24-05-2019, 02:27 AM
KAKATUA KE JUNGLE
Lakhan us shwet ashwa par sawar tezi se us matsya mandir ki disha me dauda chala ja raha tha jagah jagah use rasta batane ki sign board lage hue the jo use bata rahe the ki matsya mandir ka rasta kis taraf hai. Lakhan unhi signs ke sahare us mandir ki disha me bade ja raha tha. Par tezi se badte hue kadam achanak ek jagah akar ruk gae kyuki waha se ek nahi do nahi teen nahi balki 9 raste bat alag alag dishao me bat rahe the aur in 9 rasto me se koi ek rasta hi sahi tha par wo kaunsa tha ye anuman lagana mushkil tha. Achanak lakhan ki nazar har raste ke saamne lage signboard par padi har signboard me bhagwaan vishnu dwara liye gae 9 avtaro ke chitra bane the.
Matsya(machli)/ Kachhap(kachhua)/ Shookar(suvar)/ Narsingh(sher manav roop)/ Vaman/ Parashuraam/ Raam/ Krishna/ Buddh in 9 signboard me hi sahi raste ka hal chhupa tha. Inme se ek rasta matsya mandir ki taraf jana tha yani machhli aur machhlk ka sign pehle raste par bana tha to lakhan bedhadak us raste par aage bad gaya. Lakhan us raste par kafi aage nikal aya tha use lag raha tha uski manzil ab kareeb tha par kafi aage jakar wo rasta aage se band tha waha galat rasta ka sign board laga tha yani ek machhli ke sign ke sahare lakhan itni aage jis raste par chala aya wo rasta galat tha. Shayad aghori ne isiliye kaha tha ki kahi safar tiguna lumba na ho jae ab lakhanke paas doosra koi vikalp nahi tha use wapas jakar dubara se un 9 rasto me sahi raste ka chunav karna tha.
Lakhan wapas usi taraf laut chala jaha se machhli ke sign wale raste par chala tha. Par in sabme uska kafi samay waste ho gaya tha. Ghode ko tez daudata hua lakhan ek baar phir usi jagah wapas pahuch gaya jaha vishnu ke nau avtaro ke sign lage the jo sign use sabse sahi laga yani machhli ka sign wo to galat nikla ab bache hue 8 rasto me use har haal me sahi rasta chunna hoga warna dubara uska bahut samay vyarth chala jaega. Lakhan ne vishnu ke un bache hue 8 avtaro ke bare me sochna arambh kiya Gautam Buddh Vaman Parashuraam aur Narsingh ka to machhli ya samudra se door door tak koi nata nahi tha. Shookar avtar me jab Hiranyaksh dharti ko keechad ke andar le gaya tha to use bahar lane ke liye Suvar ka avtar liya wo bhi yaha sahi nahi lag raha, Shree Raam ne Samudra par raamsetu banaya tha Krishna ne samudra ke kinare dwarka nagri basai thi jo samudra me sama gai iske alawa unka bhi koi link machhli ya samudra se nahi tha, Kachhap avtar samudra manthan ke liye hi liya gaya tha vindhyachal parvat ko apni peeth par rakhne ke liye Kachhap avtar uddeshya hi samudra manthan tha ho na ho yahi rasta sahi rasta hai aur lakhan bina der kiye Kachhue ke sign wale raste par bad chala.
Is raste par bhi kafi der ghoda daudane ke baad lakha singh us teele ke paas pahuch gaya jaha upar bana matsya mandir saaf nazar aa raha tha yani ye rasta sahi tha. Chadai se pehle hi ek jalashay bana tha jisme bahut sundar sundar machhliya tair rahi thi. Lakhan ne apne sath laya kuchh bhojan un machhliyo ka dala wo ghoda bhi itna chal ke kafi thak chuka use bhi thode vishram ki avashyakta thi. Isliye kuchh der ghode ko vishram dene ke liye lakhan wahi ruk gaya. Jalashay ka pani peene aur kuch pal vishram karne ke baad lakhan dubara us ghode par sawar hokar us teele par bane ghumavdaar rasto par chalta hua us matsya mandir ki taraf chal pada. Un ghumavdaar rasto se hota hua lakhan kuchh ghanto me hi us matsya mandir ke mukhya dwar par pahuch gaya us mukhya dwar par ek dwaral aur mukhya dwar ke peeche teen pravesh dwar the. Jinme pratham dwar par Maurya vansh dwar likha tha doosre par Gupta vansh dwar likha tha aur teesre par Saatvahan vansh dwar likha tha.
Dwarpaal: Aa gae aap mai apke hi intezaar me yaha khada tha yaha apko teen dwar dikh rahe hai ye teeno dwar mandir ke andar bane teen kaksho tak jate hai jinme se ek me wo Triton rakha hai jiske liye aap yaha aae hai. Par apko sahi raste ka chunav karna hoga kyuki agar apne galat dwar chuna to apko punah teele ke neeche jakar dubara chadai chad kar wapas ana hoga.
Lakhan pehle hi ek baar galat rasta chun kar kafi samay vyarth kar chuka tha aur ab dubara wo samay vyarth nahi karna chahta tha isliye use bade dhyan se soch samajh kar dwar chunna tha. In dwaro ke naam par hi sahi dwar ka uttar chhipa hai lakhan un dwaro ke naamo par vichar karne laga. Maurya Gupta aur Saatvahan ye teeno hi behad pracheen dynasty aur in teeno ke hi sashak bade '. the kai mandiro ke nirman karwae par inme se kaun machhli ya samudra se juda hai. Lakhan ka sochte sochte dimag ghoom gaya par use samajh nahi aa raha tha ki kaun sa dwar sahi hai wo kafi samay tak sochta raha par use kuchh samajh nahi aa raha tha, phir wo in vansho ke rajao ke bare sochne laga Maurya Dynasty Chandragupta maurya ne shuru ki phir Bindusaar Ashok Bimbsaar raja bane Saatvahan vansh ke bare me jada to nahi janta par iska sabse mahan raja Gautamiputra Shatkarni tha aur Gupta Dunasty jiska sabse mahan raja Chandragupta Vikramaditya tha aur iski sthapna Samudragupta ne ki. Samudragupta ka naam zehen me aate hi lakhan ko jaise is paheli ka jawab mil gaya Samudragupta ka naam Samudra ke naam par rakha gaya nishchit roop se ye doosra dwar Gupta vansh dwar hi sahi dwar hai.
Lakhan singh gehri saas leta hua us doosre pravesh dwar ka darwaza khol us galiyaare me pravesh kar gaya. Us galiyaare se chalte hue lakhan ek golakar kaksha tak pahuch gaya jaha beechobak sone sa chamakta Triton nazar aa raha tha lakhan ki khushi ka thikana nahi tha usne aage bad ka wo TRITON apne hatho me utha liya.
Shaam hone me bus do ghante baki the lakhan ko jald se jald wapas pahuchna tha. Lakhan wo Triton lekar wapas mandir ke mukhya dwar par aa gaya aur us dwarpaal ko pranam kar ghode par sawar hokar wapsi ke liye waha se nikal pada.