19-10-2022, 05:44 PM
Maine rohan ko subah 6 baje hi pahuchne ke liye bola tha…kyoki thode bahut log jo devi darshan ko aate the wahan , 10 baje ke baad aate the. Maine raat me hi mandir pahuch ke pujari se baat kar taiyari kar li thi.
Main subah taiyaar hoke nikal pada sehar se bahar tile pe bane us mandir ki taraf …main apne bike pe tha aur sehar se bahar nikalte hi dhund me kuchh bhi dikhayi nahi de raha tha..suraj ki kirne dhire dhire us dhund ko bilupat karti ja rahi thi..jaise jaise main us tile pe jane wale raste se hote huye upar jar aha tha…dhund rasta chhor rahi thi aur sunehari kirne apni chamak to aur dhardaar kar rahi thi…prakiriti ke is sundar khel se rubru hote huye kab main us mandir ke aangan me pahuch gaya pata hi nahi chala.
Jaise ki mujhe umeed thi, rohan ke saath-saath reshma bhi wahan maujud thi..maine unhe shadi ke kapde me aane ko kaha tha…isliye rohan apne parampara ke mutabik dhoti aur kurte me tha aur reshma laal rang ki saari me thi.
Reshma aaj bahut hi khoobsurat lag rahi thi, waise mujhe hamesha har kapde me achhi lagi vo, kyoki thi hi itni sundar..malik ne badi fursat me banaya tha use. Shayad apne dost ki mashuka aur ab hone wali bibi ke bare me kuchh nahi bolna chahiye, lekin yahan aisa nahi tha…
[College ke first year me jab hum mile the, reshma se pehle meri hi baat huyi thi aur dosti bhi, hum ek saath bahar ghumne bhi jate the, jis bakt rohan ke reshma ka bas hii- hello hi tha. Lekin saath me bakt bitane ka matlab pyar nahi hota, koi ladki apne dil ki baten Karen to matlab vo aapse pyar kar rahi hai, aisa nahi hota.
Pyar aur dosti ke beech ek patli lakshman rekha hoti hai, aur hum aksar us rekha ko andekha kar dete hai, jab pyar ek tarfa hota hai… aur wahi wajah hota hai dil tutne ka. Maine bhi reshma ke is dosti ko pyar hi samajh liya tha. Mujhe ye ehsaas hua tha ki mere aur reshma ke beech aur koi nahi hai, aur jo mera haal hai vahi haal reshma ka hai….
Mere ishq ka nasha us din utra jis din reshma ne rohan ko dene ke liye ek kaagaj ka tukra mujhe diya.
Mujhe ajeeb laga aur meri jigyasha badhi … maine us tukre ko apne kamre me ja ke khola aur padhne laga….jaise jaise main padh raha tha, meri saanse atak rehi thi..mujhse usme likhi baten padhne ki himmat nahi bachi thi shayad..mere hath kaanp rahe the aur mere aankh ke kone se kab kuchh bunde tapak ke zameen ko bhigo gayi pata hi nahi chala.
Us kaagaj ke tukre me likhe antim akshron ko padhte huye..meri jabaan bhi kabu me na rahi..aur main jor-jor se rone laga….maine kiska kya bigara kabhi, kyon mujhse hi sab kuchh chhin jata hai, aaj barso baad mummy papa ke marne ke baad kisi se pyar ki umeed thi..zindgi saath gujarne ka soch liya aur uska kya haal hua….mere hath se nikal ke vo tukra jameen pe pada tha
“………………….. maine bahut koshish ki apne izhar-e- ishq ke liye , lekin kambakht ye dil himmat hi nahi juta paya aaj tak. Main intezar kar rahi hu , campus ke bahar coffee house me …aaj sham 6 baje…umeed karti hu, tum jaroor aawoge...
Tumhari diwani
Reshma”
Maine apne aapko sambhala aur phir har vo koshish ki jis se reshma ko uska pyar rohan use mil jaye. Lekin apne aapko reshma se dur hi rakha, kyoki na to apne aapko dukhi karna chahta tha aur na hi rohan ko.]
Aaj reshma ko dulhan ke lal jore me dekhkar phir se salon baad aankho me nami si aa gayi aur kab kuchh bunde aankho se dhalak kar jameen pe gire pata hi nahi chala. Andar bhavnao ka ek toofan ghumarne laga.