18-10-2022, 10:08 AM
Aur fir me moorkho ki tarah me us haweli se baahar aaya. Sach keh raha hu...meri aankho me aansu aa gaye the. Dil bahut bhaari tha. Lag raha tha ki marti huyi aurat ne mere kandho pe 100 kilo ke patthar jitni jimmedari rakh di ho.
Me man hi man ye dradh-nishchay kar chuka tha ki mujhe is dukhiyaari maa ka beta khojna hi hai.
Pichhe se naukaraani bhaagte huye aayi aur wo ek crore rupye se bhara suitcase meri jeep me rakh gayi.
Lekin dosto......aaj us bete ko apni maa se bichhde 35 saal ho chuke hain....aur mere paas ye jimmedari aaye 15 saal ho chuke hain. Lekin Me uske bete ko......us apradhi bete ko kabhi nahiin khoj paaya.
Wo ek crore rupye mene kabhi kaam me nahiin liye. darasal kabhi unko hath lagaane ki himmat hi nahiin huyi. retirement ke baad wo rupye mene vraddhaashram ko donate kar diye.
Badaa dard hota hai dil me us maa ki kahani ko yaad karke.
Dosto...bahut khush-kismat hote hain wo bachche, jinko maa-baap ka saaya milta hai. ye aisi poonji hai, jise aap paiso se nahiin khareed sakte. isko bahut sahej ke rakho.
Galatiyaan sabse hoti hain. jab maa baap humaari hazaar galatiho ko maaf kar dete hain to kya hum unki 2-4 galatiho ko maaf nahiin kar sakte?
Me maanta hu ki kisi bhi bete ke liye apni maa ke is tarah ke sambandh sweekar karna mushkil hi nahi...bahut jyada mushkil hai. Lekin kya us bete ne jo kiya wo thhik tha?? Kya use apni maa ko kamse kam ek baar maaf nahiin kar dena chaahiye tha?
Mere khayaal se us bete ne sarasar galat kiya. Use kisi halat me aisa nahi karna chaahiye tha. Aapki kya raay hai....jarur bataayen
THE END