturbine - 31-12-2022, 03:58 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)