Thread Rating:
  • 4 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery Intehah................(A Tale Of Lust)
#21
  Intehah (story Of Limitless Love, Revenge, And Lust)

Update -01

Date- 14-feb-2015


Shaam ka waqt tha...........poori duniya jahan khushiyan mana rahi thi.........valentine day ke us khaas din ki............jahan sare premi apni apni premikawon ko dher sare tohfe de rahein they..........phool de rahein they........kahin apne pyaar ka izhaar kar rahein they.........wahin kuch ankahi baatein bhi khamosh labon par unke darmiyan zaahir ho rahi thi..........jahan kai chehrey par khushiyan jhalak rahi thi wahi ek saksh aisa bhi tha jiske chehrey par kewal mayusi thi.......

aankhon mein dher sare aansoon liye hue............wo is waqt apne bister par bilkul khamosh baitha hua tha..........bilkul akela sa........gumsum...........nakaami saaf uske chehrey par jhalak rahi thi..........jaise kisi cheez ko paane ki usey chaah ho aur wo cheez usey na mili ho.........ya cheen li gayi ho...........zubaan poori tarah se khamosh they magar dil mein jaise koi bahut bada sa toofan utha hua tha...........itna bada toofan jisey rokna aab shayad uske bus mein bhi nahi tha.........aur aab wo toofan bahut jald kisi na kisi roop mein aakar uski zindagi mein dastak dene wala tha.......shayad uski maut ke roop mein..................

kamrey ki sari khidkiyaan poori tarah se band thi.........darwaza bhi barabur laga hua tha.........na hi aab us kamrey mein kisi prakar ki koi aahat thi........aur na hi koi awaaz........magar is gehri khamoshi mein ek cheez jo pal pal us khamoshi ko todh rahi thi........wo thi uski dil ki dhadkhan..........jo waqt ke saath saath aab bahut tezi se dhadaktey jaa rahi thi.........kuch nafrat ki wajah se..........to kuch pratishshodh ki wajah se............kuch der tak wo saksh bister par yu hi khamosh baitha rehta hain aur apne beetey hue atteth ke bare mein sab kuch sochney lagta hain...........

sari ghatna ek ek kar kisi film ki tarah uski aankhon ke samney ghumney lagti hain.........aur aakhirkar ek aakhri shabdh uske dimag ko puri tarah se jhankjhodkar rakh deta hain........." jawo........agar tum mujhse itna hi pyaar karte ho to jakar kahin apni jaan kyon nahin de dete...........hain tummein wo himmat............jaan dene ke liye kaleza chahiye............is seenay mein dum hona chahiye........yahan log baatein bahut badi badi kiya karte hain magar yahan koi kisi ke liye kuch karta kuch nahin.........tum bhi unhi sab mein se ek ho.........aur mujhe pyaar jaisi cheezon par bilkul bhi bhasoha nahin.........aur ye raha mera jawab............tumhare is pyaar ka..........." love letter ke kai sare tukdey karke us ladki ne us saksh ke mooh par de mara tha..........jo chot uske dil mein aab nasoor ban gaya tha..........kabhi na bharne wala zakhm wo pal usey aab de gaya tha.........

aansoon aab bhi lagataar uski aankhon se baras rahein they..........wahin dil mein chupa dard aab badta jaa raha tha.........beetatay waqt ke saath saath...........aur aab ye dard is hudd tak badh chuka tha ki us dard ka ilaaz us saksh ke paas maujood nahin tha.........kuch der tak wo chup chaap yu hi rota rehta hain........fir samney table par rakhi hui ek choti si sheeshi par jab uski nazar jati hain uski aankkon se aansoon dheere dheere sookhney lagte hain...........aab shayad wo kuch faisla kar chuka tha..........aab wo ghadi aa chuki thi kuch kar guzar jane ki..........apna pyaar ko sahi saabit kar pane ki..........

uske honton par ek hulki si muskaan tair gayi.........aur haath khud ba khud us sheehi ki taraf badhte chale gaye..............aankhein haule se band hone lagi...........aur jo honth sile they wo khud ba khud khultey chale gaye............aur tab tak khule rahe jab tak wo zehar ki sheeshi ki aakhri boond uske halak mein poori tarah se utar nahin gayi.............kuch der tak us kamrey mein gehri khamoshi rahi..........fir us saksh ki aankhon mein aansoon fir se baras pade..........shayad apni haar ki wajah se..........ya fir apni zindagi se mili us shikasht se.............jo jeetey jee wo kabhi usey nahin bhula sakta tha.............

kuch der baad uske jism mein jaise jaise zehar ka asar badhney laga.......uski takleefein bhi waqt ke saath saath dheere dheere badhney lagi...........aankhein dheere dheere band hoti chali gayi...........

" main buzdil nahin hoon...........buzdil nahin hoon.........." shayad ye uska aakhri shabdh tha aur..........................uski zubaan humesha ke liye khamosh ho chuki thi..........takleef aab is hudd tak badh chuki thi ki aab uske liye wo dard sehna bardaast ke bahar tha...........aur shayad aab usey is takleef se mukti bhi mil chuki thi.............kamrey mein ek baar fir se gehri khamoshi thi............magar is baar na hi kahin koi shor thi.............. aur na dil ki dhadakney ki koi awaaz............kyon ki aab wo dil ki dhadkan bhi humesha humesha ke liye kahin aab band ho chuki thi...........................ya shayad aab us dil ne dhadakna aab band kar diya tha........................................................

Continue...................................................................................
[+] 1 user Likes Ajaykumar82's post
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.


Messages In This Thread
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Ajaykumar82 - 07-05-2019, 07:34 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 06:46 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 09:00 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 02-06-2019, 09:26 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 03-06-2019, 06:59 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 04-06-2019, 01:55 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 09-06-2019, 02:18 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 10-06-2019, 02:42 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 14-06-2019, 09:34 AM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 14-06-2019, 10:45 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 09:47 AM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 04:14 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 15-06-2019, 08:49 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 17-06-2019, 08:20 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 18-06-2019, 10:21 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 22-06-2019, 03:14 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 04-07-2019, 02:27 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 05-07-2019, 06:03 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 06-07-2019, 09:50 PM
RE: Intehah................(A Tale Of Lust) - by Pappu pelu - 07-07-2019, 04:15 PM



Users browsing this thread: 27 Guest(s)