Thread Rating:
  • 10 Vote(s) - 1 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Angrakshak Parivar Ka .........MAHI
Update 38
Part -6 (F)



VISHAKHA - Naaglok ki Rajkumari..... (1st part)


Naam hi Vishaka nahi tha woh sabki laadli Naag Rajkumari thi ...... uska paida hona ek ashirwad tha Naaglok ke Raja Vasuki aur NaagRani ke liye..... Bhagwan Sheshnaaga se prapt ardh-Naagshakti ki swamini Rajkumari Vishaka janam se hi adhbhut thi aur badi hoti huye Nasargik Naag yodha..... uske janam ke 500 saal baad Prabha ka janam huya toh Vishaka jaise poori ho gayi ho Choti Rajkumari Prabha ko bhi aadhi Naagshakti mili thi ..... dono bhene ek doosre ki purak thi jahan Vishaka khud ek shakti ka parteek thi wahin Prabha bas chanchal aur chulbali...... Dono ka apas me sneh hi un dono ko Naaglok ki poori shakti banye huye tha.

Dono agle utaradhikaari dengi yeh bhavishvaani pehle hi huyi thi phir ek bura samay aaya doosre Patalok ke Lokon se yudh aur Devton ke khilaaf yudh me apne Pitashri ka Vishaka ne bharpoor saath diya aur Naaglok par kabhi aanch na aane di par yeh ahem ek aur bhavna ko Vishaka me janam diya aur adhik shaktisaali banna jisko koyi hara na paye aur woh ush me safal bhi huyi par apno se itni dur hoti chali gayi ki yahan tak Bhagwan Sheshnaaga bhi darne lage uski hatdharmita aur mahtavakansha dekhkar......

Aaj usne Swayamvar me Aryan se mukabla karne se pehle phir se Bhagwan Sheshnaaga se vardaan manga ," Bhagwan mujhe poori Naagshakti chahiye taaki mein Naaglok ka maan badha sakun. Aaj aapne mana kiya toh yahin mere saath Prabha ke bhi prann tyaag kar diye jayenge ".

Bhagwan Sheshnaaga ne bhi bina deri kiye "Thathatsu" kehkar vardaan de diya..... Yahin Vishaka bhool kar rahi thi ki uske paas poori Naagshakti hai jabki aadhi toh kisi aur (Aryan) ke paas thi..... jisko khud gayat na tha.....????

______________

Purana jungle ......

Rani Vijaylakshmi ( Ani ) chintit sawar me," Guruji yeh Vishaka kahin Prabha ko hi apne saath Aryan se na marwa de ya phir Aryan ko khatam kar di toh Rati ka rudan kaal bankar barsega poori srishti pe..... woh Aryan ke liye kuch bhi kar jayegi".

Bade Guruji ( Vishaal ped) ," Prabha ko Aryan kabhi nuksaan nahi phoncha sakta yaani Vishaka ko bhi nahi, ab dono bhene ek hain ..... ya keh lo Prabha shaanti ka roop hai toh Vishaka krudh roop, dono ek saath hi purn Naagshakti banegi. Yeh hi Aryan ko samajhna hoga aur yahi uski pariksha poora Naaglok kya Patalok lega. Wahan jaana kya kisi bhaari Lok waale ke liye sambhav hai phir itne samay tak jeevit rehna toh atyant hi muskil hai. Phir bhi dekh lo ab uske chahne waalon ki saankha jaada hai wahan toh Aryan khulkar lad sakta hai ".

Nishaank Guruji ," Parantu Aryan hai bahot chalak pehle hi apni nayi biwiyan surakshit kar li Rani Hema ki madad se. Saroo tumhari jagah na le le yeh Rani Hema mujhe aisa sansha hai..... kyun Guruji ?"

Guruji bas muskara bhar diye lekin Saroo ne haath jodkar kaha ," Chama karna chote Guruji par meri jaisi bhagyawaan toh koyi stree nahi hogi. Maharyan pichle janam me mere sarvash the, pati parmeshwar, aur ish janam me putr hone ke baad bhi mujhe purn kiya. Mein unke liye marr ke kabhi rinn chuka nahi paungi. Phir Rani Hema toh khud Maa Devi ka avtaar hain, unka putr hona Aryan ka gaurav hi badhega ish janam me ".

Saroo ka uttar Nishaank Guruji ko sharminda sa kar diya wahin Maharani Vijaylakshmi ka krodh badha diya ......

Rani Vijaylakshmi daanti ," Nishaank tum Rati pe dhyaan do aur Aryan se kon sa badla le rahe uska uphaas uda kar...... kam se kam tumhare mitr Maharyan jaisa nahi hai woh ish janam me, jisko har stree bhog vilaas ki vastu lagti thi. Aryan abhi majboor hai apno ke prem ki wajah se par kamjoor nahi hai. Rajkumari Meenalochni tumhare paas toh hamesha sujhaav rehta hai ".

Nishaank Guruji bagle jhaankne lage phatkaar sunke wahin sabka dhyaan Meena pe gaya joh gheri chinta me thi.....

Meena ," Mujhe Aryan ke liye darr lag raha hai kahin woh Prabha ke liye anisht na kar de..... Prabha ab bhale hi usse vivaah karni chahti ho par Maharani woh apni sab choti bheno ko beti ki tarah pyar karta hai aur Prabha uski bahot ajeej hai. Naaglok waale Prabha ko khone me dubara nahi chookenge par Aryan gusse me sab neshta naboot kar dega".

Meena ki baat sacch hi thi phir Danav shakti ke saath uski do Danav patniyan apne garabh me ushka ansh paalne ki rah par thi...... Aadhi Naagshakti ke saath Aryan kya kya kar sakta hai yeh sab pehle hi ek baar Mirdula ko jeevit karte samay mehsoos kar chuke the jab sabko lagta tha ki uski shaktiyan bandhi huyi hain.

Bade Guruji ," Bas Vishaka uska 6thwa ansh na jagrit kar de toh behtar hoga".

Maharani Vijaylakshmi jhunjhla kar," Woh avash aisa karegi Guruji, ushko Aryan se nahi Divya Talvaar ke ush dharak se prem hai aur uske liye jaan gawa di varna Aryan ke alwa usko Deepti aur Prabha kabhi maar nahi paati ".

Meena ," Guruji aap kuch madad kariye mere Bhai ki taaki woh sahi salamat yahan wapas aaye ".

Bade Guruji ," Naaglok me Aryan ki sahi pariksha hogi joh uski aage ki rah tey karegi aur samay rehte wahan bahot bade surveer aur Mahan yodha Aryan ko sambhaal lenge ".

Saroo ," Lekin Guruji wahan kaun uski madad karega itni shaktiyan dharan karne me kathnayi na aaye?".

Maharani Vijaylakshmi ," Guruji aap pakka Raja Bali Maharaj ke baare me bol rahein hai na ?"

Bade Guruji muskara ke ," Unki vajah se hi Aryan wahan itne samay tika huya hai. Woh unke ashirwad ke karan hi Patalokon me abhi tak jeet raha hai aur unki wajah se hi Raja Vasuki aur Raja Maya kuch Aryan ka bura nahi kar paa rahein hai varna unko pichle 1000 saalon se kisi ne nahi dekha tha woh ikaantwaas me rehte the. Par Divya Talvaar ka Aryan ko wapis paane ka ashirwad kyun dete jab pehli baar woh Patalok me unse bhent kiya tha ......?

Samay ki dhara ko wahi bhali bhaanti samajhte hain aur Bhagwan Sheshnaaga ne Aryan ko sarp roop dekar rah toh dikha di hai bas ushpar khud usko aage badhna hoga. Ab woh dono bhi Aryan ko safal dekhna chahyege par bina sahyeta diye ".

Saroo aur Meena ki muskil asaan toh nahi huyi magar chinta ki lakeer Rani Vijaylakshmi ke chehre pe bhi thi akhir woh itni shaktishali hokar kuch nahi kar sakti thi varna Dhartilok pe Vishaka ko kadi takkar deti.

Udhar Delhi me Rati ka mann bechain sa tha Aryan ke liye jaise anisht hone waala hai par yeh itifaaq nahi tha. Dolly , Neha aur American me Jane bhi bahot vakual mehsoos kar rahe the aur sabko Aryan ki yaad aa rahi thi.

__________________

Naaglok.......

Vishaka ke aane ka ahwaahan Yudh prangan me ghante ki tannnnnn se huya...... Pehli baar uska Shakti saali roop dekhkar Aryan bhi usko dekhta hi reh gaya ...... Vishaka poore paanch phan pe mani jade Maha vishaal Naagin ke roop me thi ...... Uske sareer se angint sarp ander bhar hote huye ek kwacha sa bana rahe the.

Vishakha ke ander apni choti bhen Prabha ka ansh talasta Aryan niraash sa hone laga akhir Prabha hai kahan jabki har baar Prabha ka ahsaas usko pehle hota tha Vishaka ka baad me.

Mann me vakulta liye woh vishaal Sarpon ki sena aur Naag-Rath pe swaar Rajkumari Vishaka apni sammohit karti sarp aankhon se usko vash me karne ki koshish kar rahi thi......

Aryan ne jhat se nazar nicchi ki aur ek baar picche dekhkar palta toh Vishaka ab akeli nazar aayi koyi sena nahi thi..... Aryan ne palat ke Raja Vasuki ki taraf dekha toh woh bhi baaki sabki tarah sirf Vishaka ko dekh rahe the.

Aryan haath jodkar ," Maharaj Vasuki ji yeh kya mein poori Sena ke saath lad lunga agar Rajkumari Vishaka akeli mujhse haari toh aap bologe ki chalkapat huya ".

Sacch yeh tha Aryan Vishaka pe vaar bina uski aankho me dekhkar karna chahta tha ....

Par tabhi Vishaka ne picche se vaar kar Apni Naag Khadag ( Naaglok ki sabse shaktisaali Talvaar) se Aryan ki gardan kaatkar phan uda di ..... kataachhhh .....


Aryan ka kata phan dharatal pe girte hi ab manav sar me badal gaya tha aur aage badhkar Vishaka ne Aryan ka sar utha ke sareer pe vish ki phunkaar chodi toh poora dhad gal gaya ...... Aryan ka sar utha ke Raja Vasuki ke charon me phenki..... Poora yudhsthal sthabd reh gaya ...... Sabka sammohan ab toota toh jaise cheekh pukaar hi mach gayi..... Kaise ? Kyun?Kisliye ? par sabki soch hi maar di thi Vishaka ne......

Delhi me Rati ki neend me aankh khuli aur jorse cheekhi Aryannnnnnn ..... aur behosh ho gayi ........


Wahin screen pe dekhti Aryan ki sab biwiyon aur priyesion ki jaan nikal gayi cheekhion ke saath Aryannnnnnn .... MAHIiiiiiii..... Maharyannnnnnn ......

Vishaka haskar ," Ab koyi roke mujhe poori Naagshakti milne ke baad saare Patalokon ka kya saare Lokon ko jeetne se mujhe koyi nahi rok sakta..... ab Divya Talvaar bhi meri hogi usko chal se paane ki saja toh deni hi thi "....... aur agle hi vaar me Raja Vasuki pe Naagshakti ka vaar karke kaid kar liya aur yudhsthal ke bich nicche phenk di.....

Apni pancho mani ki shakti se poora yudhsthal kaid karne lagi toh ush se pehle hi Raja Bali Maharaj apne saath doosre Lokon ke darskan gann ke saath vilupt ho gaye aur Vishaka ka thakka gunj raha tha..... " Ha ha ha ha .... kayaron bhaag jayo aur mere gulam naago pakad ke laao Aryan ki pryesion ko aaj Divya Talvaar bhi meri hogi meine maara hai Aryan ko yeh uski har aurat ko pata chalna chahiye ...... ha ha ha ha ha ha ".

Apne sareer se angint pracheen sarpon ko ajaad kiya toh khoon ki holi kheli jaa rahi thi joh Raja Vasuki ke saathi aur sanik sarp the ... . Raja Maya bhi bandhe pade the aur dono pe kode aur gada barsa ke Aryan ki preysi kahan hai? uski Rani maa Hema kahan hai ? pata poocha jaa raha tha...... Muskil se pal bhar me hi pasa badal gaya tha aur Naaglok ke Swayamvar Sthal ke parmukh singhasaan pe ab Rajkumari Vishaka virajmaan thi.

Raja Vasuki ke singhasaan pe bethkar Swayamvar sthal me Vishaka athaas laga ke Aryan ki mundi dikha ke sabko boli," Ha ha ha ha ha..... Yeh banega mera varr ek vaar bhi nahi jhel paaya ".

_______________

Bahot ghinoona roop lag raha tha Vishaka ka sabko ish samay par ab kahin dur apne Lok me khade Raja Bali Maharaj ke aage sabne jhukar dhanyawad kaha. Tab Danav Guruji bole," Maharaaj ab aap hi ish pagal aur ghamandi Naagin Vishaka ko rok sakte hain ".

Raja Bali Maharaj ," Nahi Guruji ishko hum me se koyi nahi rok sakta "......Ab toh jaise sabki umeed hi jaati rahi....

______________

Rani Hema ne gusse me Aryan ki sab chaheti ko ek maya bandhan me baandh diya aur seedha Vishaka ke saamne prakat huyi gusse se roti huyi ," Tu jeene ke kabil nahi hai Vishaka ..... dusta tujhe mein jaan se maar dungi tu ne mere bete Aryan ko maara ...... ".

Rani Hema ke gusse me saare vaar Vishaka aise hi jhel gayi haste huye jaise usko koyi gulguli kar raha ho aur Udhar Rani Pushplata ne apni shakti se Rani Hema ka bandhan toh tod kar sabko ajaad karwa diya par 8 ki 8 ish chadam sthal se rooti huyi gayab hone ki koshish karti toh wahin laut jaati ......

8on ke praan toh waise hi Vishaka ne Aryan ko maar ke har liye the..... reh gaya toh bas vichoob , badla , gussa joh Vishaka ko maar ke hi khatam hota ......

Geeta roote roote hansti huyi bolti ," Nahi tu nahi marrr sakta kutte tujhe maarne ka hak sirf mujhe hai ...... Aryannnnnn mein chodungi nahi Vishaka ko ...... tu nahi mar sakta ...... "

Baaki sabka haal bhi bahot bura tha Deepti toh saans hi nahi le paa rahi thi......

Swayamvar sthal par jab unh pracheen kaale naagon ne jaise hi Rani Hema ko pakdne ki koshish ki toh tez awaaj gunji ," Naa tumhari poonch rahegi na sar apni maalkin ki hi poonch chaato agar meri Rani maa ko chuhya toh poore Naaglok ke ek ek bil ko phood ke tum sabko nimpta dunga........"

Awaaj sunkar Rani Hema rotye huye ," Aryannnnnnn ..... "

Vishaka singhasaan se khadi hokar kabhi Aryan ko aur kabhi haath me pakdi uski mundi ko dekh kar uski taraf phenki toh Aryan joh chalkar uske singhasaan ki taraf aa raha tha ek ret ki tarah bhikar gaya.....

Vishaka cheekhti huyi ," Aryannnnn dhoka ........ yaani woh bhi nakli tha..... phir 3 Aryan saamne aaye uske baad 10 uske baad 100 .....

Vishaka aur uske Naag sanik lag gaye Aryan ko khatam karne yaani uske clones ko..... par itne me sabko khatam karte dono Raja Vasuki aur Raja Maya ko ajaad karwa ke Rani Hema bhi gayab ho gayi thi kisi se maansik sampark hone se ......

Vishaka ne gusse se vish ki phunkaar charon aur chodi aur dhaadi," Meri maa NaagRani ko yahan lao "...... charon aur Naaglok ke sarp hi uski vish phunkaar aur vish se marne lage .......

Do Raja aur phir Rani Hema ka gayab hona uske liye atyant achambhit karne waala tha ....... kaise uski Naagshakti ko koyi tod sakta hai ? Kaun aisa hai joh Ashambhav ko sambhav kar de ? Haannnnn yeh Aryan hi hoga uska Divya Talvaar ka roop ...... par kya woh itni gheri mayajaal rach sakta hai jisko mein bhi nahi samajh saki .......

Bich maidan me apni sagi maa ko kaid khada karke jorse boli," Tum mayavi shakti istemaal karke mujhse bach nahi sakte Aryan yeh tumhara dhurt roop mujhse na chipega..... yadi tum pal bhar me mere saamne nahi aaye toh apni pyari bhen Prabha ki Maa ko kho doge ".

NaagRani roote huye," Vishaka putri meine tujhe janam diya hai, mein teri bhi sagi maa hun ".

Tabhi phir se Raja Vasuki ne wahan prakat hokar Vishaka pe vaar kiya toh woh picche jaakar giri ," Ghin aa rahi hai humko apni hi beti se..... Galat kar rahi ho, Yeh mat bhulo ki Prabha ka yeh sareer hai joh hamare ashirwad se tumko bhi mila hai ".

Vishaka ," Ha ha ha ha ...... phir mirt bhi mere saath hi hoga ..... ha ha ha ha ..."

Raja Vasuki aur NaagRani bhi ab vilupt ho gaye ...... par jaise Vishaka yehi chahti thi ...... ab toh koyi saamne aaye...... woh Divya Talvaar ka yodha ?

Vishaka ne ek tarfa Naaglok pe kabja kar liya tha aur sarp ki bhahsa me dhaadi ...... sishhhhh saahhhhh suuuuuu shimmmmm naaaaa sihtaaaaaa .....

" Tyaar ho jayo mere gulamo tumko Patalok ke saare Lokon pe hamala karke pehla jeetna hai aur ush Swarglok ko toh Naraklok se bhi batar banugi "..... ha ha ha ha ha ......

Aryan ab bina deri kiye Naaglok ke Swayamvar sthal ke maidan me khada hokar bola ," Nahi Vishaka abhi Swayamvar poora nahi huya hai agar mein hara toh tum swachandh ho par joh bhi yudh hoga yahin hoga".

Ish baar Vishaka ne naag rassi se Aryan pe prahaaar kiya toh usko baandh ke mehsoos kiya ki Aryan apne sahi roop me hai koyi mayavi roop nahi.

Vishaka ke chehre pe kutil muskaan aa gayi aur apna manmohak stree waala roop dharan karke badi kaatil ada se singhasaan pe bethi bethi boli," Poora avsar dungi tumhe toh Aryan, akhir tum bhi shatir ho par ab koyi parpanch nahi chalega aur mujhe harane ka khaab bhool hi jayo...... mein sirf tumse hi (usko) paungi".


[Image: images?q=tbn:ANd9GcT5ynxRoDyOxskyW8DmKVz...g&usqp=CAU]

Vishakha

Aryan ne apni taraf badhte vishaal Sarpon ko baari baari dekha aur Vishaka ka ghamandi chehra dekhkar apni aankhein band karke mayavi shakti ka avwhaan kiya aur pehle vishal manav roop dharan kiya aur turant vishal Naag roop me badal gaya phir ek Babar Sher ka roop dharan kar liya.

[Image: images?q=tbn:ANd9GcSvTt98b-r7WdUUHgVDBKq...w&usqp=CAU]



Vishaka ke saare pracheen gulaam Naagon ke saamne Aryan ke vishal roop badlte dekhe toh hiss hiss karke uska uphaas sa udane lage .......

25ft ke Narsingh bhagwan jaisa roop liye Aryan jorse dhaad maara toh poora Naaglok ke bhaar tak uski kroodh bhari gurhaat goonj gayi Gurrrrrrrrrrrrrrr ....... Naaglok ke har vaasi ke sareer me kampan mehsoos huyi kyunki naagon ke sareer bahot samvedansheel hote hai joh halke se kampan ko bhi mehsoos kar saken.

Ek darr ki lehar Naaglok vashiyon me mehsoos huyi par Naag yodha toh mirt the unki sirf aatma hi thi nakli sarp sareer ke saath Naagshakti ki vajah se dikhai de rahi thi par yeh dhaad unke bhi tarpan tak hila di .......

Vishaka bhi mann hi mann ya toh Divya Talvaar meri hogi nahi toh uska dharak par Naag aur manush ke roop ke baad yeh kaise ush singh ka roop dhar liya..... jaroor woh Babar Sher bhi iska ek hissa hai yaani khooni Genda bhi aayega par woh Divya Talvaar waala kab aayega.

Usne apne 10 prachin naag sanikon ko Aryan se ladne ka adesh diya.....

Vishak mann me "Matlab Aryan ke har roop ko harana hoga tabhi Divya Talvaar ka swami prakat hoga..... ha ha ha ha ...... khelna chahte ho na tum khelo...... jeet meri hi hogi, ya toh Aryan marega mere haathon nahi toh usko aana hi hoga dono taraf se jeet meri hi hogi ...... ha ha ha ha ha ...... Aryan mara toh Divya Talvaar meri hi hogi ".


Aryan ke haath me bade bade nakhun jab yun vish phunkarte yodha se sarp sareer me ghuste toh aar paar ho jaate ek baar do baar phir baram baar yehi ho raha tha ....... magar unki poonch ka vaar hathode sa padta aur vish uske sareer ko galata par ghaav bahot teji se bhar jaate......

Aryan jaldi samajh gaya ohhh yeh toh naag yodha ki aatmao ki sena lekar aayi hai aur usne patra badla aur apna bada sa mouh phaad ke 100 se jaada pischaahon ko unh 10 yodha pe chod diya ......

Jahan Naaglok waale Aryan ka uphaas uda rahe the ab hamla karte pischaahon ke kaaran stabdh the ..... Aryan ne pischaahon se unh ki poonch ek doosre se bandhwa di aur 10 ke 10 naagon ko gherwa ke apna pischaahon ke saath vapas nighal ke phir se dhaada gurrrrrrrrrrrrrrr ......

Ab toh har koyi usse darne laga ...... yaani .....yaani ..... yeh mirt pracheen sarpon ki aatma tak khaa gaya kahin hum jinda sarpon ko nighla toh dakaar bhi nahi lega ......

Sabko khooni Gende aur Babar Sher ke saath Aryan ki choti Rajkumari Prabha se yudh yaad aa gaya kaise teeno ne poori Prabha ki saari sarp sena vidhvansh karte maar ke khayi thi.......

Vishakha ko apne mann me unh 10 pracheen sarpon ki peeda sunai de rahi thi ki Aryan ke sareer me kitne kasht me hain......
.
Vishakha khadi hokar ab dhuvidha me thi kaise baaki sarpon ko Aryan se bhidne bheje kahin unka bhi wahi haal na par kuch toh karna hi tha toh sab sarp yodha ko hiss hisa ke sanket di ..... saare sarp yodha ek saath ek doosre me uljah ke ek badi gendh ki tarah aakar lete huye Naagshakti se vishaal 50 ft vyaas( diameter) ka gola bana liye aur usko jhat se Vishaka ne Aryan pe dekar maara ...... sab itni jaldi huya ki Aryan vaar na bacha saka usne apne vishaal nakhun waale haathon se vaar ko rokne ki koshish ki magar udta huya seedha dhartal se ragdta kareeb 500 ft dur jaakar gira......

Aryan ke sacch me Babar Sher waale nut bolt hil gaye ghatak vaar tha aur adhbhut bhi joh uski soch se pare magar Aryan ke khade hote dekhkar Vishaka bhi hairan thi Ashambhav Naagshakti ko kaise jhel gaya pakka Divya Talvaar ki shakti ke karan hoga.....

Usne phir se vishal gendh ko Naagshakti se Aryan pe prahaaar kiya toh sirgh hi ek baar phir se khooni Gende Manav ka roop dhar 15 ft lamba nukeela seengh liye Aryan ne woh gendh apne seengh me phasa li aur dhartal pe patak patak ke sab pracheen 1000 sarpon ki joh gendh me samahit the unki halat patli kar di......

[Image: images?q=tbn:ANd9GcQ8Z4RXEcN98vFkXsSi9by...Q&usqp=CAU]



Aadha manav aur aadha Gende waala avtaar sabke liye naya tha par bahot hinsak roop liye gendh phood ke Aryan unh sarpon ko bhi nighal gaya ...... Ab toh Vishaka ki bhi pehli baar hawa khusk huyi akhir yeh manav cheez kya hai......

Har roop ek se ek shaktisaali aur uske mann me ab hazaron sarpon ki cheekh pukaar sunaai de rahi thi toh apne sar ghoomta huya mehsoos ki jaldi hi usne unh pracheen Naag yodhan se Naagshakti hata ke sampark hi tod paayi thi ki Aryan ne sabko apna mouh khol ke ajaad kiya toh hazaron pracheen Naag yodha ki aatma uske mouh se bahar nikli aur sab uske aage phan jhukye the tab Aryan bhi apna manav roop dharan karke unke aage haath jodkar dharatal pe ghutno ke bal beth ke sar jhuka ke sabko aadar se bola ," Aap sab ajaad hain kirpaya apne gantav ki taraf parsthan karen. Naaglok me aapko koyi nahi baandh payega ".

Sabne Aryan ko ashiwaad diya vijayibhav aur antarlup ho gaye...... Vishaka ke saare gulaam ek saath gayab hokar jaane se usko bahot badi chati phauncha chuka tha Aryan.

Vishakha kahan haar maane waali aur gusse se boli ," Tu ne yeh accha nahi kiya Aryan meri itne hazaaron saalon ki tapasya pal bhar me nasht kar di..... tujhe ishka harjaana apni mout ke saath chukana hoga".

Aryan dheet sa muskara ke bola," Woh tumhare purvaj hi toh honge Vishaka magar mirtyu ke baad bhi tum unko gulaam bana ke rakhi thi..... mein kabhi unse nahi ladta agar tum seedha mujhse ladti par tum theri kayar Naagin sirf apno ko lajit karogi...... "

Vishakha gusse se cheekhi ," Tum mujhe kabhi nahi hara sakte tuch manav ....abhi toh meine ek vaar bhi nahi kiya apni jeet ka jasan manane lage...... Aaj tumko ahsaas tak na hoga ki tum ne mujhe Lalkaar ke kitni badi bhool ki ".

Aryan ," jaa jaa tujh jaisi paglet Naagin se kaun darta hai ...... aaj tere paas kya bacha hai kamini nagin joh apne sage maa baap ki bhi na huyi..... Aaj poore Naaglok ka ek sarp bhi tera saath de toh haar maan ke chala jaunga. Tu toh woh visheli maada hai jisne apni sagi bhen ko mout ke ghaat utar diya. Apna premi tadapa tadapa ke maara..... Tujhse jaada nicch aur patit toh ish pure bharmaand me koyi nahi hoga ".

Vishaka krodh aur nafrat ke charam pe thi aur gurrate huye Aryan ke saamne khadi hokar chillayi ," Divya Talvaar ke dam pe tu itna bol raha hai na toh dikha jor aaj tujhe koyi nahi bacha payega ".

Itna bol kar Vishaka ka sareer 5 alag alag nagin ke roop me banta chala gaya aur har ek jinka chera liye roop liya tha woh thi uski jaan ajeej Saroo, Geeta, Meena, Jane aur Dolly ........

5 ke athaas aur sur ek hi the Vishaka waale par chehre uski priyesion ke ...... "Ha ha ha ha ha ...... Ab tu mera kuch nahi bigaad sakta kyunki tere ander ki aadhi chipi Naagshakti meine kheench li Aryan aur ab mein hun purn Naagshakti ki swaamini...... Ha ha ha ha pehle humko hara magar ek ek ghaav inke asli sareer pe hoga aur haan mujhe nahi 5 guna chot Prabha ko milegi joh abhi suptavastha me hai ....... ha ha ha ha ...... Mere paas paane ko sabkuch hai par tere paas haarne aur mout ke siva kuch nahi . ....... Ha ha ha ha ha ..... . "

Mayavi shakti ke karan Aryan jaan gaya tha ki Vishaka satya hi bol rahi hai par apno ko kaise chot de aur Prabha ki jaan pe jara si aanch bhi kaise aane de......

Aryan aaj apne aap ko bahot bebas samajh raha tha, wahin uske chahne waale bhi majboor the uski koyi madad nahi kar sakte the ......


To be continued........

*******
[+] 1 user Likes Dmahi19's post
Like Reply


Messages In This Thread
Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by Dmahi19 - 04-07-2019, 02:36 AM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 04-07-2019, 02:02 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 07-07-2019, 12:21 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-07-2019, 01:39 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 10-07-2019, 02:27 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 11-07-2019, 07:11 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-07-2019, 07:17 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-07-2019, 12:57 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-07-2019, 11:12 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-07-2019, 01:59 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-07-2019, 11:08 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-07-2019, 12:17 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-07-2019, 12:41 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by shiva530 - 22-07-2019, 03:38 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-07-2019, 09:40 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-07-2019, 10:48 AM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-07-2019, 11:34 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 01-08-2019, 10:47 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-08-2019, 01:02 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 04-08-2019, 09:29 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 07-08-2019, 05:21 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-08-2019, 05:01 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 11-08-2019, 06:52 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-08-2019, 11:01 AM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-08-2019, 10:50 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 15-08-2019, 11:16 AM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-08-2019, 07:21 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 18-08-2019, 09:37 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-08-2019, 06:14 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-08-2019, 01:49 PM
RE: Angrakshak Parvivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-08-2019, 12:40 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-08-2019, 05:17 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-08-2019, 05:26 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-09-2019, 04:57 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-09-2019, 06:34 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-09-2019, 10:27 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-09-2019, 05:50 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-09-2019, 08:55 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-09-2019, 01:15 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-09-2019, 09:21 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-09-2019, 10:35 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 23-09-2019, 02:05 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-09-2019, 03:34 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-09-2019, 10:40 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-09-2019, 12:22 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-09-2019, 11:46 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 04-10-2019, 11:48 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 10-10-2019, 11:13 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by dark - 11-10-2019, 08:50 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 11-10-2019, 09:19 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-10-2019, 10:43 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-10-2019, 10:09 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 26-10-2019, 10:23 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 27-10-2019, 06:10 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-10-2019, 11:41 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-11-2019, 01:31 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-11-2019, 10:51 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-11-2019, 11:18 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-11-2019, 01:11 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-11-2019, 12:17 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-11-2019, 12:26 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-11-2019, 09:08 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-11-2019, 09:40 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-11-2019, 12:10 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 27-11-2019, 10:55 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-11-2019, 10:18 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 30-11-2019, 05:48 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-12-2019, 01:44 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 04-12-2019, 11:05 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-12-2019, 09:57 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-12-2019, 04:10 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 14-12-2019, 09:02 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-12-2019, 12:07 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-12-2019, 10:28 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-12-2019, 01:54 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 23-12-2019, 06:12 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-12-2019, 11:44 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 26-12-2019, 03:01 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-12-2019, 11:21 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-12-2019, 11:30 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-12-2019, 09:53 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-12-2019, 08:30 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-01-2020, 12:40 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-01-2020, 12:51 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-01-2020, 03:24 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-01-2020, 12:35 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 10-01-2020, 10:37 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-01-2020, 10:47 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-01-2020, 02:38 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-01-2020, 10:18 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-01-2020, 09:40 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-01-2020, 09:57 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-02-2020, 09:32 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-02-2020, 09:15 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 07-02-2020, 10:49 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-02-2020, 11:14 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-02-2020, 09:25 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 15-02-2020, 09:57 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-02-2020, 11:07 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-02-2020, 10:51 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-02-2020, 10:50 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 23-02-2020, 10:32 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-02-2020, 10:32 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-02-2020, 12:22 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 01-03-2020, 10:27 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-03-2020, 09:43 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-03-2020, 02:18 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-03-2020, 01:54 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 15-03-2020, 09:21 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-03-2020, 02:39 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-03-2020, 09:55 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-03-2020, 09:36 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-03-2020, 11:33 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-03-2020, 11:18 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 01-04-2020, 11:08 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-04-2020, 09:51 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-04-2020, 10:11 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-04-2020, 12:24 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-04-2020, 04:05 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-04-2020, 01:15 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 23-04-2020, 11:13 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-05-2020, 11:31 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-05-2020, 11:01 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-05-2020, 11:46 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 30-05-2020, 11:55 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-06-2020, 02:37 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 05-06-2020, 12:44 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 09-06-2020, 11:01 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 11-06-2020, 02:53 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-06-2020, 11:14 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-06-2020, 10:00 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-06-2020, 09:38 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 28-06-2020, 12:34 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-07-2020, 12:27 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-07-2020, 12:09 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 30-07-2020, 09:57 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-07-2020, 09:32 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-07-2020, 09:35 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 07-08-2020, 10:20 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 10-08-2020, 01:21 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 11-08-2020, 09:13 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-08-2020, 02:16 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 14-08-2020, 01:18 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-08-2020, 11:40 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 18-08-2020, 11:53 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 21-08-2020, 02:10 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-08-2020, 11:59 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-08-2020, 11:55 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 27-08-2020, 12:33 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 30-08-2020, 11:58 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-08-2020, 08:52 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 04-09-2020, 12:02 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 06-09-2020, 02:36 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 10-09-2020, 02:47 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-09-2020, 12:02 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 14-09-2020, 01:40 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 15-09-2020, 12:08 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-09-2020, 09:24 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-09-2020, 11:17 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-09-2020, 11:01 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 23-09-2020, 10:47 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 27-09-2020, 11:27 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 29-09-2020, 11:28 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 01-10-2020, 10:40 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-10-2020, 10:05 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 06-10-2020, 09:52 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 14-10-2020, 10:43 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 16-10-2020, 10:11 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-10-2020, 10:46 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-10-2020, 11:05 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 30-10-2020, 09:37 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 08-11-2020, 11:20 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 13-11-2020, 11:20 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 19-11-2020, 10:05 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 22-11-2020, 10:05 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 24-11-2020, 11:10 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by Bhavana_sonii - 24-11-2020, 11:10 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 26-11-2020, 10:25 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 01-12-2020, 10:26 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by Bhavana_sonii - 12-12-2020, 12:09 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 12-12-2020, 10:10 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 14-12-2020, 09:50 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 26-12-2020, 09:43 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-01-2021, 03:18 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 03-02-2021, 02:31 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 17-03-2021, 03:03 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 20-03-2021, 01:03 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by Dmahi19 - 02-05-2021, 12:12 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-05-2021, 10:01 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 06-05-2021, 09:54 AM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 25-05-2021, 02:16 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 27-05-2021, 09:45 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 31-05-2021, 10:06 PM
RE: Angrakshak Parivar Ka .........MAHI - by vkf - 02-06-2021, 04:21 PM



Users browsing this thread: 47 Guest(s)