22-12-2018, 07:51 PM
update 26-9-11
Din me baba ghar aa gaye aur khan ghar pe hi khaya waise dupahar me main baba ka khana lekar kheton me jati thi main kya sab aurten ya unke larke jo ghar me hote wo khana le jate the
Maine baba ko bataya ki chote malik aaye the aur bahut hi ache se baat kar rahe the aur jo usne kaha thaw o bhi maine apne baba se bata diya
Baba kuch nahi bole aur andar aakar baith gaye dopahar dhalte wo fir aaya aur abki baba ko nahi mujh se pucha tum thik ho khana khaya aur kya ho raha hai itna puch kar wo bola zara pani pila do
Main pani lene andar aayi to piche se wo bhi aa gaya usko andar aya dekh baba bhi bahar aa gaye
Payen lagun chote malik – baba bole
Arey hariya aaj tu ghar par kaise hai – wo bola
Bas chote malik bitiya ne bataya ki aap aye the puchne tabhi mai aa gaya batao malik kya hukum hai - baba bole
Kuch nahi – wo bola
Tabhi mai pani le aayi peni dekh kar baba bole chote malik ye kya gajab kar rahe ho haveli wale apne naukaron ke wahan kuch khate peete nahi hain
aur na hi baithte hainagar bade malik ko pata chal gaya to aapka to kuch nahi lekin ham gharib ki to musibat ho jayegi
Kuch nahi hota aur usne mere hath se lota lekar pani piya aur chala gaya
Baba kuch bole bina baith gaye aur der tak sar pe hath rakhe baithe rahe maine puch baba kya baat hai
Kuch nahi bitiya bas chote malik ki wajah se pareshan hun bitiya ab tu badi ho gayi hai aur tumhari shadi ki bahut chinta hai hamen lekin abhi tak koi rista hi nahi mila kya karun yahi soch kar pareshan ho jata hun
Maine baba se kaha aap pareshan na ho jab koi milega tabhi shadi arna mai kahin bhag nahi ja rahi baba
Is par baba kuch nahi bole
Agle din baba ke jane ke baad wo fir aaya aur sidha andar aa gaya aur bola tu pani le aa main us ke liye pani layi us ne pani piya aur bola mai aj shahar jar aha hun tujhe kuch chahiye to bol mai le aaunga
Maine kaha mujhe kuch nahi chahiye
Wo bola arey Sharma mar bata na agar kuch mangwana ho to – wo bola
Maine kaha nahi kuch nahi mangwana mujhe aur fir wo chala gaya
Dusre din baba ke jane ke baad wo aaya aur bola ye le main tere liye laya hun maine dekha wo mere liye 3 jodi kapre laya tha maine mana kiya lekin bola main laya hun rakh le nahi to janti hai na agar papa ko bata diya to teri aur teri baap ki kya halat hogi
Maine chup chap rakh liya aur sham ko baba ko dikhya ki ye mere liye chote malik shahar se laye hain baba kuch nahi bole aur agle din ghar par hi rahe
Roj ki tarah jab wo aaya to baba ne pucha chote malik daya karo kahe hum ghareeb logon ke piche pade ho
Wo bola mai piche kahan pada hun hariya mai to tumhara khyal kar raha hun – wo bola
Chote malik hum pahle hi aap ki kripa se bahut sukhi hain to aap kahe pareshan hote ho – baba bole
Dekho hariya tumhari larki badi ho gayi hai aur ham tumhari larki ko bahut chahte hain ab tum khud samajh jao ki hamara matlab kya hai
Dekho chote malik ham jaldi hi apni bitiya ki shadi kar denge agar tum koi ghlat baat kari to mai bade malik se kah dunga aur tum bade malik ko jante ho wo ghlat baat bilkul nahi sahte – baba bole
Hariya mai ghalat baat kahan kah raha hunt um samjho to tum apni larki ki shadi karoge na to mujh se kahe nahimkar dete – wo bola
Kya kah rahe ho malik aap se meri larki ki shadi kaise ho sakti hai kya ghajab kar rahe ho daya karo ham par bade malik kabhi aisa nhi hone denge
aap log to ham logon ke yahan pani tak nahi pi sakte to shadi ki baat to bahut door hai – baba bole