23-10-2022, 11:30 PM
" uss din ke baad supriya ke dream ko mene aise apnaya jaise vo mera khud ka ho " dinner karte hue usne apne atit ki kuch jhalkiyan batai jisko batate hue uske chehre pe muskan tair ayi.
" kisi ke dream mein uska sath dena , use pura karna , thats true love sameer , she is very lucky girl , par tumne abhi tak nahi bataya ki supriya akhir hai kahan... mujhe use milna hai " chehekte chehre ke sath usne kaha jise sun kar sameer ne apni chamach plate mein rakh di..
" vo tumse nahi mil sakti sheetal ... "
" kyun.... "
" because she's dead... " sameer ne behad shant lehaze mein apni baat kahi aur apni plate utha ke kitchen mein chala gaya.
kuch pal baad...
" i am sorry sameer ... i am really very sorry .. " abhi sheetal ne itna hi kaha ki sameer muskurate hue uski taraf ghuma aur bade shant lehaze mein use pucha .
" coffee... " kuch pal dono hall mein aise hi baithe rahe aur phir jigyasa purvak sawal liye baithi sheetal ne apna sawal kiya...
" vaise sameer mene ek chiz notice ki hai ki supriya ki photos har jagah lagi hai , i mean they are beautiful but normally ghar ke har hisse mein photos nahi lagi hoti isliye kuch ajeeb laga.. " ye sawal karte hue sheetal ka dil zoron se dhadak raha tha kyun ki vo nahi chahti thi ki uski koi bhi baat sameer ko hurt kare.
vahin sameer ne is baat ka jawab behad sehaz lehaze mein diya , " kyun ki mein supriya ko har hisse mein mehsus karna chahta hun.. " jawab sunte hi sheetal ne santushti bhari gehri sans chori.
" bahut pyar karte the tum use... " sheetal ne pyari muskan ke sath apna sawal pucha.
" hmm-mm... "
" bahut mushkil hota hoga tumhare liye uske bina , i mean kisi ko itna pyar karo aur vo achanak se yun chala jaye , life is like a death... " bolne ke baad bhi sheetal ki nazar sameer ke chehre se judi rahi.
" nahi.. bilkul mushkil nahi hai... kyun ki vo mere sath hai , uska sharir mere sath hai.. " halki muskan ke sath sameer ne kaha. " everytime i close my eyes , she is there with me ... " ankhein band karke sameer sofe ka tek leke baith gaya...
sheetal ek pal use dekhti hui ye sochne lagi ki kya ye sirf ek dikhawa hai apne dukh ko chupane ka ya phir hakikat mein sameer ne apne aap ko is tarah dhal liya hai , " par sameer supriya ki death hui kaise.." akhir sheetal ne vo sawal puch liya jo vo shuru se puchna chahti thi. uska sawal sunte hi sameer ne apni ankhein kholi aur sheetal ki ankhon mein dekhte hue bola.
" i killed her... sheetal " sameer ki baat sunte hi sheetal ki dhadkan tezz ho gayi.
" what..t.... " kampte honton ke bich se uske muh se ye shabad nikle aur vo aise baith gayi mano koi sans leta pathar ho.
" my dream killed her.. " sameer ki baat sunte hi sheetal ne aise sans chori mano kayi salon se rok ke rakhi ho.
" tumne toh dara hi diya tha.. "
" par mein issi dar ke sath roz jee raha hun ki mene supriya ko khud se chin liya.. " narmi ke sath sameer ne kaha aur coffee ka mug table par rakh diya.
" aisa kuch nahi hai sameer , dont blame yourself.. " sheetal ne apna hath aage badhaya aur sameer ke hath ke uppar rakh diya. hathon ka sparsh patte hi sameer ne apni nazarein utha ke sheetal ki taraf dekha aur dono ki nazrein kuch pal ke liye apas mein judi rahi phir kuch sochte hue sheetal ne apna hath hata liya.
kuch pal na toh vo kuch keh saki aur na hi sameer kuch bola , " if you dont mind sameer kya tum ye bataoge ki aisa kya hua tha jiski wajah se tumhe lagta hai supriya ki death tumhari wajah se hui ? " sheetal ka sawal sunte hi sameer ek pal ke liye chup baitha raha aur phir shabdon ko jodte hue lafzon se bayan karne laga..