16-10-2022, 11:04 AM
GARUDA76
KYA YAHI PYAR HAI
* KYA YAHI PYAR HAI *
-----------------------
" ka karun sajni aaye na balam ka karun sajni " gungunate huye amit ghar se nikla . aaj radha bahut dino ke baad sahar se aa rahi thi use lene ke liye amit apne bike se station ki or chal pada. aaj vah bahut khush tha . radha ko vah bahut siddat se dil hi dil me pyar karta tha per aajtak kabhi khulkar kaha nahin tha.
station per bahut hi chahal pahal thi gadion ke announcement aur musafiron ki aaba jahi se pura station jaga hua tha.
radha ki gadi bhi aane wali hi thi kuchh der me , amit intezar karne laga achanak se radha ki gadi ka announcement hua to amit ka dil dhad dhad sa bajne laga . khair gadi aayi radha dibbe ke gate per dikhi amit ka to mano khusion ka thikana na raha . vo lapak kar radha ke pass pahuncha dono ek dusre ko dekhkar muskuraye. amit ne radha ka bag utha liya. aur station se bahar nikalne laga.
amit gaanv ke ek achhe khate pite ghar ka ladka hai uske pita ka naam narhari singh hai . sajjan narhari singh jaisa naam vaisa kaam ki ukti ko charitarth karte hain. gaanv me unka bada maan samman hai . sab ke sukh dukh ke sajhedar narhari singh ke ek dost aur radha ke pita rajbir ji ka asamay nidhan sadak durghtna me tab ho gayi thi jab radha bahut hi chhoti thi . rajbir ji ek chhote kisan the jo bagal ke gaanv me rahte the. unke asamay nidhan ke baad narhari singh ne na kewal pariwar ko bhavnatmak saath diya balki rajbir ji ke pariwar ko apne gaanv me hi basa diya taki unki dekhbhal achhe tarike se kiya ja sake. dosti hi nahin insaniyat ka bhi yeh takaja narhari singh ne bahut hi achhee tarah se nibhya tha. samay bitata raha ab radha doctor ki degree lekar wapas aayi hai.
amit radha ko lekar uske ghar ke raste per chal pada.
kahan ja rahe ho - radha ne puchha
amit - ghar nahi jana h kya
radha - pehle dada se to mil lun phir ghar chalenge
chalo jaise tumhari ichha kahte huye amit ne bike ko apne ghar ke taraf mod liya. ghar pahunchkar radha narhari singh se mili . narhari singh ektak radha ko dekhte ja rahe the unhen radha me hamesha rajbir ji dikhayi dete the.
dada aise kya dekh rahe hain radha ne kaha. vaise to chacha ka rista tha radha ka narhari singh se per rajbir ji unhen dada hi bulate the so radha bhi dada hi kahne lagi.
"kuchh nahin beti tu suna teri padhayi kaisi chal rahi hai aur tum kaisee ho" narhari singh ke swar laraj se gaye
radha unki bhavnaon ko badi sanjidgi se samajhti thi ki ve kahan khoye huye hain.
dada main to thik hun aur doctari ki padhayi puri ho gayi hai - radha ne jawab diya
"chal adhiya hai aaj rajbir hota to kitna khush hota tumhe doctor dekhkar " narhari ji jaise bhavabesh me bah gaye . yeh pehla absar tha jab narhari ji ne radha ke samne uske pita ki baat ki thi.
dada aap khush to ho na ?- radha ne puchha
bahut khush - nahari ji ne swayam ko sanyat karte huye radha ke bag ko dekhte huye kaha. chal ab bhabhi se mil le mujhe pata hai ki tu abhi ghar nahin gayi hai .
sab log radha ke ghar pahunche aur uski maa se mile .radha ki maa bahut hi khush huyi .
"bhabhi aap khush to ho na aaj kuchh mangne aaya hun main aapse" -narhari ji ne radha ki maa urmila devi se kaha.
bhai sahab sab kuchh to aapka hi hai main bhala aapko kya de sakti hun - radha ki maa ne kaha
bhabhi aaj radha ko main amit ke liye maangne aaya hun -narhari ji ne kaha
radha ki maa ke aakhon se khushi ke aanshu girne lage aakhir sabkuchh tay ho chuka tha . niyat samay per radha aur amit ki shadi bade hi dhumdham se narhari ji ne sampann kara diya.
aaj radha ne gaanv me hi apna hospital chalati hai aur khusi khusi apne parivar ke saath rahte huye gaanvwalon ki seva kiye ja rahi hai . amit radha ke saath khush hai . narhari ji unhen khush dekhkar aur apne dost ko yaad kar kabhi khush to kabhi gamgeen ho jate hain.
ab pathkon se ek sawal
kya yahi pyar hai ?
apne bahumulya raye se hamen jarur abgat arayenge .
THE END.