17-10-2022, 04:10 PM
FrankanstienTheKount
chitthi a soldier's letter
Priye,
tumhara khat mila, javab jaldi hi bhenjna chahta tha par samay hi nahi mila tumse idhar ke halat kaha chupe hai, to deri se javab ke liye koi shikva na karna dil to mera bhi bahut karta hai ki tumse baat karu yaad bhi bahut aati hai par mai majboor hu kuch karz is dharti ka bhi hai jo chukana jyada jaruri hai aaj kuch kaam se niche base camp me aaya tha to socha ki tumhare khat ka javab bhej du.
Tumhari shikayat hai ki mai ghar par phone nahi karta hu ab kya karu idhar pahado me network hota hi nahi hai vaise to satteelite phone hai par jab apne javano ki aankho me apne gharvalo se do baat karne ki lalak ko dekhta hu to fir mai apni iccha ko daba leta hu gharvalo se baat karke jab khushi se damakte huve unke chehro ko dekhta hu to tumse baat na kar pane ka dukh jaise kahi chup sa jata hai
Yaha in pahado par meri choti si post par insab ke saath ek choti si family si ban gayi hai par fir bhi jaise hi raat hoti hai to ye sard hava aur geeli dhund apne saath tumhara thoda sa dard bhi le aati hai aur fir mai so nahi pata hu sach kahu to bahut si bate tumse karna chahat hu par jab tumhare pass hota hu to himmat hi nahi padti tum kabhi kehti nahi par tumhari us hasi ke piche chupe huve dard ko mai fir bhi padh leta hu.
Par mai kuch kar bhi to nahi sakta chutti mile to aaj mil jaye na mile to pata nahi kitne din lage ek taraf tumhare roop me mera pyar, meri mohabbat mujhe pukarti hai aur dusri taraf mere panvo me faraz ki bediya bhi to hai jo shayad mohabbat se kuch jyada majboot hai aur fir idhar bus tumhare pyar ka hi to sahara hai mujhe aksar raat ko kuch hichkiya aa jati hai jo bata ti hai ki tumhe bhi neend nahi aayi hai duty par jab kabhi
Kuch der ke liye jhapki aa jati hai to ye thandi hava kuch yu chu kar chali jati hai jais tumne apne naajuk hatho se mere sar ko sehla diya ho us pal dil me ek tees si foot padti hai apno se door hone ki kabhi kabhi khud ko bahut akela mehsoos karta hu par priye tumhara haal bhi mujhse kuch chupa nahi hai mai janta hu ki aksar tum takiye ko bhigo deti ho apne virah ke aansuo se mai samajhta hu ki tumhe meri jarurat hai yaad aati hai aur sach kehta hu mera haal bhi tumse kuch juda nahi hai jab aakash me kuch panchiyo ko udte dekhta hu to dil karta hai ki kaash mere bhi pankh hote to udkar tumhare pass chala aata par apne sochne se kya hota hai tumhari purani chitthiyo ko sambhal kar rakha hai
Kuch samay ke saath dhoondhla gayi hai par tumhare ek-ek shabd ko jaise rat hi liya hai maine ye pen bhi dhang se likh nahi pa raha hai lagta hai iski syahi bhi jamne lagi hai par aaj kuch bhi karke ye chitthi post karne ke liye bhej hi dunga kyonki mai janta hu ki tumhe besabri se mere khat ka intzaar hoga mai janta hu ki jab gali me dakiye ki cycle ki ghanti bajti hogi to tum nange panv hi darvaje ki or dod jati hogi sach kahu to ye choti-choti bate hi to hamare is rishte ke dhage ko itni majbooti se thame huve hai