21-10-2022, 09:48 AM
Mujhe bahot gussa aya. Gussa aya us hawaldar ke upar, wo timtimati roshni ke upar, wo corner ke bench ke upar jis se dhakke de kar mujhe nikala gaya, wo premi jode ke upar, ye duniya ke upar or sabse jada gussa aya us uparwale ke upar, jisne mujhe jindagi to di, magar use jine ka haq nehi diya.
Apni jindagi to main jee nehi paya, lekin main marunga to apne tarike se. Main dard ke maare bistar main let kar tadap tadap kar dam todne wale main se nehi hu, main apne tarike se ek hi lamhe main dam tod dunga, lekin usse pahle main apne maa ki jaan apne haath se lunga. Use main jindagi mein kabhi sukh na de saka, kam se kam maut ki takleef to kam kar sakta hun.
Mere kiraye ke ghar ke piche sahar ka sabse badnaam ilaka tha. Jahan par paisa fenko to kuch bhi mil sakta tha. Mainne pehle ATM jaa kar apne jivan ki sari kamai or agle barsaat ke pehle ghar ki marammat ke lie rakha hua sara paise nikal lia. Jab agle barsat tak gharwala hi nahi rahega, to ghar kaisa?
Andhere main kisi bhayanak jungle ki tarha vo ilaka railway track ke dono taraf faila hua tha, main vahan chala gaya aur jab lota to, ahkbaar me lipta hua mera sabse pehla or akhri dost mere hath mein apni neend tutne ka intezar kar raha tha. 6 goli ka vo revolver mujhe or meri maa ko iss dukh or dard bhari dunia se dur le jane wala tha kisi sachche dost ki tarha.
‘ Main aapki pair padti hu, mujhe chod dijiye. Mere pati mujhe apne ghar le jaane ke liye taxi lane gaye hai, vo abhi loutenge. Please, bhagwan ke lie mujhe chod dijiye”
Andhere main kisi ladki ki ye awaj samne ke kothi se aayi, or saath main kisi aadmi ki bhari bharkam aawaj.
“ Chal Rand, tera pati mujhse bees hazar rupiya le kar tujhe yaha chod gaya hai suhag raat manane ke liye. Tu to bahut lucky hai be, tujhe har raat naya pati milne wala hai.:
Ye to is muhalle ka aam baat hai.Har roz yaha aisa kuch hota hi rahta hai. Agar ye koi aam raat hoti, to main muh chupa kar yaha se nikal leta. Lekin aj to baat alag hi hai. Jo maut se nahi darta, wo kisi se nahi darta.
Darwaje ko dhakka dekar main ghar ke andar jaa kar khada ho gaya. Andar saree main kisi tarha lipti hui ek ladki patte ke tarha kaanp rahi thi, our samne nashe main dhut ek badmash use ched raha tha. Ek mota sa insan apne chaddi baniyan main sofe pad baitha us ladki ko ankhon hi ankhon se chat raha tha.
‘Kya re, tu keya yahan iski nath utarne aaya hai? Iski booking apne minister saab ke sath ho chukki hai, tu dusri try kar le”
Gandi juban hilate hue wo janwar mere taraf badha. Meine newspaper se apna revolver nikal kar pahele wo ladke par or uske baad sofe par baithe hue us minister ke naam par desh ke kalank par che ki che goli khali kar di. Mera revolver se wo goli nahi nikli thi, nikla tha to mere man me jama hua itne dino ka gussa, mera na-kamyabi ka frustration or mere tute hue sapno ka dard. Khoon se lath-path vo dono apne jagah hi dher ho gaye.
Ladki ki halat daar ke mare bahot hi kharab ho gayi thi. Mere man main achanak ek nasha sa fail gaya. Jeevan main paheli baar dusre ke lie kuch kar ke mera man ne itna anand mehsus kia ke byaan karna mushkil hai. Mera dimag abhi shant nahi hua tha, Kuch aisa karna tha ke is tarah ka kaam karne ke pahle admi dubara soche. Main us duniya ko kuch dena chahta tha jisne mujhe kuch na dia. Meine ghar ke kone me rakhe table se ek paper ka tukda uthaya or usme un dono ke khoon se likhkha, “ ise jine ka koi haq nehi” Meine us kagaz ke tukde ko unki bejaan laash ke upar rakhkar us ghar se nikal gaya.
Agle din,Newspaper main neta ji ke katal ki badi charcha thi. Sahar ki badnaam gali main payee gaya unka shav aur us par likhkhi gayi us likhawat ne case ko our pechida bana dia tha. Rulling party wale ise opposition ki conspiracy aur opposition wale unki mrityu ka shok prakat karte hue unke jivan shaili our jurm ki duniya ke saath unke sambandh ko lekar sawal utha rahe the. Dinbhar ye chrcha TV main ayi, our main bahut hi rochakta our umeed ke saath din bhar wo sab khabre our unke analysis pe nazar rakhta gaya. Zindagi main pahli bar kisi aur ki jubaan par mere kaam ka charcha tha, aur bura ho ya bhala, mujhe bahut maza aa raha tha.
Jada tar log us minister ke atyachar se pareshan the, our vo unke marne se khush the. Achanak mere jeevan ke bache kuche dino ko ek laksh mil gaya our maine apne saath hue har ek anay ka hissab lene ka faisla kar liya. Maine bahut hi pyar se apne paas rakhkhe hua revolver par hath rakhkha.