Thread Rating:
  • 5 Vote(s) - 1.8 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Meri Bahu Aisi Nahi( completed)
#3
Update========2

"suno beta !" zara gaadi saajia ke ghar ki taraf modna." sultan ahmed ne gaadi drive kartey bete ko hidayat di .
"ji abbu" naved ne kaha aur gaadi ko saajia fufo ke ghar ki taraf jane wali sadak pe gaadi daal dia.
woh ek hi seher mie rehte the . saajia naved ki sagi fufo thi magar ek seher mie rehete kafi din tak jana na hota tha. naved khud sayed ek saal baad fufo ke ghar ja raha tha. fufo ka bi unki taraf aana kam hota tha. naved ko apni yeh chup chup rehne wali sawli rang wali fufo bahut acchi laga karti. fir unko ek hi fufo thi.
    fufo bahut garmjoshi se mili. fufa bi ghar par hi the aur baccho ko tution padha rahe the.
        "ghar pe bi aaya karo saajida!" sultan ahmed ne apni behen ko dawat di. waise bi wo khud sarminda tha. woh nahi aati thi to wo kaun sa uske wanha jate the. khud lakhion  mien khelte the magar bahan......

" bas bhai jaan ! waqt nahi milta. kai baar socha magar.....fir aapka ghar bhi bahut dur hai. kai bus badalni padti hai ." fufo ne kabi bhaiyion se sikwa na kia tha . woh bahut sabir aurat thi . khudaar bi thi .
" to fufo aap taxi se aaajya kare " naved ne maswara dia. fufo muskura di  magar na jaane kanha sse lekin sanwali najauk si ladki samne aa khadi hui --" aur taxi ka kiraya aapke account se atta kia jayega ." uske lahje mie kaat thi magar hontion pear muskrahat.   
usne mamu ko salam kia. wo fufo ki beti seema thi jawan hokar woh nikhri to thi magar kisi tarah unki family ki nahi lagti thi . woh uski baat ka kya jawab deta .uski taraf dekh ke rahe gaya. seema chai laai thi . saath mie plate mie biscuit aur dalmoth bi thi. magar woh hairan rah gaya .. har chiz bahut saaf suthri thi . chai to itni acchi thi ki naved ko pehli baar chai acchi lagi thi.
      
       fir woh wapas laute. gaadi chalate huey naved ne baap se poucha---" abbu" fufo hamare yanha itna kam kyun atti hai? woh hamare iklauti fufo hai magar hum unse gairo ki tarah miltey hai , taai  ammi chachi se ke muh se kabhi unke bare mie nahi suna . seema hamari humumar hai, hamari cousion hai . woh kabhi nahi aati. fir hum log unse bahut kam miltey hai . kya baat hai?.

      " tum thik kehete ho beta !" sultan ahmed ek thandi saans bhar kar rahe gaye the-  " aur yeh sab kuch meri wajah se hua hai. meri hi jid ki wajah se saajida ki shadi naushad se tay hua tha aur sirf meri hi kya sabki rajamandi se hui . jis waqt naushad ka rishata sajida ke kia aaya tha hum kuch bi na the . iqbal bhai ek mamuli naukri kar rahe the mie to ek mamuli naukri bi na paa saka tha . naushad clark tha bahut sarif aur suljha hua. humie yakin tha woh kafi taraki karega . kaafi aage tak jayega . magar kismat ka likha koi nahi mita sakta hai . hamari bahan kie naseebo ka saath nai dia.

     meri saajida ki shadi saath saath hui thi . iqbal bhai ki shadi humse 2 saal pehle ho chuki thi magar baccha koi nai tha , shadi ke baad mie apne biwi aasia ke kehne par karobar karne ki thaani . iqbal bi mera haath batate . aur jab tum paida huey to jaise mere chote se karobar ko par lag gaye.. karobar khoob chamk utha.
          saajida ke 8 saal tak aulad na hui . 8 saal baad seema hui. hum dekhte  dekhte kanha pauch gaye magar naushad has clark se head clark hi ban saka  fir humne bahut  chaha ki naushad bhi hamare saath karaobar mie sarik ho jaye magar wo na maana . woh kuch khudaar kism ke the. hum saajida ki madad kar dete to woh bi unhe nagawar gujarti.
         fir aurotion ka khel suru hua. nanad garib thi aur bhabhiyan ammir . nanad se baat karti to unhe apni  ammiri ka ahsasa karati aur nanad ko uski garibi ka . eid  festival par kuch deti to jaise khairat samajh kar . insan farq na daale to bhi daulat bahut se farq daal deti hai . saajida bahut sabaar wali aur khudaar aurat thi.usne kabi apne lakhpati bhaiyion ke hattion ki taraf na dekha tha. usne bhaiyo ki biwion ke rawaiyion ko dekhte huey aana jaana bhi kam kar dia tha...

    biwiyon ke kehen par bhai bhi dur ho gaye . fir ek din akamal ke saath naushad ka jhagada ho gaya. sab jante the ki kasoor akamal aur sajia bhabhi ka tha magar koi kuch na bola. kisi ka naushad ka saath na dia . mine bi nai. bas fir aana jana saalion par faail gaya  . naushad to kai saal tak mere ghar na aaya .
        sultan ahemed ne saari kaahani bata kar ek lambi saans li. naved chup chp sab sun raha tha magar yeh sab sun kar uske dil mien fufo ki muhabbat aur badh gai.
**************************************************************
Like Reply


Messages In This Thread
Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 10-12-2018, 01:59 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 10-12-2018, 04:48 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 11-12-2018, 03:49 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 12-12-2018, 03:56 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 18-12-2018, 04:14 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 22-12-2018, 04:33 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 01-01-2019, 12:13 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi(COMPLETED) - by viking - 05-01-2019, 07:10 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 06-01-2019, 09:50 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi - by viking - 09-01-2019, 07:55 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 20-02-2019, 09:26 PM
RE: Meri Bahu Aisi Nahi( completed) - by viking - 14-11-2019, 08:34 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)