22-10-2022, 12:26 PM
Abhi kuchh nhi bola...chupchap utha , ek pyar bhari nazar us par dali aur bahar nikal gaya........
Rat ko khana khaya nhi gaya suman se......thoda fever bhi tha........ ..der raat tak roti rahi aur fir jane bhor ke kis pahar me aankh lag gayiiii.
“Suman!!! ......uth...........” Nandita ke teesri bar bulane par suman ne aankhe kholi..........
“suman......Abhi chala gya ” bahut tadap thi unki aawaz me ..
suman ne jhat se apne upar pada blanket hataya,,,,,kuchh pal unki aankho me beyakeeni se dekhti rahi fir teji se upar ki or bhagi....Ek jhatke se darwaza khola...... behad soona sa lag rha tha wo kamra..... ........suman aage badhi aur abhi ki chair, table aur uski use ki har chij ko chhune lagi.....aankho se aansu bah rhe the..........achanak uski nazar ek lifafe par padi.........usne kaanpte hatho se use utha liya.........
upar likha tha........... “SORRY SUMAN!”
suman ne rote rote use khola ............
“Dear suman,
mai janta hu ki vahshipanaa kiya aapke sath maine.....haan , shayad vahshi hi ban gya hu mai........... lekin mai aisa nhi tha suman..........waqt aur halat se ladte ladte ,unke thapedo ko sahte sahte mere andar ka insaan mar gya.......yha aakar ,aap sab ke sath rahkar mujhe ahsaas hua ki nafarat kitni bhi shiddat se ki jaye, muhabbat se haar hi jati hai.........kash mai is layak hota ki is jannat me aapke sath ek nayi duniya basa pata....lekin nhiii...mere andar itna vish bhar gya hai ki jiske sath rahuga usi ko das lunga......mai ab kisi ke chaahat ke layak nhi raha..
Ek request hai...nhi ye nhi ki mujhe baddua mat dijiyega !! ....uska to haqdaar hu mai, .......ye ki khud ko sajaa mat diiyega......mere liye nhi plzzz.................aapke aansuo ke kabil nhi hu mai .
Hmesa Khus Rahiye !!
ALWIDA.
Aapka Badnaseeb- ABHI.
“tum bhi akela chhod gaye ?? ” Suman ne letter padha , bas itna hi boli aur phoot phoot kar rone lagi.
Abhi wapas apni purani duniya me laut aaya tha...ek aalishan bangle ke room me baitha hath me pakdi huyi tasweer ko tak rha tha......kuchh der takataa raha... tasweer me ek chhota bachcha, ek aadmi aur ek aurat ekdusre se chipke huye khade the.
“ I m sorry mamma !! ........mai aapka achcha beta nhi ban paya ....lekin mai sab thik kar dunga...mai ab achcha beta banunga...i promise mamma...” kisi chhote bachche ki tarah bol raha tha abhi aur uski aankho me ek nishay nazar aa rha tha.
Wo pichhle 4 ghante se drive kar rha tha ......aaj us shakhs se milne ja rha tha jiski vajah se wo ek vahshi ban gya.....RAJESHWARI DEVI ! uski sauteli maa ! ...............ateet ke panne uski aankho ke samne khulne lage..........uski maa ki maut ke baad abhi ke liye ek nayi maa laaye uske papa.....is maa se ‘maa ka pyar’ to kabhi mila nhi use, haa dar jaroor lagta tha is maa se....fir kuchh dino bad hi rato ko aksar maa aur papa ke ladayi ki aawazen aane lagi............ papa ke na rahne par jo uncle mummy se milne aate the wo papa ko pasand nhi the....ye samjh gya tha Abhi.......ye ladayiyaan badhti jaa rhi thi, abhi ko aur jyada dar lagne lagaa tha.