16-10-2022, 10:25 PM
aprajita
Aam ka bagicha
Ram babu apni chadi k sahare khade hokar soch rhe thay ki aab jindagi kategi kaise??? "aab tau yaado ka paiband v tut Gaye Hai, aur yahi sochte sochte Kab unki aankho se aansu ki dhara nikalne lagi ye khud unhe v malum nhi Hua! Wo aasman ki taraf dekh kar ek thandi aah!
Lete Hai aur fir apne aankho se aansu pochte hue apne ghar ki taraf chal pade! Bar bar wo piche mud kar dekhte aur jab mudte tau aur dekhte tau ek paiband tutte dekh kar aur ro dete! Par wo dil aur kadmo ka talmel nhi bana paa rhe thay! Unka "dil" Tau rukna chah rha tha par unke kadam chalne ko utawale thay! Jaise taise wo ussi halat mai apne ghar pahunche aur fir apne ghar ka darwaja khola aur aandar chale Gaye! Aandar jaa Kar ek kamre par unke pao theher Gaye , uss kamre k aik kone mai ek purani si sanduk rakhi Hui thi.
wo dhire dhire chalte hue uss sanduk k pass aaye , fir apni uss purani si sanduk ko khol diya aur ghutne k sahare baith Gaye wahi jamin par ..! Puri sanduk se unhe koi Lena na dena tha ! Aabke bar bhi wahi Hua jo sanduk k khulne par har bar hota hai! Ek laal kapde mai liptii Hui ek choti si chokor tasvir nikali.. Pehle uss tasvir par pyar se apne haath firaye aur fir uss tasvir ko apne seene se laga kar fut fut kar rone lage "! Thode der baad jab khud ko halka mehsus Kiya tau uss tasvir ko apne seene se hata liya aur dekhne lage aur bole -" "aaj wo aam ka bagicha meri aankho k samne Kat gaya sushila...,jiss bagiche k Pedo ki chaav mai na Jane kitne mohabbat k sahname likhe thay humne mil kar...! yaad Hai wo din! jab duphari mai garam hawa chalti thi aur ussi waqt hum milne ko Aate thay uss bagiche mai uss aam k ped k niche...!
Yeh bagicha hi tau tha jisme aakar hum panah Liya karte thay aur tum mujhe apni julfo ki chaaon mai sulaya karti thi.... ! Sari duphari dhoom machati thi ! aur haan..! yaad Hai ! hum mitthu ko bhi tau yahi se laye thay ghar..! Do hi naam tau sikhe thay usne.. "ek mera naam aur ek tumhara "..!
((barso pehle..... Sardiyo ka ek din))
Ram subhah k waqt mai bagiche mai baitha Hua tha... tabhi dabe pao sushila aayi aur chup chap raam k paas baith gayi aur haule se uske kandhe par apna Sar rakh diya! Sushila k haath ki anamika ungli mai ek nayi aanguthi Chamak rhi thi aur ram ki najar uss aanguthi se hat nhi rhi thi ....!
Fir sushila himmat kar k boli "ram aab tau mujhe Jana hoga...., tum kavi kavi mujhse milne tau aaoge na..!??
Usne fir kaha mai tau jaa rhi hu apna dil lekar par uski dhadkan tau sirf tumhare pass Hai"
ram sushila ki baato ko bade gaur
Se sun rha tha!.... Kya Bolta..??.. ghar mai babuji dhamki de chuke hai ki agar biradri mai naak katwayi tau mera mara muh dekhoge..!
aur sushila k bina wo khud ko kho dega wo ye v janta tha...!.. magar kare v tau kya???..ye kimat tau sushila v nhi chukani chahti thi kiunki ram ko uske pariwar se alag karne ka wo Sapne mai v soch nhi sakti..!
dono premi bahut hi Kathin paristithi se gujar rhe thay aur unhe Sahara dene wala ya unki madad karne wala koi na tha! bas wey dono hi aik dusre ka sahara bane hue thay! ram aur sushila, dono k pariwar wale iss rishte ko apnane se inkaar kar rhe thay..! rishta tutna tau tay ho chuka tha . bas ek akhiri mulakaat ka daur tha ye tau jo bahut hi taklifdey tha ! Aur ye indono ko bahut hi dard de rha tha jo shayad bayaan karna lafzo mai bahut hi mushkil Hai. ram ne sushila ka haath apne haath mai Liya aur kehne laga - "hum kisi rishte k mohtaj nhi Kitna mushkil Hai na! apne pyar , apni mohabbat ko khud se dur karna, usse Alag hona! ye sun kar sushila kuch v na bol payi...bas sunti rhi aur aansu bahati rhi..! Kuch Der tak tau sannate mai sirf parinde bolte rhe, akhir sushila ka dhairya v jwab de gaya aur fir wo boli - "ram... tum mere dil mai ho aur humesha rahoge ...! janti hu mushkil bahut hogi par, tumhare saath ka ehsaas hi mujhme hausla bhar deta Hai... hum kayion k dil dukha kar milna nhi chahte ...! ye sahi nhi Hai!ram...!" ram tum tau meri ruh mai base ho .. bhala koi ruh se alag Hua hai kavi...?!!
hum kavi alag nhi honge ram..! bas humare raste badal rhe hai Manzil nhi..! tum himmat rakhna kiunki agar tum toote tau mai v toot jaungi..!
Mai tau ek nadi ki tarah hu ram..!, Pata nhi aab kin rasto se bahungi, par milna tau ek din sagar mai hi Hai na...! aur tum ho mere sagar ram..! "ram sushila ko Alag karta Hai aur naam aankho se dekhta Hai..! fir sushila bolti Hai -" ek din milne aaungi aur fir humesha k liye mil jaungi...,
Tum bas yaad rakhna..! iss bagiche ki tarah humesha humari mohabbat mehekti rahegi..! Kisi din ye bagicha na rha tau Jaan Lena ki mai v nhi rhi, jaan lena ki apne sagar se milne k liye chal padi ek nadi..! Itna kehte hi sushila v ro rhi thi aur ram ne sushila ko gale se laga liya aur sushila v ram k seene se lag gayi..., maano jaise uski dhadkan sun rhi ho..! Bagiche mai parindo ka Shor hone laga,
jaise taliyan baja rhe ho Inke milne par..! Dono fir nikal pade aur fir unke raste alag ho Gaye par manjil ek hi rhi..! Sagar ka intajaar rahega nadi ko aur nadi din raat Sagar se milne k liye chalti rahegi, bina ruke bina thake..!
((aaj ka din))
Ram babu sushila ki tasvir ko Sara haal suna kar khade ho Gaye.. ek haath mai laal kapda aur ek haath mai chokor tasvir liye thake kadmo se chalkar ek kursi mai baith gaye aur sochne lage ki kaha janenge wo parinde jo bagiche ki daliyon par apna ghar banaye thay.... kaha janenge wo..???!!
na koi baccha patthar marega aur na kacchi kairiyan todega! Har darkhatt par mohabbat mai dubkar kitne hi diwano ne apne naam khureche thay uss ped par... Kya Hua hoga jab unn naamo par aariyan chali hongi ...! aankhe bhar aayi aur dil baith gaya ram babu ka aur fir Bade hi dur nikal Gaye sochte sochte!
Pata nhi Kab nind aagayi...??.. aur wo so Gaye..! agle din subhah tau Hui par ram babu nhi uthe..., "ek sagar nadi se milne nadi ki jaanib chal pada..! kaha itna sabar tha ki intazaar karle..??!
Aab jism ki sarhade tut gayi thi aur aab unki ruh aajad thi...! Subhah sheher mai Har taraf Shor tha ki aam k bagiche ka kya Hua...??! "Kyu kaat diya gaya??! Par koi yeh nhi janta tha ki ek mohabbat bhi mar gayi uss bagiche k saath aur na jaane Kitni hi kahaniyan bani hongi jo uss bagiche k saath dafan ho gayi...!
The end ****