06-07-2022, 02:24 PM
(This post was last modified: 06-07-2022, 02:25 PM by ddey333. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Year - 2008
Main Singapore aaya hua tha apne project pe presentation dene. Saari ladkiyan yahan sleeveless top aur hot pants main ghoomti thi. Mujhe hotel wapas aake apni garmi shaant karni padti thi. Engg. Ke dauran pata nahin kitne heroines ke naam pe maine salaami di hogi. Ab kuch real karne ka dil kar raha tha. Main pahunch gaya Geylang, red light area of Singapore.
Wahan to poora bazaar laga hua tha. Main bhi pahucha jahan tak meri pocket sambhaal sakti thi. Ladki pasand ki aur ladki mujhe apne saath ek kamre main leke gayee. Pink dim light aur khusbhu thi poore kamre main.Usne mujhe kapde utarne ko kaha, fir usne mere poore badan ko ek lotion se saaf kiya. Fir hum bistar ki or bade, usne ek jhatke main apne saare kapde utar diye. Wahan jo bhi hua usmain kuch adhura tha. Isi adhure pan ki vajah se mere andar ki koi garmi nahin nikali. Time khatam ho gaya aur bina charam seema pe pahunche hotel pahunch gaya. Aankhon main aansu the, andar ek udaasi si aa gayee thi. Is udaasi ka kaaran mujhe bahut der se samajh main aaya.
Year - 2009
Meri naukri Engg ke last sem se pahle hi lag gayee thi. Naukri ki vajah se akelapan aur badh gaya tha. Maine apne cousin jo ki mere se chotta tha, use apne ghar main rahne ko bola, wo maan gaya. Ab ghar main akelapan nahin tha, lekin main fir bhi akela tha.
Raat ko office se lautne ke baad main apne kamre main kaam karne lag gaya. Dinner ke waqt main bhai ko bulaane uske kamre ki taraf badha. Andar ka maajra dekh ke mere chehre pe muskurahat daud gayee. Aise hi shuru hota hai ye sab. Maine socha uski doosri bhook mite to main pahle wali ki baat karoon. Main apne bistar pe aake let gaya.
Year - 2010
Kayee saal baad aaj ghar gaya tha. Tinky se to milna hi tha. Tinky mili, saare gile sikwe nikle, dard nikla, hansi nikli, akelapan khatam ho gaya. Usne mera haath bahut jor se kaata, aur mujhse lipat gayee.Maine uska chehra apne haathon main liya aur use kiss kiya. Jab jeebh se jeebh milte hain to ek ajeeb si gudgudi hoti hai jise main shabdon me' bayan nahin kar sakta. Do din baad mujhe wapis jaana tha. Airport pe jaate samay usne meri kalayee itni jor se pakdi thi ki uske saare nakhoon usmain gad gaye the.
Aaj ka din
Bas bahut ho gaya ye sab. Wo chahti hai mujhe aur main bhi use chahta hoon to ab kyun ye akelapan. Maine phone lagaya, “Uncle main Tinky se shadi karna chahta hoon. Aap ashirwaad to do.” Udhar se badi jor se hasne ki awaaz aaye. Haan ho gayee thee.
Khaalipan badi ajeeb cheez hoti hai. Jyaadatar ye hawas ka roop le leti hai. Hawas tarrakki ki, pratisodh ki, jism ki, wagera wagera. Bina pyar ke khaalipan kabhi nahin jaata. Singapore main bas pyaar ki kami thi, jo sirf Tinky main hi mujhe apne liye dikhta tha. Aisa hi hota hai. Aankhon ke saamne ka sach dimaag ke khulne ke baad hi samajh aata hai.