Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip (Completed)
Chapter-53:KAPD
Update-204
.
Un dino main kayi uljhano me phhansa hua tha jisme se ek Vipin bhaiya ki shadi thi...bole to dil aur dimag laakh koshisho ke bawjood us ladki ko bhabhi maan hee nahi raha tha, jisne bachpan se meri zindagi ko kitaabon aur percentage ki taraju me taul kar rakh diya tha...yadi main college me bhi pahle ki tarah bright student hota to baat alag hoti ,lekin sach to ye tha ki pichhale char saalo me maine khud ko is kadar barbaad kiya tha ki ek baar barbaad ladka bhi kisi mamle me mujhse sharif dikhe....
yadi pahle ki tarah aaj bhi mere marks Pandey ji ki bitiya se adhik hote to Vipin bhaiya ki shadi ke baad main kam se kam apna seena taan kar to chalta lekin haqiqat aur mere sixth sense mujhe kuchh aur hee bhavishya dikha rahe the...mere sixth sense ke anusar, jab bade bhaiya ki shadi Pandey ji ki beti se ho jayegi to gharwale uska example de-de kar meri lenge matlab ghor taana....upar se Pandey ji ki beti khud bhi taana maregi...kyunki uske liye mere andar jo virodhi bhaav hai ,waisa hee same to same haav-bhaav uske andar bhi mere liye hoga...kyunki meri tarah uski bhi life aaj tak percentage ke taaraju me chadh chuki thi aur mera aisa manna tha ki usase nafrat karne ka jo junoon mere andar hai ,waisa junoon uske andar bhi hoga...bole to ye ek tarah se Mahabharat ki shuruat hone wali thi...
.
"lao ,Arman bhai...main peg bana deta hoon ,ab to mere dono hath kaam karne lage hai..."Zameen par baithe hue Rajshri Pandey ne 'Signature' ki botal ko pakadte hue kaha....
"botal neeche rakh be...tune chhu kaise di daru ki botal...apavitra kar diya na is pavitra chiz ko chhukar...ab ja ganga jal lekar aa..."
"kyun meri le rahe ho Arman bhai...ab to maine Naveen bhai ke bike ke 2500  bhi de diye..." "dar-asal baat wo nahi hai chhote..."
"phhir kya baat hai..."
"actually baat ye hai ki Napoleon uncle said that ' if you want a thing done well, do it yourself' .matlab 'yadi aap chahte hai ki koyi kaam achchhe se ho to use khud se kijiye,bajaay iske ki wo kaam dusare kare...isliye peg main hee banaunga, taki jordar asar kare..."
"abey tu ye gyaan chodna band kar aur glass bhar mera..."apne khali glass ko khali dekhkar apni puri bhadas mujhpar khali karte hue Arun ne kaha aur uske do minute baad hee teeno glass rum se labalab ho gaye....
.
"ye BC, Pandey... Arman ke birthday party ke din sale ne gand hee fad ke rakh di thi...chutiye ne jaakar bike seedhe S.P. Ke gate me thok di, wo shukra manao ki meri shakl dekh kar S.P. ne jaane diya,warna aatankvadi ghosit karke tum logo ke gand me goliya bhar deta....chalo be papa bolo tum dono mujhe isi baat pe..."
"tu chup kar be lawde..."Arun ke khali glass ko bharte hue maine usase kaha aur Jab Arun ki glass full ho gayi to Pandey ji ke bhi glass ki tanhayi ko door karte hue maine usase puchha...
"kyun be, tere hath me plaster laga tha ye baat tere gharwalo ko maloom hai kya...."
"ab kya batau Arman bhai...Hospital ka bill itna jyada tha ki papa ji ko call karna pada aur to aur do din ghar rahkar bhi aaya hoon....kya batau Arman bhai..ghar me papa ne itna khayal rakha ki shuru me to


maine soch hee liya tha ki aaj ke baad daru ko hath tak nahi lagaunga...lekin phhir jab control nahi hua to ye tay kiya ki daru peene ke baad gadi nahi chalaunga..."
"kyun be bahut papa ji ke kaseede bun raha hai...mammi ne pakka khoob dhunayi ki hogi..."ek cigarette jala kar uska dhua Pandey ke muh me fekte hue Arun bola.
Arun ki is khichayi par hum dono apna gala fadkar hanse...waise to isme jyada koyi hasne wali baat nahi thi lekin phhir bhi hum dono hanse, gala fadkar hanse....
Pandey ji ki hum log chahe kitni bhi le li, chahe to hum me se koyi use sabke saamne jhapad bhi maar de, wo bura nahi manta tha lekin Arun ke is chhote se mazak ne jaise Rajshri Pandey ke dil me gahra vaar kiya aur wo hath me rum ki glass liye gusse se Arun ki taraf dekhne laga....
"aankh dikhata hai madarjaat...bol na ,kya mammi ne bahut mara..."Arun ne phhir kaha...
"Arman bhai...Arun bhai ko samjha lo aur bolo ki meri mari hui maa ke baare me kuchh na kahe..." "mari hui maa..."main aur Arun ek sath chauke...kyunki hume aaj se pahle maloom nahi tha ki Rajshri Pandey ki maa nahi hai....
Rajshri Pandey ki maa nahi hai ,uske muh se ye sunkar main chup raha aur Arun ne Pandey ji ko sorry kaha...
"sorry yar, maloom nahi tha...warna bolta kya ye sab... Aur teri bhi galti ,jo aaj tak bataya nahi...waise ye sab hua kaise..."
"ye sab hua kaise..."hath me rum se bhari glass ko neeche rakhte hue Rajshri Pandey bola"meri maa ko log pagal kahte the,Arman bhai...kahte the ki wo half-mind thi...lekin Arman bhai..ek baat batau ,mujhe kabhi aisa nahi laga,pata nahi log kis buniyaad par meri maa ko pagal kahte the.Jo log meri maa ki dimagi halaat ka mazaak udate the ya to unki buniyaad jhoothi thi ya phhir main sab kuch dekhkar bhi na dekhne ka natak karta tha...jaise meri maa kabhi-kabhi khane me shakkar ki jagah namak mila deti thi to kabhi namak ki jagah shakkar...kabhi-kabhi wo har ghante me mujhse puchhati ki maine khana kha liya hai ya nahi...kabhi-kabhi wo sunday ke din bhi humare liye tiffin banakar rakh deti thi...aisi kayi aadate meri maa ki thi,jiski vajah se log unhe pagal kahte the. Us waqt main 12th me tha ,jab ye hadsa hua...tab har din ki tarah us din bhi main college se ghar pahucha aur har din ki tarah maine apni maa ko aawaz di, lekin wo kahi nahi dikhi...ghar ka darwaja bhi khula hua tha ,isliye wo kahi door bhi nahi gayi hogi, aisa maine andaza lagaya....Maa aas-paas ke ghar me kisi ke yaha gayi hogi ,maine aisa socha aur khud khana lene rasoyi me pahuch gaya ,lekin us din maa ne khana bhi nahi banaya tha, jabki har din mere aane se pahle hee khana ban jaya karta tha....Arman bhai ,us din maloom chala ki bhookh aur kismat ki maar badi jor se lagti hai.
jab tak mujhe sahna tha, maine bhookh ko saha...lekin jab bhookh ke mare pet dard dene laga to pani
peene ke liye utha, is beech maa par mujhe gussa bhi bahut aa raha tha ki ,na jaane kaha chali gayi... ghar me paani bhi nahi tha,isliye maine balti uthayi aur kue ki taraf badha aur jaise hee kue me balti daalkar rassi neeche ki tabhi meri nazar kue ke paani me tairate hue meri maa ki..............."
itna bolne ke baad Rajshri pandey waha se uthkar chal diya aur hum dono kabhi darwaje ki taraf dekhte to kabhi khali glass ki taraf.....hum dono bahut der tak waise hee baithe rahe,jis haal me Rajshri pandey hume chhod kar gaya tha...is beech sharab ke pure nashe ke parkhachche udd chuke the...
"Pandey ne pura maja kharab kar diya be aalund, hazar rupaye nikal..ek botal aur lekar aata hoon..." "Chodu samjha hai kya...aadha tu mila aur aadha main milata hoon..."
"abey abhi dena...mere paas dus hazar ka note hai...change kaha se laun..." "dus hazar ka note  "
"abey matlab...dus hazar ka check hai...kal bank jaunga to le lena...aur ye Saurabh kaha marwa raha


hai..."
"Saurabh ko hata tu bhagkar daru la..."
.
Arun se hazaar ka note lekar maine warden ki bike li aur chal pada world cup lene....highway tak to main normal bike chala raha tha, lekin jaise hee highway par pahucha na jaane mujh par kaun sa junoon sawar ho gaya...mere hath accelerator par jo neeche hue ,wo phhir kabhi upar nahi hua aur bike ki speed pahle 60 pahuchi ,phhir 80....
"aaj to BC century  "man me sochate  hue maine  phhir  se  accelerator par jor diya.... Abhi 80 KM/H ki speed ko main paar hee kar raha tha ki saamne scorpio dikha ,jiski direction wahi thi jo meri thi aur saamne se ek truck aa raha tha....maine socha ki scorpio aur truck ke beech parabolic curve banate hue nikal jaunga...isliye maine accelerator aur pel diya aur jhat se scorpio ko cross karke uske aage aa gaya ,lekin meri hawa tab nikli jab saamne se ek ladki scooty par thi jo meri tarah hee parabolic curve banane ka jugaad jama rahi thi...is tarah usne truck ko cross kiya aur maine scorpio ko...lekin iske baad hum dono ek dusare ke saamne aa gaye...jis tarah meri hawa nikli, waisi hawa ladki ki bhi nikli aur usne aankh band karke aur accelerator de diya....
"BC ,thokegi kya..."us ladki par chillate hue maine achanak break mara aur uske baad jo durgati hui ,wo mujhe hee maloom hai...agla break marne ke karan main jhatka khakar door sadak par gira aur warden ki bike peechhe pata nahi kaha gote lagati rahi....meri speed bahut jyada thi ,isliye main sirf road par nahi gira balki 360 degree ke kayi round bhi maine road par lagaye aur jab main ruka tab mujhe pata chala ki main pela gaya hoon...
Ek to main pahle se hee dara hua tha upar se waha jama hui bheed ne mujhe aur dara diya...main jaise taise karke utha to dekha ki kahi koyi nishan nahi...isliye maine hekadi marte hue khud se kaha"lawda
,mard aadmi hoon...ye chhote-mote zakhm to asar hee nahi karte..."
"abey pagal hai kya, achchha hua truck rok diya warna sale chadh gaya hota tujhpar...."jis truck ke chakkar me main wo parabolic curve bana raha tha ,us truck ka driver utar kar mujhpar cheekha aur maine dekha ki uski to mujhse bhi jyada fati padi thi....
Jaha par main girte hue ,gote lagate hue ruka tha...waha se truck sirf ek meter ki doori par tha yani ki yadi truck wale ne truck na roka hota to mera kaam tamaam ho gaya hota...
"koyi baat nahi, main thik hoon...lekin badi tazzub ki baat hai ki sala kayi mamuli sa bhi kharoch nahi hai..."waha jama hue logo se maine kaha aur bike uthane chal pada....
bike ki taraf chalte hue mujhe itna ahsaas to zaroor hua ki main thoda langda kar chal raha hoon aur mera baya hath bahut jyada dard de raha hai.....
"achchha hua , jo sahi-salamat hoon...warna anchoring nahi kar pata,jo ki ek hafte ke baad hee hai..."bike ki taraf badhte hue main badbadaya aur neeche apne jacket ki taraf pahli baar nigaah dali.... "ye BC blooding kaha se ho rahi hai...us ladki ki maa ka..."jacket ko laal rang me sana hua dekh main jor se chillaya.....
.
Wo din mere college life ka ek kala din tha ya phhir use laal din bhi kah sakta hoon kyunki us din main upar se lekar neeche tak khoon se laal ho gaya tha...jiska pata mujhe hostel ki taraf badhte hue maloom hua aur kala din isliye kyunki us samay mere liye jo sabse important kaam the wo aise adhure hue jaise ki exam me likhte-likhte pen ki nib toot jana aur dusara koyi option na hona....
un dino mere career se bhi important,mere future se bhi mahatvapurna aise do kaam the, jo mere dwara bike se parabolic curve banate hue pure nahi hue...pahla kaam ye tha ki kaise bhi karke Vipin bhaiya ka taaka Pandey ji ki bitiya se bhidne se rokna tha lekin us accident ki vazah se main ghar nahi ja


paya...
dusara kaam jo bigda wo pahle wale se bhi zaroori tha aur wo tha meri anchoring miss hona....Na jaane kitne Arman saja rakh the us din ke liye ,jab main Esha ke sath Golden jubilee ke function ka subharanbh karunga aur pura mahotsav taaliya ki aawaz se gunjane lagega...lekin wo arman dhara ka dhara rah gaya...bole to KAPD-Khade Armano par dhokha....
.
Apni luti-piti surat aur warden ki thuki-thukayi bike lekar main hostel ki taraf badha aur raste me ek clinic par rok diya...Clinic me apna traetment kara kar main wapas hostel ki taraf badha....
"BC ,jitne paise aate nahi ,usase jyada to kharch ho jate hai...aajkal hath se paisa aise nikal raha hai, jaise lund se  ghor kalyug hai re bawa...khair ,shukra hai ki mere shakl ko kuchh nahi hua "
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Update-204 :

.
dusare din subah apne bistar par lete hue maine kaha.... Arun abhi kuchh der pahle hee uthkar college jaane ki taiyari kar raha tha ki maine Kabir ka ek doha kaha...
"ye kya tha be..."
"arthat kabir das ji kahate hain ki manusya ka man aur usme ghusi huyi maya ka naash nahi hota aur uski


aasha ,ichchhaye bhi nasta nahi hoti.keval dikhne vala shareer hee marta hai.isi karan wah dukh roopi samudra me sada gote khaya karta hai...."Kabir ji ke us dohe ka bhavarth Arun ko samjhate hue maine kaha....
"mujhe lagta hai kal raat ke accident ka seedha asar tere dimag par hua hai, kahi tu satak to nahi gaya..." "hey murkh manav,main satka nahi hoon, mujhe aatma-gyan ki prapti kal raat hui hai. Ye tum sab jis maans,madira ka sevan karte ho na ,wo sab paap ke mukhya dwaar hai.isliye hey balak ab bhi waqt hai apne aapki un durgano se raksha karo ,warna tumhara kaal nikat hai..."
"oye sun be lodu...jyada baat karega na to tera dusara haath bhi tod dunga...phhir tujhe double aatm- gyan ki prapti ho jayegi..."apna bag kandhe par latkate hue Arun bola"sala jab dekho tab pakata rahta hai..."
Arun aur Saurabh ke college jaane ke baad main room me pada-pada bahut der tak to sochta raha ki ab aisa kya karu,jisase time paas ho...kyunki main na to bahut door tak chal sakta tha aur na hee uthkar baith sakta tha...mujhe to ab kayi din bistar par ek hee position me guzarne the.
"ek kaam karta hoon, movies dekhta hoon...lekin sala sab to dekh chuka hoon...phhir ek kaam karta hoon, bf dekhta hoon...lekin isase to lund khada ho jayega aur mujhe energy store karni hai ,isliye no bf, no movie...."
"ok baby, phhir sabse pahle ghar call karke sunday ko na aane ka koyi solid bahana chipkata hoon Vipin bhaiya ko..."badbadate hue maine apna mobile nikala aur Bade bhaiya ka number dial kiya...
.
"haan Arman bol ,kab aa raha hai..."call uthate hee bade bhaiya ne jhat se puchha...
"wo bhaiya,main aa nahi paunga...sorry...wo kya hai na ki is sunday ko placement ke liye ek company aa rahi hai...isliye main nahi aa paunga. Ghar me bhi bata dena..."
"ok...no problem..."
"kyun hoon main itna hoshiyaar...kaha se aate hai aise bahane mere  ,"sochate hue  maine khud se kaha"ye to kamaal ho gaya...mujhe to jyada mehnat bhi nahi karni padi..."
 
"teri aawaz itni dheemi kyun aa rahi hai..."jab main man hee man khud ki tareef kiye ja raha tha to bade bhaiya ne mujhe toka...
"wo main class me hoon..."
"class me...kya tere teachers chalti class ke beech me students ko call karne ki permission de dete hai kya...sach bata kaha hai..."
"are bhaiya class me hee hoon...wo teacher 5 minute ke liye kahi bahar gaya hai...aapko yakin na ho to teacher ke aane ke baad unse baat kara dunga..."
"rahne de..rahne de.iski koyi jaroorat nahi..."
"ok, bye..."bolte hue maine mobile side me rakha aur phhir sochane laga ki ab kya kiya jaye....ki tabhi mere mobile ki ghanti baji. Screen par nazar dali to maloom chala ki call Esha ki thi...
"zaroor mere call recieve karte hee ye mujhe par toot padegi ki main kaha hoon, kya kar raha hoon...practice me kyun nahi aaya...main itna laparvaah kyun hoon....blah...blah"
pahle to socha ki call ka koyi responce hee na doon,lekin phhir kal doctor ki kahi hui instruction yaad aayi ki ab main 10-15 din ke liye book ho chuka hoon ,to maine Esha ko ye batane ke liye ki main anchoring se quit kar raha hoon, maine call utha hee liya...
"hello ,janu..kaisi hoon..chalo ek kissie do..."
"what...dimag to sahi hai tumhara Arman...main Esha bol rahi hoon..."
"Esha...oh sorry...sorry. Mujhe laga Aradhna bol rahi hai. Wo kya hai na ki aajkal har aawaz me sirf


Aradhna ki aawaz sunayi deti hai....warna yadi mujhe maloom hota ki tum line par ho..." "ab baki baate rahne do aur jaldi se anchoring ke liye pahucho..."
"chal hat, aaj mera mood nahi hai...aaj main aur Aradhna long drive par jaane wale hai...us chhatru ko bol dena ki i'm not interested..koyi dusara banda dhoond le "
"hello...kahna kya chahte ho..." "Chhatrapal udhar hai kya..." "haan..."
"to phhir uske paas ja aur bol ki Mr. President line par hai..."
Iske baad thodi der tak khatar-patar ki aawaz aati rahi aur phhir Esha ki aawaz sunayi di... "sir, Arman aapse baat karna chahta hai..."
.
Jitna dukh mujhe kal ye jaan kar hua tha ki main ab golden jubilee ke function me anchoring nahi kar paunga, utne hee power ka heart-attack Chhatrapal ko bhi laga ,jab maine apni kal raat ki saari aap-beeti Chhatru ko sunayi...shuru me to wo halka sa mujhpar bhadka bhi ki maine uske plan ka pura structure hee barbaad kar diya lekin phhir jab maine use mere body ke bigde hue structure ke baare me vistaar se bataya to usne mera haal-chaal puchhkar...get well soon bolkar ek teacher ki formality nibhayi aur phone rakh diya.....
.
Shaam tak mere accident ki baat pure hostel me fail chuki thi aur mujhse milne bahut log aaye bhi the...BC launde mere room me aakar mujhe aise daya-drishti se dekhte jaise ki main aids ka mariz hoon aur do-char din me bas marne hee wala hoon... Jitne depression me main pahle nahi tha, usase jyada depression me main tab chala gaya ,jab college ke launde mujhse milne aaye aur tarah-tarah ke dukh prakat karte lage...Waise to sab the engineer ,lekin mujhse milte waqt behaviour aise karte jaise lawdo ne MBBS kiya ho...sab ek se ek medicine ka naam batate aur kabhi-kabhi to koyi kahta ki college ke peechhe ek paudha paya jata hai,use peeskar ghaav me lagane se ghaav thik ho jata hai....
abhi bhi mere saamne aise hee ladko ka ek group baitha hua tha,jo tarah-tarah ke salaah mujhe diye jaa rahe the...
"Arman...doodh me haldi daal kar garam karna aur garam-garam hee pee jana...isase ghav jaldi bharta hai aur dard bhi kam hota hai..."ek ne kaha...
"ok..."(lawde ke baal,..tere papa ji haldi aur doodh lakar denge..bhag MC yaha se..)
"dekh Arman ,ek baar mere sath bhi aisa accident hua tha...lekin maine sarpgandha ki pattiyo ko peeskar lagaya to do din me yun chutki bajate hue thik ho gaya .try it..."chutki bajate hue dusare ne kaha...
"ok thanks..."(abey ghonchu...ab main sarpgandha ka ped lene jaun...MC yadi itna hee gand me guda hai to jaakar le aana...)
.
Iske baad ek aur ladke ne kuchh bolne ke liye apna muh khola hee tha ki main cheekha...
"bhag jao kutto..warna ek-ek ki gand tod dunga...bade aaye doctor ki aaulad bankar... bose dk .chutiye saale..."
.
Waise to mujhe apna ilaaz kaise karwana chahiye,iske bahut saare ideas mil chuke the..lekin phhir bhi maine sabke ideas ko apne room ki khidki se neeche fekte hue ,wahi kiya...jo ki mujhe Clinic wale doctor ne kaha tha aur dus din ke bed rest ke baad main halka langda kar chalne ke kabil ho gaya tha...jis din golden jubilee ka function tha, us din pura hostel khali tha...halaanki main bore na hoon ,mera akele dam na ghute,isliye mere dosto ne kayi saari movies laakar mere laptop me daal di thi...lekin maine us


din ek bhi movie nahi dekhi aur college campus me ho rahe golden jubilee ke programme ka audio sunte raha aur khud ko us pal ke bahut kosta raha ki kyun main us din hostel se nikla...ghutan to bahut hui us din lekin siway bistar par pade rahne ke siwa main kar bhi kya sakta tha....
Mere accident wale din ke thik gyarahve din main is kabil hua ki main college ja saku aur utsukta to itni thi ki puchho mat...phhir wahi canteen, phhir wahi boring lecture,
phhir kisi ko neecha dikhana...phhir kisi par apne dialogue chipkana.
Phhir se kisi class me bakchodi karna aur phhir role me class se bahar jaana... phhir se ladkiyo ko dekhna aur unhe dekhkar man hee man me muth marna
Bole to apun full excited tha...pichhale dus din tak college na aane ke karan aisa laga jaise college gaye
sadiya beet gayi thi.Waise to dost hostel me bhi milte the.Arun aur Saurabh to room me hee rahte the...lekin College ki canteen aur college ki building ki to baat hee kuchh aur thi...Pattharo ki wo imarat ka mahatva mujhe pahli baar samajh aaya aur zindagi me pahli baar mujhe mere mobile ke siwa kisi dusari nirjeev chiz se itna laagav ho paya....
.
Pahle jaha hume hostel se apni class tak pahuchne me mushkil se 5 minute bhi nahi lagte the,wahi ab meri dheemi chaal aur baar-baar ladkhadane ki vajah se 10 minute to college ke gate tak pahuchne me lag gaye the aur jaisi meri speed thi,us hisaab se to mujhe abhi class tak pahuch me aur bhi dus minute lagne wale the...
"ek kaam karo beta, tum log niklo main thodi der baad aata hoon..."Achanak hee ruk-kar maine kaha... "kyun be, kya hua..."
"beta saamne dekho ,tumhari bhabhi Esha aa rahi hai aur yadi tum jaise badtameez log mere aas-paas bhi rahe to ,wo seedhe nikal jayegi...lekin yadi main akela raha to mujhse baat to zaroor karegi...ab chalo
,kat lo idhar se..warna kaat ke rakh dunga"


Update-205 :

.
Jaisa ki mere sixth sense ne andaaza lagaya tha ,aage ka karyakram thik usi tarah hua.yani ki mere dost mujhe chhodkar chale gaye aur main wahi khada hokar Esha ke paas aane ka intezaar kar raha tha...Esha aayi aur mujhe dekhkar usne apne aankho me pressure badhaya...yani ki usne apni aankhe chhoti ki aur mujhe aise ghoorne lage ,jaise jungle me ek shikari apne shikar ko dekhta hai,kami thi to bas Esha ke jhapatta marne ki...jo ki usne bina jyada samay ganwaye hee kiya.
"Arman...yakin nahi ho raha, matlab mujhe kuchh samajh nahi aa raha ki kya kahu...matlab main tumhe tumhari laparvaahi ke karan do-char baate sunau ya phhir tumhare sath jo hua, pichhale dino tum jis bhi halaat me the ,uske liye dukh prakat karu...main bahut confuse hoon aur aaj itne dino baad achanak tumhe dekhkar...main bata nahi sakti ki main kaisa feel kar rahi hoon...matlab main bahut kuchh kahna chahti hoon,lekin kuchh sujh hee nahi raha..."haste-muskurate...khisiyate-gurrate ,andar hee andar apna sar peetate hue Esha boli aur uska ye reaction mujhe itna achchha laga ki dil kiya ki abhich 100 meter ki race usain bolt se laga lekin phhir yaad aaya ki main to thik tarah se chalne ke bhi kabil nahi hoon,race kya khak lagaunga...isliye no show-bazi ,only dialogue
-bazi....
.
"apni aankho par pressure dalna band karo, warna aaj dard dengi aur kal chashma lag jayega...uske baad sab tumhe battery, chashmish kahkar bulayenge..."
"yakin nahi hota, tum ab bhi mazaak kar rahe ho...hey bhagwan. Maine to socha tha ki tumhara chehra ujada-ujada sa hoga...lekin nahi ,yaha to nadi hee ulti disha me bah rahi hai..."
"mujhe nahi maloom ki tumhe ye pata hai ki nahi. Par mere baare me ek kahawat badi mashahoor hai ki jab main paida hua to main rone ke bajay hans raha tha aur jaanti ho uske baad kya hua..."
"one minute, let me guess...hmm...uske baad nurses darkar bhag gayi hogi ,right...."
"exactly...kya baat hai, mere sath rah-rah kar tera bhi sixth sense kaam karne laga...huh.."Esha ke halka sa dhakka dete hue maine kaha....
.
Maine bhale hee golden jubilee ke function ko miss kar diya tha,lekin anchoring ke practice ke waqt auditorium me mere aur Esha ke beech aksar chhoti-moti anban ho jati thi,jiske baad ek-dusare ko dhakka dena humare liye common si baat ho gayi thi...(yaha normal bhi main likh sakta tha, lekin maine common likha kyunki aksar wo bhi aisa karti thi...be technical, beedu log  )
"how dare you to push me...wait, bolte hue Esha ne mujhe jor se dhakka diya aur main jaakar deewar se ja takraya...
"aaram se reply kar yar...dekh nahi rahi apahij hoon...thodi-bahut to insaniyat dikha,,,"
"oh, sorry...i didn't know that you are a handicapped now, warna main aisa karti kya..."mere shoulder par ,jaha usne dhakka diya tha, use sahlate hue Esha boli...
"ya to tu full english me bol ya full hindi me vartalaap kar..."
"  mujhe apni mother tongue se pyar hai...isliye main dono language bolungi...tumhe isase kya"


"aksar matrabhasha se pyar wahi jatate hai, jine english dhang se nahi aati...khair ,wo sab chhod aur ye bata ki Aradhna ko kahi dekha kya..."
"Aradhna...hmm ,nahi...aur tum ye mujhse Aradhna ke baare me aksar kyun puchhate rahte ho.kya main uski friend hoon ? Ya wo meri friend hai ? "
"jali... "Aradhna ke liye Esha ka explosion reaction dekhkar maine khud se kaha....
.
Yadi ladkiya aasani se pat jaaye to koyi baat nahi, lekin yadi jab ladkiyo ka door-door tak set karne ka chance na ho to iske baad unhe patane ke do raste hee bachte hai...pahla hai jealous feel karana aur dusara hai jabarjasti-jealous feel karana....
Esha...Aradhna ko lekar kabhi jealousy nahi hoti thi ,isliye maine dusara raasta chuna ,yani ki jabarjasti Esha ke saamne Aradhna ka naam lena...wo bhi tab jab humari conversation apne charam seema me ho.....kitna minded banda hoon main
.
"itna bhadak kyun reli hai....aur suna kya haal chal hai.,,apni to band baj chuki hai..." "sab badhiya hai...waise ye accident hua kaise..."
"yadi maine ise sach bataya to meri bezzati hogi..."sochate hue maine kaha"actually ,us din main bike par stunt kar raha tha...pahle maine agla chakka uthaya aur phhir pichhala...lekin ye karnama main hazaro baar kar chuka hoon,isliye maine bike ke dono chakke uthane ki koshish ki...aur tabhi boom...bike hawa me 200 km per hour ki speed se ek truck se takra gayi...."
"really...aisa karne ki koyi khas vajah.."
"vajah to koyi khaas nahi thi lekin napoleon mama ne kaha hai ki agar aap koyi mahan kaam nahi kar sakte to chhote kaamo ko mahan tarike se karo...aur us din maine wahi kiya, jiska mahan nateeza tumhare saamne hai...kitna mahaan hoon main  "
"ok, bye...class ke liye der ho rahi hai..."bolte hue Esha waha se chalti bani aur main apne raaste ho liya...
.
10 minute ke lagbhag maine Esha se baat ki aur 10 minute mujhe lagbhag class tak jaane me lage....yani ki class ka ek tihayi samay maine class ke bahar guzara tha and according to our professor's rule...main ab first class attend karu,iske liye main eligible nahi tha...lekin phhir maine ek bahana dhoondh kar try karna chaha aur class ke gate par khade hokar ekdum mari hui aawaz me andar aane ki permission mangi...first class Chhatrapal ki thi aur hum dono ke beech jo cold war chal raha tha uske hisaab se maine permission mangate hue hee ye andaza laga mara tha ki ye meri khichayi to zaroor karega...lekin us chhatrapal ko kya maloom ki main in dus dino me bistar par pade-pade 500 se bhi adhik dialogue invent kar chuka hoon....
"kaha chhipe the sir ji itne din tak..jo aaj aapne apne darshan diye..."
"kuchh nahi Sir, wo chhota sa accident ho gaya tha ,waise bhi Suraj ,chaand aur ARMAN ko koyi jyada der tak chhipa nahi sakta..."
"itna late kaise hue...aadha ghanta beet chuka hai..."
"abhi zakhm thik tarah se bhare nahi ,isliye hostel se yaha tak aane me 20 minute lag gaya..." "kyun tumhare dost sath nahi the..."
"kaun dost......ye, inki baat kar rahe ho aap..."Arun aur Saurabh ki taraf ungali dikhate hue main bola"inse meri ladayi ho gayi hai...wo bhi isliye kyunki ye mujhe kah rahe the ki main anchoring me na jaaun ,lekin main gaya..."


.
Mere itna bolte hee Chhatru ne Arun, Saurabh ki taraf dekha aur wo dono meri taraf aise dekhne lage...jaise bistar par ek ladki nangi padi unko chodne ke liye invite kar rahi ho aur maine ain waqt par unke lund kaat diye ho....filhaal to us waqt wo dono chup hee rahe aur main saamne wali bench par baitha taaki Chhatrapal ko shaq na ho ki main use chodu bana raha hoon....
.
dus din ke bed rest ke dauran yun to mujhe bahut nuksaan jhelna pada tha, lekin ek fayda bhi mujhe hua aur wo tha mere aur Aradhna ke beech phone sex....
Hum dono ke beech is phone sex ki shuruat haal-chal puchhane se hui thi...lekin phhir baad me hum dono ek-dusare se khulne lage aur mazaak-mazaak me baat kissing tak pahuchi aur phhir baad me chudayi tak....bas taalash thi to sahi waqt aur sahi jagah ki....Aradhna ko soch-soch kar main na jaane kitni baar hee apna lund khali kar chuka tha isliye main pure ufaan me tha ki kab main thik ho jaun aur uska game bajau...filhaal to abhi lunch ka time tha isliye main apni sharif mandali ke sath canteen ki taraf badha ,is aas me ki waha Esha to zaroor milegi aur yadi Esha na mili to Aradhna to phhir milegi hee milegi
Like Reply


Messages In This Thread
RE: 8th SEMESTER.... By SGP bro xossip - by Samrock19797 - 27-03-2019, 03:04 AM



Users browsing this thread: 21 Guest(s)