12-12-2018, 03:56 PM
Update-----------3
Sham ka waqt tha . saari nawjawan party launge mie jama thi . kamran, jishan ke saath pesh aane wala waqya namak mirch laga kar suna raha tha . jishan ke alawa sab haste haste lotpot huey ja rahe the.
jishan do khoobsurat ladkiyon ko apni gaaadi mie lift de baitha tha . ladkiyan bahut khul kar saare raste usse baat karti rahi thi aur utarte waqt " bhai jaan" shukriya bhi kah gai thi . bas ussi baat ko bata kar sab maze le rahe the .
tab hi asalam andar se bhagat hua wanha aaya-- "waoh ji phone aaya hai. aap sabko badi begum bula rahi hai."
" kiska phone aay hai ?" naved ne usse yun ghabaraye dekh kar poucha . baaki sab bhi ghabra gaye the .
" woh ji.......woh naushad fufo ka intakal ho gaya ha .
ise khabar ne sabki hawaiyan uda di thi. daulat kitni bhi rishtion ke bich deewar ban kar khadi ho jaye. ek baat par usse deewar se darare pade hi jate hai . chahe waqti taur pe hi. fir yeh to kareebi rishta tha. teeno bhabhiyon nanad gale lag kar lhoob rooi . ab ye pata nai ki woh rona waqiye nanad ke dukh ko dekh ke tha ya yeh soch kar ki baithe bithaye musabit aa gai . baat sahi thi. maa beti ab akeli nahi rahe sakti thi. sasural mie koi aisa rishta na tha. bas thikana bhaiyon ka ghar hi tha.
seema ka rou roukar bura haal tha . sab usse dilasa de rahe the , chup kara rahe the, chup to usse hona hi tha . kaun kab tak marne wale ke lia rota hai. fir soyam ke baad sab khiskane lage . fir bas log aate jaate rahe . 40sewe tak yeh sab to karna hi tha.
magar ek din naved baap ke saath fufo ke ghar gay . woh bahut dino ke baad aay tha . fufo ki halat dekh kar naved ka dil dukhne laga . halaki bhaiyion ne une dino mie bahan ka pura khayal rakha tha . uske ghar mie un chizo ke dhair laga dia tha jinhe unhone sohar ki jindigi mie dekha tak na tha . lekin chize dil ko khushi na de sakti thi.
"saajida"! mujhe tumhari tabiyaat to kharab lagti hai " sultan ne bahan ke pile pade chehere to dekh ke kaha ----" jao naved!" kisi acche se doctor ko bula lao . unhone bahan ke mana karne ke bawjud bete se kaha.
naved ke jaate hi saajida bhai ke gale lag kar rou padi ---" doctor yahi kahengay , aaram karo, socha na karo , khush raha karo. lekin bhai ! meri fikar to mujhe pore ghra mie chalti firti dikhai deti hai jinda. fir bhala mie khus ya chain se kaise rah sakti hun , kaise na sochu , kaun hai mera baad seema ka? woh fut futkar rou rahi thi.
bhai ka dil bhi bhar aaya . na jaane kaunsa nazuk lamha tha jab unhone bahan ko ek wada de dala. sayed bahan kimuhabbat mie. unki baat par sajida ne hairait , be yakini se bhai ki taraf dekha tha.
kanha zameen , kanha aasaman . dono ka sangam kaise mumkin tha . kanhi bhai tassali to nai de raha , bahala to nahi raha? magar aisa na kuch dekh ka apni nazar jhuka li---" meri seema to khoobsurat bhi nahi, jaida padhi likhi bhi nahi , fir uska baap uske lia kuch chode kar nahi mara . fir bahbhi... kya wo taiyar ho jayengi?"
"tum ye sab mat socho saajida ! bas meri juban par aitabaar karo . jo kah dia usse pura karunga ." unhone bahan ke sir pe haath rahtey huey yakin dilaya --" dekho saajida ! ye nikah bahut kahamsi aur sadgi se hoga . aaj budh hai , jumme ko mie aaunga.
tab hi naved doctor ko lekar aa gaya tha.
******************************************************************
" naved bete ! jara farig hokar mere kamare mie aa jana . ek jaruri baat karna hai" launge mie saari nawjawa party jama thi jab unki gaadi gate ke andar daakhil hui .
"ji abbu" mie aat hun" gaadi garage mie kar dun.
" oh ho ..............aisi kya baat hai bhai?" arsalan ne sayed sun lia tha.
" kyun tumhe kya parasani hui? sara din ladkiyon mie ghuse rehte ho. kuch kam ki baat kia karo." naved ne kaha .
" tum bhi aa jao yaar ! jal kyun rahe ho ." kamaraan ko ye baat lag gai thi.
" jalne wale aise nahi , aise hotey hai."naved ne pehle apni taraf fir uski taraf ishara kia .
naved ke muqable mie uski rangat jara sanwali thi . sab khila khila uthe .
kamran ne kuch kehne ke liamuh khola magar usse se pehle naved bol pada --
"tumhari jali kati aakar sununga . mujhe pata hai ise waqt tum meri baat ka jawab dene ke lia baichain hoge . mie jara abbu ke pass hoke aata hun.
*****************************************************************