Thread Rating:
  • 11 Vote(s) - 3.45 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Misc. Erotica eXBii Erotic Story Contest – 2013 & 2015
ammuriti2015
 
BADALTI RAAHEIN




Mein apne kamre mein baitha hua subah ki chaaye ke sath akhbaar padh raha tha, subah ki chaaye ki chuskiyo ke sath garma-garam ore chatpati khabro ka aanand leta hua ek page se dusre page ore dusre se teesre page par aa-jaa raha tha. lekin abhi tak mujhko subah ke akhbaar mein koi bhi aisi khabar nahi mil paayi thi jispar mainey dhyaan diya ho.. aise hi panno ko palatey hue youn hi meri nazar padi aisi khabar par jisko mein dhundh raha tha, par meri umeed se bilkul alag.
Mein ore meri patni ne kaffi samay se ek chotey se ghar ka sapna dekha tha, par aaj ki iss mehangaayi bhari duniya mein roti, kapda ore makaan aisi cheez hai jisko juta paane mein acche-accho ka dum nikal jaata hai.. hum dono aaj bhi lagbhag kayi saalo se yaha delhi mein 8"-11" ke chotey se kamre mein reh rahey hai. Maine kabhi bhi kisi bhi cheez se samjhota nahi kiya tha shaadi se pehle, khul kar jeena ore zindgai ka puri tarah se luft uthaana meri hobbies mein se ek tha, lekin shaadi ke baad jab zimmedaari sar par padi toh pata chala ki sab kuch sirf "samjhotey" se hi chalta hai yaha par. haalaki mere paas ek acchi job thi, khaane-peene yaa phir kisi bhi cheez ki kami nahi thi ore hum dono kisi acche se flat ko bhi rent par le saktey they par hum dono ne hi decide kiya tha ki bekaar mein paise barbaad naa karke hum apne ghar ke liye paisa ikkhatta karengey..
Newspaper mein jiss khabar par meri nazar padi thi wo thi "FLOPE HOUSING SCHEMES". Yeh ek aisi headline thi jisko dekhtey hi mein isski taraf thoda sa serious ho gaya, iss news mein diya tha ki kaise bank ka paisa dub raha hai loans wagerah dene ke baad. Waise yeh news mere kaam ki toh nahi thi, lekin naajaane kyon aaj pehli baar mere dimaag mein ek khurafaat ne janam liya tha. Humaar ghar lene ke sapne ko hum pura kar saktey hai, lekin usske liye humko zarurat thi kisi bank ke paas se ek loan uthane ki. Aisa loan jisko hum aagey jaakar chukaane waley nahi they.
Ek mahina ho chuka tha mujhko saare bank ke baare mein ore unki schemes ke baare mein pata karte hue. Ore laghbhar sabhi bank ka haal ek jaisa hi tha. sabhi jagah par sawaal tha "security" ka, matlab ki bank se agar loan chahiye toh bank ko bhi assure karna hoga ki hum bank ka paisa sahi waqt par chukaatey rahengey. Ore itni chaan-been karne ke baad yeh bhi pata chala ki lagbhag saare bank apni EMI ko recover karne ke liye legal ore illegal dono tarah ke raastey apnaatey hai. Legal tariko se bachne ke liye toh kayi tarikey they par agar baat illegal tarike se vasuli ki aati hai toh ussey bachne ke liye humaare paas koi bhi tarika nahi tha, jisse hum bank ke paise dene se bach sakey. Ek baar mujko apna sapna dubta hua nazar aa raha tha. Meine aaj tak koi bhi kaam illegally nahi kiya tha par naajaane kyon mein iss taraf khichta chala jaa raha tha. Mujhko pata tha ki issme risk hai par phir bhi mein yeh kaam karne ke liye utaavla hua jaa raha tha.
Ab mujhko zarurat thi aise bakre ki jo meri security bank ko de sakey. Ore isske liye mere paas ek hi option tha, Seth natwar laal.seth natwar laal, humaare ilaake ke ek jaane-maane sunaar hai, jo ki logo ko waqt-zarurat paise udhaar diya karte rehtey hai. kaha toh yeh bhi jaata hai ki unka kuch aisa kaam hai jo ki 2 no. ka hai. Matlab ki unnke paas aane waala kuch sona ulte-sidhe raasto se bhi aata hai.Ab mujhko kisi bhi tarah se Natwar laal jee ko pata kar apni taraf milaana tha, taaki mein apne kaam mein kamyaab ho saku. Seth jee ki pauch ore uth -baith bhi kayi logo mein acchi khaasi thi. Isiliye mujhko apna kaam banta hua sa lag raha tha. Abb waqt aa chuka tha apni kismat ko ek naya raasta dikhaane ka.
Mein ore seth ji ek bank ke manager ke saamne baithey hue they ore seth ji unnse mera intro karwa rahey they. mujhko kya karna hai isski puri taiyaar maine kar rakhi thi. Paisa mujhko seth ji apni kuch zameen joki unki thi, wo bank ke paas girvi rakh kar leni thi hum logo ko. Seth ji ne abhi tak kaa kaam badey hi acche tarike se sambhaala tha. jald hi humaara saara paper work khatam ho chuka tha ore 15 dino ke andar ek bande ke inspection ke baad dobaara se humko yaha par aakar apna paisa collect kar lena tha.
Waise toh seth ji ki zameen ki keemat naa ke hi barabar thi (kyon...? aagey pata chalega.. )par seth ji ne bank manager ko kuch rupyo ka laalach dekar ussko humaari taraf mila liya tha. Manager ne bhi humaari haalat ka faayda uthaya ore humse hisse ki baat kar di. matlab ab seth ji ke sath-sath mujhko uss manager ko bhi ek hissa dena tha. Ab jab kaam kiye hai ultey toh seedha toh kuch bhi milne ki ummeed nahi ki jaa sakti. toh, humko manager ko bhi ek naye hissedaar ke taur par apne sath milaana hi pada.
Aaj mujhko ore seth ji ko ek baar dobara se bank jaana tha, apne loan ke paiso ke liye. aaj mera sapna pura hone jaa raha tha, wo sapna jisko pura karne ke liye mujhko aagey jaakar kya-kya papadh belne padengey, isska mujhko ehsaas bhi nahi tha.
khair, bank se saara paisa ore paper work karne ke baad mein seth ore manager ko unnka hissa dekar waha se nikal liya apne ghar ki taraf. Ab mujhko pakka bharosa tha ki jald hi mera sapna sach ho jaayega.
mujhko iss baat ki bhi chinta nahi thi ki bank se yeh jo loan maine liya hai yeh mujhko lautaana bhi hai, kyonki yeh loan seth ji ne apni zameen par liya tha, uss jameen par jispar waha ke local MLA ka kabza tha. abb bank ke liye bhi kaam asaan nahi hone waala tha. sab kuch meri planning ke anusaar chal rha tha.
kuch hi dino mein mujhko apna istefa dena tha ore jaise hi bank ke log apni recovery ke liye mere paas aatey mujhko apna fata haal unko dikha dena tha. fir bank waalo ke paas seth ji ki jameen ko baichne ke alawaa ore koi bhi chaara nahi tha, joki uss MLA ke kabze mein thi. Phir bank waaley jaane yaa phir wo MLA.
jald hi meine apni jama punji ore bank se liye hue loan ke sath apne liye makaan dekhne kaa kaam suru kar diya. ore jald hi meri khoj "keshu apartment" ke ek flat par jaakar khatam ho gayi. ab humko jald se jald issko lena tha. meine jald hi saare kaam kiye ore apni biwi ke naam par waha ke apartment ka ek flat apne naam par karwaa liye.
abb humaare paas humaara ek jaha tha, joki humaara tha. ore mein khush bhi tha. par jald hi meri khushi ko kayi logo ki nazar lagne waali thi. jisme sabse bada naam uss MLA ka aane waala tha.
jaise ki maine socha tha, bank waalo ko kayi maheeno tak tarkaane ke baad aakhirkaar bank waalo ne uss jameen ki bid ke liye mujhko notice bhej hi diya. mein apni job pehle hi chodh chuka tha. toh abb bank waalo ke paas koi chara nahi tha , sirf isske ki wo uss jameen ko bech kar apne loan ki recovery kartey. par wo jameen jiske paas thi usske aagey toh bank waalo ki bhi nahi chalne waali thi. toh jaise hi bank waalo ko pata chala ki unnke saamne ek bohot badi aafat aa chukki hai toh unhone mere paas dobaara se chakkar kaatne suru kar diye ore mein humesha ki tarah unnko waha se yahi keh kar bhej deta ki mere paas unnka paisa lautaane ka ore koi bhi zariya nahi hai wo jab chaahe uss zameen ko bech saktey hai ore apna paisa recover kar saktey hai..
20 october ki wo shaam shayad meri zindagi ki sabse khatarnaak shaam honi thi, jab mein ore meri patni mere dost ki annivesary ki party ke baad apne apartment ke flat par pauche. jab hum dono wha par pauche toh humaare flat ka darwaaza khula hua tha. aise youn apne flat ka darwaaza khula hua dekhkar hum dono ke hi aankhein khuli-ki-khuli reh gayi. Humko iss baat ka darr sataane laga ki shayad humaare flat mein chori hui hai par baat itni badi ho jaaygi yeh toh hum logo ne bhi nahi socha tha.
jab hum dono uss flat mein daakhil hue toh humaare saamne ek lamaba saa aadmi, hatta-katta, humaare saamne saufe par baitha hua paan chaba raha tha, usske bagal mein hi wo bank manager ore seth ji bhi khadey they. Seth ji ko dekhtey hi mera maatha thanka, ki kahi seth ji ne mere sath double game toh nahi khel daali.
wo aadmi- (paan chaabaata hua..) toh tumhi ho aaditya..
mein- haan, par tum kaun ho..
wo aadmi- mein hu dinkar yadav, uss jameen ka illegal maalik jissko tumne bank ke paas girvi rakh kar yeh shaandaar flat liye hai.
'ab mein saari baatein samajh chuka tha, mein samjh chuka tha ki bawal bohot hi zayada ulajh chuaka hai.. abb mujhko bohot hi soch samajh kar kaam lena hoga .. kuch bhi ho jaaye mujhko darna nahi hai kyonki legally mera koi bhi kuch nahi bigaadh sakta hai..(par yahi meri sabse badi bhul thi..)'
mein- par aap mere flat mein youn choro ki tarah se kya kar rahey hai..
dinkar yadav- jubaan ko lagaam de apni, naadaan ladke. tujhko shayad nahi pata raja ore praja mein kya fark hota hai.. praja ko humesha raja ka hukum maana padhta hai ore raja kabhi bhi, kahi bhi aa yaa jaa sakta hai..
mein- par aapki yaha par aane ki wajah kya hai..
dinkar yadav- mere aane ki wajah hai yeh bank manager jo mere logo ko baar-baar pareshaan kar raha hai ki mere log uss zameen ko khaali kar de.. jissko maine kayi saalo se kabza rakha hai.. ore mere log uss zameen ko kisi bhi haalat mein nahi chodhne waaley hai.. ore ab tu bata ladhke ke mein karu toh karu kya ..
mein- issme mein kaha se aa gaya ..
dinkar yadav- tu bhul raha hai chore ki bank se wo loan tene hi uthaya hai.. wo bhi uss zameen ke badle mein, jissme tera sath diya hai iss seth Natwar Laal ne.. toh saari musibat ki jadh tu hi hai..ab agar mein wo zameen chodh deta hu toh phir tera yeh flat mera ho jaayega. ore mein wo zameen naa chodhuga toh yeh bank kaa manager mere logo ko paresaan karta phirega.. toh tu ek kaam kar yeh flat mere naam kar ore apna raasta naap.
ore sochne ka waqt chahiye toh 1 hafta hai tere paas..
mein- yeh kya matlab hai.. mein kyon dene laga yeh flat... mein nahi dene waala yeh flat kisi bhi keemat par..
dinkar yadav- (muskuraatey hue..) dena toh tujhko padega hi.. ore kaise dega tu yeh bhi mein acchi tarah se jaanta hu... tu baas din ginna suru kar ... mein 1 haftey baad phir se aaunga...

"aaj teen din ho chuke hai, uss raat ko beete hue .. par mein yeh nahi soch paaya hu ki mujhko aagey kya karna hai.. kuch bhi samjh nahi aa rhaa hai ki kaise mein khudko ore iss flat ko uss dinkar yadav se bacha paunga... dinkar yadav ne jo dhamki mujhko di hai wo ussey peeche hatne waala nahi hain, ore upar se mujhko seth par bhi kuch shak ho hi raha tha ki dinkar ke sath unnki kuch na kuch toh mili bhagat zarur hi hai... toh meine fauran faisala kiya ki mein aaj hi seth se milne jaaunga..ore unnke dil mein kya hai iss baat ka pata lagaane ki koshish karunga.."
(seth natwar laal ka ghar)
natwar laal apne aalishaan drawing room ke saufe par baitha hua tha, jab mein waha par paucha. pehle toh mujhko dekhkar wo thoda sa muskuraaya phir apne haath ke ishaare se mujhko wahi usske paas aane ka ishaara karta hua sofe par baithne ke liye bola.
natwar laal- toh kaise ho aditya, ummeed hai sab kuch thik-thak hi hoga..(fiki si muskaan ke sath..)
"mujhko iss waqt behad hi gussa aa rha tha, kyonki jisss tarah se yeh seth bartaav kar raha tha mujhko iss baat ka andaaza lag chuka tha ki seth ne zarur mere sath dhokha kiya hai.."
mein-(thoda theekhe lavzo mein) sethk, tumne mere sath accha nahi kiya.. kyon kiya tumne mere sath aisa.
seth- maine kya kiya, jo bhi kuch kiya tumne hi kiya ... meine toh wahi kiya joki tumne mere se karne ko kaha ..
mein- par maine yeh toh bilkul bhi nahi kha tha ki kuch bhi aisi cheez ho jo aapko uss dinkar se hath milaane ke liye mazbor kar de..
seth- ab har cheez agar tumhaare ishaaro par hi chalti toh phir issme mera kya faayda hona tha..
mein- tum bhul rahey ho ki mainey tumko bhi ek hissa diya tha.
seth- wo toh mera mehnataana tha jo kuch bhi mainey tumhaare liya kiya hai..
mein- tumhaare ore dinakar ke beech mein kya decide hua hai..
seth- yahi ki wo tumhaare flat ko lekar meri zameeen ko chodh dega.. haan par isske liye mujhko 1 lakh rupaaye bhi dene honegey..
mein- ore issme mera kya hoga..
seth- tumaari tum jaano, shayad tumne iske baare mein bhi kuch naa kuch soch hi rakha ho....
seth se milne ke baad bhi koi bhi aisa rasta nikalkar nahi aaya tha . . ab adiya aise do-raahe par khada hua tha jaha se naa toh wo nikal ssakta tha.. ore naa hi piche hat sakta tha.. kya hoga usski life mein.. kya wo iss chiz ka koi raasta nikaal paayega... yaa phir ussko waqt ore taqat ke aagey haar maanni padegi.. kismat insaan ko kayi khel khilaati hai.. naajaane aditya ki life ussko kis ore lekar jaa rahi hai.. kaise honge usske bache hue "do din" ... kya yeh do din adiyta ke zindagi ko phir se uss patri par laa payengey jispar wo chalne ki soch raha tha.. yaa phir
"stay in touch for ............"

 

[+] 1 user Likes ddey333's post
Like Reply


Messages In This Thread
RE: eXBii Erotic Story Contest – 2013 & 2015 - by ddey333 - 20-10-2022, 05:57 PM



Users browsing this thread: 11 Guest(s)