23-10-2022, 08:29 PM
FrankTheKount
Adhuri kahani
Us raat baarish bahut hi tej ho rahi thi sadko par pani kafi jyada bhar chuka tha aur ye koi time bhi to nahi tha ki sadko par nikla jaye par kya karee is sahar me koi sota hi nahi hai ab drive karna mushkil tha maine car ko vahi par choda aur paidal hi aage ko badhne laga ittefaq se street light bhi na ke barabar thi kabhi jal jata kabhi bujh jata ek najar maine idhar udhar dali aur baarish se bachne ke liye chate ko khol diya aur pani me chap chap karte huve aage ko badhne laga pata nahi kitne dino ke baad aaj maine ye taja hava mehsoos ki thi varna jaise in aalishan imarato me bane chambers me hi kaid hokar reh gaya tha mai,
Kuch door chala hi tha ki tabhi ek ladki bhagti huvi aakar mere chate me ghus gayi aur apni bheegi huvi julfo ki lato ko chehre par se hata te huve boli, sorry baarish bahut tej hai bheeg rahi thi to …….. maine kaha it’s okay par andar se mai thoda hil sa gaya tha kahi koi chorni na ho par kapdo se to theek hi lagti thi aur vaise bhi ye mumbai thi par vo kehte hai na ki kismat thodi door chalne ke baad vo chata tej havao aur barish ko seh nahi paya aur ek side se khul gaya to ab hum dono hi baarish me bheegne lage bhaag kar ek showroom ke chajje tak gaye
Vaise time to kuch jyada nahi tha par barsat ki vajah se market shayad jaldi hi band ho gayi thi vo ladki meri or dekh ke halki si muskurai to maine bhi smile se javab de diya aur us se kuch door khada ho gaya hava ke saath saat barish ki boonde hum par padne lagi thi vo baar baar apne mobile ko check kar rahi thi uske chehre par kuch jhunjhlahat thi akhir maine puch liya ki kuch problem hai , to vo boli ki ghar par phone kar rahi hu par shayad pani se geela ho gaya , maine apna mobile dekha kaam kar raha tha to usko dete huve kaha ki is se kar lo , ghar par baat karte huve usko dekha to uske chehre par ek khusi si dikhi
Uski vo lat baar baar uske chehre par aajati thi maine shayad usko dekhne me thoda jyada samay le liya tha to vo uncomfertable hone lagi par jaldi hi mujhe meri galti ka bhaanho gaya aur maine kaha ghar kaha hai aapka to vo boli, karib 20 minute ki doori to hogi hi par baarish itni tej hai ki soch rahi hu kaise jaungi maine kaha sadko ki halat kharab hai to taxi bhi nahi milegi uske mathe par shikan bhar aayi beshak prime city thi par ek ladki raat ko sadak par safe nahi thi maine kaha chalo mai tumhare ghar tak saath chalta hu idhar kab tak pareshan rahogi aur fir time bhi kharab hai
Usne kaha it’s ok. Maine kaha dekhiye, mai chalta hu aapke saath aap ne beshak ghar par baat kar li hai par gharvalo ko fikar to hogi hi na idhar aap pareshan udhar vo usne kuch socha aur fir boli theek hai vaise mai ladkiyo se bahut hi kam baat karta tha aur is se mera kuch lena dena bhi nahi tha par na jane mujhe uski kuch fikar si huvi, uske hath me kuch shopping bags the maine kaha lao mujhe de do shayad use kuch jhijak si ho rahi thi aur sahi bhi tha aajkal ajnabiyo par kon bharosha karta hai, bheegte huve hum galiyo ko par karte huve uske gharki taraf badh rahe the
Hum chal to rahe the par khamoshi se na vo kuch boli aur na maine kuch kaha vo bees minute ki doori me dedh ghanta lag gaya hume par dil me ek khushi si thi ki kisi ki help kar raha tha akhir hum uski building par pahuch gaye usne mujhe thanks kaha aur kaha ki pls chai pikar hi jana par maine kaha ki mujhe bhi ghar jana hoga to vo bus muskura ke reh gayi vo andar chali gayi aur mai kuch der use jate hvue dekhta raha wo raat bhi beet gayi aur vo baat bhi par kismat kya karva de hume kuch pata hi nahi chalta
Us din bathroom me mera panv fisal gaya aur chot lag gayi hospital me doctor ko dekh kar mai chounk gaya ye to vohi ladki thi usne mujhe dekha aur boli aap maine kaha to aap doctor hai vo boli ji haa chot kuch jyada gambheer nahi thi usne kaccha plastar kar diya aur boli bed rest karna hoga aapko uski bato se jyada mera dhyaan uske balo ki us lat par tha jo baar baar uske chehre par aa jati thi, vo boli us din to aapne chai ke liye mana kar diya par aaj to pini hi padegi aur mai mana bhi nahi kar paya
Bato bato me pata chala ki uska naam ritu tha, umar koi hogi mere jaisi hi 26-27 saal khoobsurat itni to nahi thi par ek kasish si mehsoos ki maine khair do bar mil chuka tha us se ghar aane ke baad mai so hi raha tha ki sapne me laga ki jaise vo aayi ho meri aankhe jhat se khul gayi dekha to khamoshi chayi thi kamre me mai tha aur mera akela pan fir puri raat neend nahi aayi na jane kya baat thi baar baar aankho k saamne ritu ki hi tasvir aa rahi thi
Din gujarte gaye, chot bhi theek ho gayi thi us shaam mai bus ghar jane ke liye nikal hi raha tha ki tabhi mere assistant ne bataya ki sir loan ke liye ek urgent application aayi huvi hai aur kaam ka itna pressure tha ki sir aapse approve hi nahi karva paya pls consider kar lijiye sab kuch verify kar liya hai maine bus aapke sign baki hai maine kaha theek hai dekh leta hu, maine file dekhi to ye to ritu ki application thi na jane kyo mai muskura pada kuch hi minute me uska loan pass ho gaya maine check taiyar karvaya aur socha ki personally hi de deta hu use
Asal me na jane kyo mai kuch betab sa tha us se milne ke liye, agli dophahar mai half day lekar bank se nikal gaya , aur hospital pahuch gaya ritu se mila aur usko uska loan ka checqu dete huve bola pehle hi bata deti to kab ka manage ho gaya hota vo boli mujhe kaha pata tha ki aap loan manager hai aur has padi,uski vo muskaan mere dil me utarti chali gayi, pata nahi kaise mere muh se nikal gaya ki loan pass huva hai party to banti hai usne kaha yee bhi koi kehne ki baat hai par place meri pasand ka hoga maine kaha ji bilkul
Us shaam, hum band stand ke ek chote se café me baithe the ye pehli baar tha jab mai kisi ladki ke saath aaya tha, ye shuruaat thi meri aur ritu ki dosti ki , us shaam humne karib teen ghante saath bitaye laga ki jaise maine apna jivan hi jee liya ho uske saath behad hi simple si ladki thi vo par bate bahut karti thi usne mera phone number le liya maine uska wo shaam kaisa jadu sa kar gayi thi mujh par. Din gujarte ja rahe the
Par mera man kaam me na lage, bank me baithe baithe bus dhyaan ritu par hi jaye mera phone ki ringtone romantic set ho gayi thi aaj kal mai kuch alag alag sa mehsoos karne lagatha kabhi kabhi khud se hi bat karta kabhi bin baat muskura padta, aksar hum apni shame saath gujarne lage the usi café me hamari bate chalti har gujarte lamhe ke saath vo mujhe apne aur karib lagne lagi thi ek din hum aise hi baithe the ki ritu boli tum me na bilkul bhi fashion sence nahi hai maine kaha to tum hi sikha do kuch vo mujhe ek store le gayi aur apni pasand se kuch kapde select kiye
Do-char dino me mera makeover karva diya tha usne ye uska hi asar tha ki mai puri tarah se badal gaya tha mai sochata tha ki zindagi to ye hai itne dino se to mai bus sans hi le raha tha hum apas me bhaut hi ghul mil gaye the best friend ki tarah se par kahi na kahi mujhe aisa lagne laga tha ki mujhe pyar hone laga hai ritu se, uske andaaj se mujhe bhi aisa lagta tha ki mujhe bhi chahti hai vo par mai izhaar karne me ghabra raha tha kabhi vo naraj na ho jaye
Us din mera janamdin tha subha hi ritu ka phone aa gaya tha usne kaha kya gift chahiye maine kaha kuch nahi par usne baar baar kaha to maine keh diya ki tumhari zindagi ka ek din de do mujhe phone par kuch der khamoshi cha gayi mai uske javab ka intzaar karta raha 2-3-5 minute beet gaye vo hi khamoshi fir usne kaha theek hai wo din meri zindagi ka ek behtarin din tha pura din ritu ke saath ghoomta raha mai kuch shopping kuch fun pata hi nahi chala time kaise kat gaya tha
Wo raat, maine kaha ritu dinner mere ghar par karenge maine pehle hi sab kuch soch liya tha , aaj pehli bar ritu mere ghar aa rahi thi uske swagat me mai koi kami nahi rakhna chahta tha, ritu andar aayi aur boli ghar to bahut shaandar hai tumhara maine kaha aise hi hai, khana tabe par saj chuka tha , vo boli mai parosti hu ye meri khushnasibi thi vo mujhe apne hatho se kahna khilane lagi us pal mai jaise kahi kho gaya tha usko dulhan ke roop me kalpana karn laga mai vo boli are kaha kho gaye to mera dhyaan toota