22-10-2022, 12:33 PM
Abhi ka dar sach sabit hua......... ek din Abhi ko bich class se bulakar ghar laya gya...mummy ki tarah hi uske papa bhi use chhodakar ja chuke the........abhi paglo ki tarah papa se lipatakar ro rha tha..........lekin aaj papa ko uspar dayaa nhi aa rhi thi............na papa use chup kra rhe the aur nah hi kuchh bol rhe the.........papa chale gaye aur abhi patthar ka ho gya.......nayi maa ko khuli chhoot mil gayi papa ke jaane se ..... ab be rok tok wo jo chahti karti.....abhi ko aksar lagta ki ab papa ke baad uski bari hai, aur nayi maa use bhi nhi chhodegi.
Aur Ek din fir se uska shaq yakeen me badal gaya jab usne un uncle ko maa se kahate suna ki jald hi is sanpole ka bhi intzaam karta hu..........Abhi khoob roya us rat aur wo aakhiri baar tha jab Abhi roya tha .........masoom Abhi ki masoomiya khatm ho gyi thi..........ab use rona nhi tha , khoon ke aansu rulana tha.
Wo masoom Abhi usi raat ghar aur shahar chhodakar bhag gya......dar-dar bhatkta raha ....fir kuchh kismat ne sath diya aur kuchh uske tej dimaag ne........15 saal ki gumnaami ki zindagi jee thi usne,ek mukam banaya apana...... aur ab wapas aaya tha apne upar huye har zurm ka hisaab lene.
Pyar muhabbat Abhi ne kabhi jaana hi nhi....ladkiyo ke emotions se khelna aur fir unhe pyar me tadpata chhod dena.... shauk ban gya tha uska........ jab uske pyar me deewani koi ladki tadpati thi, to usko bada sukoon milta ,, mano apne baap ke sath huyi bewafayi ki sajaa deta tha wo.
“suman ne bhi to muhabbat ka ijahaar kiya, wo bhi to tadapi mere pyaar me......... fir is baar kyu mujhe sukoon nhi mila ?? .......kyu koi khusi nhi huyi ???....kyu use aisa laga ki bahut bada paap ho gya ...........ek maa ka bharosa tod diya maine.......ek mandir ko maila kar diya maine........” Abhi ke man me uthal puthal machi thi..
Un chand mahino ne bahut kuchh badal diya tha abhi ke andar................use muhabbat ho gayi thi..............kisi ke bholepan se, kisi ki masoomiyat se.......... “ Kisi ek ki Bewafayi ki sajaa har Ba-wafa ko kyo ?????” is sawal ne Abhi ke soye huye zameer ko jaga diya tha.......uske dil me uthate is toofan ne hi use aaj is dahleez par wapas laa diya tha..........uska purana ghar, uska apna ghar..
“pahchana mujhe ?????? ........Abhimanyu ...........Abhimayu Rajveer Singh........aapka sautela .........” beta kaha nhi abhimanyu ne....samne bed par ek aurat leti thi...uski sauteli maa ! .
“ huh......kya mila aapko ??? aapne mere papa ko maara jo aapko jaan se jyada chahte the.......aur dekhiye jiske liye maara usne aapki ye halat kar di....janti hain?? .....aapka accident hua nhi, karwaya gya........nhi-nhi..........maine nhi karwaya.........aapke naye pati ne karwaya...........mai itni aasan maut na deta aapko............maine to aapko bachaya .......ye soch kar ki jab aap thik ho jayengi to aapko maut se bhi badtar sajaa dunga.......haan aapko bachane wala wo driver mera hi aadmi tha jo saaye ki tara aapke pichhe laga rahta tha.” abhi ke dil ka sara gubaar bahar aa rha tha aaj aur pattiyon me jakdai huyi wo aurat aankh faade,bebas si use dekh rhi thi.
“ aapko nhi marunga ab........ kya maru ??.....aap par to taras aa rha hai............doctor se baat huyi hai meri...aap kabhi khadi nhi ho payengi ab.......aapka ek pair katna padega ...........aur haan, zindagi ke din bahut jyada nhi hain aapke paas........stomach cancer hai aapko........jyada se jyada ek ya dedh saal.........”
“Ek baat aur bta du............mai kismat wala tha ki waqt rahte muhaabt bhare hatho ne tham liya mujhe aur meri aankhe khul gayi.......lekin aap bahut badkismat hain jise na pati ka pyar mila na aaulad ka sukh.........”