24-10-2022, 10:46 AM
dono abhi ek dusre ki ankhon mein dekh rahe the , sheetal kuch kehna cha rahi thi par tabhi uski ankhein halki halki band hone lagi aur use halka halka chakkar sa anne laga..
" hey any problem.. " sameer ne uski band ankhon ko dekhte hue pucha.
" no , i am ok , i just need to use a washroom " sheetal apni jagah se khadi hui aur washroom ki taraf badh gayi.
chehre ko panni se achi tarah dhone ke baad sheetal thodi relax hui . towel se chehra saaf karte hue jaise hi uski nazar samne wall pe padi toh vo vahan dekhti reh gayi , samne supriya ki photo lagi hui thi. jise dekhte hi vo uske samne jaa khadi hui aur usne frame ko deewar se utar liya.
" tumhari photo jab dekhi thi tab laga tha ki shayad sameer ko mera pyar karna bekar ho jayega par ab jab pata chal gaya hai ki tum is duniya mein hi nahi ho toh dil mein iss baat ki ummid jagi hai ki vo mere pyar ko aur mere dream ko samjhega , mujhe apna pyar aur apna sath dega , vaise bhi mujh mein aur tum mein koi farak hi kahan hai .. " kuch pal tasveer ke sath baat karte hue sheetal soch mein dub gayi par jab vo frame ko vapis apni jagah lagane gayi tab samne ka nazara dekh hairan reh gayi. jahan se usne frame hataya tha uske piche deewar ki jagah ek kagaz laga tha jispe ek number likha tha.
" ' 197 ' .. " paper pe likha number lal rang se likha tha , sheetal ne un akshron ko hath se chua , " frame ke piche aisa paper strange.. " khud se baat karte hue usne frame ko vapis vahin laga diya. lekin man mein chal rahe ek sawal ko vo nikal nahi paa rahi thi ki ye number aur paper frame ke piche kyun laga hai , vo kuch pal yun khadi sochti rahi phir akhir mein usne frame ko vapis hataya aur paper ko uppari hisse se hata kar andar dekhne ki kosish karne lagi par kuch saaf nahi dikha toh usne uss paper ko thoda aur hataya toh vo pura hi deewar se nikal kar niche gir gaya..
" oh shit... " usne jhuk kar vo paper uthaya aur jaise hi usne samne dekha uske hath se paper aur frame dono gir gaye aur usne apna muh fauran apne hath se band kar liya jise jo cheekh uske muh se nikalne valli thi vo uske muh mein hi dab ke reh jaye. samne ka nazara dekh uski ankhein badi ho chuki thi , dar ke mare uska pura sharir kampne laga tha . samne us chote se ched mein rakhe katte hue hath ko dekhte hue uske dimag mein vo jawab ghuma jiska sawal usne khud pucha tha...
" supriya ki photo ghar ke har hisse mein kyun.. "
" kyun ki mein supriya ke har hisse ko har jagah mehsus karna chahta hun.. "
use samjhte der nahi lagi ki ' 197 ' ka asli matlab sheetal ke sharir ke tukdon ka ek number hai , sheetal tezz kadmo se bahar nikali aur hall mein ayi jahan sameer aram se baitha coffee pi raha tha. sheetal bina uski taraf dekhe hi ghar se bahar nikalne ko hui ki tabhi sameer ki awaz ne uske kadam halke se rok diye....
" kya hua sheetal kahan jaa rahi ho "
" vo.. voo.. sameer. vo.. important call aya hai mujhe abhi jana hai " kisi tarah apne dar aur bhavukta ko apne andar chupate hue sheetal ne jawab diya aur uska jawab bina sune jane lagi lekin vo kuch hi kadam aur badhi ki uske pair ladkhada gaye aur vo zameen pe ek jinda lash ki tarah lait gayi...