28-10-2022, 02:15 PM
udhar gopi, bagga se baat-cheet kar raha tha..
gopi-"ore ji maalik, ki haal hai tawaadey.."
bagga-"bas ji maalik mehar hai baba ji ki ore shenoay sir ki.."
gopi-(thoda serious hotey hue...)"kuch pata chala kya DEHSHAT PROGRAM ke baare mein.."
bagga- "naa ji, abhi tak haal wahi ke wahi hai, bohot koshishey kar ke dekh li hum logo ne par inn logo ke codes ko samjh paana naamumkin hai.. abb aap hi bataao ki 'indiaa mein tajmehel ke upar kaun chadha hai .. ','wo kaun hai jisne laal kile ko raal kar rakha hai abhi tak.'"
gopi-"aap dhundhtey rahiye bagaai ji, hume kuch naa kuch toh zarur milega hi.."
bagga-"arey mein toh tang aa gaya hu yaar inn sab chizo se.. kabhi- kabhi toh mann karta hai ki job chodh du.. par phir khayaal aata hai ki sab log apne baare mein hi sochne lagey toh phir desh ka kaun sochega.."
gopi-"sahi kaha aapne baaga ji.. abb aisi koi information jisska pata lagaane ke liye maine aap se bola tha..wo aap ko mili ho.. "
bagga-"abhi toh aisa kuch bhi nahi hai, par kuch dino se kuch intercepts mile hai, jinnki wajah se mein pareshaan hu.."
gopi-"ore kya hai unn intercepts mein"
bagga-"yahi ki 'bharat ka puaana chawal dobaara se bharat mein import ho raha hai, videshi maal ke sath..'"
gopi-(chonktey hue..) kahaa hai wo intercepts, kya mein dekh sakta hu unnko ek baar ..
bagga- kyon nahi, ek baar kyon hazaar baar dekho, waise yeh puraana chawal kahi ...
gopi- mujhko bhi kuch aisa hi lagta hai, abb mujhko yakeen ho gaya hai ki yeh DEHSHAT PROGRAM jo kuch hai, bohot hi badi cheez hai.. warna wo iss tarah se laut kar naa aata ..
"thodi der tak gopi unn intercepts mein uljha rehta hai, phir mudh kar baahar jaane lagta hai, iss waqt usske chehre par muskaan thi..
tabhi ussko peeche se bagaa ki aawaz sunaai deti hai.. "
bagga- "abb mujhko aagey kya karna hai kuch bata kar toh jaao.."
gopi- "abb aap aaraam karo, baggga ji.. aagey kaa kaam abb wo 'puraana chawal hi sambhal lega..'"
_____________________________________________________________
wahi mumbai mein machuaaro ke ek jahaaj par, do log chaley aa rahey they jinme ek aurat thi ore ek mard..
dono ne saadey se kapdey pehne hue they ore khamoshi se apni jagah par baithey hue they. thodi hi der mein wo dono kinaare par khadey hue they. pehle dono ek-dusre ki aankhon mein dekhtey hai ore phir dono alag-alag dishaao mein aagey ki ore badh jaatey hai..
unn dono ke beech ki duri dekhtey hi dekhtey kam hoti jaa rahi thi..
yeh dono they avinash-zoya (innke baare mein aagey bataunga..)
_______________________________________________________________
shinoay apne ghar ki taraf jaa raha tha, normally wo apni car ko khud drive nahi karta tha. par aaj naa jaane kyon ussko kisi kaa bhi sath accha nahi lag raha tha. PM se meeting ke baad ussne apne guards ore driver ko ghar jaane ke liye bol diya tha ore khud drive karta hua apne ghar ki ore badh raha tha.. usske haatho mein iss waqt cigrate sulag rahi thi.. abhi iss waqt wo beshak shant tha, par usske dimaag mein iss waqt halchal machi hui thi. ussko aaj apne uss officer ke bohot yaad aa rahi thi, jiske upar wo aankh band karke bhi bharosa kar sakta tha..wo abhi driver kar hi raha tha ki usski gaadi ke aagey achanak se koi aakar khada ho jaata hai..youn achanak se kisi ke aagey aa jaae ki wajah se shinoay ko apni gaadi ko rokna padh jaata hai.. gaadi chrrrrrrrrrrrrrrr.. chr..... ki aawaz karti hui uss aadmi ke saamne jaakar khadi ho jaati hai..
gaadi ke lights uss aadmi par padh rahi thi, jissme ussko saf taur par dekha jaa sakta tha..wo gaadi ke saamne apne dono haatho ko bandhey hue khada tha, ore muskura raha tha.. "haan, yeh wahi hai .. AVINASH"
shinoay ki aankhein iss waqt hairat se khuli padi thi, wo iss waqt kuch bhi soch nahi paa rha tha ki ussko aagey kya karna chahiye..
wo abhi soch hi raha tha ki tabhi ek truck udhar se aane lagta hai, truck ki speed iss waqt zayada nahi thi, issey pehle ki shinoay kuch kar paata.. avinash uss truch par daudh kar latak jaata hai..
yeh sab itni jaldi ore achanak se hua tha ki shinoay ka reaction time inn sab ke liye bohot hi dheema tha, jisski wajah se wo yeh sab-kuch hota hua dekhta hi reh gaya .. wo kuch kar paata issey pehle avinash waha se jaa chuka tha..
kuch soch kar shinoay apni gaadi ko badi hi tezi ke sath dobaara se apne office ki taraf hi modh leta hai..
abb usska dimaag puri tezi ke sath kaam kar raha tha.. abb aagey badhney se pehle ussey intezzaaarr tha kisi ka, joki abb ussko khatam hota hua lag raha tha...
________________________________________
shinoay- apne desk par baitha hua tha ore phone ka receiver usske kaano mein laga hua tha..
"phone uthte hi.."
shinoay-"where have you been gopi, report me immediately.."
gopi-"sir iss waqt, raat ke 12 baje.. sab kuch thik toh hai naa .."
shinoay-"tumse jo bola hai wo karo.. "
gopi-"right sir, mein jald se jald waha par pauchta hu.."
shinoay-"haan, ek ore baat bagga ore baaki sab logo ko bhi yahi par pauchne ko bolo, as soon as possible."
gopi-"sir, mujhko aap kuch pareshaan se lag rahey hai .. "
shinoay-"haan, mein hu ... ab tum yaha pauchogey .."
gopi-"ji sir, mein pauch raha hu.."
shinoay-"thank you, very much..!"
__________________________________________
gopi ne sab ko call karke jald se jald office pauchne ke liye bol diya tha .. ore ab wo bagga ko phone mila raha tha.. phone ki bell lagataar bajey jaa rahi thi, par dusri taraf se koi bhi call ko pich nahi kar rha tha.. ek baar.. do baar .. teen baar .. har baar call ke naa uthne se gopi pareshaan ho jaata hai ore fauran apne kamre se nikal kar apni car ki tarraf badhne lag jaata hai. apni car mein baithkar wo apni car ko full speed mein bagga ke ghar ki taraf modh deta hai..
gopi ne apni car ko bagga ke ghar se thodi duri par khada kar diya tha. wo iss waqt bagga ke ghar ke saamne khada hua tha. ussko saaf taur par bagga ke kamre ki light jalti hui dikh rahi thi. wo apni kamar se gun nikaal leta hai ore uss par silencer lagaane lag jaata hai. dheere-dheere wo bagga ke ghar ki taraf badhne lag jaata hai.. wo khidhki ki taraf jaakar dekhta hai toh ussko saamne ka kamra bilkul khaali dikhaai deta hai, wo khamoshi se uss khidhki ka sheesha upar ki taraf chadhata hai ore wahi se bagga ke ghar mein ghus jaata hai, ek-ek karke wo saare rooms ki talaashi lene lag jaata hai, tabhi ussko ek kamre mein kuch halchal hoti hui lagti hai, wo dabe hue paav ke sath uss kamre ki taraf badhne lag jaata hai.. wo darwaaze ke bilkul kareeb tha iss waqt.. gun ko ussne abb dono haatho se jakadh liya tha,tabhi wo apni taang ko zor se darwaaze par maarta hai ore kamre mein daakhil ho jaata hai, kamre mein isss waqt bagga rassiyon se jakada hua pada tha.. usske muh par bhi pattiyaan bandhi hui thi..
gopi sabse pehle pure kamre mein apni nazro ko daudhaata hai,phir bagga ke muh par se kapde ko hata deta hai.. pattiyon ko hataatey hi bagga zoro se saansein lene lag jaata hai.. usske thoda shant hotey hi gopi ussey puchta hai ..
gopi-"kya hua bagga paaji, aapki yeh haalat kisne ki.."
bagga-"wo waapas aa gaya hai.. "
gopi-"kaun waapas aa gaya hai ..kiski baat kar rahey ho aap.."
bagga-"avinash.. wo wo..wo...wo.."
gopi-"wo sab chodhiye, wo aap se kya chahta tha.."
bagga-"wo mere se saare ke saare intercept lekar chala gaya .."
gopi-"kya, ore aapne ussko wo diye.."
bagga-"mujhko kya pata tha ki, unnko lene ke baad wo meri yeh haalat karega.. meine toh.."
gopi-"chodho inn saari baato ko, jaldi se apna huliya thik karo shinoay sir ne humko office bulaaya hai, abhi ke abhi.."
bagga-"abb yeh shinoay sir ko kaun saa daura padh gaya hai aadhi raat ko.."
gopi-"mujhe kya pata, tum jaldi karo filhaal.."
"phir wo dono waha se nikal jaatey hai office ki taraf.."
_________________________________________________________________