Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Misc. Erotica Yeh Jindagi Bhi Meri Kahan Chali Aayi
#83
Update 3

Kailash ghar se to nikal gaya, Jhanvi ko bahut kuch suna ke, jhanpad laga ke, apne thothle ghamand ka pradarshan kar ke, par do ghante tak lagataar car idhar udhar sadak peg humane ke ilava vo kuch na soch saka. Usne socha tha jis driver ne Vinay ka accident karat ha, vahi ye kaam bhi nipta dega, par vo driver to dark e mare shahar hi chhod ke bhag chukka tha aur uska jo number Kailash ke pass tha vo ab us driver ke naam pet ha hi nahi. Driver ne vo number hi company mein vapas kar diya tha.

 
Yun hi car chalate chalate vo shahar se bahar nikal gaya aur border pe bane ek sharab ke theke pe ja baitha. Apne liye Black Dog ki bottle mangwa pine lag gaya.

Ye vo jagah thi jahan sham se lekar raat ke 4 baje tak, dhadale se daru bikti thi, har officer ke pass uska hissa pahunch jata tha.

Aur sabse badi khas baat ye thi ke yahan koi aam nagrik nahi aatata. Ek se bad kar ek jarayampesha vale log, chor lutere, supari le kar maarne wale aur na najane kaise kaise log aate the.
Kailah ka pehnava aur un logon ka kaafi farak tha, saaf pata chal gaya koi seth type aadmi aaya hai, koi lafda karana hoga, par saale ko yahan ka pata kisne diya.
 
Itne mein ek dada type banda Kailash ke samne aa kar baith gaya.

“ Kya seth, kisi ko tapkana hai kya, jo idhar raat ko tapkela hai”

Kailash ek pal ko to chonk aur ghabra gaya.

Kailash : K..K…K Kya?

“ Apun Billa hai, koi safe lutna hai, kisi ko tapkana hai, ya kisi ko uthana hai…sab kaam ho jaayega, par kharcha kaam ke hisaab se”

Billa ko koi farak nahi padta tha, samne kon hai, bakaida Menu list bana rakhi thi usne aur bindas khule aam bolta tha.
Vahan aane vale log bhi use darte the aur koi uske saath lafda nahi chahta tha.

Kailash : nahi nahi kuch nahi, main to bas pine aaya tha.

Billa khub jor se hasa : To sale ghar baith ke pee na, yahan is waqt kyun gand marane aa gaya. Bivi bhaag gayi kya ??

Kailash ne gusse se use dekha aur khat se apna peg khaali kar dala.

Billa : Sala ye pade likhe logon ko bhi nahi aata, kya vo, vo..abe iski gaand maarun kya bolte vo. ( apne sar pe ek tapli bajata) haan vo Table Moners ( bolna vo manners chahta tha)
Kailash ki hassi chut gayi aur haste hue ek glass mein tagda peg bana dala Billa ke liye.

Billa ne glass pakadte hue “ hasa kyun be seth yahich to bolte Table Moaners….cccccc” Moners ka jab Moaners bana Kailash aur khul ke hasa.

Aise hi teen chaar peg jab andar chale gaye, Kailash vahan ke mahol ka aadi ho gaya to Billa ki ankhon mein ghurne laga.

Billa ko bhi itni menhgi sharab chad hi gayi thi thodi.

Billa : Bahut has liya seth, kuch kaam hai kya, sala aaj subah se haath mein khujli ho rahi hai. Ye ye apun ko ghoor kahe ko raha hai, apun vo nahi kya haan..gandu..hahahaha,
 
Kailash : Ek kaam karega mera, lekin kaam hone ke baad tu is shahar ke aaspass bhi najar nahi aana chahiye.

Ab Billa bhi serious ho gaya : Kaam bolo

Kailash ne apna Mobile nikala aur usmein Poonam ki tasveer nikal li.

Billa gaur se photo dekhne laga, Poonam hai hi itni khubsoorat ke Billa bhi honthon pe juban ferne laga.

Billa : Tapkana hai ya uthana hai

Kailash : Pehle ye bata agar pakda gaya to mera koi jikra nahi aayega.

Billa : Ye doglebaji aur peeth pe khanjar ghopna aap logo mein chalta hai ham logo mein nahi.

Kailash : Ise uthana hai aur iske saath jo aadmi ho use tapkana hai.

Billa : 5 Lakh aadha pehle aadha kaam hone ke baad.

Kailash to Poonam ko uthane ke saath saath Vinay ki maut ka bhi intezam karne lag gaya tha.

Tabhi ek 25-26 saal ka ladka vahan se gujra uski najar Poonam ki photo pe chali gayi aur uski ankhen chodi ho gayi.

Vo inke peeche ki table pe baith gaya aur apne kaan inki baton pe laga diye.
Jaise Jaise Kailash aur Billa aage batein karte rahe, us ladke ki muthiyan bhichne lagi. Kuch der baad jab kailash Billa ko lekar apni car mein baitha, to vo ladka bhi chup chap khisak kar unke piche lag gaya apni bike pe, apna chehra usne rumaal se dhak liya tha.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Yeh Jindagi Bhi Meri Kahan Chali Aayi - by rajeshsarhadi - 13-04-2019, 09:15 PM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)