07-10-2022, 12:59 PM
BHUJANG
garamrohan
-1-
‘Aadarsh Vidyalaya, Himmatpur’ ke itihas main ye pehli baar hua hoga, ki poora din lectures off the. Headmaster Motiram subah se hi college se gayab the aur baki adhyapak bhi staff room main ekatta ho gaye the. Sab ko andaja ho gaya thi ki gaon main jaroor kuch anhoni ghati hai. Kuch ladke haalchal janane hetu bahar jate waqt watchman se galiyan khakar class main aake baithe the.Hua kya hai ye koibhi nahi bata raha tha. Thak kar, vidyarthi ye aswabhavik rup se mila samay gali-galochi, marpit jaise param aaandadayi kriyao main vyatit kar rahe the. Headmaster Motiram ka beta Sunil bhi ismain piche na tha.
Sunil apane maa-baap ka eklota beta tha.Ek taraf se Master Motiram ke aadarshvadi sanskar us pe ho rahe the, to dusree aur uski maa, Arundhati ‘Be Practical’ ki gutti use pilaye ja rahi thi. Dono pati patni apni apni philosophy pe itne atal the ki, Motiram ko uski biwi sankuchit vichoron ki lagti aur Arundhati apne pati ko bewkuf hi samjhati thi. Usne than li thi ki beta kuch bhi bane par college master na banane degi.
-2-
Panchayat ke samne jeep main baitha Rajan bore ho gaya. Usne jeb se mawa nikalne ke liye hat daala tabhi use samne se ek buddha uski aur teji se aata dikha. Rajan ko mawe main koi hissedar na chahiye tha to usne khali haat hi bahar nikala.
“Rajanbhaiya…kya jo suna wo sach hai?”, dheeme aawaj main usne pucha. Rajan ne apna sar ‘han’ main hilaya.
“Bahot bura hua…. aisa na hona tha… Kalyug hai aur kya..”, dukhbhari swar mainbuddha bola ,“Lekin Babu bhala ye kaise kar sakta hai? Wo to….”
“Are Chacha tum to daroga ke bhati chanbin kar rahe ho… sacchai ka pata pulice laga legi. Tabtak mujhe baksh do.”, Rajan uspar bhadak gaya.
Tabhi pulice gadi panchayat ke samne aake ruk gayi. Inspector Yadav gadi se utarkar undar chale gaye. Sarpach ki baithak ke darwaje pe unhone knock kiya, “Sahebrao… Yadav hoon.” Darwaja kholkar sarpanchji ne Yadav ko undar aane ka ishara kiya.Yadav ke pithpiche Rajan bhi undar chala aaya aur usne darwaja andar se band kiya. Kamre ka mahol ekdum gambhir tha. Jamindar Babanrao, jinko gaon ke sabhi log aadar se ‘Sahebrao’ bulate the, chintatoor mudra main baithe the. Paas main gaon ke sarpanch Sadashiv baithe the. Rajan aur Ins. Yadav ne tashareef rakhi. Kuch second yuhi chupi main gujare.
“Master kaha hai?”, Sarpanchji ne chupi todi.
“Wo us aurat ke sath Jila rugnalaya gaya hai.. “, Ins. Yadav bole.
“Ye Motiram ke bacche ki to..”, gusse main aakar Sahebrao ne kaha.
“Sahebrao, chinta mat kijiye. Hamare ladke gaye hai sath main. Aur uske aane se pehele hi hum Bhola ko samjhakar matter yahi nipta denge.”, Rajan bola.
Itne main darwaje par halkisi dastak padi. “Bhola hi hoga.”, kehte huye Rajan ne darwaja khola aur bhola ko andar liya. Bhola ne sarpanch ko salam kiya, par wo apna dukh rok na saka aur fut-fut ke rone laga. Sarpanch aage bade aur usne bhola ko sawara.
“Bhola… dekho jo hua wo yakeenan bura hua… Lekin ye samay rone ka nahi, aage ki sochane ka hai. Bhola… Mana ki Babu se galti huyi. Tumhe to pata hai uska paagalpan ka ilaj chal raha hai. Lekin dekh, Sahebrao Babu ki shadi Keshar se karne ko taiyar hai. Bas tum na mat bolo.
”Ye sunkar Bhola ke murjhane chehre par aashavad jaga. Us paagal Babu se shadi karke uski vidhawa beti Keshar ka jeevan khushiyonse bharne jo wala tha. Pagal hua to kya hua, Jamindar Babanrao ka bhatija honese badi kartabgiri kya ho sakti hai? Kya pata, kuch der bad use aisa bhi sakshatkar hota ki Babu ne uski beti ka balatkar karke ek prakar se uspar upkar hi kiya hai.