22-10-2022, 11:40 AM
Nandita ne uske wha se jate hi suman ko sari baat batayi.......college se aate samay road cross karte huye ek auto se chhota sa accident ho gya tha aur us auto me baitha ye shakhs unhe hospital le gya aur fir unke pair ki moch ki vajah se unhe ghar tak chhodane aaya tha.
“maa??? Kisi ko bhi ghar le aayin aap...jane kaisa ho........chor-uchchakaa...mujhe to shakl se hi gunda lagta hai............” suman nhi uske man ka dar bol rha tha, uske man me mardo ke liye jo nafarat aur avishwas tha wo bol rha tha.
“ hain???? Kaun se angle se chor lag rha hai wo..........?????” nandita ne hairat se kaha.
tabhi wo niche aata dikha aur dono chup ho gayi....halki halki barish suru ho gayi thi jo dheere dheere tej hoti ja rhi thi. ............aur barish ke sath sath suman ke man ka bhay bhi badh rha tha.
Barish ab bahut tej ho chuki thi aur nandita ne us ladke ko barish me jane nhi diya........ wo chhat par bane room me tha is samay.
“maa??? kaise aap ek ajnabi ko apne ghar me rahna allow kar sakti hain???? Aap janti hain na mard kaise hote hain......... ?..” suman ne jaise unhe samjhaya ho.
“beta maine duniyaa dekhi hai..dhokha bhi khaya hai.... lekin yakeen karo mera...ye dil ka bura nhi hai.....Abhimanyu naam hai ..kuchh kam se aaya hai is shahar me.....jitni der mere saath rha aur jo baten ki, jis tarah se ki........mera dil kahta hai ki ye auro ke jaisa nhi hai........” nandita ne use convince karna chaha.
“mamma, aap janti ho na ki dil jhooth bolta hai...aapke dil ne aapse hmesa jhooth bola , tab bhi, aur aaj bhi.......aap kaisse bhool sakti hain......pahle bhi to ek baar bharosa kiya tha ek ajnabi par aapne......” suman ko yakeen kyu hota bhala.......
“suman ! us bharose me aur is yakeen me antar hai jaan.....wo ek 19 sal ki Nandita thi jo pahle pyaar ki dhun me andhi thi.........wo nayi umar ke pahle pyar ka andha yakeen tha ...lekin ye ek maa ke dil ka yakeen hai....haan suman, ye mujhe bête jaisa lga rha hai...mujhe mere Sameer jaisa lag rha hai.....dekhna tu ye bura nhi hoga.” Nandita ne suman ka hath apne haath me le liya aur apne aankho se chhalak aaye do ansuo ko dupaatte ke pallu se saaf kar liya.
Sameer !!!!!!! Nandita ke bewafa pyar ki nishani ....uska beta......bade pyar se sincha tha us nanhe se paudhe ko nandita ne.....lekin wo ped jab tak fal dene layak hua ek road accident me wo bhi inka sath chhod chala...............aur uske baad se dono ne kisi achche “sawaan” ki umeed karna hi chhod diya tha.
Suman apne aansuo ko rokte huye chuchap uthkar kitchen me chali gayi.
““Rab jee ! Is baar meri maa ka yakeen mat todna ...........pleasssssss” bas itna hi nikla uske dil se.
Abhimanyu ko aaye 2 month ho chuke the....use is shahar me rukna tha ....aur wo as a paying guest rahne lga tha Nandita ke ghar....Nanditaa sage bete jaisa maanti thi use.
Bahar se dekhne par nandita aur suman ki zindagi me koi kami nhi lagti........lekin wo dono khus thi nhi ,bas kosis karti thi khus dikhne ki........ek khalipan tha unki zindagi me , ek dar tha.....kisi majboot sahaare ki kami thi..........rat ko jara si aahat hoti aur dono dar kar jag jati.... ghar me akeli aurat hone ka ahsaas hi bahut tha unhe darane ke liye.
Abhi ke aane se se bahut kuchh badal gya tha.......ab kabhi rat ko koi aahat hoti to sabse pahle abhi uthkar aata , aur fir jaate-jaate bol jata “sab thik hai , so jaiye aap log.......” ; uska itna kahna unke dil ke har dar ko khatm kar deta.......kisi ki gandi nigahen suman ki or uthati to Abhi ka majboot sayaa uski aankho ke samne aa jata aur suman khud ko mahfooz mahsoos karti.....Dari dari si rahne wali suman ab chahkane lagi thi, ab ukse paas bhi koi tha jiska bhaorsa tha use, koi uske liye bhi ladne wala tha , koi uska bhi tha.
Suman Abhi ko pasand karne lagi thi .........use abhi bahut seedha, sachcha aur sabse alag lagta tha....... ......kabhi suman ki taraf aankh uthakar dekhta bhi nhi tha....Ek majboot sahaare ke hone ka ahsaas kitna jaroori hota hai , ab suman ko samjh me aane laga tha.....uska atmaad aur aitbaar wapas aane laga tha.