14-03-2022, 09:39 AM
(13-03-2022, 10:40 PM)Baban Wrote:Baban bhai ye khahani bahut intersting hai.2
(After previous update)
Animesh Rohit sunita aur Anamika upar ke floor pe gaye. Neechey se abhi bhi woh vyankar cheekh aur chain ki tang tung awaz Aa rahi hai. Upar Akaar Animesh ne pehele Rohit aur Anamika ke liye jo kamra set kiya gaya hai wahan aye.
Animesh- Rohit Anamika yeh tum logon ka kamra. Tum log Aa rahe ho janne ke baad Sunita ne apne haat se yeh kamra sajaya hai.
Sunita muskuraake - kab se tum logon ko bol raha tha yahan aane ke liye. Yeh bhi toh tum logon ka hi ghar hai. Lekin aaye hi nahi. Itne samay baad Aaj aane ka mauka mila.
Rohit - kya karta bhabi.... Ho hi nahi paa raha tha. Anamika bhi kabse bol rahi thi tumhare Gaon ghumne jana hai. Lekin aakhir aa hi gaye. Kaisa lag raha hai Anamika?
Anamika muskuraake boli - bahut accha. Kitna khoobsurat hai. Saher ki tarah maa hi Gaariyon ki horn, naa hi pollution. Gaon ka weather kitna accha hota hai.
Sunita - yeh baat tune ekdum sahi kahan Annu.
Tabtak Ramu kaka bhi saman lekar upaar Aa gaye aur bistar ke upar rakhkar jaa hi rahe the ke Sunita Ramu kaka ko boli - kaka.......
Ramu kaka ghumey aur boley- jee malkin?
Sunita- usey khana de do..... Bhookh lagi hai.
Ramu kaka sar hilaake neechey chale gaye.
Anamika - kaun didi? Kiski baat kar rahe the aap? Kya wahi jo awazzz kar raha tha abhi? Kaun hai woh?
Sunita boli - chal merey kamre mein jakaar hum baat karte hai. Bahut baatein karni hai humey.
Rohit - ek minute bhabi...... Yeh kuch mithayi laya hoon aap sab ke liye lo.
Sunita- arey.... Iski kua zarurat thi devar ji?
Anamika- arey kitne samay baad ghar aya hai... Aur main toh pehelibaar ayi hoon..... Yeh mithayi toh lana hi parta hai. Yeh lo didi.
Sunita 2 sweets ka packet haat mein leti hai. Ek mein mithayi aur dusrey mein packed Rasgulley.
Sunita aur Anamika room se bahaar dusre room mein chale gaye. Dono bhai us kamrey mein baithkey gappey marne lagey. Dono smoking karte hue baat karne lagey.
Udhar sunita Anamika ko apne kamrey mein le aayi. Dono room ke beech gap bahut hai. Is kamre se Anamika ke kamrey mein jaane ke liye balcony cross karke jana parta hai. Anamika jab balcony se jaa rahi thi tab bhi neechey se woh awaz ekbar aayi. Bhoooooookh!!! Khanaaa!!
Dono kamrey akaar baithti hai. Anamika apne betey ko dheere se bed pe rakhkey theek se baithi. Sunita bhi haat ka mithayi ka packet table pe rakhkey baithi.
Sunita - ufffff kitne din baad hum mil rahe hai kyun Annu?
Anamika - haa didi...... Woh last time jab aapki sasuma beemar thi aur aap unko saher lekar aayi thi ilaaj ke liye tab hum miley the.
Sunita- hummm....... Lekin koi faida nahi hua. Khair..... Tere sasuma sasur....aur baaki log kaise hai?
Annu- haa sab theek. Baaki log bhi sab theek. Asal mein mera bhi bahut man tha yahan ghumney aane ka. Kya hai na tumhara Devar toh office chala jata hai. Saas sasur ki bhi ab umaar ho gayi hai. Zyada tar samay akela hi rehena parta hai. Kabhi kabhi boring sa lagta hai. Isliye jab unko chutti mili toh maine bola chalo tumhare purane ghar ghumke aate hai. Sasuma aur sasurji ko bhi lanaa chahti thi par woh log nahi Aa paye. Zyada travel abhi woh nahi kar sakte na. Isliye unhone humko nhej diya.
Sunita- accha hua.. Kamse kam tu toh aa gayi. Toh kaisa lag raha hai apney asli sasural akar. Asal mein yahi hai tera sasural. Tere saaur toh baad mein saher gaye. Lekin unka sabkuch toh yahan se hi jura hua hai. Tere Pati ka janam bhi toh yahin hua hai.
Anamika - bahut khoobsurat hai Didi. Photo mein dekha tha yeh Ghar. Lekin bahut purani photo thi Woh. Black n white. Aaj samney se yeh ghar dekhne ko mila.
Sunita - kitna pyara baccha hua tera...... Ekdum tujhpe gaya hai. Kya naam rakkha iska?
Anamika - Pradeep.
Sunita - waah.... Pyara naam hai.
Ab Anamika fir se woh sawaal karti hai - Didi.... Aapne bataya nahi..... Yeh.... Yeh awaz kiski thi neeche? Kaun tha woh?
Sunita ki hasee ab thori kam ho jaati hai. Woh Anamika ke taraf dekhkar bolti hai - uska naam Chandu hai. Humare Ramu kaka ka beta. Woh thora........ Thora sa woh.....
Anamika - abnormal hai kya? Matlab mental?
Sunita ek saas chorkey kehti hai - huuuh!! Haaan...... Woh thora Alaag hai. Thora pagal.
Anamika - thora? Kya bol rahi ho Didi.... Jis tarah se chilla raha tha usse toh main Darr hi gaya..... Yeh toh bahut baraa Pagal lag raha hai....... Khatarnaak Pagal!!
Sunita boli - nahi nahi Annu.... Tu jaisa soch rahi hai utna bhi nahi.... Haa..... Jab bhookh bahut lagti hai toh woh sachmein bahut Gussa ho jata hai. Tab woh kisiki nahi sunta. Isliye usey chain se bandh ke rakhna parta hai. Varna kahin kuch kar na de.
Anamika- babare!! Iske baad bhi aap us pagal ko khatarnak nahi bologi? Aise pagal ko ghar mein kyun rakkha hai? Mental asylum bhej do.
Sunita- woh asal mwin Ramu kaka ka wk lauta beta hai...... Biwi ko guzre bahut samay beet gaya. Isliye ab woh beta hi unka sabkuch hai. Waise woh shaant hi reheta hai zyada samay. Bus bhookh zyada lagey toh thora............ Khair chor yeh sab baatein...... Bol tere maike waley sab kaise hai....
Dono dusrey topic pe baat karne lagi. Par Anamika ko laga ke Uski jethani jaan bujhke us pagal ke topic ko avoid kar diya.
Dopaher ko sab saath mein milkey upar dining table pe khana khatey hai. Aaj Rohit Anamika aye hai isliye aaj ka din Animesh ne chutti li thi. Sab ne decide kiya aaj kahin ghumkey aatey hai. Rohit ne bola bachpan mein woh jis nadee ke paas khelne jaate thei wahan se ghumke aatey hai.
Anamika pehelibaar yahan aayi thi isliye saree pehen ke ayi thi. Lekin ab usne room mein jakar saree change karke nighty pahen li thi. Sunita ne bhi bola ke kabtak saree pahen ke rahegi.... Jaa ghar ka dress pahen le.
Udhar khaney ke baad thori der sab log soney ka decide kiya. Waise bhi bahut dur tak drive karkey Anamika aur Rohit aye the isliye thora araam toh zaruri tha. Isi beech ekbar Anamika ke beta jaag gaya tha. Usko dudh pilaake firse usne sula diya. Rohit ab bed pe letkey newspaper par raha hai aur Anamika ghar pe tangi hui ek mirror ke samney kharey hokar apna kangi kar rahi hai.
Anamika - Tumne bataya nahi is ghar mein tumhare bhai bhabi ke ilawa ek pagal bhi reheta hai.
Rohit - pagal? Ohh.... Matlab woh Ramu kaka ka beta? Deemag se pura nikal gaya tha uski baat.
Anamika - tumhari bhabi bata rahi thi kitna khatarnak hai..... Babarey jab pehelibaar uski woh cheekh suni main toh darr hi gayi thi!
Rohit- haa...... Bachpan pe dekha tha. Woh pagal waise toh shant hai par gussa ane par asli roop dikhata hai apna. Pura mental case hai sala.
Anamika - woh toh janti hoon. Aise pagal ko koi ghar pe thori rakhta hai? Tumhara bhai bhabi usko kahin bhej kyun nahi detey? Pagal ke sath koi ghar thori na reheta hai?
Rohit- arey woh hamesha chain se bandha hua reheta hai. Pehele toh ghar ke under hi potty susu karta tha. Par Bhaiya ne bataya ke baad mein usko Ramu kaka neechey ke bathroom le jane lagey. Ab jab bhi susu potty lagti hai woh chillata hai aur Ramu kaka usko lekar jaate hai.
Anamika - isshhh!! Yaak!! Tumhare bhai bhabi fir bhi usko yahan pe rakkha hai? Chi!!
Rohit- arey woh bechara ghar ke under para raheta hai. Kisiko farak nahi parta. Upar se kab se yahu pe hai woh. Maine bhi bachpan mein usko kayi baar dekha hai. Humko khirki se dekhkar marne ko ataa tha. Choro us pagal ki baat....... Avoid karo. Woh thori na yahan upar ayega?
Anamika apna baal kangi karkey pati aur betey ke baju mein so jati hai. Rohit bhi thak gaya tha. Woh bhi so jata hai.
Lagbhag 5 bajey sab taiyaar hokar ghumney nikalte hai. Nadee bahut paas mein hi hai. Bus 4 minute ke duri par. Sab wahan jakaar idhar udhar ghumney lagte hai. Rohit na jaane kitne saal baad yeh jagah pe aya tha. Bachpan mein roz college se lautte waat yahan khelta tha woh. Anamika bhi betey ko godi mein lekar Sunita ke sath ghumney lagi.
Sunita- Annu kaisa lag raha hai yeh jagah.
Anamika- bahut sundar didi.... Sacchi isi liye saher ke log gaon mein ghumney anaa pasand karte hai. Dekho yahan ka paani kitna saaf hai. Aur kitney fish bhi hai yahan. Paani kitna hil raha hai.
Animesh - haa Anamika..... Tumhara pati ko yaad hai ke malum nahi.... Hum yahan kabhi kabhi machli pakar ne aate thei. Tujhey yaad hai Rohit?
Rohit - haa thora thora yaad hai bhaiya.... Main bahut chota tha..... Aap apne doston ke sath aate the. Main bhi ata tha. Aap sab jaal se machli pakarte the. Competition hota tha kisne kitna machli pakra.
Animesh- haa..... Sach mein yaar... Woh bachpan kya sundar tha. Aaj bhi yaad ata hai woh sab. Yaad hai ekbar Ramu kaka chandu ko yahan ghumane laye the?
Rohit hastey huye bola- woh kaise bhool sakta hoon bhaiya.... Woh pagal ne jo kiya tha uffffff ha.. Ha...
Animesh - tu has raha hai? Sala main dubney wala tha!!
Anamika- kya kya hua tha?
To be continued.....
Doston... Kaisa laga yeh update?Zarur comment karke batana aur accha lage tohLike, Reps de sakte hai.
Please jaldi update Dene ki kripa kare