09-05-2019, 07:59 PM
Update-03
rahul ki shadi ho chuki thi..........aur uski shadi hue lagbhag 6 mahine beet chuke they.............waise rahul australia mein building constuction mein job karta tha.........aur zyadatar wo india se bahar hi rehta tha............rahul ki jis ladki se shadi hui thi us ladki na naam tha..........................................." Kavya Mehta " ................................wo naam jo ek alag hi pehchaan aab bayan kar raha tha...............
Ab Aage........................................................................................
Subeh ka waqt tha.............har roz ki tarah shyamanand hall mein baitha hua akhbaar padh raha tha..........wahin dusari taraf uski biwi sarita baithi hui sabzi kaat rahi thi...........shyamanand jab tak akbaar poora nahin chaat leta wo is beech kisi se baat nahin kiya karta tha.........usey akhbaar se bahut lagaav tha..........wahin sarita ussey baatein kiye jaa rahi thi aur wo uski baateion ka bus haan ...hoon.....mein jawab de raha tha...........
" malik chaai........" ye awaaz sunte hi shyamanand apni nazrein fauran upar ki ore uthatha hain aur apne samney khade naukar ki taraf bade gaur se ek tuk dekhney lagta hain.........wahin uske chehrey par ek hulki si muskaan tair jati hain.......... samney khada ek boodha sa aadmi kareeb 65 saal ka chai ki tray wahin table par rakh deta hain aur fauran apni dono baahein aapas mein jodh leta hain...........wahin sarita bhi usey dekhkar haule se muskura padti hain.........
" aaj chai lane mein aapne thodi si der kar di............aapko maloom hain ki main chai peetey hue akhbaar padhna zyada pasand karta hoon........." shayamanad chai ki chuski lete hue apni baat poori karta hain........aisa lag raha tha mano jaise wo apne naukar se shikayat kar raha ho.........wahin samney khada naukar apna sir jhukaye aab bhi khamosh khada tha..........
" malik........galti ho gayi........." aur wo naukar dubara se apna sir neechay ki taraf jhuka leta hain.........wahin shyamanand usey dekhkar dubara se hans padta hain.........
" tumhein maine kitni baar kaha hain ki tum is ghar ke ek sadsaya ho.........is parivaar ka ek hissa ho..........na ki naukar.........aayi baat samajh mein ramu........." aur is baar shyamanand ek tuk ramu ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain.........wahin ramu ki nazrein aabhi bhi farsh ko ghoor rahi thi..........
" ye to aapka badappan hain mailk.........jo aap aisa samjhtey hain..........nahin to main kahan..........aur aap kahan........" ramu ki baat poori hoti tabhi shyamanad beech mein hi bol padta hain.........
" koi bada chota nahin hota ramu........ye to bus apne soch ka fark hain.........." aur shayamand is baar sunita ke taraf dekhkar muskura padta hain.........wahin sunita bhi haule se hans padti hain........
" malik........aapse ek guzarish thi...........agar aap naraz na ho to.........main ......." aur ramu is baar apni baat adhuri chodh deta hain........wahin shyamanad ek tuk ramu ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain......jaise wo uske chehrey ko padhney ki koshish kar raha ho........
" kya baat hain ramu...........zara khulkar kaho.........ismein narazgi wali baat kahan se aa gayi........" aur shyamanand fir se bol padta hain.......wahin ramu kuch der tak khamosh rehta hain fir wo aagey bolna shuru karta hain.........
" da-asal mailk aab main boodha ho chuka hoon........pehle jaisi taqat aab mujhmein nahin rahi..........jo main is ghar ka aur bojh utha sakun........is liye aab main aaram karna chahta hoon..........main aab apne ganv humesha humesha ke liye laut jana chahta hoon..........sochta hoon ki wahan rehkar kuch din apna ghar parivaar bhi dekh loon.......maine poori zindagi aapki sewa mein guzar di hain........aab main thak gaya hoon......." aur ramu itna bolkar ek baar fir se apni garden neechay ki taraf jhuka leta hain......na jane kyon uska dil durr se zoron se dhadak raha tha.........wahin shyamanad ke chehrey par udasi ke badal saaf nazar aane lage they........
udaasi ki baat to thi hi.........kyon ki uska barson ka wafadaar naukar aab yahan se humesha ke liye jane ki baat kar raha tha.........jo ki aab shyamanad ko bilkul manzoor nahin tha........magar wo apne swarth ki wajah se uska dil nahin dukhana chahta tha...........na chahtey hue bhi wo ramu ko mana nahin kar pata.........
" theek hain ramu.........barson se tumne jo is ghar ki sewa ki hain aab main aaj se tumhein humesha humesha ke liye ussey mukt karta hoon..........tum aab azaad ho........" aur itna kehkar shyamanand apni jagah se uth jata hain..........wahin ramu fauran unke pawn mein gir padta hain.......wahin shyamanad fauran ramu ko uthatha hain aur usey apne seenay se laga leta hain..........
" tumhari jagah mere pairon mein nahin.....is dil mein hain........main bhi soch raha hoon ki baki ke bache din hum bhi ganv mein jakar guzar dein..........yahan is sehar mein rakha kuch nahin hain..........humein bhi apne ganv ki bahut yaad aati hain.........aur aab tum bhi yahan nahin rahogey to hum log yahan rehkar kya karengey.........." aur shyamanand apne dil ki baat apni jubaan par laa deta hain........wahin ramu bade gaur se ek tuk apne malik ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...........magar kehta kuch nahin.........
**************************************************************************
jaate jaate shyamanand usey ek lakh rupyee nagad........barson se usney jo dhan jama kiya tha wo sab kuch usey imandari se lauta deta hain.......aur kuch khane peenay ka saman bhi deta hain.......ramu ka yu jana usey ander hi ander khaye jaa raha tha.......magar wo aab apne naukar ko mayus nahin karna chahta tha.........
shaam ka waqt tha.........shyamanad ka dil bahut bechain ho chala tha.........usey aab wahan bilkul aacha nahin lag raha tha.........shaam ko uska beta rahul ghar aata hain aur aakar apne pitaji ke paas jakar baith jata hain........shayamanand ke chehrey par jo udasi ke badal they wo rahul ki nazreion se nahin chupe they..........
" kya baat hain papa...........aaj aap itne udaas dikh rahe hain.........baat kya hain.......aur ramu kaka kahin dikh nahin rahe...........kahin gaye kya wo......" rahul ke mooh se aise sawal sunkar shyamanand ek tuk rahul ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain........kuch der ki gehri khamoshi ke baad wo apni chuppi todta hain.......
" haan........maine unki chutti kar di...........wo aab humesha ke liye apne ganv laut gaye hain.........aur beta.........hum bhi aab apne ganv laut jana chahtey hain........yahan aab hum logon ka dil nahin lagta...........ye sehar humare liye nahin hain........isey tum hi aab sambhalo.........." aur shyamanand apne dil ki baat apne bete se bol deta hain jissey sunkar rahul ke chehrey par bhi udasi ke badal chaa jate hain.........waise to wo apne papa ki bahut izzat karta tha.......magar wo apne papa ki koi bhi baat kaat nahin sakta tha......aur na hi kabhi unka dil todna chahta tha........
" magar papa..........aap aise kaise jaa sakte hain.........main kaise yahan sab kuch akele sambhalunga.........kavya ko kaun dekhega.............ram ka bhi to admission yahan ho gaya hain........uski padhayi par kaun dhyaan dega..........aur kuch hi dinon mein kajal bhi yahan aane wali hain.......aur main bhi agle haftey australia jaa raha hoon........aur to.......is ghar mein naukar bhi aab nahin hain...........kaise hoga ye sab..........." aur rahul apne dono haath apne sir par rakh deta hain..........wahin shyamanand ek tuk uske chehrey ki ore dekhey jaa raha tha.......
" sab kuch ho jayega beta...........humari bahu sab kuch sambhal legi........wo bahut samajhdhaar hain........padhi likhi hain......sushil hain........aur khoobsurat bhi...........ram ki padhayi ki tum fikar mutt karo.........main bahu se bol doonga to usey khali time mein padha diya karegi........aur kuch hi dinon mein kajal bitiya bhi yahan aa jayegi.......fir sab kuch samay ke saath sahi ho jayega............bus.......aab tum humein jane ki izzazat de do..........." aur shayamanand fir se mano apne bete ke samney faryaad karney lagta hain.........wahin is baar rahul apne khyalon mein doobata chala jata hain........dekhna tha ki aaane wla waqt kya karwat badalne wala tha...............................................
Continue.............................................................................