20-10-2022, 06:08 PM
my life my rules
Kya Yahi Pyar Hai
Ye Story mere best friend ki hai jo bachpan se mere sath hi khelta tha. college jata tha aur College me bhi hum sath me hi the. Meri age abhi 24 years hai aur mere dost ka naam Vipin Sengar hai.
Humara ghar bhi same colony me hi hai. Vipin college time se hi ek ladki se bahut payar karta tha jiska naam rachna hai.
Dono ki friendship jab vipin agra se B.tech kar raha tha or rachna agra se m.b.a. kar rahi thi tab huyi aur fir dono ek couple ban gaye.
Un dono ki jodi bahut hi acchhi lagti thi, dono me bahut hi payar tha.
Vipin ke ghar me uski mom ko ye baat pata thi, aur uski mom se Rachna ki baat bhi hoti rahti thi,
Uski mom ne uske papa ko ye baat nahi batai thi kyu ki unhe dar tha ki bho is baat ke liye nahi maane ge kyu ki rachna alag cast ki thi. Aur na hi rachna ne apne ghar me kisi ko vipin ke baare me bataya tha.
Mujhe yaad hai jab main rachna ke baare me mazak me kuch bhi keh deta tha to wo mujse bhi naraz ho jata tha.
Unki relationship ko 4 years ho chuke the aur mane kabhi bhi use rachna se ladte ya naraz hote nahi dekha. Wo dono ek dusre se itna payar karte the ki kabhi unme narazgi tak nahi hoti thi ye dekh kar main bahut hairan hota tha. kyu ki dusre teesre din meri apni gf se ladhai hoti hi rahti thi.
Fir ek din vipin or rachna agra ke T.D.I. mall me baithe huye the. Rachna thodi udaas thi us din aur rachna ko kisi ka call aaya.
Rachna ne usse jyada baat nahi ki aur use bol diya ki ¡°abhi main busy hun tumhe thodi der baad call karti hoon¡±.
Ye dekh kar vipin ne kaha ki kon tha phone pe?
Rachna ke kaha ki koi nahi bus ek friend thi..
Vipin- konsi friend? naam batao?
Rachna- tum use nahi jante.
Vipin- Tum mujhse kush chhupa rahi ho batao kya hai?
Rachna- Main tumhe sab kuch batati hun lekin tum vaada karo ki tum kush bhi galat nahi karoge.
Vipin- batao na kaya baat hai?
rachna- jaisa ki tum jante hi ho hamari ghar wale hamari shadi ke liye kabhi nahi manage kyu ki Humara religion alag alag hai.
Isliye mere gharwalo ne meri shaadi fix kar di hai main apne gharwalo ki marzi ke bina shaadi nahi kar sakti. Isliye tum mujse vaada karo ki tum kuch bhi galat nahi karoge aur na hi khud ko koi chot pahunchao ge aur mujhe bhool kar new life start karoge.
Vipin- tumhe yahi lagta hai na ki main kahi mar na jau suicide kar ke, To tum chinta na karo mai khud ko kuch nahi karu ga par main tumhe nahi bhool sakta.
Ye bol kar Vipin wahan se aa gaya aur usne mujhe call kar ke bulaya, main jab wahan pahuncha to mere gale lag kar wo bahut roya.
aur rote rote usne mujhe sari baat batai, uski baat sunke main bhi ro padha, uska dukh mujse dekha nahi ja raha tha kyuki main janta tha ki vipin uske bina nahi reh sakta mujhe uski fikar ho rahi thi mujhe dar tha ki kahi bo kush kar na baithe isliye mai use uske ghar lekar geya aur uske mom dad ko bataya,
Uske papa gusse bhi huye kyu ke unhe kush nahi bataya tha kisi ne is baare me.
Fir vipin ke aansu dekh kar unka dil pighal geya aur unho ne vipin ko dilasa dete huye kaha ki wo khud jakar Rachna ke gharwalo se baat karege. ye sunkar main bhi khush ho gaya ki ab sab theek ho jayega.
Agle din subha ki meri train thi mujhe nashik jana tha meri naani ki health theek nahi thi.
Vipin ke papa bhi agle din rachna ke gharwalo se milne gaye, lekin rachna ke papa nahi mane unhe ne kaha ki agar aap pahle baat karte to hum maan bhi jate magar ab kuch nahi ho sakta.
shadi ke card bant chuke hai agar ab kuch kiya to humri bezti ho jayegi. Vipin ke papa ne bahut minnte ki magar aman ke gharwale nahi mane.
Fir Mujhe pata chala ki vipin ki haalat kharab ho chuki hai wo hospital me admit hai.
Main pareshan ho gaya itni jaldi main train se waha nahi pahunch sakta tha, aur mere pas itne paise bhi nahi the ki main by air aa jau.
Khair main sirf phone par uska haal chaal hi pooch sakta tha.
jo ki main har dus mint baad pooch raha tha. fir pata chala ki vipin ki haalat me abhi sudhar hai lekin uski mansik halat theek nahi hai.
Doctors ne use ghar le jane ke liye bola. 15 din baad ki meri train thi, agra me pahunchte hi main apne ghar jane se pahle vipin ke ghar gaya.
Uski mom ne mujhe baithne ke liye bola par mane kaha ki vipin kaha hai mujhe us se milna hai uski mom ne kaha ki wo andhar hai lekin uske phone ko chhona mat, main unki ye baat samajh nahi paya.
Lekin jab main andhar gaya to use dekh kar mere ronghte khade ho gaye.... Uski aankhe band thi aur aankhon se aansu nikal rahe the phone charging pe laga tha aur earphone uske kaano me,
Uski mom ne bataya ki ye phone sad songs se bhara hai aur agar ye 2minute ke liye bhi band ho jaye to ye chillane laggta hai ghar ka saman todh deta hai¡*
Use dekh kar main bhi jor jor se ro raha tha, jo mera dost mere bina kahi ghumne nahi jata tha bo mujhe pehchan bhi nahi raha tha, main use bula raha tha woh meri baat ka zawab bhi nahi de raha tha.
Ye mera wo pahle wala dost nahi raha tha jo mujhe rota dekh mujhe zor se gale laga leta tha, main zor zor se ro raha tha is ummed me ki mera dost uthe ga aur mujhe gale laga le ga par nahi wo nahi utha jaise use meri parwah hi na ho.
Main apne dost ko kho chuka tha, jo mere samne baitha tha wo koi aur hi tha¡*
Sacha payar karne ki saja agar aisi hoti hai to asha hai mane kabhi sacha payar nahi kiya¡*
The End