23-10-2021, 12:56 PM
Sundarnagar gaon jo Bhima ka gaon hai. Is gaon mein gareebi bahutthi lekin Nisha ke aane se kuch sudhar hua. Is gaon mein sirf 100 log hi rehte hai lekin gaon bahut bada hai aur 70% jungle hai is gaon mein isiliye koi rehta nahi yaha. Nisha ne aas paas ke gaon mein college hospital aur employment badaya apne business se. Sundanagar gaon mein 100 log rehte hai jisme 65 log to buddhe buddhi hi hai. Is gaon mein sabhi log Nisha ke business mein ache post pe hai. Baaki ke gaon mein sabhi labour the.
Bhima aur Nisha car se haveli pahunche. Nisha aur Bhima car se utar gaye. Bhima kafi thaka hua tha.
"Apki tabiyat thik to hai na ?" Nisha ne poocha.
"Haan thik hoon. Woh kya hai safar karke thoda thak gaya. Aapka saman rakh deta hoon." Bhima ne saman uthaya. Saman andar rakhkar Bhima jaanewala tha ki Nisha ne roka.
"Ap chahe to haveli mein rook jaiye."
"Iski koi jaroorat nahi. Jhopadi bas peeche hi to hai."
"Ab aap waha kyon jaa rahe hai ? Gaon mein bijli nahi hai. Yaha hai bijli."
"Nahi mujhe aadat hai is gaon ki. Main yaha ka hi hoon."
"Main bhi to ab yaha ki hoon."
"Aap so jaiye. Mujhe chalna chahiye."
Bhima waha se chala gaya. Nisha ne haveli ka darwaja band kar diya. Haveli mein ek naukrani rehti hai. Naukrani ka naam Sarla hai. Sarla 19 saal ki hai aur gharka kaam karti hai. Bhima ko woh ache se jaanti hai.
Bhima jo kal tak Nisha ko memsaab bulata tha aaj uska pati hai. Bhima is rishte se bhagbe ki koshish karraha hai. Use samajh nahi aa raha ki aakhir yeh zindagi use kis mod pe laa di. Bhima jhopadi mein gaya aur apne 7 saal ke pote ko sota hua paaya. Pote ka naam Manu hai. Manu ke sivay Bhima ka is duniya mein koi nahi. Manu khatiya pe so raha tha. Bhima khatiya jhopadi ke bahar khule asman ke niche rakha. Khatiya pe letkar asman ki taraf dekha aur bol pada "gaon ki khubsoorati ka jawab nahi. 35 saal se Mumbai tha lekin saal mein ek hi baar aane ko milta tha. Ab to yaha hi zindagi.
Bhima ki aankhe abhi band hone ji wali thi ki Manu aankhe masalta hua aaya aur poocha "aap aa gaue dada ?"
"Haan beta." Bhima Manu ko apne baju sulaya aur so gaya.
Bhima ki jhopadi ko apne kamre ki khidki se Nisha dekh rahi thi. Raat ke 10 baje Nisha ne apne kamre ka light off kiya aur so gayi.
Subah ke 6 baje aur suraj ki prakash failne lagi. Bhima ka pota Manu apne dada ko chumte hue kaha "dadaji mere liye kya lekar aaye sheher se ?"
Bhima jhopadi mein gaya aur saman se ek khilona Manu ko diya. Manu khush hokar apne dada se lipat gaya. Bhima ke chehre pe muakan aayi aur Manu ko gale lagate hue kaha "Tujhe bahut yaad kiya mere bachche."
Bhima 8 taiyaar hokar haveli gaya. Nisha bhi waha thi. Nisha black saree aur sleveless blouse mein khubsoorat lag rahi thi. Kaam ke silsile woh bahar jaane wali thi. Bhima Nisha ko lekar kaam pe gaya. Dopahar ko kaam poora karke dono wapis aaye. Manu haveli mein khel raha tha. Nisha ko dekhar Manu dadute hue paas aaya aur lipat kar bola "Nisha tumko kita yaad kiya. Tum itne deeno kaha thi."
Nisha Manu ko kiss karte hue kaha "gayi thi kaam se. Ab main dekho wapis aa gayi."
Peeche se Sarla bol padi "acha hua didi aap aa gayi. Itne deeno mein is shaitaan ne mijhe pareshan kar diya tha.
Manu chidhane laga Sarla ko. Manu Sarla aur Nisha ka chahita hai. Dono Manu ko bahut pyaar se rakhti hai.
"Manu beta chalo waqt ho gaya hai ghar chalne ka." Bhima ne kaha.
"Nahi dada. Maun sirf Nisha ke saath rahoonga."
"Phir naam se bulaya. Unko memsaab kaho."
"Rehne dijiye Bhimaji. Mujhe Manu naam se bulaye to kya problem hai."
"Koi baat nahi lekin Manu chalo ghar." Bhima ne kaha.
Manu zid pe adkar bola "Mujhe Nisha ke saath rehna hai."
Nisha boli "Rehne do na. Manu aaj mere saath hi rahega."
Bhima bhi kuch na keh saka aur maan gaya. Sarla Bhima ko lekar jhopadi gayi.
Sarla tiffin se khana nikala aur Bhima betha khana khane.
"Beta Sarla teri padhai to thik se chal rahi hai na."
"Haan babuji bilkil thik. Waise babuji ek baat poochu ?"
"Haan poocho beta."
"Nishaji aur aap ab pati patni ho phir kyon saath nahi rehte."
Bhima bola "beta tum choti ho is baare mein baat karna thik nahi."
"Har baar aap yahi chiz kehkar taal dete ho. Babuji yeh thik nahi."
"Beta philhaal to tere haath thik nahi. Aaj daal mein namak kam hai. Chal namak daal." Bhima haste hue kaha.
"Agar mein badi hoti to aapko bahit maarti." Sarla ne haste hue kaha.
"Haan meri badi behen ab chal agle janam mein mujhse badi ho jaana."
Bhima khana khakar haveli gaya aur Nisha ke paas ghar ka saman lekar aaya. Nisha se thodi der baat ki aur waha se chala gaya.
Kya yahi rishta rahega Nisha aur Bhima ke beech ya phir kuch aage bhi hoga ??????
Nisha
Bhima : Nisha ka pati.
find duplicate lines