25-11-2021, 12:02 AM
(23-11-2021, 09:19 AM)LODY BHAI Wrote: New Guest Arrived In Vasant-Vihaar
Pichle kuch dino me haweli me jo hua usne Kavita ki dabi hui sex ichha ko ujagar kar diya tha aur isse uske behaviour me bhi thoda change aa gaya tha jaise usne nadi se aakar apne kamre me jo kiya vo iska saboot tha....
Lagbhag 1 saptah nikal gaya tha...Kavita apni purani baato ko bhula kar aage bad rahi thi...uska bolchal bhi ab sabhi ke saath sahi hone laga tha..
Apne saas sasur ke saath baith kar vo haweli ko pahle jaisa banane ke baare me aur kaam ke silsile me baat karne lagi thi.....
Kanta ke saath rasoi aur doosre kaam kaaj me haath bata kar use ab achha lagne laga tha....Kanta bhi Kavita ke saath achhe se ghul mil gayi thi...
Kavita ko aise dekh kar Gayatri Devi aur Indrajeet Singh bhi khus ho gaye the...Kavita ko lekar unka mansik tanav bhi door ho gaya tha...
Ab vah jyadatar apna samay kamre se bahar hi haweli me ghum kar bitati thi...kabhi bageeche ki taraf jaaya karti , kabhi chhat ki taraf...
Jab kabhi vah chhat par jaati aur uski najar nadi ki aur padti to use vahi sab yaad aane lagta...jisse uske chehre par kamini muskaan aa jaati aur sharir me halchal mach jaati thi...
Kavita apne saas sasur , Kanta sabhi se achhe se baatcheet karti thi kewal Bheema ko chorkar....usne aajtak Bheema se kabhi na to kisi kaam ke liye kaha aur na kabhi usse baat ki....
Aur Bheema se baat-cheet na karne ka karan tha uska bheemkaay sharir...Kavita ko usse dar lagta tha , vah kabhi kabhi sochti thi ki Bheema ne kharab samay me haweli ke liye jo kiya uske liye Bheema ko dhanyawad de lekin aisa karne me vo jhijhakti thi...
Ek din shaam ke samay Thakur Indrajeet Bheema ke saath gaav me apne kheto ko dekhne ke liye nikal pade...
Kheto se laut-te vakt beech raste me ek aadmi Thakur ke pairo me aakar gir pada...aur bolne laga - Thakur Sahab mujhe maaf kardo mujhse galti ho gayi , Mujhe maaf kardo Shahab mai aisa dobara nahi karuga...
Thakur bada achambhit hua ki ye aadmi ko hai aur kya bol raha hai isne aisa kya kr diya....Thakur ne use uthne ke liye kaha aur uska chehra dekha....
Thakur - are tu....tu to vahi chor hai na jise maine daroga se chudvaya tha....kya naam bataya tha tune apna....?
Vah aadmi - Ji Laalu....( Laalu apna sir jhukaye hath jode Thakur ke samne khada tha )
Thakur - to Laalu...tune fir se chori karna shuru kar diya hai kya...iss baar mai tujhe nahi bachane wala samjha...
Laalu - nahi Thakur Sahab maine chori nahi ki hai....chori ka kaam maine usi din chor diya jab aapne mujhe jail se nikala tha....
Thakur ne chauk kar kaha - to phir tu maafi kis cheej ki maang raha hai....?....aisa kya kr diya tune...
Laalu - Shahab mai kaise batau aapko....aap mujhe maaf nahi karege...
Thakur - are bata to sahi aisa kya kiya hai tune...uske baad sochuga kya karna hai....bol ab...
Laalu - Thakur Shahab...mai pahle chori ka kaam karta tha aur usi se mera kharcha chalta tha...chori hi ekmatra mere jeene ka jariya tha lekin jab se aapne mujhe jail se churvaya hai tab se maine chori karna band kar diya hai....
Thakur - are ye to achhi baat hai na....ab achhe se mehnat kar aur kama ke kha.....tu iske liye maagi kyu maang raha hai....?
Laalu - Thakur Sahab kama ke kha to sakta hu lekin kamane ka koi jariya to ho....Mai chor tha isliye koi bhi mujhe kaam nahi dena chahta....jaha bhi kaam ki talash me jaata hu mujhe dhakke dekar nikal diya jaata hai....Ab aapne hi mujhse chori ka kaam churvaya tha isliye mai 1 saptah pahle kaam ki talash me aapki haweli me aaya tha....lekin mujhe haweli me koi bhi nahi mila isliye mai vaapas laut gaya...
Thakur - achha to isme tu pairo me girkar maafi kyu maang raha hai....?
Laalu - Shahab mai bina puche haweli me ghus gaya tha isliye maine socha jab aapko iska pata chalega to gussa karege....aur mujhe chor hi samjhege...
Thakur - achha bina puche aaya tha lekin kuch chori to nahi kiya na tune....to phir isme ghabrane ki kya baat hai....?
Laalu phir se Thakur ke pairo me gir jaata hai aur bolta hai - dhanyawad Thakur Sahab....bass ek meharbani aur kar dijiye....agar haweli me koi chhota mota kaam ho mere karne ke liye to....vo kya hai Sahab koi kaam dena nahi chahta mujhe to aap de dete to......
Thakur ne use uthaya aur thodi der rookne ke liye kaha phir vah bheema se iss baare ne baatcheet karne laga....
Thakur - Bheema kya sochte ho tum iss baare me...?
Bheema - sochna kya hai maalik...de dete hai kaam aise bhi haweli me naukaro ki kami hai....
Thakur - kya kah rahe ho Bheema....ye ek chor hai iss par kaise bharosha karke haweli me kaam de du....
Bheema - Chor hai to kya hua Maalik....abhi aapne iski imandari dekhi hai na....agar ise kuch karna hota to ye usi din chori nahi kar le jaata haweli se.....aur vaise bhi maalik har insaan ko sudharne ka ek mauka milna chahiye.....agar aapko iski chinta hai to mai baat karke isko samjha deta hu...
Thakur - dekh lo Bheema....mai sab tum par chorta hu....agar tum ise kaam par rakhna chahte ho to rakho , nikalna chahte ho to nikalo...lekin dekhna haweli me kuch hona nahi chahiye....
Bheema - ji Maalik aap chinta mat kijiye...mai sab samjha deta hu ise...
Uske bad Bheema Laalu ko acchi tarah se samjha deta hai aur use dhamki bhi de deta hai ki agar haveli mein kuchh kiya to use Jinda nahin chhoruga....
Thakur - Ha to Laalu tu aisa kar kal subah haweli me aa jana....tujhe Bheema kaam samjha dega...uske baad Thakur haweli ki aur jaata hai...
Thakur aur Bheema ke jaate hi Laalu ke chehre par ek Kamini muskaan aa jaati hai aur vo khusi se jhum uthta hai....
Agli shaam Laalu Vasant-Vihaar pahuch jaata hai...haweli ke gate par use Bheema milta hai jo use apne saath lekar haweli jaata hai...
Gayatri Devi aur Kavita abhi apne kamre me thi...Kanta khana bana rahi thi aur Indrajeet vahi sofe par baitha hua tha....Laalu ke aate hi Indrajeet ne usse pucha...
Thakur - ha to Laalu ab batao tum kya kaam kar sakte ho...mai us hisaab se tujhe kaam dunga...
Laalu - Shahab mai khana , saaf safai , jaise chhote kaam kar luga...
Thakur - nahi nahi iss kaan ke liye hamare paas pahle hi koi hai...tum aur koi kaam batao....
Laalu - Shahab to phir mai uski madad kar dunga kaam me....
Thakur - koi aur kaam nahi aata kya tujhe....?
Laalu ne iska jawab nahi diya aur apni gardan nichi kar li...Rasoi me khana bana rahi Kanta ye sab dekh rahi thi aur vo khus ho gayi ki haweli me aaj koi naya naukar aaya hai...
Thakur - achha tum bahar intezar karo...abhi tujhe kaam ke baare me batata hu....
Laalu bahar chala gaya...Uske bahar jaate hi Thakur ne kaha - kya karna hai Bheema...Kanta ka haath batane ke liye bol du kya use....
Bheema - Maalik maana ki usne apna purana kaam chor diya hai...lekin phir bhi vo ek chor hi hai hum us par viswas nahi kar sakte isliye meri maane to aap use bahar ka hi kaam bata dijiye....?
Thakur - baat to sahi kar rahe ho tum...phir aisa karo use bageeche ka , jaanwaro ko sambhalne ka kaam de do...
Bheema - agar ye kaam aap use de denge to mai kya karuga maalik....ye sab to mera kaam hai na...
Thakur haste hue - Are tu bhi na Bheema...kitna kaam karega hamare liye , suru se lekar ab tak tu hi to haweli ko sabhalte aaya hai....ab tu thoda aaram kar....vaise bhi aajkal shahar ka kaam jyada pad raha hai to tu mere saath chala kar...
Uske baad Laalu ko kaam ke baare me samjha diya gaya...Laalu iss kaam se thoda udas ho gaya tha..
Thakur ne Kanta ko aavaj di aur use bola ki jaakar sabko bula laaye....naye naukar se jaan pahchan karani hai...
Kanta jaakar Gayatri Devi aur Kavita ko bol deti hai ki Maalik ne niche bulaya hai...aaj koi naya naukar aaya hai haweli me usse jaan pahchan karani hai...
Kavita aur Gayatri Devi ke chehre par chamak aa gayi naye naukar ka naam sunkar....aur vo jaldi se haath muh dhokar niche aane lagi....
Kavita apne sasur ke saamne pallu kiye rahti thi isliye aaj bhi vah pallu kiye hi niche aane lagi... Gayatri Devi aur Kanta pahle hi aa gayi thi...
Kavita ko niche aata dekh Laalu khus ho gaya aur apni chhati par haath ferne laga...Kavita ke aate hi Thakur ne sabko Laalu se milaya....
Laalu se milkar Gayatri Devi aur Kanta to khus ho gayi lekin Kavita ke chehre ki hawaiyan ud gayi thi...uska sharir kaampne laga , mathe par paseena aane laga...
Kavita pallu kiye hue thi isliye Laalu uske chehre ko dekh to nahi saka par use upar se niche niharkar bahut khus ho gaya...
Laalu ko dekhne ke baad Kavita to jhat se apne kamre me chali jaati hai.... Gayatri Devi vahi rook kar Laalu se baat karne lagti hai...
Baat khatam hone par Bheema Laalu ko apna kamra dikhata hai...uske baad sabhi khana khane lagte hai....Aaj Kavita kamre se bahar khana khane nahi aai thi , use Laalu se bahut dar lag raha tha....
Kanta hi usko khana dekar aai thi...Khana khatam hote hi sabho sone ke liye chale jaate hai...
Laalu apne kamre me aakar let jaata hai aur apne lund par haath ferte hue sochne lagta hai - Teen teen ghodiya hai haweli me inki sawari karne me bada maza aayega....ye saale Thakur ne mujhe bahar ka kaam pakda diya hai mai to saale se haweli ke andar ka kaam chahta tha jisse in ghodiyon ko pel sakoo....lekin ab mujhe yojna banani padegi aur inko chodna padega....
Saali Thakur ki patni to abhi bahut jawan lagti hai...kaisi badi , chaudi gaand hai uski aur kaise rang chada hua hai....lagta hai Thakur thokta nahi hai hai use.....Aur vo saali randi unki bahu (Kavita) usko to mai chinaal banauga apne laude par baitha ke rakhuga.....maza aane waala hai ab lekin ye sab mujhe thoda soch samjh kar karna hoga...koi jaldbaaji nahi karuga isme mai agar Thakur ko pata lag gaya to meri jaan le lega....
Udhar kamre me Laalu ko dekh Kavita ki haalat kharab ho gayi thi....usko kuch samjh nahi aa raha tha...sone se pahle uske muh se bas ye hi nikla - ye aadmi haweli me bhi aa pahucha....kaise has raha tha mujhe dekh kar....Kameena kahi ka.....!!!!!!
( Laalu ko dekh Kavita ki haalat kyu kharab hui thi....aur kyu Laalu use dekh has raha tha....kya ye Laalu vahi tha jisne Kavita ko nadi par tadpaya tha....?....iska jawab aap log comment karke bataiyega )
....
Mast update bhai... Kavita ko badalne bala lallu aa hi gya... Nice story