27-02-2021, 04:15 PM
(17-02-2021, 07:57 PM)wolverine1977 Wrote: This part is narrated in English and Hindi (in english font)
2009
Yeh aisa saal tha, jab mere swabhaav mein bahot tabdili aayi. Mera career dono kaamon mein bahot hee achcha chalne laga. Fauj mein toh mera kaam achcha chal hee raha tha, lekin corporate life mein bhi tarakki hui. Territorial Army officer hone ke nate mujhe harr saal kam se kam 3 mahine apni unit mein report karna tha fauj ke kaam kaaj ke silsile mein. Fauj mein mujhe bahot hee sukoon milta tha. Vardi pehn ke jab mein office jaata tha toh mujhe garv hota tha. 2009 mein maine apni unit (Gorkha Regiment) mein phir se join kiya, Darjeeling mein unit ka base tha. Maine Col. Tripathi ko report kiya, unke office mein baitha chai pee raha tha unke saath. Unhone mujhe briefing di. Unit abhi field ops pe Nagaland jaa rahi thi. Unit rawana ho gayi nagaland ke liye. Peeche chhodh gayi 2 officers, 30 jawaans with officers and jawaans ki families. Ab inki zimmedari meri thi.
Maine apni darjeeling mein back ops unit ki kamaan sambhaali. 80 din baad unit Nagaland se wapis aayi, 10 din mein main apni uss saal ki duty handover karr, kuch mahine apne mata pita aur bade bhai ke saath Chandigarh mein guzarne ke baad main phir apni aam zindagi jeene ke liye dilli chala aaya. Wapis aake mujhe pata chala ke main iss baar apne sabse karrebi dost aur mera hameshan saath dene waala saathi manish se kitna katt gaya tha. Iss dauran manish ke saath jo hua woh mujhe hairan karr dene wala. Manish ki zindagi mein waise toh bahot hee sukh mila hai iss ghatna ke baad, lekin pehle ke 6 mahine uske liye bahot chunauti bhare the. Lekin jab woh beet gaye toh usse khushiyan hee khushiyan mili hain. uss dauran meri niji zindagi mein kaafi utaar chadhaav aaye. jinke baare mein likhoonga zaroor, lekin yeh section sirf mere jigri dost Manish ke naam.
May 2009: Manish aur Barkha.
(manish aur barkha ne yeh part mujhe vistaar se bataya tha, isliye jo bhi yaad hai likh raha hoon).
Manish apne mata pita se milne Rewari gaya tha kuch ek hafte ki chutti le kar. Wahaan pe kuch din guzarne ke baad usse ek aisa faisla lena padha jimein sirf uske mata aur pita ke alawa kisi aur ne uska saath nahin diya. Sirf pita ke vishwas aur bharose parr usne woh kadam uthaya. Hua yun tha ke jab woh gaon pahoncha toh uske ghar pe uske teesre number ke chacha kisi karan bahot bimar padh gaye the aur unka dehant ho gaya tha. Chachaji ka chota sa pariwar tha, Chacha bhim singh aur chachi barkha singh. Unki koi santaan nahin thi. chacha ki umar 38 ke kareeb thi, aur chachi ki umar 33 ki thi. Bhim singh kaafi bimaar rehne lage the kuch saalon se. Unki ek achchi khaasi dukaan chalti thi jo ke miyan biwi chalate the. lekin kuch saalon se bhim singh ki tabiyat kharaab rehne ke karan dukan ka saara kaam barkha chachi sambhalti thi. Lekin kab tak. Ek din aisa aaya jab chachaji ki tabiyat bahot ziyada kharaab ho gayi aur unko dil ka daura padh gaya aur woh chal basse. 33 saal ki jawaan barkha chachi vidhwa ho gayi. Ittefaq se usshee din manish ke pita ji, lt. col (retd) vinod singh rewari mein nahin the, woh kisi kaam se paas hee ke chote se sheher gobindpuri gaye hue the. Unke wapis aane tak manish parr hee saari zimedari aa gayi. Col. vinod sing ki gair moujudgi mein unke kuch pariwar walon ne bina soche samjhe yeh faisla liya ke barkha chachi ko ghar se bedakhal karr diya jaye kyun ke unki wajah se hee bhim singh ji ki mout hui thi. na toh koi bachcha paida karr saki aur ab pati bhi kho diya. Manish ne apatti jatayi lekin kuch ghar ke badhon ne usse tokk diya yeh keh karr ke woh abhi chotta hai aur usse inn sab baaton mein padhna nahin chhaiye.
Barkha chachi ka toh jaise sab kuch lutt gaya tha. Pati toh raha nahin aur ab pariwar se bhi nikala jaa raha tha. Woh sab se guzarish karti rahi ke usse ghar se na nikale, woh kahin nahin jaa sakti. Uske maata pita ke paas woh jaa nahin sakti thi, woh unhein yahaan wapis bhej dete. Woh ab pareshaan thi. Manish ka gussa bahot upar chadh chuka tha. Usne phir bhi apna dhairy rakhte hue apni mata ji se salah li. Uski mataji ne kaha ke woh ismein na padhe aur apne dilli wapis jaye aur apne kaam mein dhyan de. Lekin manish tehra dheeth aadmi. Usne seedhe seedhe shabdon mein pariwar ke sabhi logon se keh diya, ke jab tak uske pita ji gobindpuri se wapis nahin aa jate tab tak chachiji yahin rahengi aur phir uske baad uske pita ji jo kahenge pariwar ko maan na hoga. Kyunke col vinod singh sabse bade the pariwar ke toh sab ko unki baat maani padthi thi. Sab log maan gaye ke Col vinod ke aane tak barkha chachi uss hee ghar mein rahegi.
Jaise taise karr ke raat beet gayi, agli subha Col. vinod singh apne ghar pahonche aur halaat ka jaiza liya. Manish ne unhein bataya ke pariwar ke baaki log barkha chachi ko ghar se nikalne ki baat karr rahe hain. Sab keh rahe hain ke ek vidhwa ka ab iss ghar mein rehna theek nahin. Manish ne sabko phir se samjhane ki bahot koshish karri lekin uske pitaji ke alawa koi usski baat maan hee nahin raha tha. Tab usne ek phaisla liya aur bola ke ab barkha chachhi vidhwa nahin rahengi, unki shaadi karr denge. Yeh sunn ke sab chaunk gaye. Pariwar ne poocha ke barkha ka pati toh marr chuka hai aur ab usse shaadi kaun karrega tab manish ne kaha ke chachi se shaadi woh karrega. Poore pariwar ke hosh udh gaye. Sabne manish ko bura bhala kaha aur yeh bhi kaha ke bachpana chhod de. Manish nahin maana aur woh chachi ko apne saath dilli le jaane ki baat karta raha. Uski maata ji ne usko bahot chaante maare lekin woh nahin maana. Sabne Col vinod singh se salah maangi. Unhone pehle toh kuch bola nahin, lekin kuch khshann baad unhone kahaa ke "manish ka faisla mujhe manzoor hai". Pariwar mein sab chownk gaye. Sabne kahaa aisa kaise ho sakta hai. Tabh col. vinod singh ne kahaa ke Barkha meri sagi behn toh nahin lekin usko maine hamesha sagi behn jaise hee dekha hai. Uski zimmedari ab meri hai. Agar mera beta uski zindagi sawaarega toh uss mein meri sehmati hai. Kisi ko koi bhi appatti ho toh woh apni appatti apne paas rakhe kyun ke unka faisla ho chuka tha.
Poora pariwar dang reh gaya. Faisla ho chuka tha, koi kuch nahin bol sakta tha. Lihaza, barkha chachi ko apna kamra diya gaya jab tak ke manish se unki shaadi nahin ho jaati tab tak. Lekin dikkat yeh thi ke manish ko 2 din mein wapis jaana tha aur 2 din mein shaadi ki tayariyan karna na mumkin tha. Tab bhi manish ne hee rasta sujhaya. Usne yeh faisla liya ke woh barkha chachi ke saath yahin ek mandir mein shaadi karrega aur dilli jaa kar court mein shaadi karr lega. Yeh baat usne itne dridh nishchay se karri thi ke koi kuch nahin bol saka. Usne apne pita ji se raye maangi jo ke col vinod singh ne barkha chachi se baat karne ka faisla liya. Unhone sirf apne bete aur patni ko hee saath mein rakha, baaki sab pariwar walon ko jaane ko keh diya. Apne kamre mein 3 log baithe intezaar karr rahe the ke pitaji kya bolna chahte hain. Col. vinod singh ne barkha chachi se poocha ke unhein kahin iss decision se koi apatti toh nahin? barkha chachi ne kahaa unhein koi apatti nahn hai. "bhaiyya aap mera bhala hee sochenge. Aur mannu ne jo bhi faisla liye mere bhale ke liye hee liya. main iss rishte ke liye taiyyar hoon, aap apna ashirwad den".
Sab itna jaldi hua ke mujhe lagta hai barkha chachi ko bhi yeh ehsas ho gaya tha ke agar unki zindagi ab sanwar sakti hai toh bass manish ke iss faisle se hee bach sakti hai.
Phir col vinod singh ne apni patni se poocha ke unhein toh koi apatti nahin hai iss rishte mein? mataji ne pehle toh kuch bola nahin, phir kuch sochte hue boli, ab aap dono baap bete ne faisla karr he lya hai toh main kaun hoti hoon beech mein kuch bolne ke liye. Col. vinod singh ne unhein samjahaya aur woh samajh gayin.
Unhone ne aage badh karr barkha chachi ko gale lagaya. dono aurtein ro padhi. Behne jaisi jo thin. Manish ki maa ko kabhi bhi kisi se kalesh nahin tha, woh toh bass manish aur col. vinod singh ka bhala chahti thi. Unhein mann he maan garv tha ke unke bete ne itna nek faisla liya tha. Sab kuch theek hone parr, sab thakke haare so gaye. Maa aur barkha ne decide kiya ke kal subha barkha ka shingar maa karrengi aur usse taiyaar bhi woh hee karrengi. Khushi khushi sab log apne apne kamre mein chale gaye. Barkha ko ek alag karma diya gaya tha jab tak shaadi nahin ho jaati.
Uss raat manish nahin so paya. Kyunke usne jo phaisla liya tha woh uske zindagi mein bahot se badlav laane wala tha. Lekin kahin dil mein usse maloom tha ke yeh faisla uska sahi tha. Usne socha jo hoga dekha jayega. Uska ek aur masla tha. Woh barkha chachi ko apni chachi hee maanta tha, unhein apni patni sweekar karna uske liye bahot mushkil tha. Wohi haal barkha chachi ka bhi tha.
Tab usne ek aur kadam uthaya. usne phone pe barkha chachi se baat karri jo ke doosre kamre mein thi. Usne phone pe barkha chachi se apne mann ki baat kahi. Dono ke beech kuch baat hui, uske baad Manish ne phone rakha aur usko laga ke ek solution nikla hai jiska asar doosri problem pe bhi padhega. Woh sukoon se so gaya, kyunke kal uski shaadi thi apni hee chachi se.
Kisi tarah raat guzri. Agle din subha manish aur barkha ki mandir mein shaadi ho gayi. Poora pariwar wahaan moujood tha, bhale he pariwar ke baaki log iss shaadi ke khilaf the, lekin woh kuch karr nahin sakte the. Barkha ke maa baap ko toh jaise phir se khushi mil gayi. Woh hairaan zaroor the ke yeh kya ho gaya, lekin unki beti ki zindagi phir se bass gayi yeh unke liye kaafi tha. Aur poore pariwar se ashirwad le ke uss hee shaam manish aur barkha dilli ke liye chal diye. Barkha chachi ki toh 1 hafte mein hee zindagi hee badal gayi thi, unhien yakeen nahin ho raha tha ke 1 din mein unhone apne ek pati ko khoya aur doosre din unhein doosra pati mil gaya, aur pati bhi kaun mila? jissko usne apna beta hee mana tha, umar mein kareeban 8-9 saal ka difference tha dono mein (waise toh aajkal yeh sab aam baat hai ke patni pati se umar mein badhi ho, lekin yeh aam baat nahin thi ke pati patni ek hee pariwar ke hon). yeh vidhi ka kaisa vidhaan tha.
Bhim chachaji ka Chautha bhi agle din tha. Sare reeti riwaz nibha ke Manish aur Barkha ne apne pariwar se bidai li aur apni nayi zindagi basane wapis dilli chale gaye.
Takreeban poori shaam aur adhi raat car chalate thakke hue manish aur barkha dilli pahonche. Dono itna thakk gaye the ke jald hee so gaye. Subha jab manish ki aankh khuli toh usne dekha ke usse chipak ke uski nayi patni, uski barkha chachi so rahi thi. Barkha ne manish ki chaati pe apna haath rakha tha aur manish ke kandhe parr unka sirr tha. Woh besudh so rahi thi, shayad thakaan ki wajah se. Shaadi ka joda abhi bhi pehna hua tha. Barkha sote hue bahot hee masoom lagg rahi thi.
Manish ne mujhe bataya ke, usko pehle toh kuch samajh nahin aaya, phir jab usse samajh aaya toh woh dheere se bina barkha ko disturb kiye utha aur fresh ho ke, chai nashta bana ke barkha ko uthane aaya. Usne barkha ko pyar se jagaya. Barkha ki aankh khuli aur woh yahaan wahaan dekhne lagi. phir unhone manish ko dekha, aur poocha...
Barkha: "Mannu beta, tum yahaan kya karr rahe ho...." kuch der haraani se manish ki taraf dekhte hue unhone ascharya se kaha "oh... sorry. mujhe dhyan hee nahin raha ji, maaf kijiye ji".
Manish: "arre aap aise matt boliye, main samajh sakta hoon. uthiye, fresh hoyiye aur chai nashta kha li jiye".
Barkha: "Aap mujhe utha dete na, aapne kyun takleef ki". Ghoonghat lete hue barkha bistar se uthi aur manish ke pair choone ke liye jhuki. manish turant hee jhuka aur barkha ko poora jhukne se pehle hee kandho se utha liya aur bola....
Manish: "Arre arre yeh aap kya karr rahi hain. Aur aap mujhe AAP na bulaiye, aap mujhe TU keh sakti hain, jaise pehle kehti thi, main hee hoon, aapka mannu. Aur takleef kis baat ki. Aapse pehle main uth gaya, aap thakki hui thi, toh maine nashta bana liye. Uthiye aur fresh ho jaiye. Main tab tak chai aur nashta garam karr ke lata hoon. Aur haan aage se aap mere pair nahin chooyengi. Aapka darja mere barabar ka hai naa ke merese neeche ka. Aap apne tareeke se yeh nayi zindagi jeeyen. main aapka poora saath doonga". Usne muskurate hue kaha.
Barkha ke aankh mein aansu aa gaye aur boli, "Aap mere pati hain, main aapko TU keh ke nahin bula sakti. Pehle ki baat kuch aur thi. Ab aap mere pati hain. Yeh ghor paap hoga agar main aapko Tu keh ke bulaun. Aur mera aapke pair choona aapko izzat dena hai. reeti riwaaz yehi hain humare pariwar mein. Lekin agar aapko achcha nahin laga toh main nahin karoongi".
Manish hass pada aur bola: "Chaliye theek hai, jaise aapki marzi. Uthiye aur fresh ho jaiye".
Barkha: "Bathroom kis taraf hai"?
Manish: "Ji woh saamne". Usne bathroom ke darwaze ki taraf ishara karke bola.
Barkha: "Mera suitcase aap le ayenge ji"?
Manish utha aur barkha ka suitcase le ke bedroom mein aaya. Barkha ne apne kuch kapde nikale aur unhein leke woh bathroom ki taraf chali gayi. tab tak manish ne nashta aur chai dobara garam karr liya tha. Woh bedroom mein dobara aaya aur bedside table pe nashta aur chai ki tray rakh ke barkha ka intezaar karne laga. Kuch der baad naha ke barkha bathroom se bahar aayi. Apne geele baal sukhate hue jab woh kamre mein aayi toh, (manish ne mujhe yeh bataya tha), barkha bala ki khoob surat lagg rahi thi. Usse toh dekhte hee itni attraction hui ke uska lund khada ho gaya. Usne apne aap ko sambhala aur barkha se kaha, "aap nashta karr len, phir hum dono ghoomne jayenge".
Barkha: "Aap bhool rahe hain ji ke Bhim ji ka main aaj bhi shok mana rahi hoon. Main kaise ghoomne jaa sakti hoon. Kuch din baad aap jahaan le jayenge main wahaan chaloongi aapke saath".
Manish ko pehle toh samajh nahin aaya, phir uske dimaag mein baat ghusi ke bhale hee ab barkha uski patni hai lekin iss hafte hee toh unke pehle pati Bhim singh guzar gaye the. Woh yeh kaise bhool sakta tha. Usne kaha, "sorry, ok. aap jaise kahen. Chalen ghar dekh len aur sambhal le ab. Aaj aur kal waise maine chutti le lee hai. Aapke saath he saraa din bitaunga. Aur phir humne court mein shaadi bhi toh register karni hai. kal mummy papa bhi aa rahe hain".
Barkha muskurayi. Manish khidkhi ke paas rakhe sofe ki taraf ishara karrke bola, "aayen baithen, main chai parosta hoon". Barkha boli, "dhatt, aap kyun parosenge? main parosti hoon. aap baithen".
Dono ne saath baoth karr chai nashta kiya. Phir manish ne poocha, "apko chachaji ki yaad toh bahot aati hogi".
Barkha ne bina manish ki taraf dekhe bola, "ji aati toh bahot hai. itne saal unke saath bitaye. Achanak se kya ho gaya pata nahin. mujhe toh theek se shok manane ka bhi waqt nahin mila. iss beech itna sab kuch ho gaya. Ab aapke saath shaadi ho gayi, toh ab khushi manaun ke shok samajh nahin aa raha". barkha ki aankh mein aansu the.
Unable to read and understand because of hindi