17-10-2022, 12:22 PM
" tumhara plan kya tha " maine poocha.
" vo bhi pata chal jaayega doctor sahab, pehle poori baat to sun lijiye " Munna ne kaha, to mai chup ho gaya.
" vo bheetar gaya aur Anju ko ye kehkar bula laaya ki usse koyi milne aaya hai, Anju aayi lekin mujhe dekhte hi vo bifar uthi, boli, kya lene aayo ho yaha, us
din kahi huyi baat samajh me nahi aayi tumhaare, mujhe tum me koyi interest nahi hai, dafa ho jaao yaha se, bhagvaan kasam doctor sahab, gusse me vo aur
bhi khoobsurat lag rahi thi, uski neeli aankho ki gehraayi me kho sa gaya tha mai, ushe paaglo ki tarah ektak ghoore jaa raha tha, mujhe aise ghoorte huve
dekhkar vo boli, samajh me nahi aata kya, maine kaha dafa ho jaao yaha se, uski baat sunkar jaise mai haqikat ke dharatal par vaapis aaya aur apne plan ke
baare me sochne laga, maine usse kaha, mai us din ke liye tumse maafi maangne aaya hu, mujhe tumse vo sabkuch nahi kehna chahiye tha, mujhe maaf kar do,
aur mai tumhe ye bataane aaya tha ki kal maine raat ko chouk par kuch logo ko baat karte suna tha ki vo tumhaare papa ko business me bhaari nuksaan
pahuchana chahte hai, aur unhe jail bhijvana chahte hai, ye sunkar vo chounk gayi, poochne lagi ki koun they ve log, maine apna agla daanv chala, kaha,
andhera hone ki vajah se mai unhe pehchaan nahi paaya lekin agar tum mujhe maaf kar dogi to mai unka pata lagakar tumhe bata dunga, usne kaha, theek
hai, maine tumhe maaf kiya, maine apni agli chaal chali, kaha, thank you, kal ishi samay par mai tumse yaha par milne aaunga aur tab tak mai un logo ka
pata bhi laga lunga, usne kaha, theek hai, ye baate karke mai vaha se chala aaya "
vo saans lene ke liye ruka to mai khud ko bolne se na rok saka," lekin vo log koun they jo Anju ke papa ko business me nuksaan pahuchana chahte they aur in
saari baato se Amrish ka kya lena-dena "
Munna ke hontho par ek feeki muskurahat ubhar aayi, bola," aise koyi log they hi nahi doctor sahab, vo to maine ushe khud ko maaf karvaane ke liye kaha
tha, kyonki agar vo mujhe maaf nahi karti to mera plan kaise kaamyaab hota "
" kya tha tumhara plan " mai phir beech me tapka.
" us din shaam ko maine aur mere dosto ne Amrish ko party di, ushe sharaab pilaayi aur baato hi baato me usse idhar-udhar ki khabrein pata karne lage, to
usne bataya ki bhai kuch bhi kaho, apni poori colony me sabse shareef Ajay (Anju ke pita) aur uska parivaar hi hai, unse shareef koyi nahi hai, apni beti me
bhi kya sanskaar daale hai unhone, ekdum lakshmi hai unki beti bhi, mujhe jis mouke ki talaash thi, vo mil gaya tha, isliye mai bola, aapki ye shareef ladki
mujhse pyar karti hai Amrish bhai, vo chounk kar bola, kya baat kar rahe ho Munna, uski to shaadi tay ho gayi hai, vo bhala tumse pyar kaise kar sakti hai,
vo kitni shareef ladki hai, nahi, mai nahi maanta, maine kaha, vo mujhse pyar karti hai, aur isliye hum dono bhaagne vaale hai Amrish bhai, uske chehre par
hairat ke bhaav abhi bhi kaabij they, bola, mai nahi maan sakta, mai bola, theek hai, kal khud tum apni aankho se dekh lena, jab mai uske college me usse
milne jaaunga, Amrish bola, theek hai, agar tum usse miley to ye saabit ho jaayega ki vo tumse pyar karti hai, itna bolkar Amrish chala gaya "
" achha, to ye tumhara plan tha, tum Anju ko badnaam karna chahte they Amrish ke jariye " mai baat ko samajhte huve bola.
" bilkul theek samjhe doctor sahab, agle din bhi mai Anju ki college jaa pahucha, jaate hi maine security guard ko 2000 rupye thama diye, vo bina kuch bole
seedha Anju ko bulaane chala gaya, maine Amrish se kaha ki tum aaspaas thoda door chale jaao aur aaj khud apni aankho se dekh lena jab vo mujhse milne
aaye, Amrish meri baat sunkar gate ke paas ek ped ke peeche jaakar chup gaya, thodi der baad Anju aayi, ushe apne pita ke dushmano ke naam jaanne ki
utsukta thi isliye vo kafi teji ke saath meri taraf aayi thi, aur baahar khada Amrish sabkuch dekh raha tha, vo mere paas aakar boli, bataao koun hai vo,
tumne pata kiya, maine kaha, sorry Anju, mai pata nahi laga saka, mujhe maaf kar dena, itna bolkar mai chupchaap vaha se chal pada, bina peeche mudey,
kyonki mera kaam ho chuka tha, Amrish hum dono ko saath dekh chuka tha aur ye baat mai bahut achhi tarah se jaanta tha ki ab ye baat uske pet me
pachegi nahi, peeche Anju hairat se bhari aankhe liye mujhe jaate huve dekh rahi thi "
" fir kya hua " maine poocha.
" fir vahi hua jo mai chahta tha, Amrish ne ye baat saari colony me faila di ki Anju ka mere saath chakkar hai, uske pita ki saari ijjat mitti me mil gayi, Anju
se jiski shaadi hone vaali thi, usne shaadi tod di, aur Anju ne apne ghar ki chatt se koodkar apni jaan dene ki koshish ki "
" lekin tum apne aap ko saza kyo de rahe ho, tumne jo chaaha tha, vo to tumhe mil gaya tha na " bolte waqt meri aankho me aansu they.
uske chehre par maujood muskaan me dard ki lehar doud padi," kya chahta tha mai, kyu chahta tha, kya bigada tha usne mera, mai usse pyar karta tha, vo
mujhse nahi karti thi to isme uski kya galti thi, doctor sahab, jab maine uska chatt se gira, toota shareer dekha to mere dil me vo dard utha jishe mai bayaan
nahi kar sakta, aisa laga jaise kisi ne garam loha mere seene me utaar diya ho, us waqt socha ki apne ghamand me choor maine kitni jindagiya barbaad kar di,
mujhe jeene ka koyi haq nahi hai doctor sahab, koyi haq nahi hai, jisse pyar karta hu, vo mujhse nafrat karti hai, aur vo nafrat paida bhi maine hi ki, kisliye,
kyu, aaj jab sochta hu to samajh nahi paata ki maine aisa kyu kiya, agar vo mere saath nahi hai to jeekar karunga bhi kya, isliye khud ko dard deta hu taaki
seene me uthte dard se thoda dhyaan hat jaaye, kisi tarah se vo dard kam ho jaaye, lekin vo dard kam nahi hota, badhta jaata hai, hamesha uska udhda hua
shareer meri aankho ke saamne ghoomta rehta hai, mere dil se hamesha ye aawaaj uthti rehti hai ki uske is haal ke liye mai aur sirf mai hi jimmedaar hu, isliye
khud ko dard deta hu doctor sahab, isliye khud ko dard deta hu mai " kehne ke baad vo foot-footkar rone laga.
aansu meri aankho me bhi they, isliye nahi kyonki mujhe Munna se hamdardi thi, isliye kyonki aaj mai khud ko bahut chota mehsoos kar raha tha, Anju se
meri shaadi hone vaali thi, uske aur Munna ke baare me sunkar bina kuch soche-samjhe maine usse rishta tod diya, isme us bechari ki kya galti thi, kahi na
kahi Anju ki is haalat ke liye mai bhi utna hi jimmedaar hu jitna ki Munna hai, ab sirf ek hi tareeka hai mere paapo ka prayschit karne ka, mujhe Munna aur
Anju ki shaadi karvaani hogi, pata nahi mai ye sab kaise karva paaunga lekin mujhe ye karna hi padega, do premiyo ko milvakar mai apne dwara ki gayi
galti ko sudhaar lunga aur fir shaayad mere dil se bhi vo dard kam ho jaayega jo aaj Munna ke munh se uski kahani sunne ke baad paida hua hai.....
THE END