Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Non-erotic Ataubaq --- pinuram
#4
Kisi tarah usnee chawal khatam kiya aur bahar chala gaya.
Dhire dhire, charoo aur andhre chanee lagye.. eke k kaar ke charo aur roshandan bujhne lagyee.
Ataubaq bahut der taak so nehin paya, uskee ankhon ke samne uss darii huii ladki ki dard bhari mithi muskan bahut kuch bayan kar rahii thi.
Raat gehra hota chala gaya, Ataubaq ne apna hansiya uthaya aur jangal ke taraf chaal pada.
Ek lamba sa nariyel ke pedh par chada aur kuch sakha kaat liya. Usnee jangal see aur bhi kuch patiiyan laya aur ghar ke pichyee usnee raat bhaar mein ek gosal khana taiyaar kiya.
Sawera hone wala tha.. Rokeya begum ki neend kuch awaz see tuti aur woh ghar ke pichee aa kaar dekhi jo Ataubaq ek gosalkhana taiyar kaar raha tha.
Rokeya begum kuch nehin boli.. balti mein pani rakha hua tha, usmein aapne haath mooh dhoo kaar usne ghar ke andar chali gayi aur fajar aada kaarne baith gayi.
Gosal khana khatam kaar ke Ataubaq soocha---“aaj too samay chala gaya. Kaal see jaal le kaar nadi jana padega.”
Dhire dhire din bitee gayen.
Ataubaq ke haar sawera machlii bharii jaal uthanee mein beet jata. Uss diin ke baad see mano ganaga Ataubaq ke upar aapni jholii faila dii thi.
Woh bejuban ladki chal phir ne lagi. Jab bhi Aataubaq ghar lautha tha too who ladki verandah mein kadhi rehtii thi..
Ataubaq kuch nehin poochta thaa.. chup chap ek halki muskan de kaar ghar ke andar chala jata apnee kapde badal ne.
Kabhi kabar who sham ko karim miyan ke daru ke dukan mein chala jata aur deer raat ghar laut tha thaa.
Aatirah ko yeh baat chubh ne lagi, Ataubaq uss mangalwar ke baad use aur nehin dekhta thaa..
Phele too kaam se kaam paanch chyee gilas daru gale mein daal deta thaa paar us diin k baad Ataubaq ek gilas pine mein hi poraa sham gujar deta tha.
Ataubaq ek din uss bejuban ladki ke liye ek kameez laya, kyon ki uskee aammii ke jyada taar kameez fate huee thye.
Ataubaq ko kameez lata hua dekh kaar woh ladki khud ek din sham ko use pani dene chalii ayii.
Panii ke gilas lete wakt, Ataubaq ke unglii uss sundar ladki ke komal haath ko chuaa. Ataubaq ke chere ko laal hote dekh kaar woh ladki khil khil kaar haans padi.
Aur ladki daud ke ghar ke andar chalii gayii. Ataubaq kuch der taak wahin bahar khada raha aur pani ke gilas ko hoonth taak lana bhul gaya.

Rokeya aur woh ladki, aur nadi mein nehin jatii thii, woh too ghar k peechye walee gosal khanee mein hi apna gosal kartii thi.
Ek haftee beet gayen.. uss din bhi Ataubaq ke jaal mein bahut saree machli ayii. Ataubaq bahut khush tha ki uss diin use achaa paisa milega.
Ek safed kurta aur ek neela lungi pehen kaar kandhyee mein keffiyah baandha woh. Saree maachli le kaar tookri ko van mein rakh kaar woh paas wale gaon ke haat mein beechen chala gaya.
Ramadan ka mahina aane wala tha aur uss baar who aammii ke liye kuch kharid na bhi chahta thaa..
Kafi kush tha who, uss din. use bahut saree paisee mile. Usnee soocha ki uss ladki ke liye bhi kuch kharid liya jaye.

Like Reply


Messages In This Thread
Ataubaq --- pinuram - by ddey333 - 18-12-2021, 01:48 PM
RE: Ataubaq --- pinuram - by ddey333 - 18-12-2021, 01:49 PM
RE: Ataubaq --- pinuram - by ddey333 - 18-12-2021, 02:06 PM
RE: Ataubaq --- pinuram - by ddey333 - 18-12-2021, 03:37 PM
RE: Ataubaq --- pinuram - by ddey333 - 18-12-2021, 03:38 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)