Thread Rating:
  • 5 Vote(s) - 1.8 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Meri Bahu Aisi Nahi( completed)
#5
update------------------4

"baitho beta"! sultan ahmed kafi sanjida aur prishan lag rahe the.
"kya baat hai abbu ! aap kuch parishan se lag rahe hai ? kya koi problem? " usne hamdardi se poucha .
" woh..........parishan to nahi beta ! han ek masila hai.
" kya masla hai mujhe bataye, sayed mie suljha sakun."
"han islia tumhe bulaya hai . tum hi ise sujha sakte ho. baat yeh hai ki ek majbur baap ne apne bete par aitmad kartey huey ek aisa wada kar liya hai jiska uske bete ko pata nahi hai,usse dar hai woh wada bete ko pasand na aaya to kya hoga."

    "aap bataye . aisa to ho hi nahi sakta ki baap apni aulad ke lia koi galat faisla kare . fir agar faisala mere pasand ka na hua to bhi aapko sarminda honey nahi dunga."
   "bete ! mene tumhari shadi seema se taye kar di hai ." unhone jaise dhamaka kia .
"meri shadi ....seema se....." woh gair yakin se badbadaya . woh pata nahi kya soch raha tha ..shadi ke bare mie to usne socha tak na tha.

                           sultan ahmed ne gaur se bete ko dekha--" han beta! tumhari fufo ki tabiyat thik nahi rehti. fir seema ka soch soch kar woh ghulti ja rahi hai. fir seema ko kau apnayega ? na khoobsurati na taalim , na dene ko kuch . bas yahi sab soch kar mine wada kar lia aur................"
" abbu ! aap kuch na kahe . koi safai na de. aapne jo kia bilkul thik kia hai.

      "jeeto raho beta ! aaj tumne mera maan badhaya hai. mie tumhara ehasan kabi nahi bhulunga . mujhe jitni khusi tumhari paidashi par hui thi usse kanhi jaida khushi aaj hui hai . parso nikah hai beta! mie jald se jald saajida ko ise fikar se aazad kar dena chahta hun ..mine ye baat kisi ko nahi bataai na abhi bataunga . mie janta hun kisi ko ye faisala bardasht na hoga kyunko mere bhai hi apni betiyion ke lia tumhari aas lagaye huey hai . fir tumhari maa.................... jab waqt hoga mie seema ko yanha le aaunga.

magar sultan apne pure program ko amli jama na pehna sake ..baap bete ne chupke chupke saari taiyari ki thi .aur   yeh sab itni chori chupe hua tha ki kisi ko bhanak tak na lagi warna ise ghar mie kisi baat ko chuppana na mumkin tha.

              jumme ko khamoshi se nikah hogaya . saajida ne une dono ko khana khilaya .seema dulhan bani magar shadi jais akuch na tha .
*******************************************************************


zeeshan ka birthday tha . sab shamil the . woh bi sarik tha magar  bedili ke saath . pata nahi kya baat thi , kya wajah thi  uska kanhi dil na lag raha tha .nawjawan party ne yeh baat khastaur se mehsus ki , 
"kya baat hai yaar !" aaj tera chehra utra utra kyun hai ?" kaamarn ne usse gaur se dekha .
"mene socha ab tumhe bhi mauka dena chahiye " naved ne muskuraya .
"kyun aapki umar gujar gai isse tarah ke battion ki .ae bhai ! abhi to tum jawan ho, hassen ho, khoobsurat aur kunware ho. aur jab tak kisi ladke mie ye khoobiya rehti hai usse apni chamk halki nahi padne dena chaiye . hamie hi dekh lo zeesan ne itra kar apne naye suit ki taraf ishara kia.

   naved ka dil chaha uski ek baat ki tardid karke sabko hairait mie daal de ki woh ab kunwara nahi , shadishuda hai . magar yeh mauka na tha.
    " waise naved bhai ! chun le . aaj to hasseno ki bhid hai ek se ek hassen ladki maujud hai."  zeeshan ne apni saai cousins ko izzazat di thi ki woh apni ek ek saheli ko bhi invite kar le. sabki sahelia bhi aai thi . islia kaamran ne naved ko maswara dia tha.
naved muskuraya--" farz karo mie jis ladki se shadi karna chahta hun ya jo ladki mere naseeb mie hai woh yanha na ho to?"
" kya ....agar aisa hai to aap batate hum usse bhi invite kar dete " zeeshan bola.
" suna saathiyao ! hamare naved na apni pasand ki ladki chun li hai aur usse apna anseeb bana lia hai .
bas zeesan ke kahte hi saari ladkiyan naved ko gher baithi ..naved ghabara gaya . " kaun hai woh ?" sab janana chahte the .

" ek ladki hai, aur kya hoti hai". naved apne par kaabu paakar maze lene laga.
"yakinan woh sabse khoobsurat hogi ," lubana chahki usse yakin tha uski bhabhi bahut khoobsurat hogi .
" khoobsurat.................han hai to khoobsurat. waise yeh jaruri to nahi ki meri biwi tumhari biwi khoobsuarat hi ho . chahe woh mujhe ya tumhe apni khoobsurati ke ghamand mie kuch na samjhe."
     " to aap  kya kam hai. kitni bhi khoobsurat ho , aapka muqabla nai kar sakti ." lubana ko bhai ki baat pasand na aai.

"accha bhai ! uske bare mie bataye . naam kya hai, kanha rehti hai?"
Reshma nadia chup thi. unke chahere bhi utrey huey the , magar wo kuch ehna nahi chahti thi. kahkar sharminda hoti.

"to kab milwa rahe hai un mohtarma se ?" nadia ke lahaje mie kat thi jise par kosis ke bowjud na paa saki.
"jab kah. agar mujhe pehle pata hota to aaj hi bula leta . mujhe pata na tha meri honey wali biwi ko dekhne ke lia aap log itney betab hai."

"biwi ?" arsalan choka .
ek lamhe ke lia naved ghabara gaya- "woh .... kuch bhi kah lo. jab mann lia hai to ek din to biwi ban hi jayegi". usne apni ghabrahat par kabu paate huey kaha .

"waise jishan ! tumhe apne birthday par seema ko bhi bulana chaiye tha . woh hamari cousion hai . waise bhi woh paresan hai . yanha aakar bahal jati ". naved ne kaha .

      ise ghar mie aye din function hua kartey the magar kabhi bhi unmie seema ko invite nai kia gaya tha , koi bada function hota to bas fufo ko bula lia jata . fufo ke saath seema ne aane ki kabi kosis nai ki thi . magar ab baat dusri thi . jisan ko apni galti ka ehsas hua .

shadi aur seema ka jikir chahe koi samjhta ya na samjhta magar reshma ko kuch shaq hua . woh bahut jahin thi . baat ki tah tak pauch jaati thi , magar usne apna shaq kisi pe jahir nai kia .
  naved kisis kam se uth kar chala gaya tha. reshma saba ke pass chali aai. " yeh tumhari cousion seema kaisi hai? mera matalab by face ,"
"thik hai, acchi hai. magar bahut khoobsurat nai hai.
"padti hai kya.?"
"nahi. usne inter ke baad padhai chorre di. lekin tum ye sab kyun pouch rahi ho?"
"bas aise hi." sayed woh mutmuien ho gai.
****************************************************************
Like Reply


Messages In This Thread
Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 10-12-2018, 01:59 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 10-12-2018, 04:48 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 11-12-2018, 03:49 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 12-12-2018, 03:56 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 18-12-2018, 04:14 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 22-12-2018, 04:33 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 01-01-2019, 12:13 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi(COMPLETED) - by viking - 05-01-2019, 07:10 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 06-01-2019, 09:50 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 09-01-2019, 07:55 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 20-02-2019, 09:26 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 14-11-2019, 08:34 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)