09-08-2021, 03:10 PM
Waqt ne apni raftaar pakadi aur Bhola apne kaam mein laag gaya. Roj khet mein majdoori karta aur raat ke waqt hotel mein bathroom saaf karne ki naukri karta. Khud ko kaam mein itna ghusa diya ki woh Sanjana ka khayal apne dimag se nikal diya.
Sanjana ghar mein beithe beithe vlogs likhayi aur kitab likhkar paisa kamati. Riya ko ache college mein professor ki job mil gayi. Karan business expansion mein bahar chala gaya.
Aaj sunday tha aur Bhola jungle ke paas wali nadi mein nahakar ghar jaa raha tha. Raste mein Pinky mil gayi jo mandir pooja karne jaa rahi thi. Bhola Pinky ko dekhkar muskuraya aur paas aakar bola "kaisi ho tum Pinky ?"
Pinky sir jhukakar "thik hoon."
"Aur batao kuch kar rahi ho naya ?"
"Haan babujj ke business ka hisab check karti hoon. waise ek baat kahu ?"
"Haan kaho."
"Ramu ke saath jo hua woh bahut hi boora hua."
"Haan lekin yeh bimari bji to kharab hai. Corona ki bimari se lakho log apni jaan gawa beithe hai. Ramu ki isi bimari se maut hui."
"Sabhi log jo mere the woh aab jaa hi to rahe hai." Pinky rone laagi.
Bhola aansu pochate hue kaha "zindagi humesha khushi nahi deti. Yeh boora waqt hai nikal jaayega. Lekin meherbani karke khud ko sambhalo." Itna kehkar Bhola chala gaya. Bhola khud ke aansu ko kabu mein karke waha se jaldi chala gaya. Koi soch bhi nahi sakta ki Bhola mein itna badlaav aa gaya hai.
Sanjana dopahar ko kitchen mein Mani ke saath khana bana rahi thi. Waise bhi corona ki wajah se poore city mein lockdown ho chuka hai lekin gaon mein abhi bhi situation thik hai lekin Sanjana kisi ko ghar se bahar nahi jaane deti. Paas wale dukaan se saman mangwake asani se ghar ka kaam kar leti hai. Mani bhi kaam poori imandari se kar raha tha. Mani waise bhi bahut kam baat karta hai.
"Memsaab waise sahab nahi aane wale ?"
"Mushkil hai umka aana. Lockdown kaal se start hua hai na."
"Pichle hafte hi to yaha se gaye the. Pata hota to yaha hi rukwa deta."
"Dekhiye Maniji yeh aapke aur Sanjay ke beech ki baat hai. Meherbani karke mujhe bich mein na lao." Sanjana ne halke se muskuraate hue kaha.
"Kya baat hai memsaab pehli baar apko muskurate hue dekha." Itna bolkar Mani kaam mein laag gaya aur bina kuch kahe sabji banane laaga.
"Suniye Maniji. Chai banakar buaji ke kamre bhej do na. Waise bhi 3 ghante se online classes mein laagi hui hai. Thak gayi hogi. Tum chai banao roti main bana loongi.
"Jee memsaab."
Mani chai lekar Riya ke kamre mein gaya. Riya room mein nahi thi. Mani chai ka cup table pe rakh diya aur nazar bed pe gayi jaha Riya ka laptop pada hua tha. Mani ne socha shayad woh bhool gayi hogi laptop band karna. Mani laptop ke paas aaya to dekha ki kai saare students online kuch kaam kar rahe the. Mani ko jaise ajeeb laaga aur bola "itne saare log yaha ka kar rahe hai ? Kahi memsaab picture to nahi dekh rahi ?"
Tabhi ek student ne Riya ka naam liya. Mani socha yeh kya ? Film wala ladka memsaab ka naam le raha hai. Memsaab itni mashahoor hai.
Laptop ka camera off tha isiliyeani kahi dikhai nahi diya. Mani students ko live dekhta hua muskura raha tha ki tabhi Riya bathroom se haath mooh dhokarbahar nikali aur Manu ko bed ke paas dekhte hue boli "Mani tum yaha kya kar rahe ho ? Students ko padhane wale ho kya ?" Riya ne haste hue poocha.
"Arey nahi memsaab main to chai dene aaya tha."
"Thik hai thik hai jao ab tum warna mere students mujhe kaamchor bolne lagenge."
"Thik hai memsaab. Aur kuch le aaon ?"
"No thank you Mani." Riya chai lekar laptop ke paas pahunchi.
Mani toorant kitchen mein gaya aur apna kaam poora kiya. Mani thoda thaka hua tha isiliye dopahar ko apne room mein so gaya. Shaam ko taro taza hokar Mani bahar aaya garden mein phool aur pedo ko paani dene. Pipe liye Mani laagatar paani diye jaa raha tha. Paas mein jhula kjool rahi Riya ne Mani ko mazak mein poocha "acha Mani tumko pata nahi ki yeh sab kaam ko main kar rahi thi wo kya tha ?"
"Are memsaab apke zamane mein aur humare mein antar hai. Pata nahi kya naya naya aap log karte hai naukri mein.'
"Yeh situation ki wajah se aisa hua hai. Corona hai Mani."
"Aap sab log vigyan mein jo kare woh sahi hai lekin koi maryada hoti hai in saab chizo ki. Corona bhi hum insaano ki banai bekar chiz hai."
"Acha ek baat batao Mani. Tum poora deen kaam karte ho aur gunge ki tarah kuch bolte nahi. Kabhi kabhi lagta hai ki tum paidaish gunge ho."
Mani jor se hasta hai aur bola "Arey nahi memsaab aisi baat nahi hai. Darasal humko samajh mein nahi aata ki ka baat karein isiliye kuch na bolna hi sahi samajhte hai."
"Tumhara waise shokh kya hai ?"
"Humko memsaab kahani likhane ka shokh hai lekin paisa nahi hai isiliye kitab nahi likh paate."
"Kya baat hai kahani ? Woh to mujhe bahit pasand hai padhna. Kabhi hume bhi apni kahani bataiyega."
"Jee memsaab. Waise ek baat bataye aapko ?"
"Haan batao."
"Aap pehle aisi malkin hai jo mere se baat kar rahi hai warna ek maryada hota hai malkin naukar ke beech."
"Nonsense aisa kuch nahi hota." Riya ko woh poorani baat yaad aa gayi jab woh roj Bhola ko jaleel karti thi. Aaj bhi use is baat ka afsos hai. Lekin bahut der ho chuki thi. Bhola chala gaya hai.
"Chaliye memsaab ab thoda kaam kar loon raat ka khana bhi banana hai."
"Haan please."
Mani kaamo pe lag gaya. Mani waise imandari se kaam karta hai. Sanjana apne mein hi akeli na jyada baat na jyada kuch karna. Mani sab jaanta tha ki Sanjana aur Bhola ka kya sambandh tha lekin Sanajana ko dukhi dekh baat karne ka maan nahi kar raha tha. Mani kitchen mein sabji kaat raha tha. Sanjana paani peene aayi thi. Mani ko kaam mein busy dekh kuch boli nahi.
"Arey memsaab kaha tak pahunchi aap ?"
"Matlab ?" Sanjana ne poocha.
"Wohi. Roj kuch na kuch sochti rehti hai aap. Mera matlab tha ki agar is soch mein koi station ho to kaun si station mein pahunchi ?"
Sanjana haste hue boli "station master abhi to kuch nahi hua lekin jab train pahunchegi to apko keh doongi."
Sanjana muskurate hue chali gayi. Sanjana ne ek baat mehsoos kiya ki kitne deeno baad woh hasi aur muskurai. Yeh baat Riya se bhi nahi chupi. Woh bhi Mani ko iska haqdar manti hai. Uske aane ke baad Sanjana deen mein aaj do baar hasi aur muskurai.
Doosri taraf Bhola deen bhar ka kaam karke jhopadi mein pahuncha. Saaf safai ki aur cow ko khana dekar roti pyaj khakar sone ki taiyaari ki. Aaj Pinky ko dekh phir Bhola ki aankho mein aansu aa gaye. Sanjana ko ab Bhola bhool chuka tha aur abwoh jaise Sanjana ko jaanta hi na ho aise samajhne laga. Bhola gehri neend mein sone chala gaya.
Mani aaj raat kam karke apne ghar ek deen ke liye gaya. Riya terrace pe thi aur bahar ka nazara dekh rahi thi. Zindagi ab badal chuki thi. Riya ko ab ek saathi ki jaroorat thi. Divorce ke baad zindagi mein pyaar ki kami ho gayi. Woh ab Sanjana ki tarah akeli thi. Yehi sochkar Riya terrace ke paas room mein pahunchi jo khula tha. Yeh kamra ek samay Bhola ka tha. Riya ki nazar table pe padi jisme ek diary thi. Riya janti thi ki Mani usme kuch na kuch likhata hai. Riya ne jab khola to usme dekha ki Mani apni baat is diary mein likha jo is ghar mein usne mehsoos kiya.
"Kai deen ho gaye is ghar mein mujhe kaam kiye. Dono memsaab thik hai lekin bahar se andar se nahi. Sanjana memsaab to jaise chali phirti laash. Na koi khushi na koi gam. Aaj jab meri wajah se woh do baar muakurai to khud pe mujhe naaz aaya. Kyonki aaj aisa laaga ki Sanajana memsaab namki laash mein aaj kuch jaan si aayi.
Is ghar mein Riya memsaab jo bahut khubsurat hai. Itni khubsurat ki jaise chand bhi apne aapko badsurat mane. Woh khushbu ka doosra naam hai. Najaane kyon jab woh aati hai to dil kaam karna band kar deta hai. Jab woh apne baal khule rakhti hai to jaise sunehre badal komal se kandhe par biraje ho. Riya memsaab ki muskaan mujhe khush kar deti hai. Aur unke saath baat karne ka man karta hai. Kash aisa koi waqt ho ki wo sirf merese baat kare aur koi kaam na kare. Mere saath woh waqt bitaye aur hum dono akele mein ghume. Kash woh saree mein aaye aur sleeveless blouse mein jisse woh ek apsara laage. Dono itna waqt gujare ki main sirf unhe dwkhta rahoon. Unke hoth gale aue kandho ko jee bhar ke ijajat se dekhu aur ek baar bas ek baar chum loon."
Riya ne jab yeh padha to shock hui. Apni tareef sw woh khush hui. Kisi mard ne pehli baar itni tareef ki.
"Kya main itni khubsoorat hoon." Khud ko mirror mein Riya ne dekha. Riya ne shirt utarke khud ke kandhe aur seene ko dekha. Bahut khubsoorat lag rahi thi woh.
Cupbord mein dekha ko kuch saree thi. Riya ne saree bahar nikali aur usme se ek sliver sleeveless blouse aur black saree bahar nikala.