08-07-2022, 02:55 PM
"Hume tumse ye ummid nahi thi Bhavishya. Ye ladki kya kah rahi hai? Tumne iski zindgi kyu barbad ki. Aur tum bina bataye kis charitraheen aurat ke sath rah rahe ho?
"Wo Gauri hai papa apki bahu. Maine ise sada avoid kiya hai. Par iske dil ko puri tarah na todne ko maine isse dosti jari rakhi kyuki main janta tha ki maine ise sidhe inkar kiya to ye apni jaan de degi.
"To raat ko jo tumne mere sath kiya wo bhi prem nahi tha?
"Nahi Kritii. Mujhe khud pata nahi wo sab kaise hua aur aapka purna prayas bhi tha usme. Par main aapse raatri ke liye purn kshama chahta hun. Sorry Kritii.
"Oh no. ..bilakh padi Kritii. Tum sab ek jaise ho. Kahte hue wo darwaje se bahar daud gayi. Kisi ki samajh me nahi aya ki uske antim shabdo ka kya arth tha.
1ghante baad vijay ke ghar aate hi jaise wahan kohraam mach gaya. Vijay ne dharti asman ek kar diya. Vijay uska bada bhai tha aur dono office sath sath jate the. Unka apna office tha unke dad ka. Kritii bhi unki company ki ek worker thi. Vijay ki shadi 2 saal pahle hui thi aur 2maah pahle uski patni ne jahar khakar apni jaan de di thi. Aatmhatya kyon ki pata nahi chala tha kyuki vijay sahit ghar ke sabhi log use atyant prem karte the.
"Kaun hai wo kutiya jiski bachchi aur jise tune apni rakhail bana liya hai?
"Bhaiya tamiz se baat kijiye wo meri patni hai. Aapki bahu. Bhavishya jhallakar cheekh pada tha.
"Wo teri biwi ho sakti is ghar ki bahu nahi. ... Uske papa ne bhi uske bhai ki baat ko aage badhaya. Aur tere account me se 10 lakh rupaye kahan hai kya wo tune apni aiyashiyon par hi uda diye. Bhavishya ke pas koi jawab nahi tha. Wo shant khada raha.
"Chal le chal hame us kulakshini ke pas. Main bhi to dekhun ki kaun se usme surkahav ke par lage hue hain. Uski maa ne bhi uski or teekhna najron se dekhte hue kaha. Aisa kya hai usme jo tune itne samay tak ye baat hamse chhupaye rakhi aur teri 6 saal ki beti bhi ho gayi.
"Nahi maa. Main kisi ko usse nahi milwaunga. Wo kisi se milna nahi chahti.
"Oh ab wo tere maa baap se badhke ho gayi tere liye? Hum kuchh bhi nahi.
"Thik hai par meri ek shart hai. Bhavishya ne maa ki or dekhte hue kaha.
"kaisi shart? Ab bhi kisi shart ki gunjaish hai kya?
"Haa Maa! Bhaiya sath nahi jayenge..
"Par kyun? Mujhe bhi milna hai us haramjadi se jisne hamare khandan ko neecha dikhaya hai.
"Theek hai. Vijay tum nahi jaoge. Uske pita ne kaha aur 15 minute me sab Gauri ke ghar par the. Darwaja kholte hi Gauri ne prashna bhari najron se sabhi ki or dekha.
"Ye mere maa aur pitaji hai. Bhavishya ne uski najron ka abhipray samjhte hue kaha. Gauri ne jhukkar dono ke pair chhue.
"Kaun hai tu kulakshini. Kyu mere bete ki zindgi barbad ki. Maa ne bhadkte hue kaha.
"Jo kuchh bhi kahna hai wo mujhse kahiye maa. Aaap inse kuchh nahi kahogi. Bhavishya ne maa ke prashna ka uttar diya.
"Oh inse. To kafi samman hain devi ji ke prati. Pata hai kis khandan ki aur kis jaati ki hain ye. Ya aise hi utha laye apne aish o aaram ke liye.
"Maa! Chilla pada Bhavishya.
"Aur tu to ise apni biwi kahta hai. Iske mathe par na to sindoor hai aur na gale me mangalsutra. Maa ne chikhte hue kaha.
"Wo main batata hun maa. Ye nahi batayega. ... Aawaj vijay ki thi. Uski ankhon me ansu the.
"Tu? Tu kaise batayega. Pita ne chaukte hue apne bade bete ki ankhon me dekha.
"Kyuki ye iski biwi hai hi nahi. Usne sabko chauka diya.
"kya? Kya kah raha hai vijay? Fir ye kiski biwi aur bachchi hai. Maa ka sawal tha ye.
"Biwi kisi ki nahi hai ye par ye bachchi meri hai.
"Kya? Kya bak raha hai tu? Thik hai ab tu chup rah mujhe tum dono par yakin nahi hai ab ye ladki mujhe batayegi sab. Bata ladki. Sunkar Gauri bilakh bilakh kar ro padi.