17-10-2022, 12:21 PM
Rahul_2795
DIL KA DARD
DIL KA DARD
" baar-baar aisi chotey kaise lag jaati hai tumhe Munna " maine almaari se first aid box nikaalte huve apne saamne baithe Munna se kaha.
" pata nahi doctor sahab, jaane kya ittefaak hai " Munna ek feeki hansi hanskar bola.
" ittefaak ek baar ho sakta hai, do baar ho sakta hai, lekin baar-baar ek hi tareeke ka ittefaak ho to iska matlab hai ki kuch na kuch gadbad hai " mai bola.
" kya gadbad ho sakti hai doctor sahab " Munna meri or dekhta hua bola.
" mujhe lagta hai ki tum khud apne aapko chot pahuchaate ho " kehkar mai uske chehre par aane vaale bhaavo ko bareeki se dekhne laga.
ek baar ko uske chehre par aise rang aaye jaise ki uski chori pakdi gayi ho, lekin turant hi usne khud ko sambhaal liya.
" aisi koyi baat nahi hai doctor sahab "
Munna aaj mere paas paanchvi baar aa raha tha, pehli baar uski ungli darvaaje me aa gayi thi, dusri baar pair me chot lagi thi, aur fir har baar alag jagah par
chot aur uske liye alag bahana, aur is baar aisa lag raha tha jaise uski kohni ke paas se uske dono haatho ko jaise blade se kaata gaya ho, shuru me 3 baar to
uska bada bhai uske saath aaya tha lekin fir usne bhi aana band kar diya tha.
" dekho Munna, mai doctor hu, roj hajaaro patients ko dekhta hu, unki manodasha ko samajhta hu, aur unka ilaaj karne ki koshish karta hu, lekin agar
patients hi mujhse sabkuch chupaayenge to mai unka ilaaj kaise kar paaunga, mai jaanta hu ki koyi aisi baat jaroor hai jo tumhe andar hi andar khaaye jaa
rahi hai, jiski saza tum khud ko chot pahuchakar de rahe ho, mujhe batao, dard baantne se kam hi hota hai Munna, badhta nahi hai " maine Munna ke haath
me patti karte huve kaha.
meri un baato ka uspar jaaduyi asar hua.
" aap sahi keh rahe hai doctor sahab, mai khud ko hi saza de raha hu, uski jindagi barbaad kar dene ki saza, mujhe koyi haq nahi tha uski jindagi barbaad
karne ka, lekin apne ghamand me choor maine vo bhi kar diya, ye bhi na socha ki uske baad uspar kya beetegi, samaaj me uski kya ijjat reh jaayegi " bolte-
bolte Munna ki aankho ke kone se aansu ki choti si boond baahar nikal aayi thi aur uske gaalo ko choom rahi thi.
" shuru se shuru karo munna, aise to mai kuch samajh nahi paaunga " mai bola.
Munna ektak shunya me taakne laga, aisa lag raha tha jaise ki vo soch raha ho ki shuru kaha se kare.
" baat aaj se koyi 6 mahine pehle ki hai doctor sahab, mere mohalle me ek bahut hi khoobsurat ladki rehti thi, Anju naam tha uska, khoobsurti ki murat thi
vo, bhagvaan ne jab ushe banaya hoga to vo bhi kuch der tak uske aakarshan me kho sa gaya hoga, uski jheel si neeli aankho me doob sa gaya hoga, vo thi hi
aisi, jo bhi ushe dekh le ushe pyar ho jaaye usse, mujhe bhi ho gaya, lekin vo thahri ek shareef ghar ki ladki aur mai thahra aawaara ladka, jiske paas na
naukari thi, jishe na rishto ki samajh thi, har roj jhagda karna, mar-peet karna yahi mera kaam tha, aur ishi vajah se mai poore mohalle me badnaam tha,
aakhirkaar ek din himmat karke maine usse apne pyar ka ijhaar kar hi diya lekin usne mere pyar ko thukra diya " vo saans lene ke liye ruka to mai bol pada,"
to isliye tumne khud ko jakhm dene shuru kar diye "
" nahi doctor sahab, ye baat nahi hai, jis din usne mere pyar ko thukra diya, us din shaam ko mai apne dossto ke saath baitha sharaab pi raha tha, to maine
unhe uske baare me bataya, un logo ne kaha ki bhai, aapko koyi aise beijjat kaise kar sakta hai, aapko apni beijjati ka badla lena hi hoga, aur ghamand me
choor maine bhi unse vaada kar diya ki haan, abse us kutiya ko uski aukaat yaad dilana hi meri jindagi ka ek maatra maksad hai, saala, us waqt socha hi
nahi tha ki kounsi beijjati ka badla lena chahta tha mai, saali jiski koyi ijjat hi nahi thi, jishe gali ka kutta bhi ijjat nahi deta tha balki sab usse darte they,
uski bhala koyi beijjati kaise kar sakta hai, lekin kehte hai na ki nafrat me bahut taakat hoti hai, us din se hi mai ushe barbaad karne ke liye plan banane
laga, har pal ye sochne laga ki mai kaise ushe badnaam karke uske haatho huyi apni beijjati ka badla le sakta hu, aur aakhirkaar mere dimaag me ek tarkeeb
aa hi gayi "
" vo kya " maine poocha.
" hamari colony me ek aadmi hai jiska naam Amrish hai, idhar ki baat udhar karne ki uski aadat hai, vo kisi bhi baat ko poore mohalle me chutkiyo me faila
sakta tha, maine ushe istemaal karne ki thaani "
" vo kaise " maine poocha.
" jis college me Anju padhti thi, ek din mai us college me jaa pahucha, vaha baahar khade huve security guard ne mujhe andar jaane se rok diya, maine usse
bahut request ki magar vo nahi maana, aisa nahi tha ki usko side me karke andar jaana mere liye koyi mushkil kaam tha, lekin aisa karne se mere plan me
dikkat paida ho sakti thi, isliye maine dusra raasta apnaya "
" vo kya "
" paise ka, laalach har insaan ki kamjori hoti hai, maine ushe ek 1000 ka note diya aur kaha ki dekh bhai, is college me Anju naam ki ek ladki padhti hai aur
mera dost usse bahut pyar karta hai lekin vo uske pyar ko samajhti nahi hai, isliye mai ushe samjhaane aaya hu, bas 2 minute ka kaam hai, vo bola, nahi,
nahi, meri naukari chali jaayegi, maine ek aur 1000 ka note nikaalkar uske haath me rakh diya, ab vo line par aa gaya, bola, theek hai, lekin sirf do minute,
mujhe kya dikkat ho sakti thi "